Google chrome duniya ka no.1 web browser hai, ye browse karne ke liye sabse jyada istemal kiya jane wala browser hai. Kya aap jante hai ki chrome browser itna popular kyu hai? Iska karan iske amazing features hai. Inhi me se ek hai night mode. Is post me main aapko bataunga ki google chrome me night mode browsing kaise istemal kare.
Google chrome night mode enable karne ka koi option nahi deta hai lekin aapko chrome ki hi aesi bahut sari extensions mil jayengi, jinki madd se aap chrome me night browsing istemal kar sakte ho.
Magar usse phale aapko ye jaan lena chahiye ki google chrome me night mode kyo enable karna chahiye, Iske kya kya fayde hai.
Table of Contents
Google Chrome Me Night Mode Browsing Kyu Use Kare
Night mode browsing un chrome users ke liye beneficial hai jo raat me apne computer par kaam karte hai. Night me kaam karte time hamari aankho par chrome ke white color se bad effect padta hai.
Isliye agar aap raat ke time apne computer par work karte hai to aap apni aankho ko safe rakhne ke liye night mode browsing ka istemal kar sakte hai.
Chrome me night mode enable karne se chrome browser ka color pura dark ho jata hai, jisse aapki aankho par bura prabhav nahi padta hai or aap aaram se kaam kar sakte ho.
Google Chrome Browser Me Night Mode Kaise Enable Kare
Google chrome night mode browsing istemal karne ka koi option nahi deta hai par chrome extensions aapke is kaam ko aasan banati hai. Aesi kai saari extensions moujud hai jo sirf is feature ka istemal karne ke liye banayi gayi hai.
Yaha main aapko chrome ki Hacker Vision extension ka use karke night mode browsing istemal karne ka tarika bata raha hu.
Iske liye aap ye steps follow kare.
Step 1:
Sabse phale chrome web store ma jaye aur “Hacker Vision” extension search kare. (Aap search bar me chrome.google.com/webstore/ type karke bhi chrome web store par ja sakte ho.)
Step 2:
Hacker vision search karne par aako ye extension mil jayegi. Iske samne “Add to Chrome” par click kare.
Step 3:
Add to chrome option par click karne par ek popup window open hogi. Usme Add extension button par click kare.
Add extension par click karne ke baad apni google details fill kare. Bas uske baad aapke chrome browser ka color pura dark ho jayega.
Is tarah aap google chrome me Hacker vision extension add karke night mode browsing kar sakte ho. Aap raat ke time kaam karte samay is extension ko active kar sakte hai.
Aap jab chahe is extension ko pause and start kar sakte hai. Iske liye bas aapko right side top me dikh rahe hacker vision extension ke icon par click karna hoga.
Yaha se aap ise dark or normal kar sakte ho. Jab aap ise apne chrome me add kar lete hai to ye har chrome teb and web pages ko dark me show karega.
Aap ise din ke time me disable kar sakte ho night time me active karke chahe jab dark and normal kar sakte ho.
To is tarah aap google chrome browser me night mode enable kar sakte ho aur night browsing istemal kar sakte ho, jisse aapki aankhe bachi rahengi.
Iske alawa bhi kai saari extensions hai jinki help se aap chrome me night browsing ka istemal kar sakte ho. jaise Dark reader, Night mode pro, Simple and high contrast etc.
Conclusion
Yaha batayi gayi extensions me se kisi ek ki help se aap apne google chrome browser me night mode enable kar sakte hai aur raat ke time kaam karte samay apni aankho ko safe rakhne ke liye night mode browsing ka istemal kar sakte hai.
Ummid karta hu aap chrome me night mode enable karke apni aankho ko nuksan pahunchaye bina aaram se browsing kar sakte hai.
Ye bhi padhe.
- Google Chrome Me Apni Pasand Ki Language Kaise Set Kare
- Google Chrome Browser Ki Speed 10x Fast Kaise Kare – 20 Tricks
- Google Chrome Browser Me Popups Ko Block Kaise Kare
- Chrome Browser Me Extension Kaise Install Kare
Agar aapko yaha batayi extensions ke alawa koi achhi extension ke bare me pata hai jisse night mode browsing kar sake to uske bare me comment me bataye.
I hope aapko is post ki jankari helpful lagi hogi, agar lage to is post ko social media par share jarur kare.
Rakesh Kumar
Maine Mobile Ke Total Applications Ko Night Mode Kr Rakha Hai
Sant Lal
Best article for Chrome user.Night mode se hum der raat tak work kar skte hain aur eyes bhi khrab nhi hogi. Thanks
Anoop Bhatt
Thanx sir Aiticle me bahut kaam ka knowledge share kiya aapne
google chrome night mode ka use aakhon ke helth ke liye better hai
Umeda khan
Crome browser ki speed kaise bhadaye jumedeen bhai
Jumedeen khan
Browser ko up to date rakho aur ad blocker use karo.
Aditya Prakash
Best tricks thanks sir, chrome android me plugin install kr sakte h kya
dhugu sharma
computer par continue work karne se aankho par bahut fark padta hai. or hum blogger ke liye ye bahut jaruri post hai. thanks for sharing