Google AdSense apni site ko monetize karne ke liye sabse best tarika hai. Blog se earning karne ke liye bhi AdSense top advertisment services me se ek hai, All blogger apne blog par text and display ads, link ad unit and AdSense search ads ki help se paise kamate hai. But AdSense search box ads ke bare me bahut se new bloggers ko information nahi hoti hai. In this tutorial, mai aapko AdSense search ads create karne or use blog me add karke money earn karne ke bare me details se bta raha hu.
Adsense custom search engine ke alawa Adsense matched content feature bhi offer karta hai. Jisme aapke hi blog ki recommended posts show hoti hai. Isse aapke blog par reader ko apni pasand ki post padhne me aasani hoti hai. Google custom search engine se paise kaise kamaye.
- Google Custom Search Engine Blog Me Kaise Add Kare
- Blog Ko Google Search Engine Me Index Karane Ki 5 Jabardast Tips
Google Adsense Search Ads Kaise Banaye or Site Me Kaise Add Kare
Jab aap AdSense search ads ko apne blog me add karoge to search box me reader ke search karne par aapke blog ki post show hoti hai. Isme aap ek se jyada blog bhi add kar sakte ho. Isse readers ko content find karne me help milti hai. I mean isse aapko 2 benfits hai ek aapko free search box mil jata hai dusra aapki earning bhi hoti hai.
- Adsense custom search engine use karne se aapke reader ko content search karne me aasani hogi.
- Blog search box me search karne par kei bar galat keyword search karne par “No results found” error aata hai. Custom search engine se ye issue kafi had tak solve ho jata hai. kyuki google related keywords results show karta hai.
- Sabse important bat isse aapki earning bhi hogi. jab bhi koi search box me koi keyword type karega to search results se pahle AdSense ads show honge. Reader ke in ads par click karne se aapki kamayi hogi. Example is screenshot me dekh sakte ho.
Now, aapko samajh aa gaya hoga ki AdSense custom search engine use karne se kya fayde hai. Ab second sawal hai “Google Adsense Par Custom Search Engine Kaise Create Kare?”
Step 1:
- Iske liye aap first apne AdSense account ko open kare or My ads par click kare.
- Ab left sidebar me Search >> Custom search engines par click kare.
- New custom search engine par click kare.
Step 2:
- Fill, your name, search engine ka koi name set kare.
- What to search ke samne “Only sites I select” choose kare. Isse search result me sirf aapke hi blogs ki post show hogi.
- Yaha aap jis website or blog ke liye AdSense search box use karna chahate ho uska link add kare. Aap yaha par per line ek se jyada blog ke URL add kar sakte ho. (Sites ke url se pahle https:// use kare jaise “https://www.supportmeindia.com“)
- Yaha par aapko apne blog se related keywords add karne hai. Example, jaise mai apne blog par blogging, SEO and Make money par articles likhta hu.
- Use SafeSearch ke samne tick kare.
- Country or territory select kare.
- Site language select kare. I mean aapko search results kis bhasha me dikhana hai.
- Encoding me Unicode (UTF-8) select kare. (We suggest you choose the search encoding that matches the encoding of your browser. Not sure how do to this?)
- Transliteration ko ayse hi chod de kuch bhi choose na kare.
Step 3:
Thirst step me popular queries ko ayse hi chod de or search box ke liye custom channels, search box style and ad style choose kare. Ye sab baki ads ki tarah hai. Actually, aap already ad create kar chuke ho so isme aapko koi problem nahi hogi. Aap easily ye step follow kar sakte ho.
Step 4:
Aapko AdSense search results kaha par show karna hai. Yaha aapke pas 3 option hai.
- on a Gooogle page in the same windows: Means aapke hi blog par google ke ek page me search result show hoga.
- on a Google page in a nre window: Means search result alag se google page me open hoga.
- on my website using an iframe: Means aap apni website or blog ke kisi page par search results show kar sakte ho. (Example, aap mere blog par search results dekh sakte ho.)
In my experiences, Mere hisab se apni hi site par kisi page me search result show karna better hoga. I mean 3 option choose kare.
- on my website using an iframe par select kare.
- Yaha par aapko us page ka URL add karna hai jis par aap search results dikhana chahate hai. (Aap apne blog par ek new page bana kar uska link is “https://www.supportmeindia.com/search” tarah set kare or use yaha paste kare.
- Width or results areas me 800px ya apne hisab se width select kare.
- Finally, Save and get code par click kare.
Ab aapka AdSense search ads bankar ready ho gaya hai. Ab aap apne blog ke dashboard par jaye or ek new page create kare. Uska link wohi rakhna hai jo aap upar “URL where search results will be displayed” ke samne add kiya hai.
Step 5:
Aap jaise hi Save and get code par click karoge to ek pop up windows open hogi. Usme search box code or search results 2 code honge.
“WordPress or blogspot blogger dono ke liye same process hai aapko apne blog par ek page create karke usme search results code paste karna hai. or first code blog widget me add karna hai”
Blog Me Adsense Search Ads Kaise Show Kare?
- Search box code: Ab aapko ye dono search engine ads code apne blog par add karne hai. Iske liye aap first search box code ko apne blog ki sidebar widget, menu bar ya aap jaha chaho waha widget me add kare.
- Search results code: second code ko aapne jo abhi new page banaya tha us par ja kar html section me paste karke save kar de.
All is well! You are done, Ab sab setting ho chuki hai or aap search ads se paise kamana shuru kar sakte hai. Agar aap search box ka size change karna chahate ho to aap first code me “Size=” ke samne ads size value set kar sakte ho.
- What is SEO Kya Hai / Search Engine Optimization in Hindi
- Google Adsense Se Related 20 Important Question Answer List
Finally, aap css code ki help se apne AdSense search box ko design kar sakte ho. By the way, ek bar apne search box ko try kar le or agar aapko koi problem ho to niche comment me uske bare me puch sakte ho.
I hope aapko ye article pasand aayega or aap aasani se google AdSense search box ads yani custom search box create karke usse money earn karna start kar sakoge. So ho sake to is post ko other blogger ke sath jarur share kare taki wo bhi iske bare me jan sake.
Vandana
Very helpful article sir,
Sir mera ek sawal hai ki search box me ads aayegi ki not click krne ki wajah se readers dusre Page pr chale jayege
Aur new bloggers ko yah use krna chahiye ya nhi
Jumedeen khan
Yes ad aayegi, yes karna chahiye.
Roshan
Sir maine ब्लॉg पर custom search engine Laga Liya Hai. Aur post search mein bhi Aati Hai. Lekin Kya Yeh AdSense se connect hai.
क्या मैं aise दो सर्च इंजन ऐड कर सकता हूं।
Jumedeen Khan
Yes kar sakte ho.
Anurag tiwari
Jdk bhai, mere adsense account me msg show ho rha hai, apke ads kisi dusri site pe lge hain jbki maine kvl verified blog pe ad lgayen hai.
Bhai jdk muje bta skte ho main kya karun.
Jumedeen Khan
Aap is post me btaye steps follow karo Kisi Site Me Aapke Adsense Ad Code Use Hone Par Kya Kare
Raval sagar
Mene Blogs PE ada lagadi he Aur Wattsup PE sahare 150 Group me link bheji he Aur mera account Hosted he to Kya muje is ads ke paise Nhi milenge 1Months Hua Hai Free blog He
Jumedeen Khan
Agar koi aapke ads par click karega to hi paise milenge.
Manzar
Brother AdSense bhi approve ha or cse bhi add ha or cse monitization bhi on ha per cse ki ads show nae hoti pehlay pehlay hoti mainay AdSense bhi new bnay kia problem ha
Jumedeen Khan
CSE ko AdSense se connect karo or monetize enable karo.