Copied Content Ki Google DMCA Form Me Report Kaise Kare

Aapki post ko koi bhi copy kar ke publish kar sakta hai. Is case mai aap uske khilap report karke uski post ko search engines me se remove karwa sakte ho. Isse use search engine se bilkul bhi traffic nahi milega. Uski copyright post search engine se humesha ke liye delete ho jayegi. Or agar uski site blogspot free platform par hai to google search team uski copied site ko hi blogger par se delete kar degi.

Aapki Site Ki Copy Karne Wale Ke Khilap Google Search Team Se Report Kaise Kare

Maine apni pichli post Aapki Site Ka Content Copy Ho Raha Hai Ya Nahi Kaise Pata Kare me btaya tha ki kiase hum apne blog ki copy karne wale ka pata kar sakte hai. Is post me btayi tricks se aap apni site ki copy ki gayi post ka pata laga asakte hai or copy karne wale ko iske bare me bta kar use copy karne se rok sakte hai.

Aap apni site par right click desable kar ke bhi apni site ka content copy hone se bacha sakte hai. Iske liye aapko apne blog par  2-3 step ki setting karni padegi. Jiske bare me maine Blogspot Blog Par Post Content Chori Hone Se Kaise Bachaye me btaye hai. Agar aapke sath ye porblem hai to aap ye post padh kar apni site par copy paste option ko disable kar ke copyrighting ko band kar sakte ho.

Agar aap aysa kar chuke hai or aapke mana karne ke bavjud bhi chor (thieft) aapki site ko copy karna nahi chodta hai to don’t worry iska bhi solution hai. Wo bhi aysa ki aap apne chor ki site ko internet par se delete bhi karwa sakte hai.

Google search team se report kar ke hum us site ko search engine se remove or delete karwa sakte hai jo aapki site ka post content copy kar rahe hai. Aysa karne se unki site kabhi bhi delete or remove ho sakti hai.

Copied Content Ko Google Search Se Remove Kaise Karwaye

Jaisa ki maine aapko isi post me upar btya hai ki kisi ke report karne par google search team use remove or delete kar sakti hai. Mai aapko ye clear bta dena chahata hu ki kounsi site delete hogi or kounsi site remove hogi.

  1. Agar copied site blogspot ke free platform par hai to google search team us site ko humesha ke liye delete kar sakti hai. kyuki wo google ke hi platform par host hoti hai.
  2. Agar copied site self hosted hai or WordPress par banayi gayi hai to goole search team use delete to nahi kar sakti but use search engine se remove kar degi. isse copied site ko search engine se 1% bhi traffic nahi milega.

To ab aapko ye to clear ho gaya ki konsi site remove hogi or konsi delete hogi. Sabse achi bat ye hai ki 80% copy karne walo ki site (blog) blogger ke free platform par hi hote hai. Or sirf 20% WordPress user hi dusro ki copy karte hai. kyuki WordPress par wohi log blog install karte hai jinko blogging ki achi jankari hogi.

Copied content ke khilap report karne ki processing WordPress, Blogspot and other platform sabhi par alag alag hoti hai. Kyuki har platform ki team alag alag hoti hai. Mai aapko yaha blogger platform ke bare me jankari de raha hu. Kyuki Copy karne walo ki site sabse jyada google ke isi free platform blogger par host hoti hai. Iske bare me mai post me upar bhi bta chuka hu. But fir bhi mai aapka yaha WordPress or other report website ka link de raha hu.

  • WordPress.com blog copied user ki report karne ke liye is form par jaye: WP Report Form
  • Blogspot.com blog copied user ki report karne ke liye ye form use kare: Blogger Report Form
  • Other kisi platform user site ki report karne ke liye is form ko use kare: Other Report Form

WordPress or baki sites ke bare me hum bad me bat karenge. Abhi mai aapko only blogspot blog ke khilap report karne ke bare me bta raha hu. Follow Belowe Steps.

Blogspot free blog user ki report karne ke liye Report alleged copyright infringement page par jaye. Ab niche btaye anusar step follow kare.

  1. Apna first or last name enter kare.
  2. Apni companyya website ka URL  ya name add kare.
  3. Self select kare.
  4. Apna email enter bhare.
  5. Apni country ka name select kare.
  6. Yaha aap 3-4 lines me request message likhna hai. Jisme ye btana hai ki aap is content ke original author hai or ye 100% aapke dwara likha gaya hai. Fir usi lines ke niche ye likhna hai ki copy karne wale ne aapka kya kya content copy kiya hai. Jaise text, images. (Request message english me likhna hai.)
  7. Yaha par aaapki un posts ka link add kare jo kisi ne copy ki gayi hai. Aap yaha per lines 1000 urls add kar sakte ho.
  8. Yaha par aapko copy karne wale ki post ka link add karna hai. (Yaad rahe jaise aapne upar apni site ke link add kiye hai usi tarah lines me yaha copy karne walo ke link add karne hai.)
  9. Aap jis content ke copied hone ke khilap report kar rahe. Us sabke bare me aap confirm kar chuke hai ki aap uske sahi or real malik hai or aap jiske khilap report kar rahe hai wo aapki site ki post copy kar raha hai iska aapko pura wishwas hai to yaha par sabhi par tick kare.
  10. Aap kab tak is report ka action chahate hai. Yani copy ki gayi post kab tak delete ho jani chahiye.
  11. Yaha par apna full name likhe.
  12. Capcha code verify kare.
  13. Finally Submit par click kare.

Report to DMCA

Agar aap is form me puri jankari sahi nahi bharoge to aapki report par goolge search team koi karvayi nahi karegi. Aapke puri jankari sahi sahi bharne ke bad hi google search team copied site ke khilap action legi. or apne hisab se use remove or delete karegi.

Agar aap galat report karte hai to google team aapko uski koi bhi saza de sakti hai. Ho sakta hai wo aapki hi site ko search engine se remove kar de. Isliye puri tarah pata karne par hi kisi ke khilap report kare. Or agar google search team jaldi action na le to bar bar report na kare. Ek bar report karne ke bad google team ke mail ka intjar kare.

Kisi ke khilap report karne se pahle aap apni site ki copy karne wale se contact kar le or agar wo fir bhi na mane to use is report ke bare me btaye ki aap uske khilap action le sakte hai. Jisse uski site remove or delete ho sakti hai. Iske bad bhi agar wo aapko care na kare to hi aap uske khilap report kare.

I hope aapko is post me helpful jankari milegi. If Yes, to is post ko social media par share jarur kare. Or agar aapko post ke bare me koi sawal puchna hai to comment box me puch sakte ho.

Share post on social media.

Reader Interactions

Comments (82)

  1. Sir mai jo post daal raha hu google me search krne pr google plus wale se dikh raha h waha se kholne pr bhi site se nhi blki google+ se khul rha hai ek baat aur search krne pr bahut last me dikh rha h help me

  2. Aaj 3 Din ho gye hain Google DMCA mein report kiye Abhi Tak Google DMCA Status mein Pending aa raha hain. pata nahi Google kitne dino mein copy content ko search engine se remove karta hain. Kaash koi samay seema bhi agar bata deta ki itne dino mein hum action lete hain , toh original blogger ke mann mein Ek hausla toh bana rahta. Pata nahi kitna waqt lagega 3 din ho gye hain. Ek hafte tak wait karta hoon… dekhte hain kya hoga…. mujhe ek baat samajh nahi aati hain ki Tech-Bloggers hamesha kahte hain ki Google ke Paas Google Panda hain, Google Penguin hain isliye Original post likhna chahiye, nahi toh duplicate post ko Google search engine mein jagah nahi deta… Lekin Yeh Copy Cat wale Puri ki Puri post copy kar lete hain toh Google hamari Original Post ko Search Engine mein jagah na dekar oon CoPy Cat walo ki website ko itni zyada tarjeeh kyo deta hain? Tab Google ka Google Panda aur Google Penguin kaha gayab ho jate hain?

    • Kabir maine post me 10ve step par clear btaya hai. Aap yaha jo dare daloge google us date tak action leta hai. Aapne datre galat dali hogi. Ya fir aap sahi message nahi likh paye hoge. Apni galti ki wajah se google ko dosh mat do. Maine bhi DMCA form me complent ki hai. Ek din bad hi post delete ho gayi thi.

      • Date kaun si daalni chahiye, Matlab agar aaj main report kar raha hoon toh kya agle din ki date dalni chaiye. Jaise ki aaj 21 May hain toh kya mujhe 23 May ki date daalni chahiye?

        • Ha aaj report kar rahe ho to aaj ya ek do din bad ki date dalni chahiye.

  3. bahoot badhiya post… Par ye bahoot lambi or badi process bhi hai. me apni website par apne ideas dalta hoon to copy bhi ho jate hai isse me report bhi kar sakta hoon thanx for it…

  4. sir. WordPress me jab mai koi post krta hun, to yoast plugin me meta description ur focus keyword dalne ke yoast se traffic signal me green light hota but 3 green light me ek hi on hota hai,, to kya 3 green light on hoga to seo hoga ya 1 me bhi chlega kyuki only good seo likhta hai,,, sir ise kaise kare ur aapka 3 green light on hota hai,,,,iske bare post likheye na

    • Zishan ek hi green light hoti hai. Ek hi karni hai.

  5. sir post ka title kon sa better hoga example. Computer par 3d video kaise dekhe or example.watch 3d videos on Computer read in hindi. or example. watch 3d video on computer
    sir 3 me kis par jyada traffic aa skta hai.
    or sir mery website check kre or btae aagar koi kmi hai to.

    • First wala title use karo kyuki aapka blog hindi me hai. or aap iske bare me hindi me likhoge. blog ko thoda apne hisab se alag design karo.

  6. sir aagar koi post English me hai or use hindi me likh kr edit kar post kr de to kya copyright hogi ya nhi

    • Ha ho sakti hai.

  7. nahi sir uski site block nahi top pe aari hai jo position meri posts ki hoti thi wo us cheater ki hori hai or han sir uske blog par bahut se blogs se copy ki huyi posts hai

    • Ammi mai aapki bat samajh raha hu agar wo kisi ki ek do post karta hai to google use original samajhta hai. but usne aapki 7-8 post copy ki hai. google bahut jald uski post ko remove kar dega. isme thoda time jarur lagega. aapko intjar hi karna padega.

  8. hello sir meri site ki sari post ek blog pe copy ho rahi hai maine use bola bhi ki copy mat karo or meri posts ko delete kar do par usne nahi ki or wo bol ra ki nahi karunga mai delete or usne meri 8-9 posts copy ki hai or usne mere blog ki photos bhi copy Ki hai plz kya karu report bhi success ni ho pa ri hai kya karu plz sir koi rasta batawo meri post se aage uski posts aari hai search mr usko hi faida hora hai plz jald hi solution dijiye uske blog ka URL mai aapko fb par send karunga

    • Agar usne aapki 7-8 post copy ki hai to don.t worry uski post search enigne se bahut jald block ho jayegi.

  9. Koi typing ka job mil sakta hai kya please Replay me

    • aapko yaha par sirf janakri mil sakti hai.

  10. thanks,
    lekin iss post ke hisab se post me ads kaha kaha show hoga
    isme hum tex/image or link ads ko 1 sath laga sakte hain kya

  11. blogger me mujhe kya karna chahiye. mai kaise set karu ads koi to tarika hoga.

  12. jumeedeen bhai mujhe ye bataye
    jo aapne apni post me ads ke barabar text post likhi hai ye kaise karte ho
    kyonki jab mai apni post me ads lagata hu to text ads ke niche chala jata to main apke jaise kaise karu
    pls bataye

    • mera blog WordPress par hai or mai AdSense plugin use kar ke ads lagata hu. blogger par aap aysa nahi kar sakte.

      • Assalamu alaikum! Kaise ho Bhain??? Maine apko mail ki thi toh sending failed ho gyi…
        Abhi mera 2 din ka off hai.. bhai mujhe aur bhi kuch puchna hai taaki mai fir se start kr sku.. aapko personal message kaise bheju ?

        • Is blog ke niche contact par click karke message send karo.

  13. mene apke ytub se related sabhi post pad liye sir ab thoda bhut basic samaj gya hu aapne mje kaha tha ki gaming aur tv show ke vdo upld nhi kar sakte hai aap batayenge ki ham kyo nhi kar sakte me khud hi vdo record krunga aur upload krunga to phir isme problem kaha pe hai me tech vdo nhi bana skta kyunki me technology ke baare me itna nhi jaanta.

    • Kyuki game ka music copyright hota hai. or usi aawaz me kisi or ke youtuve par allready video ho sakte hai.

  14. sir ji me custom url channel banana chahta hu jaise ki short url YouTube.com/channel name me ye kese banau .

    2) me mobile se vdo upld karna chahta hu waha pe tags ke option aate hai me tags ke option me kaun se tags daalu vdo pe tags kese daalte h plz bataye.

  15. sir meine apne blog ki template change ki hai aur sir isme “Created BySora Templates&Blogger Templates| Distributed ByGooyaabi Templates5″” aa raha h sir me ise delete karna chahta hu please sir bataye kaise hoga

    • Blog ke dashboard>>template>>edit HTML option par jao or ctrlk+f key button daba kar wo search karo jo aapko delete karnaa hai. search karke use delete karke save template par click karo.

  16. bhayi mughe ye smgh nahi aya ki mene blogger par check karta hu to daily page views 300 ke somthing hote he par mene 2-3 site par check kiya to mere daily page views 1000 about he to mughe ye smgh nahi aa rha he mere page views AdSense layak he ya nhi yani kitne daily ke page views kitne hote he ye pata nhi chal rah he tab phir me ads ke liye apply karu.

    • Koi bhi site kisi site ki fix traffic jankari nahi deti hai. jo pageviews aapke blog par ho rahe hai. wohi originol hai.

  17. Bhai mere site per daily 600 visiter aate hai fir bhi earning $0.80 hi hoti hai.Aapne jo low cpc wali sites ko block karne ko bola tha wo bhi kiya.So meri earning kam hone ka reason kya hai? Aur plz ek bar meri site check karke kuch sugetion dijiye kya maine kuch galti toh nahi ki.

    • Maine check kiya hai aap apni post me high quality keywors use nahi kar rahe ho. or aapki site par jo 300 pageviews hai. unme aapke pageviews hi hai. high quality keywords na hone or search engine low ranking me aap sirf 1000 pageviews se $1-$2 hi kama sakte ho. kyuki old visitors jo AdSense ke bare me jante hai wo kabhi ads par clic nahi karte hai. I mean aap search engine se aaye visitors se 1000 pageviews par $5 to $120 kama sakte hu but aapke old visitors se 2000 pageviews se itne pasie nahi kama sakte.

      • Bhai par mere blog par search engine se roj 600 new visiters aate hai jetpack me bata raha hai. Toh reason sirf ye man sakta hu high quality keywords na hone se meri kamai jyada nahi ho pa rahi.

  18. bhai ek sawal tha aapne is post me jo image daali he big size ki wo kaise capture kari? plz bataye

    • aap zooming kam karke sceenshot le sakte ho ya fir kei bar screenshot le kar unhe ek sath jod sakte ho.

  19. thanks bhaiya , isse pahele maine aapse ek request ki thi , affiliated market aise kuchh post title hai, usme maine comment ki aur usme mere blog ka link chala gaya , please aap usse deleted kar do please bhaiya, mujhe problem hai,

    • Maine allready comeenet me se link remove kar diya hai.

  20. Hi bhai , aap hi meri madad karte ho so plz in 2 problems ka solution do →
    Sir good evening
    Sir AdSense mein jo bhi ads k size diye hote hai agr us mein se Koi size k add lagaye toh Koi problem toh nahi
    Aur sir AdSense mein search box ‘ Link add dono per show add se earning hoti hai
    Aur sir
    Next ye ki hum ek page pe 3 text/ display add, 3 link add aur 3 AdSense search box laga sake hai
    Naa
    1. mere AdSense mei per day pageview 3000 hai but meri earning .70$ se upar nahi jaa rahi plz koi solution do.
    2. mei abhi to blogger par hu and mere per day pageview 2700 Normal hai mere ko blog banaye hue 6 Month ho gaye pageview increase hi ni ho rahe (mei 2 Month se koi copy content nahi daal raha)

    • aap kisi bhi size ke ads use kar sakte ho. ha dono se earning hoti hai. ha laga sakte ho.
      jab koi aapke ads par click karega to hi aapki income hogi. wese old visitors ads par click nahi karte hai. kyuki unhe AdSense ke bare me jankari hoti hai.
      traffic badhane ke liye aap humari SEO se related post padha karo.