Jab bhi koi website blog ko speed up karne ki bat karta hai to usme Content Delivery Network yani CDN ka name jarur aata hai. Mostly new blogger ko CDN ke bare me information kam hi hoti hai. So unko iske bare me kuch bhi samajh nahi aata hai. Agar aapke sath bhi aysa hi hai to chaliye aaj is post me mai aapko iske bare me details se bta raha hu.
Actually CDN aapki site ko fast loading karwane ke most important tariko me se ek hai. Wo log jinhe iske bare me technical information hoti hai or wo jante hai ki ise use karne se kya fayde hai apni site ke liye koi na koi Content Delivery Network use karta hai. Website speed checker tool GTmetrix, Pingdom, Google pagespeed and other sabhi content delivery network use karne ki advice deti hai.
In this post, Is hindi tutorial me mai aapko btane wala hu ki CDN (Content Delivery Network) kya hai ye website ke liye kyo jaruri hai or iska istemal kyu karna chahiye.
Table of Contents
CDN (Content Delivery Network) Kya Hai?
Isko hindi me clear samajhan bahut mushki hai. But fir bhi mai koshish karunga ki aapko ache se samajha saku. CDN bhaugolik drshti (geographicall) se chhitaree server (dispersed servers) ka ek network hai. Ise Edge Servers bhi kahte hai. Yeh aapki site ke static content jaise images, CSS/JS files and structural components har ek file ke size ko cache kar kam karta hai.
Content delivery network ke data server alag alag location par hote hai. Jab koi user aapki site ko open karta hai to uski rquest CDN network user ke sabse najdiki data server par jati hai or aapki site jaldi open hoti hai. Isse data travel hone me kam time lagta hai or fast providing hoti hai jisse aapki site teji se open hoti hai. Yaha aap gtmetrix ka screenshot dekh sakte hai.
CDN Kyo Important Hai Or Hume Iski Jarurat Kyo Hai?
Mostly hum website or blog ke liye kisi na kisi share hosting ka istemal karte hai or hostgator, bluehost, godaddy, WPengine and other hosting providing company par apni site ko host karte hai. In sabhi ka ek hi data center hota hai or humari site ko ek hi location se host hoti hai. Isliye jab bhi koi humari site ko open karta hai to uski sari request ek hi data center par jati hai. Jisse site slow open hoti hai. Mai yaha aapko details me btata hu.
1. Without CDN:
Man lijiye aap CDN use nahi karte hai to aapki site ek location par host hogi or jab koi aapk site ko open karega to uski request ek hi location se handle hogi jisme data send karne me time lagega or aapki site slow open hogi.
2. With CDN:
Agar aap koi CDN use karte hai to jab bhi koi user aapki site ko open karega to uski rquest uske aaspas wale data center par jayegi jisme kam duri hone se data send hone me kam time lagega or aapki site fast open hogi.
CDN Kounsa Use Kare?
MaxCDN and Cloudflare jaisi bahut si company free or paid CDN service provide karti hai. In my case, Mai ClodFlore ki Free service use karta hu. Popularty ke hisab se MaxCDN jyada popular hai or iske liye aapko iska koi plan purchange karna hoga. Mai aapko suggest karunga ki pahle aap cloudflare ka free plan try kar ke dekhe bad me aap paid plan buy kar sakte ho. Iske bare me hum dusri post me bat karenge.
CDN Use Karne Se Aapki Website Ko Kya Kya Fayde Hai?
Upar di gayi information se aapko thoda bahut to pata chal hi gaya hoga ki Content Delivery Network ko istemal karne se aapki site ko kya kya fayde honge. Fir bhi mai aapko yaha kuch points bta deta hu ki CDN use karne se kya kya fayde hai.
1. Website Loading Speed:
Content delivery network use karne se aapki site speed up hogi or aapke reader aapki site ko jyada pasand karenge. 90% user fast loading site pasand karte hai. Jisse aapko jyada traffic milega or log aapki site par dusro ki tulna me jyada visit karna pasand karenge.
2. Increase Search Ranking:
Website ki speed tez hogi to googlebot aapki site ko jaldi index karega. Google ne ye bat bahut pahle clear kar di thi ki fast loading site google search engine me fast index hoti hai or use search engine se jyada traffic milta hai.
3. Bounce Rate:
Blog ke fast open na hone ki wajah se visitor aapki site ke homepage ya kisi bhi page ko open karke chod jate hai jisse aapki site ki bounce rate badh jati hai. Bounce ka jyada hona SEO ke liye acha nahi hota So aap CDN use karke apni site ki speed badha sakte hai. Isse aapki site ki bounce rate kam hoti hai.
4. More Earning:
Jaisa ki maine aapko upar btaya hai ki CDN use karne se aapki site par affiliate marketing ads, AdSense ads and other ads fast open honge. Jisse aapko jyada se jyada ads click milenge or aapki jyada income hogi. Agar aap AdSense user hai to mai aapko suggest karunga ki aap apni site ke liye ise ek bar jarur try kare or natija khud dekhe.
5. Handle More Traffic:
Hosting server ek hi location se site ko host karta hai but CDN network ke geographical location par data server hote hai. Jisse aapki site fast open hoti hai. Second difference location par data server hone ki wajah se aapki site par jyada traffic control hoga.
- Website Ki Page Speed Kaise Badhaye 10 Best Online Tools [Boost Speed]
- WordPress blog ki seep kaise kam kare 100% working tips
Finally, Ummid karta hu aapko is post ko padhne ke bad CDN (Content Delivery Network) ke bare me achi jankari milegi or ab aap CDN ke bare me bahut kuch jan chuke hoge to ab mujhe comment me btayiye ki aapko is post ko padhne ke bad kya samajh aaya or kya nahi. Or aane wale time me aap kis CDN service ko istemal karne wale hai.
I hope ye article aapke liye helpful sabit hoga. Agar ha to plz ise socila media par apne friends ke sath share jarur kare.
Rushikesh Sonawane
Bro maine is post ko dhyan se padh liya hai. CDN ke bare me acche se samjh bhi aaya hai. But do confusion hai.
1. SSL cirtificate aur CDN me kya difference hai. Dono alag chije hai yah fir ek hi hai.
Ye confusion isiliye hota hai. Kyonki, ham pahale Cloudflare se free SSL enable karte the. To bahot saare post me use CDN bhi kaha gaya aur kuch me ssl provider bhi.
2. Second SSL enble karne se sirf site https:// me badal jaati hai aur secure hoti hai. Ya fir speed me kuch fark padta hai.
Jumedeen khan
1. Dono alag alag cheeze hai ssl se aapki site https ke sath open hoti hai aur CDN se aapki site multiple location se content share karti hai.
Cloudflare CDN service provide karta hai + me free ssl bhi provide karta hai.
2. Yea sir site https ke sath open hoti hai aur secure ho jati hai, site speed thodi slow ho jati hai.
Roshan
Sir, Mai ne GoDaddy ka Manage WordPress Install kar rha tha to us mai ek ye option aaya
Choose a data center (We recommend choosing one close to your customers.
unhone —[ (1)North America ] (Recommended ) ko tick kar k diya …..aur dusara data center hai – [(2)Europe] to mujhe es mai se kun sa Data Center chuna Chahiye – Plz help me – 🙂 mera focuse indian users par jada hai ….
Mai ne distance bhi chak kiya jo ye hai – Distance from North America to India – 11,645 km
Distance from Europe to India – 6,467 km
Sir ab aap bate mujhe kya chose karna chahiye jo best rahe ga ???
Jumedeen Khan
North America select karo.
navedal
Nice Post.
Visit My Website Here user Got : All the Tips & Tricks of Android, And you get Latest Updated news of Android, and here user get many Problem’s Solution of Android and user also get Selected Apps & Games Categories.
kailash
Sir
Mai kailash bishnoi from jodhpur
Mai bhi ak blogger banana chahta hu.
Mai apna blog WordPress mai bnau ya blogpost pe banau
Latest mai konsa topik chalta hai muje btaiy sir
Jumedeen Khan
First aap blogger par free blog banao jab iske bare me achhe se jaan lo to apna blog WordPress par shit kar lena.
sanju dangar
Sir godaddy dusra CDN names server allow karti hai? Maine ClodFlore ke server add kiya par baar baar err aati hai. Kya sir ab godaddy se contact karna chahiye?
Jumedeen Khan
Nahi ye cloudflare ka issue hai. Aap cloudflare ka paid plan use karo usme ye problem nahi hogi.
aryan
ek number post sir Aapka post dekh Kar mene CDN laga li hai aur meri site ki speed 60% increase huyi hai
Sandeep Jinagal
Bro CDN DDOs or Other Hacking attacks ko bhi rokts hai. or unwanted fake/spam traffic ko rokta hai. Ye unn Fake or Bot visits ko bhi rokta hai jo apkiAdSense ke liya danger hai.
Aryan
Bhai ab ap ye bta dijiye ki mai ads kaise kaha lagau aur suruwat me muje kitne ads lagane chaiye
Aur ye bta dijiye ki mai adsene me new domain yani link kaise add karu
Jumedeen Khan
Aap AdSense par site management me ja kar domain add karo iske liye ye post padho Google Adsense Me Website URL Kaise Add Kare aap ads bana kar blog ke home page par sidebar, header me add lagao .Iske alawa apne blog ki 3-4 popular post me add klagao. Bas baki bad me laga lena.
Saeed Saiyad
Hi, Mujhe mere blog pe chitika ka ad laga na he lekin chitika ka ad laga ne se google AdSense taraf se koi problem to nahi hogi or ek khash bat
Chitika payment achhitarah se kar ti he . Koi cheating to nahi karti .
Plz cheack my blog ot koi kami ho to mujhe batao .
Jumedeen Khan
Nahi aap AdSense ke sath chitika use nahi kar sakte. Payment sahi karti hai usme koi problem nahi hai but aap AdSense or chitika dono ko ek sath use nahi kar sakte.
kiran pawar
Jumedeen Khan ji blogger me galti delete huea page recover kaise kar sakte hai.
Jumedeen Khan
Agar aapke pas blogger ka backup hai to use blog me upload karo.
Aryan
Bhai ji maine apni site har jagah submit kar di hai aur muje lagta hai meri sari post google me show ho rai hai ab ap ye btaiye kya mai ab ads laga sakta hu
Jumedeen Khan
Ha laga sakte ho.
nilesh verma
Sir mere website ko dekhakar batayen ki mera website me CDN active hai ki nahi….and SEO friendly hai ki nahi….sir template kaisa hai jarur batayen…??
Jumedeen Khan
Aapke blog me CDN active nahi hai. Blog to aapka SEO friedly hai bas aap H1, H2, H3 and other heading ka font size thoda kam karo.
rohaan
Bahut hi badhiya jankari hai bhai apko 2 din se mai ek sawal puch raha aap batate hi nahi ho ??
Mera post delete hone ke baad bhi google use index kar raha, google search result se ush page ko kaise remove karu ??
Jumedeen Khan
Rohan maine aapko reply kiya tha. Aap plz comments ache se check kiya karo. Google me se apaki post apne aap delete ho jayegi. Isme thoda time lagta hai.
Mahendra Kumar
WordPress par blog banane ke liye hosting lena jaruri hain….?? ya blogger ki tarah free me bhi use kar sakte hain.
Jumedeen Khan
Free bhi bana sakte ho but usme aap blog me custom domain use nahi kar sakte or na hi theme or plugin use kar sakte ho. Aapka blog xyz.WordPress.com hoga.
Umesh Chavan
jumedeen bro kya mai YouTube AdSense approve karakte fir use blog se link kar sakata hu kya. Kyon YouTube account easily approve ho jata hai.
Jumedeen Khan
Ha YouTube se AdSense account jaldi approved hota hai kyuki copyrighting ka dar kam hota hai. Ha kar sakte ho.
Umesh Chavan
par aapne ye nahi bataya ki kya phir mai YouTube account ko blog connect kar sakata hu. Kya yesa karana valid hai ya nahi.
Jumedeen Khan
Ha kar sakte ho. Koi problem nahi hai.
Shadab
Bhai ab youtube se or mushkil hogyi h adsense approval me jb tk 10K views nhi honge adsense approval ni milega
arun yadav
mere website par kal 1000 page views the par muje 2 se month ho gaye blogging karte 1$bhi nahi hua aap mare website dekh kar bataye ke kya kami hai
mane AdSense se 2 website conect kar rakhi hai 1par 10 pageview rahta hai ek par 500- 1000 to kya mai apane website hata du jis par k pagewiew hai esse muje fyda hoga
please guide karo
Jumedeen Khan
Ha jis par traffic nahi hai us par se ads hata do. Aapki site me ek hi kami hai SEO ko follow nahi kar rahe ho. SEO friendly content likho.
paresh
Brother ribbon theme ka background kaise change karru?
Jumedeen Khan
WordPress dashboard >> ribbon >> style option me ja kar Background Color change karo.
surendra rsdp
Haan Bhai CDN (0) Bata raha lekin mujhe pata nahi chal raha hai ki kha galti hui hai aor Clouldflare se ko Mail bhi nahi Aaya Nameserver change hone ka lekin wordfrence se jarur aaya tha .
Yoast Seo Ke baare me kuch janna hai . jab ham post public karte hai toh Iske andar 2 post Title box Hote jisme Ek box Focus keyword title ke liye aor Dusra Main title ke liye . mai yeh janna chahta hu ki Dono me Alag-2 Title likh sakte hai kya
Ex:-
Paise kaise kamaye
Paise kamane ke tarike
Yaa fir dono me ek jaisa title keyword hi hona chahiye
Seo ke liye kaise sahi hai wo bataye
Jumedeen Khan
Aap cloudflare me sahi dns record add karo.
post ttitle box ko khali chod do ya fir aap search engine me difference article likhna chahate ho to likh sakte ho. keywords box me sirf ek hi keywords add karo.
surendra rsdp
जैसा की आपने ऊपर एक कमेंट में बताया है की आप wpbingger साईट पर इसके बारे में पढ़े लेकिन जो लोग हिंदी जानते है वो इंग्लिश समज नहीं पाते और इस्सी वजह से मुझे भी पता नहीं लग रहा है की मेरी साईट में cdn एक्टिव है या नहीं । यहाँ तक की मैंने clouldflare पर अकाउंट भी बनाकर godaddy में nnameserver भी सेट कर दिया हा । और यह पोस्ट हमारे लिए बहुत ही यूज़फुल है ।
Jumedeen Khan
Surendra aap GTmetrix me check karo or yslow score me CDN report dekho. Agar 0 hai to Aapki site par cdn activate nahi hai.
Sameer khan
Bhai koi koi word aise use krte ho aap ??? Mujhe samajh nhi aata, mai step by step kahan se start kru ??
Jumedeen Khan
Sameer jo samajh nahi aata uske bare me puch liya karo.
Sameer khan
Site links, info links kya hota hai ??
Jumedeen Khan
ye post padho Google Sitelinks Kya Hai Extra Sitelink Ko Kaise Remove Kare
Sameer khan
Bhai aapse koi bhi kuch bhi puchta hai aap uska ans bohat acche se de dete ho,. Aapne yeh sb kahan se seekha !?
Jumedeen Khan
Sameer sabkuch internet se hi sikha hai.
Sameer khan
Aapne kab seekha ??? JB blogging start ki tab hi seekha ya pehle seekha uske bd blogging start ki ?
Jumedeen Khan
Maine blogging start karne ke bad sabkuch sikha hai. Jo kuch ma isikhata hu apne reader ke sath share karta hu. Bas yahi mera work hai.
Sameer khan
Bhai samjhay nhiii thoda detail mai btao kaise ki wahan label optionaasb the news, sports, technology mai uska blogging,AdSense,earn money mai kaise change karunga ???
Jumedeen Khan
Sameer aap samajhna hi nahi chahate. Jo kah raha hu us par focus karo. Aap jo kuch change karna hai wo template me ja kar searchkaro or uski jagah apna topic add karo.
Sameer khan
Bhai check krke btao ki Maine sahi design kiya ??? Aur kis chiz ki zarurat hai ???.. mera Template Seo friendly hai kya??
Jumedeen Khan
Design sahi hai bas aap footer me se template site ke link ko remove karo.
sameer khan
bhai maine bohat achha design kr diya tha abhi 5 min pehle hi format maara tb aisa ho gya yeh,,, maine isliye format maar diya tha ki mujhe lga ki shayd maine galt kr diya… aapne shayd dhyan nhi diya… blog ke bilkul last mai jo line likhi woh galt hai kya bhai ?? usse koi dikkat to nhi hai.
Jumedeen Khan
Sameer ek hi bat ko bar bar repeat mat karo plz. Aap mujhe contact form me message karo.
Sameer khan
Bohat accha Bhai… good work keep it up.
Sameer khan
Bhai pichle 3 ghante se mehnat kr rha.. blog Template, design etc change krne ki but ab tk Puri tarah nhi hua.. Maine aapke blogs ko bhi search kiya but mujhe exact nhi Mila…. kaise ki uss Template mai likha hai.. technology, news,sports kaise label bane hue hai,, oose ham earn money,blogging,AdSense etc mai kaise change krenge ?
Jumedeen Khan
Aap blog ki template me joa or jo kuch aapko delete ya change karna hai wo searh karke change kao. Bahut simple hai bas aapko care karne ki jarurat hai.
vivek
jumedeen bhai kya apki site ki monthly pageviews 38 thousands hain??
mai confuse hu thoda
Jumedeen Khan
Oh seet ! thanks bro maine to bahut din se yahi set kiya hua tha.
ravi kumar
ye message aaya hai help form se
———————
A topic you recently subscribed or posted to in the AdSense Help Forum group is a popular subject and was marked as a duplicate ofanother topic by a forum moderator. You should visit the other topic and participate in the conversation.
Possible reasons the topic was marked as a duplicate include:The topic’s question has already been answered in another discussion.Your post did not have enough information to distinguish it from other similar topics.
More information about topics is available at the Google Groups Help Center.
Jumedeen Khan
Aapne jo AdSense ko feedback send kiya hai wo sahi nahi hai. Aapne shayad kisi or ka message copy karke send kiya hai. So AdSense team aapke reason ko samajh nahi payi hai. Aap english me sahi topic send karo. Aap ye message send karo “I put ad has been more than ten days on my blog. But not see ads on my blog. I don’t received any mail by AdSense about approved and disapproved. Please check my blog and my AdSense account to take my right help.” or koi karo to english me karo.
ASHOK SAINI
Admin ji, Muje Ye bataye ki Jab Mai Mere Blog Par Kisis Comments Ka replya Karta hun to mere profile Image ya blogger profile image show kyu nahi ho rahi hai. Only My name show hota hai. Iski setting batao na. Please.
Sath me, I ye bhi kahana chahta hun ki mere blog ki Main Id kuch aur hai aur me reply meri second Email Id se karna chahta hun. Uski profile image show hona chahiye, Thanks
Jumedeen Khan
Ashok aap jis id se comment karte hai us id wale google plus account par apna profile photo set karo.
ARUN YADAV
Error parsing XML, line 1453, column 17: Attribute name “async” associated with an element type “script” must be followed by the ‘ = ‘ character.
bhai har tarah se try kar liya par ads templete me show nahi ho rahe hai script ke aage > lagane se save ho jata hai par ads show nahi hote hai help fast
mane aap ke tarike se bahut bar try kiya,maine aap ko facebook par screenshot beja help
Jumedeen Khan
Arun aap direct post me code paste karo. Kisi ksi blogger template me ye code add nahi hota hai.
Mo Aziz
Thanks
Bro Bahut Acchi jankari Di hai Aapne
Abhishek
i am already using this bro
bro any help for
redirection
Jumedeen Khan
Abhishek rohit bro ki tarah se mujhe koi jawab nahi mila. Aap WordPress ki sabse best site wpbeginner .com par iske bare me post padho.
kiran pawar
Jumedeen Khan ji maine aapki Sitelinks post padhi. kya ham Sitelinks me koi label link add kar sakte hai kya?
wo kaise kar sakate hai.
Jumedeen Khan
Kiran sitelinks ko hum control nahi kar sakte or apne hisab se sitelinks nahi dikha sakte. Ha kisi sitelink ko hide kar sakte hai wo bhi kuch time ke liye. Ye google par depend karta hai ki wo kis site links ko show karega.
Khalid
kiya blogger par custome domain laga kar bhi cdn ka use kar saktey hain
जुमेदीन खान
nahi ye wordpress ke liye hai.