Kisi Bhi Website Ka Old Version Kaise Check Kare – 1997 to 2024

Agar aap kisi bhi website ka old version dekhna chahate ho ya aapko apni website blog ki kisi post and page ka old version check karna hai to ye post aapke liye hai.  Aaj main aapko aesa tarika btane wala hu jisse aap 1-2 saal nahi 10+ year se bhi jyada old look check kar sakte ho. Is tool se aap kisi bhi website ka 1997 se ab tak ka old look dekh sakte ho. Top Best No.1 Website Old Version Checker FREE Online Tools.

Check website old version

Internet par sabse jyada istemal google search engine ka hota hai. Shayad hi koi hoga jo google ka old version dekhna nahi chahega. Har koi dekhna chahega ki 2000 me google kaisa tha kaisa dikhta tha uska logo kaisa tha. Aesa aap apni kisi bhi favorite site ke liye soch sakte ho.

Internet par aapko old version ya cache version check karne ke liye bahut sari website, software and online tool mil jayegi magar is websites par aap old se old version dekh sakte ho jo ki kisi or site ya tool par available nahi hai.

To chaliye ab main bina time west kiye aapko us tool ke bare me btane wala hu jis par aap kisi bhi site ka old version check kar sakte ho or agar aapki khud ki site hai to aap apani site ka old data recover kar sakte ho.

Kisi Bhi Website Ka Old Version Check Kaise Kare

Yaha par btayi gayi tool se aap website, blog and other all type ki sites ka old look browse kar sakte ho. Agar aap website owner ya blogger hai to ye aapke liye sabse jyada beneficially sabit ho sakta hai kyuki agar aapse galti se koi post ya page delete ho gaya hai to aap is site par uska old version check karke apni post ko fir se recover kar sakte ho.

Step 1:

  1. Sabse pahle aap Way Back Mashine website par visit kare.
  2. Ab search bar me apni site ka URL ya aapko jis page ka old version dkehna hai us page ka link add kare or enter kar browse kare.

Check website old version tool

Step 2:

Ab kuch hi time me aapke samne us site ka old version hoga. Ab yaha par aap time select kar site ka old version dekh sakte hai.

  1. Jis page ka old version dekhna hai uska link add kare.
  2. Yearly time select kare. Jab site create huyi hogi tab tak ka old look mil jayega.
  3. Ab yaha aapke dwara select ki gayi year ke month ke according wo sabhi dates highlight hogi. Jis date ka backup waybackmashine site par hoga. Aapko jis time ka old version dekhna hai us date par click kare.

Waybackmashine old version checker tool

Ab aapke samne us site ka us time ka old version show hoga. Is tarah se aap kisi bhi website ka old version check kar sakte ho. Iske alawa or bhi bahut si tols hai magar mujhe waybackmashine sabse best lagti hai.

Iska sabse achha fayda ye hai ki website owner isse apni old posts ko recover akr sakte hai. Main bhi kai bar iska istemal kar chuka hu aap bhi kar sakte ho. Sabse achhi bat ye hai ki ye website free service private karti hai.

Agar aapko kabhi site hacking problem ho or kisi wajah se aapki site crack ya offline ho jaye or aapke pas uska backup nahi hai to is site ki help se aap apni site ki lagbhag 70% data ko recover kar sakte ho. Agar kisi ke sath aesa hua hai to aap use is tool ke bare me bta sakte hai.

Is tool ko try kare or agar aapko ye pasand aaye to ise social media and other people ke sath share jarur kare.

Avatar for Jumedeen Khan

About Jumedeen Khan

I'm the founder of this site and we regularly share useful and helpful information here for beginners. ❤️

Reader Interactions

Comments (35)

  1. Avatar for Khustar NooraniKhustar Noorani

    Aapne Bahut Achha Article Share Kiya Hai,,,,,,,,,,Thanks

  2. Avatar for anirudhanirudh

    mera pehla site http:/ par thha lekin ab https me hai kya ye chek karega..

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Try karo kcuh history mil jayegi.

  3. Avatar for manoj Kumarmanoj Kumar

    nice site

    thanks for sharing

  4. Avatar for ajay guptaajay gupta

    Wow, aapne website ke old version chek karne ki bahut achhi jankari diye ho sir
    mera ek sawal hai kya bloging par ham agar bina domain liye bloging kare to better hoga ya domain lena padega tab beter hoga please advice

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      Domain lena jyada better hai.

  5. Avatar for Surendra RsdpSurendra Rsdp

    Bhut badhiya . mujhe ye bataye mai apni website ki theme change karna chahta hu pr usme update available nahi hai lekin theme ki site or naya version bhut phele aa chuka hai

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      Wait kuch day bad update show hone lag jayega agar na ho to aap fir se site se theme download kar apne blog par upload kare.

  6. Avatar for Abhinav Ranjan JhaAbhinav Ranjan Jha

    Mai iss typ ka article bhut dino se dhundh raha tha. Dhnyawad

  7. Avatar for Nikhil JainNikhil Jain

    badhiya jaankaari di,bahut se bloggers ko is site ke baare me maalum nahi,unke liye kaafi useful kyki is site par visit krke blogging ki purani yaadein taja ho jaati hai,jab pehle purana theme tha fir naya,, aur fir se jb jb kuch bhi badlaav kiye ho

  8. Avatar for nadir hussainnadir hussain

    sir maine adsense ko apply kiya aur mera adsense aproved hogaya hai email aya tha fully approved ka sir problem ye hai ads dikh nahi rahe hai maine code bhi daal diya hai sir ajj 5 din ho gay approved huye plz help me sir plz

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      Aapka adsense account approve hua hai activate nahi abhi aap apni site par ads code paste karke rakho adsense fully approve hone me 1-2 week ka time bhi lag sakta hai.

  9. Avatar for deepakdeepak

    jab bhi me apne blog ki post ko facebook par share karta hu to facebook par kuch tym me he us post ka url fb block kar deti hai. Jyada der tak share karne par esa kyu ho rha hai.. Ek ek ek krke mere blog ki har post ko jo bhi me jyada share kr rha hu use fb block kar rha hai aap pls koi solution bataye?

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      Simple hai facebook chahata hai ki agar aapko pane product ka promotion karna hai to facebook ads istemal karo.

  10. Avatar for sumit kumarsumit kumar

    Sir aap ne kon si theam ka use kiya hai apni site per

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      genesis

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      Aap settings >> reading setting me jaye or static page select kare or apne ek page ko front page or dusre ko blog page name se create kare. Yaad rahe iske liye aapki theme front page support honi chahiye.

  11. Avatar for Deepak sahuDeepak sahu

    sir mera ek sawal hai ki mai aapki jitni bhi post open kar lu sabhi post 3-4 days pahle update ki hui show hoti hai but usme koi changes nahi dikhta hai. lekin ye accha tareeka hai jisse google ko ye lage ki post update hote rahle hai. kyu ki google updated post zyada pasand karta hai.

    so please mujhe bhi bataiye ki aap ye kaise karte ho. kyu ki sabhi post ko 1-1 kar ke update karna possible nahi hai. aap kisi trick se hi aisa karte ho. jisse ki 1 year pahle ki post bhi kuch din pahle ki update hui show hoti hai.

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      WordPress par aap aasani se post update kar sakte ho. Genesis me ye feature hai ki hum jis post ko edit kare usi ki date show hoti hai. Aap bhi koi aesi theme use karo jo modify date support karti ho.

  12. Avatar for md shahidmd shahid

    sir ek problem hai jab mai ne apna blog ke custome domain ko godady se domain purchase kar ke apne blog me add kiya or uske baad jab mai apna blog ko open karta hu to ye message show hota hai The domain webdemo.com is no longer parked by GoDaddy. is ka kay matlab hai or is ko kaise theek karo pls help me.

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      Aapka domain blog me add nahi hua hai sahi se add karo DNS record godaddy site par ja kar domain settings me add karo uske bad domain proper work karega.

  13. Avatar for Ravi sharmaRavi sharma

    Howdy Jumedeen Sir,

    Apne bahut Achhi Jankari Share ki Hai ! Website ka Old Version check krne ke liye!

    And Mera Apse ek Question Hai mera blog Hindi Me Hai Or Traffic Bhi Accha Hai Lekin ab mai usko English Me Move krna chahta hu iske liye mai apse advice Lena chahta hu kya ye sahi hai!!

    Or Abbi Mera blog Hindi Me Hai Agar Mai isko Completely English Me Move Kr Deta hu To Traffic Me Difference Aayega kya??

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      Aapke aesa karne par aapka traffic 0 ho jayega.

    • Avatar for NikhilNikhil

      bhai ek sub domain bana lo us main apne jitne bhi article likhe hain…unke liye eng mai keyword research karo. then un pr article write karo.

  14. Avatar for Hindi2WebHindi2Web

    बहुत अच्छा, मुझे आपके वेबसाइट पर आकर बहुत कुछ जानने को मिला, कृपया भविष्य में भी ऐसे ही ज्ञानवर्धक आर्टिकल लिखते रहिये.

  15. Avatar for Harpreet KumarHarpreet Kumar

    Bro landing page ke liye konsa plugin use kar rahe hai?

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      No plugin genesis me already landing page feature hai.

  16. Avatar for reshureshu

    sir bahut hi acchi jankari share ki apne . sir mera ek chota sa question hai.

    1- sir kisi bhi photo ko chota kaise kare bina uska memory size aur quality ko kam kiya. aur wo bhi android phone me.

    aisa koi app ho toh bataiye ya phir koi aur tarika bataiye. online koi tarika ho to wo batadijiye. kyuki jaise hum fevicon me koi bhi image add karte hai to uska size kam hona chahiye but quality acchi honi chahiye. isliye mujhe image ka size kam karna hai. aur kuch aur jagah par image add karna hai fevicon size ki uske liye bhi.

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      Aesa nahi ho sakta. Aap image ka size change karoge to quality or size change hoga.

  17. Avatar for ashutosh mishraashutosh mishra

    Hello Jumendin Ji Aapki Purani Se Purani Post Update Kaise Karte Hai, Purani Se Purani Post Bhi 2 Ya 3 din Pahle Ki Update Show karti hai. Bahut Se Post ho Chuke Hoge Apke Pass to ek Sath post Update kaise karte hai ya Post Ko Ek Sath Update Karne Ki Koi Plugin ya Kuch Other Use Karte hai Hame Please Iske Bare Me Batae ?

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      WordPress par aap without plugin sabhi post ko update kar sakte ho. Posts option par ja kar jin posts ko update karna hai wo select karo or edit par click kar upate karo.

  18. Avatar for RUSHEEKRUSHEEK

    Nice post सच में आपने बहुत अच्छी जानकारी दी हे

  19. Avatar for satendra singhsatendra singh

    nice post sir aap bahut hi acha likhte hai sir aap ke likhne ka tarika gajab ka hai
    sir aap kahi pAR corse kiye hai sir aap ke man me itne gajab ke idea aate kaha se hai sir
    aap bahut dino se apni income report nahi dale hai to plz sir

  20. Avatar for vivekvivek

    bhut he accha information hai..sabse Uniq post sabse Phle aapki website par lonch hoti hai..
    jab Maine blog bnaya tha us time se lekar ab tak ka pura look ab dekh skte hai kbhi Bhi Really good information

Add a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

I need help with ...