Agar aap ek blogger hai ya youtube channel run karte hai to aap apni Blog, YouTube channel, twitch channel ke madhyam Brave Browser ke Brave Payments Se Extra Money Earn kar sakte ho. Is post me main Brave Browser Se Paise Kaise Kamaye? Brave Browser Se Paise Kamane Ki Jankari Hindi Me step by step share kar raha hu.
Main Brave Browser ke bare me 2 articles already likh chuka hu jinme maine Brave Browser Kya Hai, Brave Browser Use Kaise Kare? aur Brave Browser Istemal Karne Ke Kya Kya Benfits Hai? Aap first time brave browser ke bare me sun rahe hai to ek bar in posts ko read kar le.
- Brave Browser Kya Hai Aur Isko Use Kaise Kare
- Brave Browser Ka Istemal Kyu Kare Iske Kya Kya Fayde Hai
Brave browser Brave Publisher Program offer karta hai jo all website aur blog, youtube channel, twitch channels ke liye available hai. Apa in sabhi par content share kar brave browser ko promote kar paise kama sakte ho.
To chaliye ab hum bat karte hai ki brave browser ke publisher program se paise kaise kamaye jate hai.
Table of Contents
- Brave Publisher Program Se Paise Kaise Kamaye – Step By Step Hindi Jankari
- Brave Publisher Program Par Account Kaise Banaye
- Brave Payment Me Website Add Aur Verify Kaise Kare
- Braver Payment Me YouTube Channel Ko Add Verify Kaise Kare
- Uphold Account Ko Brave Payments Se Connect Kaise Kare
- Brave Referral Link Kaha Milega
- Brave Browser Promote Kar Paise Kaise Kamaye?
- At Last,
Brave Publisher Program Se Paise Kaise Kamaye – Step By Step Hindi Jankari
Brave publisher program hume referral link provide karta hai. User ke referral link par click kar Brave Browser Download Install karne par aapki income hogi. Per install $5 commission milega. Ab aap isse kitni income kar sakte ho ye aapki popularity par depend karta hai.
Brave publisher program se earning karne ke liye apako 4 step follow karne honge.
- Register on Brave Publisher Program
- Add and Verify Your Property
- Register and Connect Uphold Account
- Get Referral Link and Promote Brave Browser
Main yaha sabke bare me step by step with details me bta raha hu.
Brave Publisher Program Par Account Kaise Banaye
Create Account on Brave Publisher Program: Brave publisher par account banane ki janakri yaha step by step with screenshot btayi gayi hai.
Step 1: Register on Brave Publisher Porgram
Sabse pahle aap Brave Publisher Program site par jaye.
- Get Started button par click kare.
Step 2: Add Email Address
Ab aapko apna email address add karne ko kaha jayega. Aap wo email id add kare jisse aap brave publisher program use karna chahate ho.
- Email address add karke Get Started button par click kare.
Step 3: Verify Email Address
Ab aapke email address par ek mail aayega usme account verity and login karne ka link diya hoga aap us par click kare.
- Verify Email button par click kare.
Step 4: Add Your Full Name
Email verification link par click karte hi aap brave sign up page par pahuch jaoge jaha aapko apna full name add kar signup karna hai.
- Apna full name add kare.
- Sign up button par click kare.
Sign up button par click karne ke bad aapko 2 step verification enable karne ke liye kaha cjayega. Aap chahe to ise skip kar sakte hai ya fir setup kar le.
Step 5: Enable Brave Referral Program
Ab aap brave payment dashboard par pahuch jaoge. Jaha aapko account setup karna hai. Jisme Currency select karna, Uphold account connect karna aur create referral link shamil hai. First aap referral URL pane ke bare me janenge.
- Free Tokens ke samne Learn More button par click kare.
Step 6: Activate Promo
Ab jo page open hoga usme per referral commission btaya jayega aur active promo ke liye kaha jayega.
- Activate Promo button par click kare.
Step 7: Congratulations! Account Created
Ab aapka brave payment acocunt complete ho gaya hai. Aapko kuch tarah ka message dikhayi dega.
Brave Payment Me Website Add Aur Verify Kaise Kare
Ab aapko jis method se earning karni hai us platform, property ko add kar verity karna hai.
Step 1: Add Property in Brave Payments
Brave payment account dashboard par jaye aur scroll down kare. Yaha aapko add channel ka option mil jayega.
- Add channel option par click kare.
Step 2: Choose Platform
Ab aapko jis platform par product promotion kar earning karni hai wo select karna hai. Aap website, youtube channel, twitch channel jo aapke pas hai choose kare.
- Platform select kare. Blogger ho to Website option select kare.
Step 3: Connect Platform
Platform choose karne ke bad use connect karne kel iye hume property connect karni hoti hai. Main website add kar raha hu so yaha hum website URL add karenge.
Step 4: Verify Property
Website aur blog ko verify karne ke liye aapke pas 2 tarike hai.
- DNS record se verify kar sakte ho.
- WordPress user ho to Brave payments verification plugin ka istemal kar verify kar sakte ho.
Main aapko dono ke bare me explain karke bta raha hu.
Verify Website Via DNS Record:
Iske liye aapko apni domain website me ja kar domain setting me ya fir hosting cpanel par ja kar ek TXT record add karna hai aur domain ko verification code par poit karna hai.
Sabse pahle aap brave verification page me upar diye gaye screenshot ke anusar right side me Choose Different Verification Method option par click kare.
- Ab jo page open hoga usme recommended verification method select kare.
- I’ll use a truest file button par click kare.
Ab jo page open hoga usme aapko verification code aur verify karne ka option mil jayega.
- DNS record add karne ke bad verify button par click karna hai.
Aap DNS setting me ja kar is is screenshot ke according DNS record add kar sakte ho.
Note: TTL time 15 minute se kam time add karna hai warna verification fail ho jayega.
Aapke DNS record karne ke bad thoda wait kare aur brave payment account me ja kar verify kare.
Verify Website Via Plugin
Agar aap wordpress use karte ho to apne wordpress Brave payments verification plugin install kare aur ye steps follow kare.
Ab wordpress dashboard >> Settings >> Brave Payment Verification option par jaye aur verification box me verify code copy paste kar karke setting save kare.
Verification complete hone ke bad wordpress aur browser cache clear kar le aur apne brave dashboard me jaye aur verify option par click kare, aapki site verify ho jayegi.
Braver Payment Me YouTube Channel Ko Add Verify Kaise Kare
Agar aapko youtube channel add karna hai to aap ye step follow kare. Iski process bahut hi easy hai.
- Sabse pahle browser me youtube channel wali ID se login kare.
- Ab usi browser me brave payment dashboard me jaye.
- Add channel par click kare.
- Uske bad youtube channel wala option select kare.
- Ab jis channel ko connect karna hai wo select kare.
Ab google aapse youtube channel ko brave payment se connect karne ke liye puchega.
- Allow button par clic kkare.
Is tarah se aap youtube channel ko brave payment me add aur verify kar sakte ho. Twitch channel ko bhi aap isi tarah add aur verify kar sakte hai.
Uphold Account Ko Brave Payments Se Connect Kaise Kare
Sabse pahle aap Uphold.com website par jaye aur apni gmail id se sign up kar account verify kare. Uphold account ka look kuch is tarah se hoga.
Uske bad apa brave dashboard me jaye aur Connect to Uphold button par click kar uphold account ko brave se connect kar le.
- Connect to Uphold button par click kare.
Uphold account ko brave se connect karne ke bad aapke brave account me default currency choose kar sakte ho. Aap uphold account connect karne ke bad brave dashboard me jaye yaha aapko default currency select karne ka option mil jayega.
- Choose default deposit currency option par click kare. (main already bitcoin selet kar chuka isliye chnage ka option aa raha hai.)
Ab ek popup page open hoga usme aapko bahut sare currency option milenge. Aapko apne hisab se INR, USD Dollar ya koi aur currency select kare. Main Bitcoin select karunga kyuki future me iska price increase ho jata hai.
Brave Referral Link Kaha Milega
Brave referral link generate karne ke liye aapko kuch bhi nahi karna hai. Jab aap kisi property ko brave payments me submit karte ho to automatically uske liye ek specific referral link generate ho jata hai. Referral link pane ke liye.
- Brave payment dashboard par jaye.
- Scroll down kare.
- Ab aapki sabhi properties ke samne unka referral link mil jayega.
Brave Browser Promote Kar Paise Kaise Kamaye?
Ab aap is referral link ko apne platform par promote kar commission earn kar sakte ho. Jaise ki aap brave browser ke bare me post likh sakte hai, video bana sakte hai.
Jab bhi koi user aapke affiliate link par click karega to wo brave browser download page par pahuch jayega. Jiska look kuch is tarah ka hoga.
- User download brave button par click kar brave browser download kar sakta hai.
Aapko kitne download milte hai ye aapke user truest par depend karta hai.
Brave Publisher Program Se Payment Kaise Milega?
Aap apne uphold account ke through paypal se payment le sakte ho.
At Last,
Is tarah se aap brave browser ko promote kar brave publisher program se paise kama sakte ho. Is browser ko promote karna better hai kyuki ye user ko chrome, firefox, opera browser se kahi jyada security aur features provide karta hai.
Sath hi ye baki internet browsers se 2x fast hai. Mobile me brave browser UC browser se kahi jyada best hai. Jab se mujhe is bare me pata chala hai main apne smartphone me UC ki jagah brave browser hi use karta hu. Aap bhi ek bar ise try karke jarur dekhe.
Sath hi aap jin jin website owner, blogger aur youtuber ko jante hai to unke sath is article ko share jarur kare.
ATUL MAURYA
हेल्लो भाई आप के बताये गए तरीके से मैंने पैसे कमाए brave browser से और brave browser वाले ने मुझे पैसे मेरे uphold account में भेज दिए है भाई अब बताइए हम कैसे इसे अपने bank account में भेजे …….. भाई ये तो नहीं ही indian bank account aur न ही paypal account support करता है केवल ये तो US/EUR bank accounts. support करता है तो भाई अब क्या कर पैसे अपने अकाउंट में लेने के लिए ….
जुमेदीन खान
Aap Payoneer ke through payment le sakte ho.
Nitish chaudhry
Payoneer se kaise,thoda details me batao
Jaypal Thakor
Bhai Is code ko blogger.com per Jo blog hai usme kaise add kare
Jumedeen khan
header section me.
Afreen Khan
Nice information hai paise earn kane ka. Thank you, brother.
neeraj sharma
wow !! thanks admin maine aap hi brave par kaam shuru kiya hai.aagar kuch prbolem hogi to aapse puch lunga.. and thanks for sharing
Vishvajit Rao
Aapne paise earn karne ke bare me kaphi achhe se bataya hai bilkul details me read kar ke achha lga.
neeraj kumar
hi very good article thanks for sharing keep up the good work
mahor
acchi jankari di hai yh article me aapne ek ek bat ko acche se explain kiya jiske liye dhanevadd
Anoop Bhatt
Brave Browser se paise kamane ki yah jaankari bahut kaam ki hai
Himanshu Rai
Very useful info for making online! This is new and amazing way because it pays 5$ per referral .
Atul Maurya
bhai aap ne jaisa kaha tha maine vise hi account banaya aur 2 download bhi huaa par koi bhi paisa nahi show hai …kaya kare
Jumedeen khan
Wait confirm hone ke bad aapke account dashboard me report show hone lag jayegi.
Junaid
Sir agr ham apny blog k lia aik app banwaty hai or log us ko online use krty hai to kya ham ko us app se earning hogi ya nahi plz tell me
Jumedeen khan
Yes hogi aap us app me bhi ad dikha sakte ho.
Pramod Maurya
Bhai ji YouTube channel ye isko jodne se yt channel me kabhi kuch problem to nhi aayegi na jaise strike ….
Plz bataye safe hai na
Jumedeen khan
Iske bare me mujhse behtar brave support team bta sakti hai. Maine soch samajh kar hi ise share kiya hai lekin fir bhi aapko confirm ho kar action lena chahiye.
Ashish
Bhai aapke sab articles helpful hote hain. Currently I dont think so Ki India me koi bhe hindi bloggers aapke jaise detailed article likta hoga. SHurkiya aapka
Jumedeen khan
Thank you man.
Ankit soni
bhut hi aacha sir, ab hm surfing ke sath bhi earn kar skte hai..
Duni Chand
Bhai Aap sach mai kmal ho aapke uniqe idias hi to hai jo hame bar bar aapke blog padhne ke liye majbur karte really this is amazing article.
Thanks Alot For This
Amit
Aapne bahut useful information di hai par ek problem hai. uphold account ke through paypal se payment kaise le usme bank transfer option me india ko support nahi karta uphold aisa message aata hai.
so please uphold account ke through paypal se payment kaise lete hai ye bataye.
Jumedeen khan
Furue me uphold ke bare me ek special post likhunga tab tak aap earning to karo.
Mohd Farhan
Bhai Meri bhi yahi same problem hai uphold account me BAT aa gya Lekin uska istemal kese karna hai….or dusri bat mera brave Browser 2fa delete ho Gaya hai wo kese thik hoga
Haseeb Alam
Internet Surfing Ke Saath Paise Bhi…
Ye To Sach Me Kamaal Ka Browser Hai…