Google AdSense hindi blog ke liye sabse best advertising program hai. Bahut se blogger apne blog se earning karne ke liye adsesne hi use karte hai. Is article me mai aapko AdSense par payment & country address yani payee profile payment address details change karne ki information de raha hu. Agar aapne AdSense account address add akrte time koi glati ki hai to aap yaha btaye step follow karke apni payee profile me se misspellings ko fix kar sakte ho.
New blogger, khas kar ke hindi blogger ke liye AdSense humesha sir dard bana rahta hai or wo galati se AdSense account banate time address dalte time galti kar dete hai. Jabki google ki terms & conditions ke anusarr humara AdSense address or bank account address ek hi hona chahiye.
Agar aapka bank account name AdSense ke name se nahi mil raha or aap se spelling mistake ho gayi hai to aapko AdSense ka payment milne me problem ho sakti hai. Adsense par hum account banate samay jo address bharte hai wo humari payee profile hoti hai or payee profile me humara jo name hota hai AdSense hume usi name ke bank account me payment send karta hai.
Hum payee profile address ko change nahi kar sakte but isme huyi mispelling mistkas ko theek kar sakte hai.
Pahle hum AdSense par payment address ki mistake change ya edit nahi kar sakte the but ab AdSense ne payee profile ko edit karna allow kar diya hai. Ab hum AdSense par apna payment & country address change kar sakte hai. But ye aap tabhi kar sakte ho jab aapke AdSense account me payee profile ko edit karne ka option enable hai.
Is service all country me available nahi hai. Aap sirf Algeria, Bahrain, Bangladesh, Brazil, China, Egypt, India, Indonesia, Jordan, Kuwait, Lebanon, Libya, Malaysia, Morocco, Nepal, Oman, Pakistan, Palestine, Philippines, Qatar, Saudi Arabia, Singapore, Sri Lanka, Thailand, Tunisia, United Arab Emirates, Vietnam and Yemen countries me hi payee profile edit kar sakte ho.
Ye article 17 march 2024 ko likha gaya hai or aane wale time me google AdSense terms change ho sakti hai.
Google Adsense Account Me Payee Profile Payment Address Edit Kaise Kare in Hindi
Aap niche diye step ko follow kar ke google AdSense me apna payment address edit kar sakte hai.
Step 1:
Sabse pahle aap adsense.com site par jaye or apni gmail id se sign in kare.
- Adsense par right side me setting ke gear icon par click kare.
- Ab pop up menu me Payments par click kare.
- Ab left side sidebar me Payee Profile par click kare.
- Payee profile ke niche Edit option par click kare.
Step 2:
Ab aapke samne payment profile edit karne ka page open hoga. Yaha aap apne name or address me huyi spelling mistake ko theek kar sakte ho. Yaad rahe aap yaha jo information bharoge aapke bank account ki information bhi yahi honi chahiye. I mean AdSense or bank account me aapka name same hona chahiye.
- Apna country select kare.
- Agar aapne business plan ke liye AdSense account banaya hai to apna business name add akre or agar aapne Individual yani sirf apne liye AdSense account banaya hai to aapke AdSense account me ye option nahi hoga.
- Apna wo name sahi se check kar le jo aapke bank account me hai koi mistake ho to use theek kar le.
- Apna sahi address bhare.
- Apne city ka name select kare.
- Apna pin code enter kare.
- Aap jis state me rahte hai, wo select kare.
- Finaly save par click kare.
Bas ab aapka AdSense payment address change ho gaya hai. India me bahut si loaction par payment address change karne ka option enable nahi hai. Agar aapke AdSense account me payee profile edit karne ka option available na ho to aap google AdSense help center me is bare me discuss kar sakte hai.
- Adsense RPM Kya Hai or Adsense RPM increase kaise Kare [What is RPM]
- Adsense Matched Content Kya Hai or Ise Hum Kab Use Kar Sakte Hai
Ummid karta hu aapko AdSense se related ye article pasand aayega. Abhi AdSense ke bare me sikhne ko bahut kuch hai. Maine iske bare me or bhi post likhi hai aap wo bhi jarur padhe. Sath hi aap bhi humari help kijiye or is post ko apne friends or other AdSense users ke sath share kijiye.
If you like this tutorial then share this article on social networking sites with your friends and some other google AdSense members.
Md khalid
Sir mere adsense account me business select ho gya tha to mujhe individual krna tha.
YOU TUBE par video dekha maine to pta chala Ki wo account delete krni hogi to delete kr di maine.
Ab dusri gmail account adsense me add krta hun to match nhi ho rha hai sir
1 form bhi bharne Ko kaha wo bhi bhar diye sir but match nhi ho rha hai
Aap ke Blogger par bhuut wishash le ke aaye Sir
Please help kare
Aap ka bhuut bhut shukriya hoga sir
Md khalid
Jumedeen Khan
Aap dusri ID se hi adsense apply karo match karna jaruri nahi hai.
Vishnu Mishra
sir swift code kaise dekhe edit me Sahi hai ki nahi
Jumedeen Khan
Look here SWIFT BIC Code Kya Hai Apni Bank Ka SWIFT Code Kaise Pata Kare
Bannaji fighter
Bhai mena ek youtube channel banye h jisme mena kuch earning kr le h pr mera pass abhi bank ac nhi h pr 1 month m khule jayega tho
Aur agar mena 1 month tak payment details nhi de tho koi problem tho nhi hogi
Bhai bata do jaldi
Jumedeen Khan
No problem.
Arman Khan
Sir
Aapne Bhuat acha post likha hai
1 Blog ke template me add karne ke liye kya adsense ke taraf se koi code milta hai.
2 Kya Ise add karna jaruri hai
Jumedeen Khan
Yes milta hai yes aapko jaha ad dikhana hai wo ad karo like header, sidebar widgets.
Amit sihag
Mera youtube pe channel h masti ke keede nam se mene usey adsense se connect to kr dia lekin bank account kese ad hoga
Jumedeen Khan
Check this post Adsense Me Apna Bank Account Kaise Add Kare Hindi Jankari
nitesh
Sir mene apne ghr ka adress diya tha to kuch ni aya me abhi city me rent pr room le kr rh rha hu abhi mujhe city ka adress dena chahiye pr vo permanent nahi hai kbhi bhi change ho sakta hau
Jumedeen Khan
Google aapke address apr payment send kar chuka hai. Aap apne postman se pata karo. De sakte ho but first apne area ke postman ko bta dena.
nitesh
Varify Pin ke liye 30 din se jyada ho chuke hai action pr click krne ke bad ydi doosri bar krta hu to sayad city me to mil hi jayega pr local adress se kr sakte hai ya nahi aur problem kya ho sakti hai
Jumedeen Khan
Nitesh local address par pin aane me 30 day se jyada bhi lag sakte hai. Aap city me rahte ho to wohi ka address de sakte ho.
sudhanshu kumar srivastava
Nice post brother but i have a question….payee name change karne par koi problem nahi aati hai agar pin already verify ho to aisa is post me bataya hai aapne but kya aap 100% sure hain? i means ki do you have any personal experience about this? source of information kya hai? i will be thankful if you explain. actually maine khud bhi apna payee name kal change kiya hai before my first payment kyonki jis name se pahle AdSense account tha us name se bank account nahi tha so pin aane ke baad maine payee name change kar us payee ka bank account no. add kiya hai.
Jumedeen Khan
Hum completely payee profile name change nahi kar sakte. ye feautre sirf misspellings ko fix karne ke liye hai. Check this link http://support.google.com/AdSense/answer/160202?hl=en
sudhanshu kumar srivastava
Bhai ye baat to mujhe pata thi ki hum miss spelling ko edit kar sakte hain but baat payee name ko change karne ki thi…aur aapne apne post me isse possible bataya tha, ab mere last comment ke baad aapne apne post ko hi edit kar diya aur ab sirf miss spelling waali baat daal di.
Jumedeen Khan
Don’t worry aap name bhi change kar sakte ho. Maine ye isiliye kiya hai kyuki main iske bare me new post likhne wala hu kyuki maine misspelling change karke dekhi hai full name nahi. Mujhe post likhne me thoda time lagega aap ye source check kar ksate ho. http://support.google.com/AdSense/answer/2628816?hl=en&ref_topic=1727182
Bibhu
Deat Sir Mera ek AdSense account hai Ur YouTube se paisa 100$kama liya hai but mera bank account nahi hai kya hum kisi ur ki ya apnea ghar ke family members ke bank account dal sakte hai kya ya nahi? Plz help me.
Jumedeen Khan
Nahi jiske name se AdSense account hai usi ka account hona chahiye.
Amin jan
Good work Admin nice post helping for me
Rajanam
Bhai maine payee name change karke sahi bank account name likha.
Payee name change ho gaya hai lekin kya aage mujhe koi problem face karni pad sakti hai kya ?
payee name change karne se kuch problem to nhi hoga na
Jumedeen Khan
Nahi koi problem nahi hogi.
subhash
hi
help me sir
1– indian bank account name with father name hai AdSense me father name add karna padega kya ??
2–me sirsa{ haryana} se hu swift code sirf state bank of india ka search hota hai … kisi aur ka nhi
3- me sirsa distic se hu
sirsa city sbi swift code–avilable hai
sirsa village sbi swft code–no information
i am confisud help me
Jumedeen Khan
1. Yes father naem hi add karna hoga.
2. Iske bare me mai puri details se is post me bta chuka hu SWIFT BIC Code Kya Hai Apni Bank Ka SWIFT Code Kaise Pata Kare
3. Aapko usi bank ka swift code use karna hai jisme aapka account hai. Jaise state bank me hai to state bank ka hi use kar sakte ho.
ranveer
hi sir help me
mera indian bank account nhi hai
AdSense ke adress or payee name change karke
kisi or indian bank acnt me payment recieve kar sakta hu
AdSense pin verfy hai
Jumedeen khan
Agar available hai to aap address change kar sakte ho.
ranveer
thanks sir
my AdSense account me edit ka option hai
mene edit karke check kiya hai
esse koi dikkat to nhi hogi
payment ho jayegi ya nhi
payee name or profile dono change karke indian bank acnt name se match karne par
Jumedeen khan
Haa ho jayegi post me already bta chuka hu.
Ali
Bro Meray Blog Ko saal Ho Gaye Hain Per AdSense Approve Nhe ho raha hai, ma ny kisi sa AdSense borrow kiya so apna AdSense approve karne k liye kia karun?
Jumedeen khan
First aap name se comment karo, Aap SMI ki comment policy follow nahi kar rahe ho to google ki kaise kar sakte ho. Isi wajah se AdSense approved anhi hua. So first apne blog ko google friendly banao bad me AdSense ke liye apply karo. Iske liye aapke blog par daily 300 se jyada clicks google search se hone chahiye.
Nitesh
Bank account address aur AdSense address different hone par payment aayegi ya nahi..jabki payee name bilkul sahi hai hai.
Jumedeen Khan
Agar aapka payee name same hai or address me thoda difference hai to chalega but pura badla hua address nahi chalega jaise रशीद का राशिद हो सकता है.
Shakeel Nago
Bro, agar adress change kar dun to pakistan a sakta hai PIN?
Jumedeen Khan
Ha aap jaa ka address daloge wohi par pin post aayegi.
Shakeel Nago
Hi bro,
me pehlay dubai me rehta tha tab mene Google adsense ke lia apply kia toh absence approve hogya, magar kuch din kuch problems ki wajah se me apni country pakistan chale aya, ab ap ye bataye ki mene jo address dia hai wo wahan ki hai, usko change kesay karun ki pin pakistan bejay Google adsense team?
Jumedeen Khan
Shakeel aap first ye post padho uske bad aapko comment karne ki jarurat nahi padegi
Vivek Darji
Thank You For Your Best Help….
Sunny
Sir. Mujhe ye bataye ki maine apne dost se ek hosted AdSense buy kiya hai
Kya mai use apne blog par use kar sakta hu
Or kya usse mujhe earning hogi ?
Agar ye ho sakta hai to mujhe iska tarika bataye
Jumedeen Khan
hosted account to 2 minute me ban sakta hai kharidne ki kya jarurat thi. Are bhai YouTube par 4-5 video bana kar upload karo or hosted AdSense account bana lo. Problem to aage hai use complete approved karane ki .Uske bad hi aap apni site par ad laga sakte ho or paise kama sakte ho.
homlal Dhimar
Jumedeen ji mera pan card me name homlal aur bank account me homlal dhimar hai to kya Mai AdSense me name kya dalu
Jumedeen Khan
Ha bana sakte ho.
Rajesh Sharma(INDIA ME HELP)
Hello bro,
kya hum menu or Logo ke bich main AdSense ads. laga skte h.
matlab menu ke uper ads. lga skte h kya.
Jumedeen Khan
Menu ke upar laga sakte ho niche nahi. Ye post padho Adsense Ke Ads Kaha Kaha Nahi Laga Sakte – Full Guide
Sandeep kumar
Music site kaun si platform par banti hai. Aap music website kaise banaye par post write kijiye please bro apko maine aaj se 1 month pahle bhi kaha tha.
Jumedeen Khan
Sandeep uski internet par jyada demand nahi hai. Meri post likhne ki mehanat bekar hi jayegi. aap wapka par try karo.
Dilip Singh
Mere blog me menu edit nhi ho rha h jab bhi me edit karta hu to Jo category pahle se hoti h jaise business ki be delete nhi hoti h aor n hi # delete hota hai ye sab kaise hoga jisase me #ki jagah apne blog ka URL dal saku
Jumedeen Khan
Ye post padho or ise ache se follow karo. Blogger Menu Bar Ko Edit Kaise Kare
zishan ali gulzar
sir mera post google search me show ho rha he but googale pluse se show ho rha he mera blog se nahi aisa kyu, ur isse koi problem,, ya isme kuchh setting karna padega
Jumedeen Khan
Jab aapki post par traffic aayega. Tabhi post search me aayegi.
Abdul khan
Bhai assalamu alaikum…bhai abhi just raat ko 1baje google AdSense ki taraf se 2mail aaya hai bhai samjh nahi paraha hun kiya ye kiya mail hai plz help kren bhai…sabse pahele ek mail aaya hai ki 1.Keep your account in good standing by adhering to AdSense policies
3 key policy to keep in mind..
Here are 3key policy reminders.
Avoid placement..don’t use copyright content…keep your content family safe….
Aur dursa mail hai bhai ki improve preformance and earnings with insight from your AdSense report…uske neeche view trends and compare stats to learn more about your user …uske baad kich point diye huye hain plz help kren bhai ye kiya hai dono mail me…mere site me kuch google policy ka ulanghan to nahi hua hai…10 din pahele hi approve hua hai bhai adsense…aur jabse mene 3post hi daala hai…kahi usme to kuch mistake nahi hua hai…plz help kren bhai mujhe google AdSense ka msg samjh me nahi aaraha hai …ye kuch delete krne bol raha hai ya kuch guide ke liye msg aaya hai plz jaldo reply de bhai…
Jumedeen Khan
w/a aap mujhe puri report dikhao. Jisse mai aapki sahi help kar saku.
Abdul khan
Bhai mene aapko facebook pe bheja hai pura image aap ek baR check kren fb ka page aapja support me india pe…mene dono mail ka screen short bheja hai
Jumedeen Khan
Ok mai check karke aapko reply kar dunga.
Dilip
mere blog pr 3 post h fir bhi AdSense enable ho gya h to account bana le ya nhi
Jumedeen Khan
Bahut achi bat hai. Ab aap ads bana kar blog me lagao or uske bad blog par traffic badhane par dhyan do.
surendra rsdp
Bhai isko change karke toh ham kishi bhi ke bank account me payment le sakte hai . agar ham payee profile change karte hai toh payment mode bhi payee profile ke naam se hi hoga . kya esa ho jata hai .
Jumedeen Khan
Yes, you are right but ye har location par available nahi hota hai. Ye google ki terms hai. Abhi enable hai aane wale time me isme changes bhi ho sakte hai.