Blogging me success pana aasan ho sakta hai but readers ko attaractive banaye rakhna bahut mushkil hai. Ye ek challenging metter hai ki kaise hum apne visitors ko motivate karna jari rakhe or kaise unhe force kare. Motivation quotes likhna bahut aasan hai but apni life se logo ko motivate karna talented logo ki pahchan hai.
Actually, maine bahut se bloggers ko dekha hai jo apne reader ko satisfied nahi kar pate or unhe saflta nahi mil pati natijan wo kuch time bad blogging chod dete hai. It’s very bad, mai har kisi ko success dekhna chahata hu or jab koi galat raste par jata hua milta hai to use dekh kar dukh hota hai.
- Top 50 Blogging Quotes in Hindi Successful Blogger
- 10 Tarah Ki Soch Jo Kisi Bhi Kaam Me Successful Bana Sakti Hai
Blogging me sabse important metter hota hai apne readers ko complete or clear guide karna taki reader fir se aapke blog par aana pasand kare. Suppose, agar koi visitor aapki site par first time visit karta hai or use aapki site par puri or clear jankari nahi milti to aane wale time me shayad hi wo aapke blog par visit karega.
Why, aysa kyu ho. kyo nahi aap aysa work karo ki koi bhi aapse connect hote hi aapka fan ban jaye. I mean aysa kaam karo ki jo bhi use dekhe aapki appreciation kiye bina nahi rah sake.
- Blogging Me Fail Hone Ki 10 Sabse Badi Mistakes Aap Jaanana Chahoge
- Success Blogger Banne Ke Liye Ye 5 Tips Follow Kare
In this post, yaha mai aapko blogging ke bare me 30 most important tactics ke bare me bta raha hu jinhe follow karke aap apne blog ke reader ko na sirf motivate karoge balki unhe fir se blog par visit karne ko majboor kar donge.
20 Blogging Tactics to Staying Motivate your Readers in Hindi
Most important thing, dusro ko motivate karne se pahle aap khud ko motivate rakhe ki aap sabkuch kar sakte ho. I mean aap me negative feelinkg nahi honi chahiye jaise ki “aapne bahut koshish ki par nahi kar paye.” Aysa koi kaam nahi hai jisme aap safalta na pa sako.
- Write clear and fresh content: All readers fresh and clear content sabse jyada pasand karte hai. Mai ye nahi kahta ki aap kisi topic par explain mat karo, Karo but kisi bhi metter ko boring mat banao. Jis tarah ek boring movie ko log dekhna pasand nahi karte hai same wese hi koi bhi aapka boring content nahi padega.
- Respond to comments: Apne blog par comments feature enable kare or customers ke questions ka answer de. Apne reader ke sath commenting se good relation banaye.
- Share your blog with your friends: Sirf content likhne se aap mahan nahi banoge. Apne blog ke bare me apne friends of friends ko btaye or unhe attract kar blog par visit karne ke liye kahe.
- Get blogging buddy: Aap sirf akele blogger nahi ho aapke siwa bhi bahut sare blogger hai. Unke sath connect ho or blogging ke bare me bat kare. I sure ek anpadh person se bat karke bhi gyan ki bate mil jati hai to ek blogger se aapko jaruri achi bate pata chalegi.
- Join blogging group: Blogging se related groups and community join kare or apne blog ki post se related sawalo ke jawab de kar visitors ki help kare.
- Publish content every day at same time: Qaulity content likhe or daily ek samay par articles share kare. Isse aapke reader daily aapke blog par visit karenge.
- Make special niche blog: Apne blog ke liye koi special niche select kare or usi par post likhe. Multiple niche ki jagah some niche par blogging karna jyada better hota hai. Like me mujhe reader blogging guider ki nazar se dekhte hai. Becoz mera main topic yahi hai.
- Share your thoughts publicly: Silent rahne ki jagah logo se jude rahna jyada better hota hai or blogging me to ye bahut jaruri hai.
- Active some time on social media: Social media par kuch time apne reader ke sath connect rahe or unse bat kare. Kuch reader aapse bat karke hi motivate ho jate hai.
- Take break in blogging: Daily article likhne ka matlab ye nahi hai ki aap ek hi time me bahut sari posts publish kare. Ek do (1-2)post share karne ke bad thoda time le jisse reader use padh sake. Ek sath 5-10 post share karne se reader only latest post par focus karte hai.
- Catch post ideas when your reader ask: Comments me reader aapse bahut sare sawal puchte hai unki problem ko samajhe or unke liye content write kare.
- Look out that you’re really inspired them: Apne reader ki activities ko check kare ki wo piche se aapke bare me kya bat karte hai. Agar aapse kuch galat ho raha hai to aap bina pata kiye unse ye sikh sakte hai. Jo log aapse jealous karte hai wo aapki kamiya bta kar aapki bahut badi help kar dete hai. Social media isme aapki sabse jyada help karega.
- Take and give interview: Other blogger ka jo aapse bade hai ka interview le kr apne blog par publish kare or dusre bloggers ko apna interview de.
- Make a blogging terms for your blog: Apne blog ke liye privacy policy, about us, disclaimer, conditions and terms jais jaruri pages banaye or blog ko ache se handle kare.
- Writing about newest: Humesha apne blog par new information share kare. Jo jankari pahle se other bahut se blog par hai use koi padhna nahi chahega. Agar aap new or sabse alag likhoge to aapka har ek reader post padhega.
- Join event and meeting: Apne friends ki meetings and events ko avoid na kare or unke sath connect rahe. Aap chaho to apni site ke liye meeting fix bhi kar sakte ho.
- Comment on other blogs: Apne blog se related other blog par comment kare. Isse aapko unse quality traffic milega.
- Share other people’s content: Apna content to har koi share karta hai kyo na aap dusro ki post bhi share kiya kare.
- Examine your analytics report: Google analytics par apne blog ki performance report check kare or blog ke liye new idea banaye.
- If you can handle make lots of blog: Agar aap sambhal sakte ho to ek se jyada blog banaye. Ye ek blog me bahut sare topics par likhne (Khichdi pakane) se jyada better hoga.
Finally, Agar aap chahate ho ki aapka blog bahut time tak rahe or user aapko humesha pasand kare aapka blog read akre to aap apne reader ke sath good relation bana kar blogging kare. I sure sabko sath le kar chalne wale kabhi asafal nahi hote unhe success jarur milti hai.
- 10 Blogging Tricks Jo Aapko Successful Blogger Bana Sakti Hai
- Aakhir Har Blogger Success Kyu Nahi Hota, Blogging Fail Hone Ki Wajah Jane
Agar aapko meri ye bate pasand aaye to is post ko social media par apne friends ke sath share jarur kare.
Sonam garg
Jumedeen sir mujhe v blogger me I’d bnani hai pr ho ni pa rha plz meri v help kijiye
Jumedeen Khan
Ye post check karo Free Website Blog Kaise Banaye – Complete Guide in Hindi
Rameshwar prasad
Mera AdSense account 30 din ke liye suspend huaa tha WO to start ho chuka hai par abhi YouTube channel par yah start nahi huaa hai yaha par video ke same black$ mark as raha hai Jo kata huaa he aab me kese WAPS ise AdSense se connect karu taki $ green ho jaye please help
Jumedeen Khan
Aap videos ko fir se monetize karo.
Deepak Singh
Hii..this is the best article for me..thank you
Veerendra
Wow nice information bro…
Aapke sabhi articles mujhe motivate karte hai
sudesh kumar
hello sir mera blog solutionforcomputer.com me trafic kam ho gya ye jab se meine com leya he tab se hua. ap plz mera blog dekh kar bataiye ki kya isme koi kami he kya jiski bajh se trafic kam ho gya plz help me sir
Jumedeen Khan
Aapne abhi abhi domain change kiya hai na isiliye traffic kam ho gaya tha. Don’t worry dheere dheere sab thee kho jayega.
nareshdetruja
aap ne ek awesome or motivation vali Jankari diya hai thanks or subse acchi bat aapki readers ko motivate karna chahiye year bat muje bhot his Accha laga nice aarticle
Mangal
Bhai plz ye btaye ki,
Mere pas blogspot blog h with godaddy domain (good traffic)
Now web hosting kya h aur kaise use kre blogspot m??
Jumedeen Khan
Blogpot par hosting use karne ki jarurat nahi hai. I mean aapko kuch bhi karne ki jarurat nahi hai.