Computer Ki Top 10 Cool Tricks Jo Aapko Bana Degi Power User

Is post me mai aapko computer ke bare me kuch better tricks bta raha hu. Jinki madad se aap pane PC par aur behtar tarike se kaam kar sakoge. To chaliye jante hai computer ki 10 best tricks ke bare me jo aapko power user bana dengi.

Computer Top 10 Cool Tricks

Computer ne hamari life kafi simple bana di hai. Apne bahut sare work ghar baithe-baithe nipta dete hai. Chahe padhai ho ya office ka koi kam computer pe sub kiya jata hai. Jub hum koi work karte hai to bahut sara time bhi lag jati hai. Lekin faltu ke click na kewal samay barwad karti hai balki wo apne kam me bhi badha dalte hai.

Computer ka istemal lagbhag har ek ghar me kiya jata hai. Lekin hum me se kai log hai jo jinhe iski puri jankari nahi rehti hai aur yahi wajah hai ki hum apna samay kuchh faltu click me jyada bita dete hai.

Computer Ki Top 15 Cool Tricks Jo Aapko Bana Degi Power User

Aaj hum aapko batane ja rahe hai kuchh aisi hi cool tricks jo aapko bana degi ek power user — Hum aapka time west na karte hue ab sidhe topic ki our chalte hai.

1. Windows Ko Kare Organize:

Yadi aap 2 Windows ko ek sath use karna chahte hai to aap keyboard me diye window button ko aur right or left erro ko sath me press kare. Dono window corner me ek sath me aa jayegi.

2. Band Karna Aur Open Karna:

Agar aapne YouTube me video dekh chuke hai ya phir kisi browser me aap koi website ko open karke dekh rahe hai to use band karne ke liye hum mouse se upar diye gaye curser par lage cross ke symbol par click karte hai. Lekin ise aap apni keyboard se bina mouse ke bhi band kar sakte hai hai. Wo kaise? Simple iske liye aapko Ctrl+Shift+W key butoon daba kar band kar sakte hai.

3. Agar aapko usi browser ko open karna hai to kaise kare?

Bahut bar humse ek mistake ho jati hai. Dusre browser ko band karne ke chakar me jisse nahi band karna chahiye wo bhi band ho jata hai. Aise me hame pata nahi rehta hum kaha tak work kar chuke hai. Ya fir agar hame pata bhi chal jata hai to hum phir se wahi kam ko suru se karne lagte hai. Iska bhi simple tarika hai. Aap Ctrl+Shift+T punah usi browser ko open kar sakte hai.

4. Space Bar Ka Kamal:

Iska kamal dekhe jub aap kisi browser me browsing kar rahe ho to niche aane ke liye aap space bar ka istemal karte hai but upar jane ke liye aap shift ke sath spacebar ko press kare.

5. Private Browsing:

Yadi aap computer me kuchh search karte hai to uski history ban jati jisse hame bad me clear karni padti hai. Yadi computer me kuchh aisa search karna chahe jiski history aap Computers me nahi aane dena chahte hai to ctrl+shift+N type kare. Isse aap Incognito mode me chale jayenge. Ab aap kuchh bhi kare aapki history save nahi hogi.

6. Ek Windows se dusre Windo me jana:

Ek windows se dusri Windows me jane ke liye hum mouse ka paryog karte hai. Lekin aap chahe to apne keyboard se Alt+Tab ek sath dabakar ek windows se dusre Windows me ja sakte hai.

7. Dusra windows open karne ke liye:

Agar aap dusra windows ko open karna chahate hai to iske liye Keyboard me aapko bus Windows+Left key ek sath dabani hogi.

8. Battery kare save:

Apne computer ki battery save karne ke liye aap battery saving mode on kar sakte hai. Sath hi aapne computer ka display deem kare isse battery save ho jayegi. Mai aapko suggest karunga ki aap humesha apne laptop ki britness medium hi rakhe. Isse aapki aankhe bhi kharab nahi hogi or laptop ki battery bhi jyada time tak chalegi.

9. Font ko Bada- chhota karna:

Font ko bada chota karna ho to sabse pahle aapko wo word type karne honga aur uske bad us word ko select karke Ctrl+Plus button daba kar bada kar sakte hai.

10. File delete karne ke liye:

File delete karne ke liye hum file ko select karte hai aur usse delete kar dete hai. Lekin aise delete karne par ye sabhi file recycle been me chali jati hai. Kisi file ya photo ko puri tarah se delete karne ke liye Shift+Delete ko ek sath dabaye. Aise me jis file ko aap delete kar rahe hai wo puri tarah permanantely delete ho jati hai.

11. Lock Your Computer:

Agar aap chahate hai hamara computer screen turant lock ho jaye to aap Windows key+L dabaye lock ho jayegi.

Hello friends is post se smandhit aur koi bhi shortcut key chahiye to aap comment box me bataye, Aur post achha lage to social media pe share jarur kare,

Avatar for Ravi Kumar Sahu

About Ravi Kumar Sahu

मै Ravi Kumar, मै एक Teacher(math,Computer) हूँ,और साथ मे Internet Aur Technology पर Post लिखना मुझे पसंद है,मै फ्री-टाइम में अपने ब्लॉग पर Post डालता हूँ और साथ मे इस ब्लॉग का Guest Author भी हु। अगर आपको यह Post अच्छा लगा हो तो कृपया इसे Share जरूर करें।

Reader Interactions

Comments (55)

  1. Avatar for Ramanand mehtaRamanand mehta

    bahut hi useful shorcuts aur tricks share karne ke liye thanks Ravi&JDK sir

  2. Avatar for Lok prabhatLok prabhat

    Nice sir thanks for sharing i like this post

  3. Avatar for avneetavneet

    sir , mere pas (Dell vostro 1015 ) laptop hai or isaki battery one year se kharaab ho gai hai, mughe isame nai battery lagvani hai , but problem ye hai ki dell ki website par chack karne par likha aa raha hai ki iss model ki battery ka production band ho gaya hai. amezon, flipcart par kai sari battery ke option hai jinki cost Rs. 1500 se Rs 3000, Rs 4000, Rs 5000 tak hai , mere sahar ki dukaano me bhi kuchh Rs 1500 se Rs3000 tak price ki battery mil rahi hai. kya online khareedne par sahi battery milegi ?? pleas mughe bataaye mai kon si battery khareedu jo 3 ghante ka backup de???? kya mughe kahi se original battery mil sakti hai ?? kya meri ye battery repair ho sakti hai???? pleas help…….

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aapko kisi computer shop se battery leni chahiye.

  4. Avatar for vivekvivek

    Sir plz munhe kuchgyan ki sites bta do

  5. Avatar for Pankaj KumarPankaj Kumar

    bhai computer ko direct shortcut key se restart aur sleep karne ka kya shortcut key hai please batayiye.
    aur desktop par khaali jagah par right click karne par ek box aata hai jisme refresh, cut, copy, paste, new aadi option hote hai , yadi is box ko direct short cut key se laana ho to kaise aayega please bataayiye.
    your best blog liker pankaj kumar fron SARAN, bihar

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Alt+f4 se off kar sakte ho on karne ke liye power button hi press karna hoga.

  6. Avatar for ankitankit

    mujhe aapna windows 8.1 activate karna hai without key se ho jayga ya nahi

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Iske bare me aap windows install karne wali shop par bat karo.

  7. Avatar for md azmalmd azmal

    sir mera loptop bahut solw kamkarta hai on hone main tame lagta hai lag bhag 10 mintes lagte hai

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aap laptop ko computer shop par dikhao. Wo aapko sahi advice denge.

  8. Avatar for PrashantPrashant

    Bhai aapki sabhi post bahut gyanvardhak hoti hai aur inse maine bahut kuchh sikha hai. main detail me ye janna chahta hu ki “PC aur Internet ki IP kaise change karte hai” aur “Black Listed IP ko kaise black list se nikalte hai”. ummid hai ki aap hamesha ki tarah jaldi hi inka uttar doge…..

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Thanks bro Mai sike bare me post karun ga. Aap wo padh lena.

  9. Avatar for AryanAryan

    Aur bro acha ye bta dijiye mai ab gogglesAdSense apply kaise karu pehle meri site pe hi option enable ho gya tha lakin ab wha dissapprove likhe aa rha muje YouTube ke dwara apply karna padega ya kisi aur method se

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      wohi option enbale ho jayega. Aap 8-10 day wait karo. or agar aysa nahi hota hai to aapko domain lena hoga.

  10. Avatar for AryanAryan

    Bro mai blogging pe nya hu to pls ap ye bta dijiye mai apni site ko kaise design karu matlab kya kya lagau aur
    Aur mai jo post me photo dalta hu bo mai thik jagah hi use karta hu lakin gogglesAdSense esa kyu bol ra hai to agar mai galat jagah images use karta hu to ap hi bta dijidijiye mai kha use karu pls ap meri site pe jake bta dijiye pls meri ye do problem solve kar dijiye
    dijiye

  11. Avatar for Rahul guptaRahul gupta

    sir PR kisi apps she jo google play store ya mobogenuie se milti h download krke pdke like skte h ya phir koi book purchase krke thoda read krke likh skte h ya pura hi khud KO likhnaa hoga aur bhut so thinks to same hi hoti h jaise birth date to unka kya kre

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Sabhi kahi na kaih se sikhte hai. aap kahi se bhi gyan hasil karsakte ho but likhna aapko apne dimag se hi hoga.

  12. Avatar for Rahul guptaRahul gupta

    hi sir Ap bhut ache post krte h iske lite thanks apke article daily visit krta hu par comment pehli baar kr RHA hu kya m jaan skta hu ki koi website PR English m likha h aur hum usse Hindi m translate krke daal skte h kya.
    aur sir mera ek aur sawaal h kya kisi aur ki website se koi content le aur thoda modify krle type krke post krde to vo bhi copyright hoga kya.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Nahi aap inme se dono kaam nahi kar sakte. na hi kisi enlish post ko hindi me likh sakte ho or na hi kisi or ki post ko change karke likh sakte ho. Jo kuch likihna hai khud likho.

  13. Avatar for dilipdilip

    Xanga home kya hota h ye mere post k end me aata h Google.par

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Xanga home wek website hai jo blog, websites ko host karti hai. means ye ek hosting server hai.

  14. Avatar for JayantaJayanta

    Hello sir, myself Jayanta aur main karib 1 week se aapki blog roj visit kr rha hu, sir mujhe v apna blog banana hai but sir mai bengoli hu aur mai apna blog Bengali language mai banana chahta hu, aur mera aapse ques hai ,kya kisi Hindi or English content mai likhi huyi article ko apni Bengali language mai translate karke likh sakta hu. Kya ye possible hai aur kya ye copyright content hoga pls reply me mujhe aapse bahat kuch sikhna hai thankyou sir, for post this article.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Nahi bro hum kisi ke bhi dusre language article ko apni bhasha me nahi likh sakte ye copyrighting hoti hai.

  15. Avatar for AryanAryan

    Bro maine ek site banayi hai AllTechnenglish aur pehle meri site Alltechnhindi ye thi mai ye puchna chata hu ki jo mai purani bali site pe hindi article dalta tha whi English language me new site pe dalu to koi dikkat to ni hogi

  16. Avatar for RiyaRiya

    Android mobile par browser me incognito mode kaise on kare?

  17. Avatar for rameshramesh

    sir .tk domain se google me site submit kyo nhitho rhi ha maine verify bhi kiya lekin nhi hua

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Pahle aap blog me domain add karo uske bad wmt me submit kRO.

  18. Avatar for NitinNitin

    very nice post hai jumedeen brother shortcut key se humara behat time bachata hai.

  19. Avatar for Ravi KumarRavi Kumar

    thanks bhaiya Mai khus hu, first time meri post support me India par jaldi public hui hai, dil se thanks

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Welcome ravi. Maine is post me bahut si kamiyo ko theek kiya hai. Next time aysa mouka mat dena.

  20. Avatar for ASHOK SAINIASHOK SAINI

    Thank You, Khan Sahab, Mera You tube Account AdSense se connect to ho gaya hai. Ab Ye bata dijiye ki abhi mere AdSense me mere blog ki earning show ho rahi hai. ab you tube ki earning kaha show hogi ye kya only you tube ananytic me hi hogi kya ?, Ya Adsense me bhi ek sath show hogi ya alag alag show hogi. Thoda sa confusion hai. Please..

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      a YouTube analytics me show hogi. AdSense me mahine me ek bar 1 tarikh ke bad show hoti hai.

  21. Avatar for Sandeep KumarSandeep Kumar

    Bro Maine apko Facebook par message kiya hai check kar lo .private message tha islisiliye Maine apko fb par send kiya hai

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      ok mai aapko message check karke reply karung.

  22. Avatar for Sahil kumarSahil kumar

    Thanks Ravi भाई मुझे स्पेसबार वाली बात पसंद आई क्योंकि इंटरनेट पर कई पेज पढ़ने पड़ते है और माउस पर हाथ रखने से वह दुखने लगता है । धन्यवाद भाई।

    • Avatar for Ravi KumarRavi Kumar

      welcome sahil jiii

  23. Avatar for arun yadavarun yadav

    gvusion-socials-icons ul li.facebook{ background:#516ca4 }

    ye temmplate me soicals icon ke codes h jab bhi me # ke jageh link dalta hu to colur change ho jata h aap bataye line kha dalu

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      ink aapko yaha nahi dalna hai. ye design code hai. link code alag hota hai. same aysa hi hoga. uske samne href ke bad link add karna hai.

  24. Avatar for abdul qadeerabdul qadeer

    bhai site map mujhy add kiye howe 2 month se zyada hogya hai lakin abhi tak 21 index howei 100 submit ye kya reason hai mene delete ker k dobara bhi add kya same problem

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aap google webmaster tools me se crawl error ko fix kaor.

  25. Avatar for Rakesh KumarRakesh Kumar

    ye tricks bahut hi jyada help ful hai savhi ke liye lekin yaha mera aap se 1 sawal hai ki aap mere blog ko chek kr ke dekhe ki maine jo AdSense ads use kiye wo kitne sahi hai size ke according?

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aap post me ads sahi use kar rahe ho but aapne home page par 3 se jyada ds lagaye hai. jo ki galat hai. hum ek page par 3 se jyada ads use nahi kar sakte.

  26. Avatar for arun yadavarun yadav

    aap jo sidebar me jo ads lagate ho wo kasie banate ho usse me dusre blog ke post hoti h

  27. Avatar for chetan kumarchetan kumar

    Jumedeen Khan ji ham agar image title or alt me sem word use kare jaise ki “on page seo” ye word dono use kare to wo black seo kaha jata hai kya.
    or post likhane ke bad serch Engin me kab tak aa jati hai.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      nahi aap aysa kar sakte ho. post ka jaldi search me aana in bato par depend karta hai.
      1. aapki new post ko visitors kitni jaldi or kitne visiotr pasand karte hai.
      2. aapki post me original cotent kitna hai.
      3. Aapki post me copyrighting na ho or jaruri keywords use kiye ho. means seo ready post ho.
      in three steps ko follow karne wali post 10 minute se pahle search me aa jayegi.

  28. Avatar for ASHOK SAINIASHOK SAINI

    Thanks For Valuable information. Khan Ji Me abhi kuch dino se You tube videos par kam kar raha hun. Aur ab main Mere you tube channel ko Mere Approved Adsense se connect karna chahta hun. But ek problem hai. Mera Adsense meri personal Email Id se bana hua hai. And Maine Jo you Tube Channel banaya hai bo meri Second Email Id par hai. But Ab Problem Ye hai Ki Mera second id se bane You Tube Channel Ko monetize to kar liya hai. but ab AdSense se kaise connect karu, email invite ka option bhi nahi mil raha hai. Apki help chahiye please Guide me. Thank You

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aap AdSense account me dusri email id add kar sakte ho. ye step follow karo.
      adsense.com par jao or settings icon> settings > Access and authorization par click karo.
      iske bad apni dusri email id add karke invite par click karo. ab aapki dusri id par ek message aayega usme aap se kaha jayega ki aapko is AdSense account ko admin banaya ja raha hai. yaha aapko invitation accept karna hai. bas ab aap dono email id se AdSense use kar sakte ho.
      ab aap jaise hi YouTube account ko AdSense se connect karoge to wo isi account se link ho jayega.

  29. Avatar for kabirkabir

    Aapki yeh shortcut keys sabhi ke liye bahut hi faydemand hain. thanks for sharing useful shortcut keys. Thanks Bro…

Add a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

I need help with ...