Blogging Par Achhi Tarah Se Focus Kaise Kare – 7 Effective Tips

Agar aap ek blogger hai aur blogging me apna carrier banana chahte hai aur blogging me safalta hasil karna chahte hai to aapko blogging par achi tarah focus karna jaruri hai. Agar aap puri tarah blogging par focus nahi kar paa rahe hai to iske peeche kuch reasons hote hai. chaliye Is post me hum blogging par focus na kar pane ke karan aur blogging par achhi tarah se focus karne aur interest badhane ke bare me janenge.

Blogging Par Achhi Tarah Se Focus Kaise Kare

Blogging par achhe se focus na kar pane, blog ko achhe se manage na kar pane ki kuch wajah hoti hai, agar aap in wajah ko door kar do to aapki problem door ho jayegi aur aap bahut jald ek successful blogger ban jaoge.

Blogging Par Focus Na Kar Pane Ki Wajah

Yaha main aapko blogging par focus na kar pane ki kuch badi wajah bta raha hu.

1. Traffic

Jab aap apna new blog start karte hai aur usme Article likhna shuru karte hai tab aap har time apna traffic check karte rehte hai aur traffic increase nahi hota to aapka man kharab ho jata hai aur aap blogging par kam dhayan dene lagte hai.

Lekin ham aapko bata de ki blogging me agar aapko success pana hai to long time ke liye wait karna padta hai aur countinuously kaam karte rehna hota hai.

2. SEO

SEO ke bare me achi tarah pata na hona ek bahut bada reason hai. Jab aap apni site ka seo (search engine optimization) nahi karte ho to aapke bahut ache article likhne ke baad bhi aapke blog ko search engine se achha traffic nahi milta, isliye aapka confidence low hone lagta hai.

3. Niche

Vahi karna jo dusre log kar rahe hai. Aap bhi vahi sab kuch karte hai jo dusre log kar rahe hai lekin ye galat hai. Aisa nahi hai ki sab kuch hi likha ja chuka hai aur ab likhne ke liye kuch nahi bacha aur vahi dubara likh do.

New blogger apne liye better niche select karne ki bajaye dusro ki dekha dekhi post likhna shuru kar dete hai, is tarah ke blog ko success hone me kai mahine lag sakte hai.

Isse competition jayada hone ke karan sabka blog first par nahi aa pata kyuki ek hi topic par first page me Few blogs aa sakte hai aur top me wo aate hai jo bran hai.

To ye 3 main reason hai blogging par focus na kar paane ke.inki vajah se apka confidence low ho jata hai aur apko kuch samaj nhi aata ki kya kare aur aap un tricks ka use karne lagte hai jo google guidelines ke khilaaf hoti hai.

Jo ki aapke blog ke liye harmful ho sakti hai to chaliye ab jante hai blogging par achi tarah focus kaise kare?

Blogging Par Achhi Tarah Se Focus Karne Ki 7 Tips?

Yaha main aapko blogging par achhe se focus karne ke bare me kuch jaruri bate bta raha hu, agar aap inko follow kar loge to bahut jald success blogger ban jaoge.

1. Traffic Ki Tension Na Le

Aap jab blogging start karte hai to usme shuru me traffic kam hi aata hai to usko dekhkar aap apna confidence kam na hone de kyuki agar aap apne blog me continuously kaam karte rahenge aur logo ke liye likhte rahenge to apako ek din success jarur hasil hogi.

Agar aap shuru me hi apne blog ka traffic kam dekhkar apne blog par kam dhayan denge to aapke blog ko accha rank nahi mil payega.

Isliye aap apna confidence hamesha banaye rakhe aur khud par vishvas rakhe aur lagatar kaam karte rahe. Isse aapko shuru me mushkil ho sakti hai lekin continuously kaam karte rehne ke baad aapka blog bahut acha grow karna start kar dega.

2. SEO Me Atke Na Rahe

SEO (search engine optimization) ka sahi se upyog kare. SMI par aapko seo ke bare me har tarah ki jankari di gayi hai. Agar apne seo ke bare me achi tarah read nahi kiya to aap SMI par seo ke bare me full jankari prapt kar sakte hai. Iske liye aap smi ki SEO related articles read kare.

Jab aap seo ka sahi se upyog karenge aur aapke blog ko acha rank milne lagega tab aapka confidence bahut badega aur aapko blogging karne me maza ayega. Agar aapko nahi pata ki seo kya hai to aap ye post read kijiye.

Sirf SEO par kaam karte nahi rahna hai, aapko blog manage bhi karna hai so jald se jald apne blog ka seo setup karke blogging par focus kare.

3. Bhed Chal Na Chale

Aap vo sab na likhe jinke bare me pehle hi bahut kuch likha ja sakta hai. Aap ye na samjhe ki sab kuch to likha ja chuka hai ab aapke liye kya bacha hai, aisa bilkul bhi nahi hai. Abhe bhi aapko hazaro topics mil jayenge likhne ke liye. Bas researching ki jarurat hai.

Agar aap kuch different likhenge to log use jyada pasand karenge aur aapka blog jaldi grow karne lagega aur apke blog ka rank google me bhi acha hone lagega. Tab aapko bahut acha feel hoga aur blogging aapko interesting lagne lagegi.

4. Time Table Bana Kar Kaam Kare

Kuch logo ko ghar ke dusre kamo ki majburi ke karan blogging ke liye time nahi mil pata aur wo sochte hai ki hum blogging nahi kar sakte to main aapko bata du ki aisa nahi hai ki aapko pura din blog par lage hi rehna hai aur tab apko acha rank milega.

Agar aap day me 1-2 ghanta bhi blogging ke liye nikalte hai aur us ime me aap apna pura focus apne topic par laga dete hai tab bhi aapko bahut acha rank prapt ho jayega kyuki jo log pura din blogging ko dete hai aur agar vo achi tarah focus nahi karte to vo bekar hai.

Isliye agar aap aapke paas time kam hai to aap 1-2 ghanta blog par achi tarah focus karke google me bahut acha rank paa sakte hai. Bas aapko social media and bekar ke online work se door rah kar apne blog ke liye researching kar content likhna hai.

Main aapko suggest karunga ki aap apne blog ke liye time bana le aur sahi time par sahi tarike se blogging par focus kare.

5. Design Complete Kare

Aapko apne blog ke design par bhi focus karna chahiye. Agar aap baki sab thik karte hai aur apne blog ke design par bilkul focus nahi karte tab bhi aapke visitors ko kharab impression mil sakta hai. Appke blog ka look simple ho bahut dikhne me bahut acha hona chahiye.

Jyadatar log visitors ko dikhane ke liye bahut jyada stylish design banane me lage rahte hai aur content writing aur baki kaamo ka time design me hi west kar dete hai.

Aesa nahi karna hai aur jald se jald apne blog ka design complete kar baki ke kaamo me focus karna hai. Blog ka simple design hi better hai usme lage rahna fail hone ki aur badhna hai.

6. Income Ka Lalach Na Kare

Kuch blogger blog banate nahi hai ki earning ke bare me sochna shuru kar dete hai aur earning ka lalach ek din unhe failed blogger bana deta hai. Aapko blog par dhyan dena hai aur earning ke bare me sochna band kar dena hai.

Ek target bana le ki aapko itne time ya itna traffic hone ke bad blog ko monetize karna hai fir aapko earning la lalach nahi aayega aur aap blogging par achhe se focus kar paoge.

7. Target Bana Kar Kaam Kare

Agar aapko successful blogging karni hai aur apna dhyan bhatkne se rokna hai to aap target / goal bana kar kaam kare. Example, aapko 2 month 5 month me itna content likhna hai aur blog par itna traffic lana hai.

Bina target ke kaak karne se aap kuch hi time bad boring feel karenge aur aapka blogging me interest kam ho jayega. Target bana kar kaam karoge to aapko kabhi bhi boring feel nahi hogi aur aap humesha energetic feel karoge.

To is post me apne jana ki Blogging me achi tarah focus kaise kare. Agar aapko hamare dawara di gayi jankari acchi lagi to isko other bloggers and social media par share jarur kare.

Avatar for Kuldeep Singh

About Kuldeep Singh

Mera name Kuldeep Singh hai. Sabki help karne aur apna experience dusro ke sath share karne me mera Interest hai.

Reader Interactions

Comments (39)

  1. Avatar for Ajay kumar GuptaAjay kumar Gupta

    Wow good information…
    But, village me rahkar ham blogging par achhi focus nhi kar paayenge. Uske liye koi office setup hona bahut jaruri hai.

  2. Avatar for Rahul GuptaRahul Gupta

    Bahut Acche Se Aapne Samjhaya Hai Is Post Me
    Thanks Sir

  3. Avatar for SHARUKH KHANSHARUKH KHAN

    sir kya adesens approval ke liye kya domain lena jaruri h kya

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      Jaruri nahi hai lekin le lo to achha hai.

  4. Avatar for sanjay kumarsanjay kumar

    sir mere blog ko 7 month ho chuke hai ek bar is par violation aya tha tb se meri site par 200 se kam ka hi trafic raheta hai to sir mujhe is site par hi age kam krna chahiye ya nahi kya meri ye site fir se rank ho payegi plz mujhe bataiye me kya kru

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      Yes kar payegi, aap achhe se kaam karo.

      • Avatar for sanjay kumarsanjay kumar

        thank u sir mene to ummid hi chod di thi kyoki mere blog par pichale 3 month me search engine ka trafic kewal 8-10 hi hai issse bad nahi rha

  5. Avatar for Vijay GuptaVijay Gupta

    Nice Sir ji ,
    It was really good and I will remember it.

    Thank you for sharing

  6. Avatar for vijay patelvijay patel

    bhai aap ne is post me hme jo bhi point smjhaye hai hum unka bhut achchhi trh se dhyan rkhege or hmari blogging ko or shudharege

  7. Avatar for Yogendra SinghYogendra Singh

    Ab main aapki post ke anusar hi blogging karunga.

  8. Avatar for SantoshSantosh

    Very nice post.

    Thanks for sharing

  9. Avatar for ParveenParveen

    Bahut badiya bhai sahab kam se kam kitane din lage ge blogging me success hone me.

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      Ye aap par depend karta hai. aap jitna better karoge utna hi kam time lagega.

  10. Avatar for Suresh bukeliyaSuresh bukeliya

    Sirji aapki ye post mere liye bahut kaam ki hai kafi kuchh mila is article se ak to hosla double ho gaya mera bas sirji ak kami hai meri website mai wo puri ho jaye

    Meri site www non www me verify nahi ho rahi sab kiya sirji ak baar aap mera seo check karke bataye na keise ise fix karu

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      Aap jo theme use kar rahe ho wo update nahi hai koi aur theme use karo. verify karne me kya problem hoti hai wo btao.

  11. Avatar for Deepak sahuDeepak sahu

    Awesome post brother… mujhe aapke likhna ka tarika pasand aaya. aur is post me bataye gaye zyadatar points jaise mere liye hi the 🙂 so mai ye kosish karunga ki usme zald se zald sudhar karu.. thanx for this post

  12. Avatar for Shashank kuldeep dwivediShashank kuldeep dwivedi

    Nice article bhai bahut sahi likha hai aapne blogging me confidence boostup ke liye…
    Thanks

    • Avatar for Kuldeep SinghKuldeep Singh

      welcome

  13. Avatar for RaviRavi

    Yes , bro Blogging me Sabse Bada Confusion Post ke Liye Topic Dhundne me Hi Hoti hain .

  14. Avatar for rovin singh chauhanrovin singh chauhan

    bahut he motivational article share kiya hai kuldeep ji apne. thanks.

    • Avatar for Kuldeep SinghKuldeep Singh

      Welcome Rovin

  15. Avatar for Pipan SarkarPipan Sarkar

    Sir, Mujhe is mahine ke adsense payment aabhi tak nehi mila. 22 june ko adsense se email aya tha ki Payment send kar diya hain, Par aabhi tak bank mein nehi aaya. Pehli bar itna der ho raha hain adsense payment mein. Main kya karo?

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      Thoda wait karo, 30 tak na mile to bank se contact karo.

  16. Avatar for Vishvajit RaoVishvajit Rao

    Thanks bro aapne bahut hi badhiya post share iye hai.
    Sir kya hum us topic par likh sakte hai jo pahle se likha ja chuka ho

    • Avatar for Kuldeep SinghKuldeep Singh

      Agar aap us topic ke bare me dusre se better jante hai tabhi likhne ka fayeda hai

  17. Avatar for AdipAdip

    Very helpful post for bloggers. keep sharing.

    • Avatar for Kuldeep SinghKuldeep Singh

      Thanks Adip

  18. Avatar for Mr GmailMr Gmail

    Your blog has all the things I need, thanks for your sharing

    • Avatar for Kuldeep SinghKuldeep Singh

      Welcome

  19. Avatar for Muhammad SahilMuhammad Sahil

    Nice info bhai

    • Avatar for Kuldeep SinghKuldeep Singh

      Thanks Muhammad

  20. Avatar for Akash YadavAkash Yadav

    Hy brother,
    very nice article thanks for sharing

    • Avatar for Kuldeep SinghKuldeep Singh

      Welcome Akash

  21. Avatar for ankitankit

    Amazing post

    • Avatar for Kuldeep SinghKuldeep Singh

      Thanks Ankit

  22. Avatar for manjeet singhmanjeet singh

    Aapne bahut acchi jankari share ki bro

    • Avatar for Kuldeep SinghKuldeep Singh

      Thanks Manjeet

  23. Avatar for Lokesh KapoorLokesh Kapoor

    Amazing.. and yeah goal setting is one of the most important things we need to pay heed to, actually..

    Thanks for sharing !

    • Avatar for Kuldeep SinghKuldeep Singh

      Thanks Lokesh

Add a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

I need help with ...