Blogspot User Google Webmasters Tools Kaise Use Kare – SEO Guide

Blogspot blogging platform google ki ki free service hai or bahut se new blogger blogspot par hi new blog banate hai. But blogger blog search engines friendly nahi hota hai. Hume blogspot blog ko search engine friendly banane ke liye SEO setting karni padti hai. Google ne webmasters tools ki ek or service ki hai jo blogger ki blog ko seo friendly banane me help karta hai.

Guide for blogspot user to using webmaster tools

Blog ki seo setting me google webmasters tools aapko bahut sare Search Engine Optimization important feature provide karta hai. Is tutorial me mai aapko google search console ko use karne ki kuch tips bta raha hu jo blogspot user ke bahut kaam aa sakti hai.

Blogspot Blogger Google Webmasters Tools Kaise Use Kare – Search Engine Optimize Guide

Mai yaha jo tips bta raha hu wo sirf blogspot users ke liye hai. Agar aap bhi ek blogger blog user hai to aap is post ko carefully padhe or ache se follow kare. I hope aapko is article se blogging seo ki achi jankari milegi.

1. Verify Your Site: Google Webmaster tools par jaye or aapko jis site ki setting karni hai uske URL par click kare. Agar aapne apna blog search console me add nahi kiya hai to pahle aap Blog Ko Google Webmaster Tools Me Submit Kaise Kare post padh kar apne blog ko google search console me add kare.

  1. Ab right side me setting icon par click kare. Fir Verification details par click kare.
  2. Yaha par check kare ki aapki site verify hai ya nahi, Verify hogi to aapko Already verified ka message milega. Jaisa image me dikhaya gaya hai. Agar nahi hai to site ko fir se verify kar le.
  3. Site verify karne ke liye aapko jo code mile wo blogger dashboard > Template > Edit HTML  par ja kar <head> code ke niche paste karna hai.

 Verification details

2. Submit & Check Sitemap: Google search console par jaye or Crawl > Sitemaps par click kare.

  1. Yaha check kare ki aapne site ke jo sitemap submit kiye hai. Unme koi error to nahi hai. Agar sitemap par error message show ho raha ho to sitemap ko resubmit kare. Iski jankari ke liye aap Blog Sitemap Ko Google Search Console Me Submit Kaise Kare post follow kare.

3. Remove All Duplicate Content Links: Error 404 page not found problem lagbhag har blog or website par hoti hai. Ayse me inhe fix karna jaruri hota hai. Google search console isme bhi aapki help karta hai. Aap Google webmaster tools par Crawl > Crawl Errors URLs ko fix kar ke sitemap submit kare. Iski jankari ke liye ye post padhe. Google Webmaster Tools Me Site Crawl Errors Fix Kaise Kare. Kei bar inhi crawl errors se sitemap me error so hota hai. So agar aapke sath bhi aysa ho to aap crawl errors ko fix kar sitemap submit kare.

4. Setting up URL Parameters: Jab hum apni site ki post ko social sites par share karte hai to uske referral links ban jate hai. Or google unhe index kar leta hai. Inhi links ko parameters url kahte hai. Iski adhik jankari ke liye aap Google Search Console Me URL Parameters Kaise Use Kare post padhiye or post me btaye step follow kar ke url parameters ko fix kare. Iski help se aap search engine se duplicate links ko delete kar sakte hai.

5. Security Issues: Yaha par aap apni site ki security details dekh sakte hai. Agar aapki site par koi malware attack hua hoga ya fir aapki site ko kisi ne hack karne ki koshish ki hogi to aapko yaha uski warning information mil jayegi. Agar aapko yaha par warning message milta hai to wakai aapke liye pareshani ki bat hai. Iske liye aap google ko feedback bhej sakte hai ya kisi website developer se contact kar sakte hai. Aysa hone par jitni jaldi ho sake apne blog ka All Data Backup bana kar store kar le. Jisse aapko future me koi problem hone par apna blog data (All posts, pages, comments or images) khona na pade.

I hope aap is post ko like karoge or agar aapke pas iske alawa google webmaster tools ke bare me koi or guide hai jisse blogspot user ki help ho sake to aap niche comment me apni tips share kar sakte hai. Ya fir supportmeindia ke member ban guest posting se humare readers ki help kar sakte hai.

Agar aapko ye article pasand aaye to is article ko social media par apne dosto or other bloggers ke sath share jarur kare.

Avatar for Jumedeen Khan

About Jumedeen Khan

I'm the founder of this site and we regularly share useful and helpful information here for beginners. ❤️

Reader Interactions

Comments (53)

  1. Avatar for HemantHemant

    Bhai thoda url structure kr bare me batao

  2. Avatar for ManikManik

    Sir maine yesterday mere website google webmaster tools me add kiye hai aur today check kiye crawl erorr par dekhe hai red colour ki ! Symbal aur likha hai no data yet check back later plz help me yeh kaise thik kare. Yeh problem ki wajaise maine 3 website delet kiye hai. Ab wo hi problem plz solve it

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      Search console problem ke sath uska solution bhi btata hai, aap ask.supportmeindia.com par error screenshot ke sath question pucho.

  3. Avatar for Sachin patelSachin patel

    Sir mene jab blog ko search console me verify kiya tha tab domain nahi thaa.

    Ab mene domine purchase kiya he or setup bhi kiya hai…

    Bt mera question he ki kya mujhe search console me phir se verifie prosses karni padengi.

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      Yes aapko ab domain bhi search console me submit karna hoga.

      • Avatar for Sachin patelSachin patel

        Sir ji reply ke liye Thank you..

        Sir successful search console me domain ke sath verify ho gaya he bt problem ye he ki meri dono URL show ho rahi he.

        I maen dono property sub domain or custom domain kya blogspot vali property delet kar sakta hu

        • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

          Yea kar sakte ho.

  4. Avatar for Jayanta rayJayanta ray

    Sir mera blog post ko google na translate karka visitors ko dikha rahi hai jiske awaz se visitors ko ads nahi dikh raha hai isko me kaise thik karu

  5. Avatar for Juned PathanJuned Pathan

    Bhai Bahut Accha Samjhaya hai.. Thank You So Much Bhai.. Aap har baar bahut imp information share karte hai.

  6. Avatar for Sehrish anmolSehrish anmol

    Google webmaster tools me new future ke bare me post likhe, index coverage issues ko fix kaise Kare , blogger user ! Me BloggerAdSense

  7. Avatar for Shailesh Kumar ChaudharyShailesh Kumar Chaudhary

    Hi,

    Web Master tool Me Disavow Tool kya hota hai aur Iska Kya Use Hai. Please iske bare me Article banaye.
    Thanks

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      Ok wait some time please.

  8. Avatar for gopal sharmagopal sharma

    Good after noon sir,
    Sir mera ek blog h ” http://gsthelpline.blogspot.in/” jab iss url ko me simple address bar me dalta hu to ye sabhi post show kar deta h .par jab is url ko me Google search engine me search karta hu to ye search nahi hota h or iss url ki koi b post search engine me show nahi ho rahi . baaki address bar me sabhi post show ho rahi h .

    Sir kya isse google ne spam me daal diya ,agar daal diya to iska koi solution bata do plzzz.

    Thanks.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      First aap kisi ka content copy matk karo or blog ki SEO setting complete karo search me aa jayega.

  9. Avatar for amit kumaramit kumar

    sir mere blog ke sitemap ko google ne index kr liya ha pr jb mai apni site ka url like kr google me search krta hu to usme ye likha aata hai.This web page is parked FREE, courtesy of GoDaddy.com New .COMs … or iske niche meri blog ka url aata hai . To isko kaise set kyu me meri site ka naam aaye jase aapki site kaam ke baare me ate ha eg. Support Me India – Online Business & Internet Ki Jankari Hindi Me.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Dont worry ye error apne aap solve ho jayega bas aapka blog proper work karna chahiye.

  10. Avatar for saqib shamssaqib shams

    मेने अपने ब्लॉग को page insight चेक किया तो उसमें Remove render-blocking JavaScript लिखा आ रहा है तो में उससे html में से डिलीट करता हूँ तो उससे speed बढ जाती है में ये जानना चहाता इससे कोई प्रोब्लम तो नही है

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Agar aapka blog script ke bina sahi se work karta hai to koi problem nahi.

  11. Avatar for Syed OmerSyed Omer

    sir kya mein blogger me custom domain ke liye webmaster tool use kar sakta hu ?

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      ha kar sakte ho.

  12. Avatar for vikram singvikram sing

    sir ek last time bar help kr do fir preshan nhi kruga apko. sry preshan krta rhta hun apko. ok duwara sumbit krta hun site. ap mere blogspot template ka head section. and webmaster url parameter. blogspot search seeting . robot txt k screen shot bejhta hun. plz kha p galti hai. aap btao .apna koi email do plz sir last time

      • Avatar for vikram singhvikram singh

        ok sir template and screen shot bejh rha hun apko

  13. Avatar for vikram singhvikram singh

    sir galti se maine galat robot txt use kar liye us wjha se robot text ne sabhi url block kr diye the fir maine kuch url fetch kiye to wo ab show ho rhe baki nhi. maine home page url bhi fetch kiya but sab url index nhi ho rhe hai. sir ap mujhe yh bataye ki koi shortcut tarika hai ki sabhi url index ho jaye. or or kaise pta kru kitne url index hai.. example : site:xyz.com

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      site:xyz.com isi tarah se pata kar sakte ho. Second google wen=bmaster tools me ja kr sitemap option me dekh sakte ho. Aape first blog setting me ja kar robot.txt file ko remove karo. Second google webmaster tool me se site ka link delete karke fir se submit karo. kuch day bad post index ho jayegi.

  14. Avatar for rani kumarirani kumari

    wow very nice…pots

  15. Avatar for vijay panaravijay panara

    sir maine apni site ko dekhi verify huvi ki nahi setting , verify detail, open kiya to ye msg sho ho raha hai kaya hai ye
    You are currently a verified owner of anytimehalp.blogspot.com/. Verified using these methods:
    Ownership of anytimehalp.blogspot.com Verification detail
    kaya verified ho gayi hai

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Ha ho gayi hai.

  16. Avatar for afzal aheerafzal aheer

    hello nice very important post , plz mujhe ye janna hai , k Jo webmaster mein (screcured data tool) hai us ko use ker ke Jo blog website me error nazer atte hein un ko kaise set kare?

    NO 2 , bro meine wo secrethred data tool jo WEBMASTER ME rehta hai use kiya to mere blog me BLOG POSTING 36 ERROR SHOW howe hn , phir me ne ap k blog ka URL type kiya to ap ka blog (ALL GOOD) DATA show howa hai ,

    bro an mein ye janna chahta hun k mein in ERROR ko kaise thek kron , ??? aur kaise them ker Santa hun ??????

    plz broo bht preshan hun , jaldi se REPLY KERNA MUJHE INTZAAAR RHE GAA , ADWANCED THANKS ……!!

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aapko error kya show ho raha hai. Full error mujhe dikhao.

  17. Avatar for Amit tripathiAmit tripathi

    Thank you for this important post but mere blog me URL parameter me koi link nhi dikha raha hai, aisa kyo?

  18. Avatar for Abhishek PrasadAbhishek Prasad

    hello sir apka template bohot acha hai kya app mujhe bata sakte ho ye tempalte ka naam

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Iski jankar is post me hai Support Me India SEO Ready & Mobile Friendly Template For Blogger

      • Avatar for Abhishek PrasadAbhishek Prasad

        par sir mujhe WordPress ke liye chaiye blogger ke liye nhi

        • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

          Is post me btaya hua hai ki mai kons theme use karta hu. By the waqy mai ribbon theme use karta hu.

  19. Avatar for bhagirathbhagirath

    sir me ne aapki post dilet kardi hai from iinkijankari me mafi chata hu sir mene pelibar blog banaya ta tab me jalbaji me asakiya ta sorry sir i am very sori

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Thanks bhagirath, der se hi sahi aapko samajh to aa gaya. Ab aage kisi ki copy mat karna.

  20. Avatar for gaurav srivastavagaurav srivastava

    dear sir mujhe apne blog ke template ka jo back ground hai uske colour ko change karna hai kaise kare help me sir

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Iske liye aapko blogger ki coding aani chahiye. Yaha comment me mai aapki template design me help nahi kar sakta.

  21. Avatar for vikramvikram

    sir agar main apne blog ki post main thumbnail google se download karke lagaun to kya vo copyright main hoga

  22. Avatar for Abhishek PrasadAbhishek Prasad

    hello sir webmaster se blog ko kiase delete kare

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Google webmaster tools par jao or apni site ke link ke samne manage property par click kar ke delete property par click karo.

      • Avatar for Abhishek PrasadAbhishek Prasad

        thank you sir for help me ye bohot din se doondh rha tha but mil nhi rha rha sir ek baat or feedburner ko verify karke WordPress ke blog me email subscriber kaise lagaye

        • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

          Iske liye aap WordPress feedburner plugin use karo.

  23. Avatar for MukeshMukesh

    150 post ke baad post submit hi nahi horaha

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Pahle aap google webmaster tools me ja kar crawl errors fix karo uske bad sitemap bana kar submit karo.

  24. Avatar for RohitRohit

    Thank you so much bhai maine change kr diya address par abhi bhi ek problem hai AdSense account mein yeh dikha rahe hai ki last pin generated 17 March 2016 aur koi option nahi dikh raha new address pe pin pane ke liye kya kru bhai please bro kuch karo

  25. Avatar for RohitRohit

    Bhai mere 10$ complete ho gaye aur AdSense address verify karne ke liye bol raha hai toh problem yeh hai ki AdSense account banate time jo maine address dala tha uss address se shift hoke main kahi aur reh raha hu ab batato bhai ki kaise address change karu please bhai jaldi reply kijiye

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aap adsense.com par jao or setting icon > payments par click karo. ab payee profile par click karo or dekho ki payee ke niche edit ka option hai ya nahi. agar hai to us par click karke apna sahi address jo aapki back account se match ho set karo. Ye service bahut si location par available nahi hoti hai.

Add a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

I need help with ...