Search Engine Optimization (SEO) ke liye blog post URL customize kar targeting keywords add karna or extra words ko remove kar short URL banana important hota hai. Blogger par post publish karte time aap post URL ko custom kar sakte ho or custom URL set kar sate ho but post publish karne ke bad post link edit karna mushkil hota hai. So aaj main aapko blogspot blog par published post ka URL change kaise kare ke bare me btaunga taki aap apni old post ke URL edit kar unhe SEO friendly bana sako.
Blog post permalink customize karna SEO ke liye most important hai. Blogspot par hume post write karte time custom permalink istemal kar sakte hai or apni post ko google m top par la sakte hai. Blogger post permalink kaise use karte hai is bare me main already Blogspot Blog Me Custom Permalink Kaise Use Kare post me bta bhi chuka hu. Agar aapko is bare me pata nahi hai to ye post check kar le.
Blogger paor post publish karne ke bad permalink ka option disable oh jata hai or user easily post URL edit nahi kar sakta but ek trick se aap blogger post ka link post publish hone ke bad bhi edit kar sakte ho or custom URL use kar sakte ho.
Yaha main aapko iske steps screenshot ke sath bta raha hu. Isse aap aasani se blogger par post publish karne ke bad bhi uska URL permalink change kar automatic permalink ki jagah custom permalink istemal kar sakte ho.
Blogger Me Post Publish Hone Ke Bad Permalink URL Change Kaise Kare
First aap blogger.com par jaye or apni kisi bhi pahle se publish post ke samne Edit option par click kare or right side sidebar me Permalink par click kare.
Aap dekhenge ki permalink par click karne se sirf URL show hoga or Done option aayega but edit karne ya custom permalink ka option nahi aayega. So ab aap ye step follow kare or pahle se publish ki huyi post ka link edit karna sikhiye.
Steps to Change Blogger Published Post Permalink URL:
Step 1:
First aap blogger.com par jaye or apni log in ID se log in kare. Uske bad aapko jis blog ki post ka URL edit karna hai wo blog select kare or Posts par click kar jis post ka URL edit karna hai uske samne Edit par click kare.
Step 2:
- Ab left side me top par Revert to Draft option par click kare.
Step 3:
Aapke “Revert to Draft” button par click karte hi Post settings ke options change ho jayenge. Ab aap easily post permalink ko edit kar sakte ho.
- Post settings par click kare.
- Permalink par click kare.
- Custom Permalink select kare.
- Ab apni post ka URL edit kare. (Aap jo bhi URL update karna chahate hai.)
- URL link edit karne ke bad Done par click kare.
- Finally, sab setting karne ke bad Publish par click kare.
Bas in simple methods ko follow kar aap easily apne blogger ki published post ka permalink URL edit kar custome kar sakte hai or aapko URL me jo bih update karni hai kar sakte ho. Yaad rahe URL change karne ke bad publish jarur kare warna aapki post draft me save ho jayegi.
Is tarah se aap blogger par post publish hone ke bad bhi uska URL change kar sakte ho. Agar aapko is process me koi problem aaye to aap niche comment section me apne sawal puch sakte ho.
I hope aapko ye post pasand aayegi or blogger published post URL kaise change kare ki achhi jankari mili hogi so please ise social media par other blogger ke sath share jarur kare.
Pawan Kumar
Jumeedeen bilkul sahi jankari di aapne because english post me to url sahi aata hai but hindi title ho to url bigad jata hai isliye url kaise edit ho ye pata hona chahiye..
Thanks
Dev Vaishnav
.Sir mere kuch problem aa rahi hai
..mere google search console me abhi tk sirf 73 post submit aa rahe hai jabki mene 78 post dal di hai.
..sir meri site ka description jo mene yoast seo pr dala hai wo show nahi ho raha hai.
.. Sports blog ke liye google pr category ko index karna achha hai ya bura.
..me alg alg category ke alg alg description kese dalu.
Jumedeen Khan
Wait baki sabhi post bhi index ho jayegi. Category show karne se copyrighting issue ho sakta hai. Category ko edit karke description add karo.
Alok
bro ek baat puchni thi agar aap bhi AdSense ka topic likhte aur mai bhi khud se AdSense ke bare mai topic likhta hu to wo copyright to nahi hoga ….
Jumedeen Khan
Agar tum same meri post ke title, heading paragraph copy karoge to copyright hoga but alag talent se likhoge to nahi hoga.
Alok
bro aap sab ko WordPress par site use karne ko kehte ko .. ek baar meri website check kar ke bata sakte ho website ki luking sahi hai ya kuch changes karne wali hai
Jumedeen Khan
Good looking.
radhe gour
sir alexa me website kaise submit karte hai kya ye free hai ?
Jumedeen Khan
Pahle free tha but ab paid ho gaya hai.
Deepak sahu
1-sir alt tag ka use kaise karu? post image me use karna to thik hai but post me jo hum screenshot add karte hai usme alt tag me kya likhu? aapne apne iss post me 3 screenshot add kiye hai one by one bataiye ki aapne kya likha hai image ke title me aur alt tag me jisse mujhe bhi idea mil sake.
2- image ko kaise save karna hai- means ki rename kaise karenge ?
3-slug ka use kaise kare?
4-wodpress me post likhte tim neeche snippet preview par click kane par seo title aur description likhna hota hai fir se?
Jumedeen Khan
1. Post ke jaruri keywords use karo. Jaise
<img src="example.png" alt="Change blogger URL">
2. Image par click kar edit option me ja kar name change karo ya fir upload karne se aphle file ka name change karo or fir se image upload karo.
3. Check this post Blog Me Custom Permalink Kaise Use Kare
4. Nahi wo sirf preview hota hai ki aapki post ka title or description google me aese show hoga.
Arif ali
hello mera ye problem hai le mai jab ve Google pe search karta hu tu jaise ke Maine khuc publish kiya or o title ko search karta hu to nhi at a hai or apna pura blog ka name dalne se aa jata hai kya kru
Jumedeen Khan
Blog ki SEO settings complete karo.
Sahil
sir mere ek website hai mein guest post karna chahta hu aapke blog me please chack karke bataye ki meri website aapke blog me guest post karne ki like hai ya nahi http://www.Secretpromo.in
Jumedeen Khan
Aap guest policy read kar le usme sabkuch btaya hua hai.
Deepak sahu
but isse to old url jo search engine me jo rank kar rahe hai wo open nahi honge na?? page not found show hoga
Jumedeen Khan
Yes Old URL par 404 error aayega but aap Old URL ko New URL par redirect kar sakte ho ya fir kuch time bad old URL google se remove ho jayega. SEO ke liye permalinks ko customize karna jaruri hai.
Pawan Kumar
Mera question hai AdSense ke bare me..
kya AdSense usi nam se verify pin bhejega jisse AdSense account hai kya mai kisi aur nam per AdSense pin magwa sakta hu ?
Jumedeen Khan
Nahi jiske name se apane AdSense banaya hai usi name par pin send karega. Kisi or ke name se karna hai to first aap AdSense ko uski ID par transfer karo fir address submit karo.
Naveen Poonia
Bro Ye Sab To Thik Hai But Aap Mujhe Ye Bataeye Ki Mera WordPress Permalink Year/Month hai.
Example :- 2017/1/posturl
Agar Mai Apne Old Articles Ko Update Karna Chahu To Kaise Karu Ki Uski Publishing Date Change Ho Jaye Or Koi URL Error Bhi Na Ho ???
Jumedeen Khan
Blogger par aapko post ki date hi change karn hogi.
Shubhra Dey
Bhai blogger use karte waqt mene jo bhi post likha tha wo to google ne index kar liya tha to ab word press me jane se saare link change ho gaya hai to google kya automaticly new link update kar lega ya khud kuch karna padega aur bhai AdSense account me koi problem to nehi aayega na agar me WordPress me add lagau to
Jumedeen Khan
Aap blog ko search console me submit karo or yoast plugin install kar sitemap bana kar WordPress blgo ka sitemap search console me submit karo tab aapki new post google me index ho jayegi.
Dev Vaishnav
Sir buffer ko kese use karte hai
Jumedeen Khan
Short me samajhana mushkil hai behtar hoga iske bare me koi article padh lo.
Dev Vaishnav
Sir hindi me nahi mila english.me smj me nahi aaya
Jumedeen Khan
Ok main iske bare me article likh dunga.
Naresh
Sir Aapne Bahut Achi Jaankari share ki thanks…
Mera ek sawal hai…
Mera blog WordPress pe sift kiya hai to mene pehle jo post share kiye the blogger mein un post ko me fir se customize karna chata hu or update karna hai jisme muje title, permalink, change karne hai kya mein kar sakta hu…
Jumedeen Khan
Yes bilkul kar sakte ho aesa karna sahi bhi hai.
Himanshu grewal
Par Apna permalink change Mt krna. Kyuki Agar aapne us page ko kisi or page se link kra Hua hai or aap url change kr doge to wo link 404 bn jayega
Akshay
underscores in url can affect seo???
Jumedeen Khan
Akshay aap kisi bhi post ke URL me underscores word use nahi kar sakte. Agar aap post me dusri post ke liye underscores line use karte ho to no problem. Second alyways full question likha karo.
kamlesh Parihar
Sir agar hum post url change karte hai to kya yadi us post ki kisi link ko pahle kis aur post me add kiya hai to kya usko bhi change karna padega.
Jumedeen Khan
Nahi aap ek URL ko ek hi post me use kar sakte ho.
kuldeep vishnoi
Uc news me hum apni site submit na karke ase hi post likhe to uc hume payment karega kya uske uper ad monetize likha hua hai..
Jumedeen Khan
Nahi iske liye UC aapko pay nahi karega. Baki jankari ke liye aap UC ki terms read kare.
radhe gour
sir hindi font ke css code kaha se milege
Jumedeen Khan
Open this link and scroll down hindi font mil jayenge http://fonts.google.com/
Pramod
Bhai maine apni website blogger se WordPress par transfer kar di hai to kya phir se apni website pure webmaster tool me submitt karna padega kyonki maine pahle dusra domain use kiya tha aur ab dusra kar raha hu plz guide me
Jumedeen Khan
Yes old domain ko delete kar new domain ko search console me add karo.
Shaikh Muneer
Aksar new blogger ka ye problem hota hai ki wo post url ko sahi se SEO friendly banana nhi jante unke liye jankari kafi helpful hogi.
Shubhra Dey
Bhai mene aaj hi blogger se WordPress par shift kia hai to aap ek baar plz mera site check karke bataiye ki kya kya karna hai main… Aur bhai blogger me to post me koi image add karne se wo home page me post ke saath show hota tha par abhi WordPress me image show nhi ho raha…
Aap dekh sakte ho…
Plzzzzzz help me bro
Jumedeen Khan
1. Permalink change karo, WordPress dashboard >> settings >> permalink par jao or Post name ke samen tick karo.
2. Home page par iamge lagane ke liye ye post padho WordPress Me Featured Image & Post Thumbnails Kaise Add Kare
Maine WordPress ke bare me jo post ki hai unme btayi guideline follow karke blog ki settings karo or bad me mujhe btao fir bhi koi kami hogi to bta dunga.