Aapki post ko koi bhi copy kar ke publish kar sakta hai. Is case mai aap uske khilap report karke uski post ko search engines me se remove karwa sakte ho. Isse use search engine se bilkul bhi traffic nahi milega. Uski copyright post search engine se humesha ke liye delete ho jayegi. Or agar uski site blogspot free platform par hai to google search team uski copied site ko hi blogger par se delete kar degi.
Maine apni pichli post Aapki Site Ka Content Copy Ho Raha Hai Ya Nahi Kaise Pata Kare me btaya tha ki kiase hum apne blog ki copy karne wale ka pata kar sakte hai. Is post me btayi tricks se aap apni site ki copy ki gayi post ka pata laga asakte hai or copy karne wale ko iske bare me bta kar use copy karne se rok sakte hai.
Aap apni site par right click desable kar ke bhi apni site ka content copy hone se bacha sakte hai. Iske liye aapko apne blog par 2-3 step ki setting karni padegi. Jiske bare me maine Blogspot Blog Par Post Content Chori Hone Se Kaise Bachaye me btaye hai. Agar aapke sath ye porblem hai to aap ye post padh kar apni site par copy paste option ko disable kar ke copyrighting ko band kar sakte ho.
Agar aap aysa kar chuke hai or aapke mana karne ke bavjud bhi chor (thieft) aapki site ko copy karna nahi chodta hai to don’t worry iska bhi solution hai. Wo bhi aysa ki aap apne chor ki site ko internet par se delete bhi karwa sakte hai.
- Website Copyright Content Check Karne Ki Top 10 Free Tools
- Website Blog Broken Links Check Karne Ki Top 5 Websites
Google search team se report kar ke hum us site ko search engine se remove or delete karwa sakte hai jo aapki site ka post content copy kar rahe hai. Aysa karne se unki site kabhi bhi delete or remove ho sakti hai.
Copied Content Ko Google Search Se Remove Kaise Karwaye
Jaisa ki maine aapko isi post me upar btya hai ki kisi ke report karne par google search team use remove or delete kar sakti hai. Mai aapko ye clear bta dena chahata hu ki kounsi site delete hogi or kounsi site remove hogi.
- Agar copied site blogspot ke free platform par hai to google search team us site ko humesha ke liye delete kar sakti hai. kyuki wo google ke hi platform par host hoti hai.
- Agar copied site self hosted hai or WordPress par banayi gayi hai to goole search team use delete to nahi kar sakti but use search engine se remove kar degi. isse copied site ko search engine se 1% bhi traffic nahi milega.
To ab aapko ye to clear ho gaya ki konsi site remove hogi or konsi delete hogi. Sabse achi bat ye hai ki 80% copy karne walo ki site (blog) blogger ke free platform par hi hote hai. Or sirf 20% WordPress user hi dusro ki copy karte hai. kyuki WordPress par wohi log blog install karte hai jinko blogging ki achi jankari hogi.
Copied content ke khilap report karne ki processing WordPress, Blogspot and other platform sabhi par alag alag hoti hai. Kyuki har platform ki team alag alag hoti hai. Mai aapko yaha blogger platform ke bare me jankari de raha hu. Kyuki Copy karne walo ki site sabse jyada google ke isi free platform blogger par host hoti hai. Iske bare me mai post me upar bhi bta chuka hu. But fir bhi mai aapka yaha WordPress or other report website ka link de raha hu.
- WordPress.com blog copied user ki report karne ke liye is form par jaye: WP Report Form
- Blogspot.com blog copied user ki report karne ke liye ye form use kare: Blogger Report Form
- Other kisi platform user site ki report karne ke liye is form ko use kare: Other Report Form
WordPress or baki sites ke bare me hum bad me bat karenge. Abhi mai aapko only blogspot blog ke khilap report karne ke bare me bta raha hu. Follow Belowe Steps.
Blogspot free blog user ki report karne ke liye Report alleged copyright infringement page par jaye. Ab niche btaye anusar step follow kare.
- Apna first or last name enter kare.
- Apni companyya website ka URL ya name add kare.
- Self select kare.
- Apna email enter bhare.
- Apni country ka name select kare.
- Yaha aap 3-4 lines me request message likhna hai. Jisme ye btana hai ki aap is content ke original author hai or ye 100% aapke dwara likha gaya hai. Fir usi lines ke niche ye likhna hai ki copy karne wale ne aapka kya kya content copy kiya hai. Jaise text, images. (Request message english me likhna hai.)
- Yaha par aaapki un posts ka link add kare jo kisi ne copy ki gayi hai. Aap yaha per lines 1000 urls add kar sakte ho.
- Yaha par aapko copy karne wale ki post ka link add karna hai. (Yaad rahe jaise aapne upar apni site ke link add kiye hai usi tarah lines me yaha copy karne walo ke link add karne hai.)
- Aap jis content ke copied hone ke khilap report kar rahe. Us sabke bare me aap confirm kar chuke hai ki aap uske sahi or real malik hai or aap jiske khilap report kar rahe hai wo aapki site ki post copy kar raha hai iska aapko pura wishwas hai to yaha par sabhi par tick kare.
- Aap kab tak is report ka action chahate hai. Yani copy ki gayi post kab tak delete ho jani chahiye.
- Yaha par apna full name likhe.
- Capcha code verify kare.
- Finally Submit par click kare.
Agar aap is form me puri jankari sahi nahi bharoge to aapki report par goolge search team koi karvayi nahi karegi. Aapke puri jankari sahi sahi bharne ke bad hi google search team copied site ke khilap action legi. or apne hisab se use remove or delete karegi.
Agar aap galat report karte hai to google team aapko uski koi bhi saza de sakti hai. Ho sakta hai wo aapki hi site ko search engine se remove kar de. Isliye puri tarah pata karne par hi kisi ke khilap report kare. Or agar google search team jaldi action na le to bar bar report na kare. Ek bar report karne ke bad google team ke mail ka intjar kare.
Kisi ke khilap report karne se pahle aap apni site ki copy karne wale se contact kar le or agar wo fir bhi na mane to use is report ke bare me btaye ki aap uske khilap action le sakte hai. Jisse uski site remove or delete ho sakti hai. Iske bad bhi agar wo aapko care na kare to hi aap uske khilap report kare.
- Micro-Niche Site Kaise Banaye $1000 Monthly Kamane Ke Liye
- Top List Articles Se 1 Month Me 100,000 Visitors Kaise Paye
I hope aapko is post me helpful jankari milegi. If Yes, to is post ko social media par share jarur kare. Or agar aapko post ke bare me koi sawal puchna hai to comment box me puch sakte ho.
Share post on social media.
Deepak yadav
hello sir,,
Google say DMCA ka notice aya he 23- may ko.. Muje abhi tak pata nahi chal pa raha ki mane copy content kaha say kiya hai.. Jub ki muje pata he mane conetct copy nahi kiya hai.. but muje samj me nahi a rha mera site google say remove ho gaye hai. mare help karo plz…taki mare site vapis la saku… PLZZZZZz
जुमेदीन खान
DMCA report को अच्छे से चेक करो क्या कॉपी हुआ है उसके बारे में बताया हुआ होगा
बंसी लाल रेबारी
सर कोई तरीका है क्या जिससे ये पता चल सके कि आप जो भी आर्टिकल या blog wordpress पर लिख रहे है उसके जैसा पहले से मौजूद है । जिसकी आप copy कर रहे है पर आपको नही पता है।
Jumedeen Khan
आप duplichecker.com पर चेक कर सकते है
Vinay Sati
sir main Ek poet hun and ek poet k hisab se maine apna unique name rakha h & use nam se main apne post public karta hu but mera real name different h
so mera apse swal ye h ki complaint karte smay “Name” & “Signature Name” me main kaun sa name bharun
Jumedeen khan
Jo name blog par use karte ho wo.
Gourab Das
Hi sir.
Main apse ek baat kahna chahta hu.pls iska reply jaldi dijiyega.
Sir mere site me sab kuch disable hai. Right click se lekar sab kuch.
Lekin fir bhi ek ladke ne mere sare content ko copy karke uske blog par publish kiya tha.
Aur mujhe jab pata chala to usko maine action lunga aisa kaha. But woh nhi mana.
To maine tab dmca me report kiya.
Lekin report hone ke 6 hour baad usne uske blog ko hi delete kr diya.
Ab maine jo dmca me from bhara tha woh reject ho chuka hai.
So pls bataiye isse mere blog par koi bura asar to nahi padega.?. Pls help me.
Jumedeen khan
No worry koi problem nahi hogi.
Juhi Rani
Sir agar kisi ne same mere naam ka domail liya ho. Jaise – mera .tk hai. To kisi ne .com le liya ho. Same usi naam ka. To kya kare ? Kyunki mera website name bhi chori ho gaya hai. 🙁
Jumedeen khan
Kuch nahi kar sakte aapko usse pahle domain lena chahiye tha.
veerendra
worpress me URL except nhi kar raha hai iske liye kya kare
Jumedeen Khan
Please ask your question on forum.
Akash
Hi sir,
Mai apne blog par fresh content khud se type kar ke bhi post kar rha hu or copyscap se apna content check kar rha hu to v kuchh word or sentence match kar rahe hai iske o v 5-6 site ka to kya ye mere blog ke khilaf report kar sakte hai.
Jumedeen Khan
First aap next time name se comment karna,
2% se 5% kisi ka bhi content kisi or se match ho jata hai. Aap khud likh rahe ho koi problem nahi hai but kisi ka content copy mat karo.
Vivek Darji
very Good Post Kaafi Log isse paresaan the me bhi yahi post likh rahatha lekin kitne dino se drft me rah gai he..
Tushar Chauhan
bro theme change karne se mujhe nuksaan to nhi hoga na… mtlb wapas se pehli theme install ho jaegi na
Jumedeen Khan
Aap pahli them ka backup le lo. Ha ho jayegi.
Tushar Chauhan
bro agar mujhe api WordPress site ka backup lena hai means apni purani theme se nayi theme install krni par nayi theme mai koi problem ayi to purani theme wapas se install kar du aur same vaise hi ho jae jaise pehle thi to uske liye kya krna padega.
Jumedeen Khan
Aap WordPress dashboard >> tools >> export par se blog ka backup le sakte ho or theme ke backup ka option theme me hi hota hai. Ya fir aap theme backup plugin use karo.
Tushar Chauhan
sir mai apse personally kaise baat kr sakta hu thodi badi problems h
Jumedeen Khan
Aap contact form me message kar sakte ho.
Tushar Chauhan
bro mera theme ka menu baar right sidde aur left side se exit ho rha hai jaise apka nhi ho rha hai apke menu bar mai to kya aap bta sakte hai ki mai apne menu bar ko jyada exit na ho limit mai rahe aisa kya karu?
Jumedeen Khan
Aapko iske liye style.css file me ja kar secondary menubar ki widget kam karni hogi.
Rajesh
Sir,agar koi website ya blog se koi post copy karke main mere notebook app par save karke rakta hu.toh wo kya copyright hoga.maine us post ko dubara parne ke liye hi notebook app par save kiya.maine koi site ya social media par mere name se use post nahi kiya.toh us post ko parne ke liye agar notebook app par save karke rakho.toh wo kya copyright hain?
Jumedeen Khan
Nahi aap sirf padhne ke liye post copy kar rahe ho na ki apne blog ya site par share kar rahe ho. [alert-sucsess] error hai jo ki theme problem ki wajah se aa raha hai.
Sumit Sharma
Maine Adsense par apply karte vakt content language English select kar diya, Jabki mai Hindi(roman font) me post likhta hun. koi problem to nahi or agar problem hai to main kaha se sahi karu use.
Jumedeen Khan
Don’t worry maine bhi yahi select kiya tha. Adsense approved hone ke bad language change kar lena. Adsense setting me account setting me ja kar kar sakte ho.
Haidar khan
mujhe Apni Alexa Rank 100000-150000 tak lane ke liye kitna traffic chahiye har Months?
Jumedeen Khan
Alexa rank traffic se nahi site quality se kam hoti hai. Aap supportmeindia ki alexa se related post padho.
Tushar chauhan
Bro mai ye janna chata hu ki apne apni ribbon theme kaise edit ki means picture size menu bar
Jumedeen Khan
Tushar mai ab ribbon theme k ihelp se bani khud ki theme use karta hu.
Shekhar Mishra
wow, jumedeen Ji Very Nice and Unique post ,Mai soch hi Raha tha ki Kash koi is Problem Ka Bhi Solution Nikale , Thanks a Lot For This Speechless Post
Mahendra
koi mere blog ki post copy kar raha hai lagbhag 6-7 post copy ki hai or uska AdSense bi approve hai..to kya uska blogger ac automatic block ho jayega
Jumedeen Khan
Ha uska blog delete ya remove ho jayega. Aap DMCA me uski report karo.
Ismail
Jume deen bhai mein jaanonet.com ka founder bhai aap se mein ne sawal kiya tha jo aap alag samaj rahe ho aap meri problem samaje nahi aap samajne k lye aur muje reply dene se pahele please bhai ek baar jaanonet.com Google par search karo aur fir aap ko pata chalega problem dublicet wrong meta description ki Please help iska koyi to solutions agar aap k pass nahi bhi to kahi ache site onwer se puch kar ya English airctel padh kar zaror help laren kare
Jumedeen Khan
Aapki choti c problem hai ki aapke blog ki search engine me description show nahi ho rahi hai. aap blogger dashboard >> settings >> search preferences par jao or upr Description ke samne apne blog ke bare me 160 character me details likho. Or aapke blog ka name bhi bahut bada hai ise bhi 60 character se kam karo.
Aap ye post follow karo
1. Blogger Me Meta Tags Description Code Kaise Add Kare
2. Blogger Ki Har Post Me Search Description Enable Kaise Kare
Mukesh Yadav
JDK Bhai Mere Blog me Adsense ke Sath yellow Box A Raha hai Maine Us Theme ki CSS File Style.css ko Bhi Edit kar Liye Lakin Problem Ja Hi Nahi Raha hai.. Aap Mere Blog Me Jakar Problem Dekh Sakte hai.
Jumedeen Khan
Mukesh aap ek bar theme check karke dekho. Bro aapse CSS coding setting sahi se nahi huyi.
Sandesh
Sir mai jo post daal raha hu google me search krne pr google plus wale se dikh raha h waha se kholne pr bhi site se nhi blki google+ se khul rha hai ek baat aur search krne pr bahut last me dikh rha h help me
Jumedeen Khan
Sandesh apni post ko first me dikhane ke liye aapko dusro se behtar post likhni hogi. Mai aksar isi ke bare me post karta hu. Website Ki SEO Ranking Banaye Rakhne Ke Top 5 New Tarike post me isi ke bare me btaya hai.
Kabir
Aaj 3 Din ho gye hain Google DMCA mein report kiye Abhi Tak Google DMCA Status mein Pending aa raha hain. pata nahi Google kitne dino mein copy content ko search engine se remove karta hain. Kaash koi samay seema bhi agar bata deta ki itne dino mein hum action lete hain , toh original blogger ke mann mein Ek hausla toh bana rahta. Pata nahi kitna waqt lagega 3 din ho gye hain. Ek hafte tak wait karta hoon… dekhte hain kya hoga…. mujhe ek baat samajh nahi aati hain ki Tech-Bloggers hamesha kahte hain ki Google ke Paas Google Panda hain, Google Penguin hain isliye Original post likhna chahiye, nahi toh duplicate post ko Google search engine mein jagah nahi deta… Lekin Yeh Copy Cat wale Puri ki Puri post copy kar lete hain toh Google hamari Original Post ko Search Engine mein jagah na dekar oon CoPy Cat walo ki website ko itni zyada tarjeeh kyo deta hain? Tab Google ka Google Panda aur Google Penguin kaha gayab ho jate hain?
Jumedeen Khan
Kabir maine post me 10ve step par clear btaya hai. Aap yaha jo dare daloge google us date tak action leta hai. Aapne datre galat dali hogi. Ya fir aap sahi message nahi likh paye hoge. Apni galti ki wajah se google ko dosh mat do. Maine bhi DMCA form me complent ki hai. Ek din bad hi post delete ho gayi thi.
Kabir
Date kaun si daalni chahiye, Matlab agar aaj main report kar raha hoon toh kya agle din ki date dalni chaiye. Jaise ki aaj 21 May hain toh kya mujhe 23 May ki date daalni chahiye?
Jumedeen Khan
Ha aaj report kar rahe ho to aaj ya ek do din bad ki date dalni chahiye.
Ritik kadole
bahoot badhiya post… Par ye bahoot lambi or badi process bhi hai. me apni website par apne ideas dalta hoon to copy bhi ho jate hai isse me report bhi kar sakta hoon thanx for it…
zishan ali gulzar
sir. WordPress me jab mai koi post krta hun, to yoast plugin me meta description ur focus keyword dalne ke yoast se traffic signal me green light hota but 3 green light me ek hi on hota hai,, to kya 3 green light on hoga to seo hoga ya 1 me bhi chlega kyuki only good seo likhta hai,,, sir ise kaise kare ur aapka 3 green light on hota hai,,,,iske bare post likheye na
Jumedeen Khan
Zishan ek hi green light hoti hai. Ek hi karni hai.
nitin
sir post ka title kon sa better hoga example. Computer par 3d video kaise dekhe or example.watch 3d videos on Computer read in hindi. or example. watch 3d video on computer
sir 3 me kis par jyada traffic aa skta hai.
or sir mery website check kre or btae aagar koi kmi hai to.
Jumedeen Khan
First wala title use karo kyuki aapka blog hindi me hai. or aap iske bare me hindi me likhoge. blog ko thoda apne hisab se alag design karo.
nitin
sir aagar koi post English me hai or use hindi me likh kr edit kar post kr de to kya copyright hogi ya nhi
Jumedeen Khan
Ha ho sakti hai.
Ammi singh
nahi sir uski site block nahi top pe aari hai jo position meri posts ki hoti thi wo us cheater ki hori hai or han sir uske blog par bahut se blogs se copy ki huyi posts hai
Jumedeen Khan
Ammi mai aapki bat samajh raha hu agar wo kisi ki ek do post karta hai to google use original samajhta hai. but usne aapki 7-8 post copy ki hai. google bahut jald uski post ko remove kar dega. isme thoda time jarur lagega. aapko intjar hi karna padega.
Ammi singh
hello sir meri site ki sari post ek blog pe copy ho rahi hai maine use bola bhi ki copy mat karo or meri posts ko delete kar do par usne nahi ki or wo bol ra ki nahi karunga mai delete or usne meri 8-9 posts copy ki hai or usne mere blog ki photos bhi copy Ki hai plz kya karu report bhi success ni ho pa ri hai kya karu plz sir koi rasta batawo meri post se aage uski posts aari hai search mr usko hi faida hora hai plz jald hi solution dijiye uske blog ka URL mai aapko fb par send karunga
Jumedeen Khan
Agar usne aapki 7-8 post copy ki hai to don.t worry uski post search enigne se bahut jald block ho jayegi.
aman gupta
Koi typing ka job mil sakta hai kya please Replay me
Jumedeen Khan
aapko yaha par sirf janakri mil sakti hai.
Mo Aziz
thanks,
lekin iss post ke hisab se post me ads kaha kaha show hoga
isme hum tex/image or link ads ko 1 sath laga sakte hain kya
Jumedeen Khan
Nahi laga sakte ye post padho. Adsense Ke Ads Kaha Kaha Nahi Laga Sakte – Full Guide
Mo Aziz
blogger me mujhe kya karna chahiye. mai kaise set karu ads koi to tarika hoga.
Jumedeen Khan
@Aziz, aap blogger post ke niche or upar ek bar me sabhi post me ads laga sakte ho. ye post padho. Blogger Ki Sabhi Post Me Adsense Ke Ads Kaise Lagaye.
Mo Aziz
jumeedeen bhai mujhe ye bataye
jo aapne apni post me ads ke barabar text post likhi hai ye kaise karte ho
kyonki jab mai apni post me ads lagata hu to text ads ke niche chala jata to main apke jaise kaise karu
pls bataye
Jumedeen Khan
mera blog WordPress par hai or mai AdSense plugin use kar ke ads lagata hu. blogger par aap aysa nahi kar sakte.
Sameer khan
Assalamu alaikum! Kaise ho Bhain??? Maine apko mail ki thi toh sending failed ho gyi…
Abhi mera 2 din ka off hai.. bhai mujhe aur bhi kuch puchna hai taaki mai fir se start kr sku.. aapko personal message kaise bheju ?
Jumedeen Khan
Is blog ke niche contact par click karke message send karo.
ajay
mene apke ytub se related sabhi post pad liye sir ab thoda bhut basic samaj gya hu aapne mje kaha tha ki gaming aur tv show ke vdo upld nhi kar sakte hai aap batayenge ki ham kyo nhi kar sakte me khud hi vdo record krunga aur upload krunga to phir isme problem kaha pe hai me tech vdo nhi bana skta kyunki me technology ke baare me itna nhi jaanta.
Jumedeen Khan
Kyuki game ka music copyright hota hai. or usi aawaz me kisi or ke youtuve par allready video ho sakte hai.
juzer
sir ji me custom url channel banana chahta hu jaise ki short url YouTube.com/channel name me ye kese banau .
2) me mobile se vdo upld karna chahta hu waha pe tags ke option aate hai me tags ke option me kaun se tags daalu vdo pe tags kese daalte h plz bataye.
Jumedeen Khan
1. aap google plus id par apne mobile number verify karo. kuch din bad aapko custom link ka option mil jayega.
2. ye post padho YouTube Par Video Upload Kaise Karna Chahiye Hindi Jankari
Gulrez siddiqui
sir meine apne blog ki template change ki hai aur sir isme “Created BySora Templates&Blogger Templates| Distributed ByGooyaabi Templates5″” aa raha h sir me ise delete karna chahta hu please sir bataye kaise hoga
Jumedeen Khan
Blog ke dashboard>>template>>edit HTML option par jao or ctrlk+f key button daba kar wo search karo jo aapko delete karnaa hai. search karke use delete karke save template par click karo.
dev
bhayi mughe ye smgh nahi aya ki mene blogger par check karta hu to daily page views 300 ke somthing hote he par mene 2-3 site par check kiya to mere daily page views 1000 about he to mughe ye smgh nahi aa rha he mere page views AdSense layak he ya nhi yani kitne daily ke page views kitne hote he ye pata nhi chal rah he tab phir me ads ke liye apply karu.
Jumedeen Khan
Koi bhi site kisi site ki fix traffic jankari nahi deti hai. jo pageviews aapke blog par ho rahe hai. wohi originol hai.
suraj deshmukh
Bhai mere site per daily 600 visiter aate hai fir bhi earning $0.80 hi hoti hai.Aapne jo low cpc wali sites ko block karne ko bola tha wo bhi kiya.So meri earning kam hone ka reason kya hai? Aur plz ek bar meri site check karke kuch sugetion dijiye kya maine kuch galti toh nahi ki.
Jumedeen Khan
Maine check kiya hai aap apni post me high quality keywors use nahi kar rahe ho. or aapki site par jo 300 pageviews hai. unme aapke pageviews hi hai. high quality keywords na hone or search engine low ranking me aap sirf 1000 pageviews se $1-$2 hi kama sakte ho. kyuki old visitors jo AdSense ke bare me jante hai wo kabhi ads par clic nahi karte hai. I mean aap search engine se aaye visitors se 1000 pageviews par $5 to $120 kama sakte hu but aapke old visitors se 2000 pageviews se itne pasie nahi kama sakte.
suraj
Bhai par mere blog par search engine se roj 600 new visiters aate hai jetpack me bata raha hai. Toh reason sirf ye man sakta hu high quality keywords na hone se meri kamai jyada nahi ho pa rahi.
Vijay Singh Panwar
bhai ek sawal tha aapne is post me jo image daali he big size ki wo kaise capture kari? plz bataye
Jumedeen Khan
aap zooming kam karke sceenshot le sakte ho ya fir kei bar screenshot le kar unhe ek sath jod sakte ho.
Ravi Kumar
thanks bhaiya , isse pahele maine aapse ek request ki thi , affiliated market aise kuchh post title hai, usme maine comment ki aur usme mere blog ka link chala gaya , please aap usse deleted kar do please bhaiya, mujhe problem hai,
Jumedeen Khan
Maine allready comeenet me se link remove kar diya hai.
Jai singh
Hi bhai , aap hi meri madad karte ho so plz in 2 problems ka solution do →
Sir good evening
Sir AdSense mein jo bhi ads k size diye hote hai agr us mein se Koi size k add lagaye toh Koi problem toh nahi
Aur sir AdSense mein search box ‘ Link add dono per show add se earning hoti hai
Aur sir
Next ye ki hum ek page pe 3 text/ display add, 3 link add aur 3 AdSense search box laga sake hai
Naa
1. mere AdSense mei per day pageview 3000 hai but meri earning .70$ se upar nahi jaa rahi plz koi solution do.
2. mei abhi to blogger par hu and mere per day pageview 2700 Normal hai mere ko blog banaye hue 6 Month ho gaye pageview increase hi ni ho rahe (mei 2 Month se koi copy content nahi daal raha)
Jumedeen Khan
aap kisi bhi size ke ads use kar sakte ho. ha dono se earning hoti hai. ha laga sakte ho.
jab koi aapke ads par click karega to hi aapki income hogi. wese old visitors ads par click nahi karte hai. kyuki unhe AdSense ke bare me jankari hoti hai.
traffic badhane ke liye aap humari SEO se related post padha karo.