Single Google Account Se Multiple YouTube Channel Kaise Create Kare? Youtube ek single google / YouTube account se multiple channels create karna allow karta hai. Aap apni personal life and business ke liye multiple YouTube channel bana sakte ho. Aap sabhi channels ko simultaneously ek sath easily manage kar sakte ho. Youtube channel switcher feature se hum single google account par apne alag alag business ke liye alag se YouTube channel create kar sakte hai. Agar aap bhi YouTube par multiple channels banana chahate ho to aap is post me btayi gayi step by step guide follow kar multiple YouTube channel bana sakte ho.
Youtube par alag alag business work ke liye alag se YouTube account banane ki jarurat nahi hai aap ek hi single google account se YouTube par multiple channel bana sakte ho or un sabhi ko ek hi Google Adsense account se connect bhi kar sakte ho. Is se liye aapko new YouTube account, new google gmail ID banane ki jarurat nahi padegi or sabhi channels ko manage karne me aasani hogi.
Ek email account par multiple YouTube channel create karne se pahle main aapko YouTube Account and Youtube Channel ke bare me bta deta hu ki ye kya hai or dono me difference kya hai.
- YouTube Account: Usually, aap apne gmail account / google account se YouTube par log in karte ho to wo aapka primary YouTube Account hota hai.
- YouTube Channel: Youtube account par aap jo channel create karte ho unhe YouTube channel kahte hai.
Aap single YouTube account par multiple YouTube channel bana sakte ho. Ek hi google ID par apa 50 channels manage kar sakte ho.
- Youtube Partner Kaise Bane or Apni Videos Par Ads Kaise Dikhaye
- Youtube Ke Bare Me 20 Interesting Facts Amazing Jankari Hindi Me
Google multiple AdSense account banana allow nahi karta hai so iske bare me har YouTube publisher ko jankari honi chahiye. Agar aapke pas abhi tak koi YouTube channel nahi hai ya aap AdSense ke bare me nahi jante hai to aap first humari AdSense and YouTube se related posts padh kar iske bare me jankari hasil kar sakte ho. Let’s start, How to Create Multiple YouTube Channel Using Single Google ID?
How to Create Multiple YouTube Channel Using Single Google Account.
Agar aapke pas google account nahi hai to first aap Google Account Kaise Banaye post read karke apni googl ID bana le. Uske bad apne email address se YouTube par log in kare or agar aapke pas already YouTube account hai to bahut achhi bat hai.
Create Multiple Youtbe Channels on One Google Account:
Step 1:
First aap browser me YouTube.com site par jaye or gmail ID se sign in kare uske bad YouTube Channel Switcher ko open kare.
- Create a new channel par click kare.
Step 2:
Ab jo new page khulega usme google aapko channel ke liye brand account banane ke liye kahega. Aapko jis name se brand account google pplus account and YouTube channel banana hai wo type kare.
Note: Agar aapke pas pahle se google plus account hai to aap usse bhi YouTube channel create kar sakte ho. Iske liye aap us google plus account par jaye or about option par click kar links section me YouTube option par click kare.
Step 3:
Ab aapka brand account and YouTube channel ban chuka hai ab bas aapko account verify karna hai. Yaha aapke bas 2 option hai aap Text message (SMS) and Voice call method se verify kar sakte ho.
- Apna mobile number enter kare.
- Jis method se account verify karna wo select kare.
- Continue par click kare.
Step 4:
Ab aap ne jo phone number add kiya tha us par 0to 15 minutes me message / call aayegi usme 6 digit ka verification OPT code hoga.
- Verify code add kare or continue par click kare.
Step 5:
Ab aapka new YouTube channel completely create ho chuka hai or aap apne new YouTube channel par pahuch jaoge. Jiska look kuch is tarah hoga.
Isi tarah aap YouTube par multiple channels bana sakte ho. Ab aapko har channel ke liye new email account or gmail ID banane ki jarurat nahi hogi. Dusri channel banane ke liye aap fir se YouTube channel switcher par jaye or upar btaye steps ko fir se follow kar multiple channels create kare.
Aapko YouTube channel switcher ka URL yaad rakhne ya bar bar browser me type karne ki jarurat nahi hai. Aap YouTube par se hi channel switcher ko open kar sakte ho or new channel banane ke sath sabhi channel ko manage kar sakte ho. Youtube par jaye or right side me top par apne YouTube channel ke photo par click kare.
- Creator Studio ke samne settings ke icon par click kare.
- New channel banana hai to “Create a new channel” par click kare.
- Channel ko manage karna hai to drop down pop up me us channel par click kare.
YouTube Par Multiple Channels Ko Manage Kaise Kare
Youtube par multiple channel ko manage karna bahut hi aasan hai. Aapko jis channel par video uploading, video editing, channel settings, commenting etc. work karna hai us par click kare. Uske bad aap us channel ko easily manage kar sakte ho.
- Right side me apne photo par click kare.
- Jis channel ko manage karna hai us par click kare.
- Ab aap YouTube par us channel se log in ho jayenge or same easily channel manage kar sakoge.
Is tarah se aap aasani se multiple YouTube channel create kar sakte ho or sabhi channels ko manage kar sakte ho. Youtube par multiple channel banane ki jarurat mostly blogger and website owners ko hoti hai ya fir jin logo ke pas online work karne wali team hoti hai. Wo apni team ke liye ek hi YouTube account se multiple YouTube channels create kar sakte hai.
Ek hi YouTube account par multiple channels banane ka sabse jyada fayda ye hai ki aap sabhi ko ek hi AdSense account se connect kar sakte ho. Isse aapki sabhi channel se hone wali thodi thodi earning ek hi AdSense me count hogi or aapko jaldi payment milega. Agar aap alag alag email ID se channel or AdSense account banaoge to sabhi AdSense account me $100 payment milega.
- Youtube Par Aap Kis Tarah Ke Videos Upload Nahi Kar Sakte
- Youtube Par Video Upload Karne Ki Defaults Setting Kaise Kare
Suppose aapke pas 10 channel hai or sabhi me $20+ earning hai to total channels me $200+ earning ho gayi but wo aapko tab tak nahi milegi jab tak aapke sabhi account me $100 nahi ho jate. Ab agar aapne ek hi account par multiple YouTube channel banaye hote to aapke ek AdSense me $200 income hoti jo aapko easily mil jati.
I hope aapko ye post pasand aayegi or multiple YouTube channel banane ki achhi jankari milegi. So please is post ko social media par share jarur kare.
Ashish
comedy channel banane ka
shiva kumar
Sir, I am a big fan of you, I see your post daily and get very good information.
Pradeep Kumar
This a good article sir thank you very much.
Santosh rawat
Youtube 1 channel me 2 alag category ke video dal sakte hai kya 1 comedy 2short film kya fark padega ya sahi rahega please tell me
Jumedeen khan
Dal sakte ho lekin channel par ek topic par kaam karna better hai.
Ajinkya
Sir Please Help Me, Aaj mere adsence account me youtube ke views,earnings kuch bhi nahi show ho raha ,sir please help me
adsence me blog ki earning show ho rahi he youtube ke nhi show ho rahe he,maine performance report me >Products>Hosted AdSense for Content me bhi check kiya isme last month ki youtube ki detail show ho rahi he par iss mahine ki kuch bhi show raha,please help me sir.
Jumedeen Khan
Kuch time ke bad check karo. adsense issue hai apne aap theek ho jayega.
Afzal ahmed
Bhai aap se gujaris he ki hamare sawaalo ka jawab diya kare kyu ki hum aap ko follow karte he or apne jawab ka intazar kar te he
Bhai mene 2 gmail se 6 youtube channel he but bhai me 2 chennal ka verify karte waqt jo number diya tha vo bhol gya ki kon sa tha bhai please batao ki hum kese full details check kar please reply jaroor dijiye ga
Jumedeen Khan
Yes bilkul dunga but aap please post se related question pucha kare or apn question se related psot par hi comment kiya kare.
Aap gmail.com par jao or password forgot wael option par click karo aapke samne apaki email ID ya mobile number ke first and last ke 2-2 letter honge usse aap yaad kar sakte ho ki konse number hai.
Reshu Kumari
Bro channel to ek se Jada bnane ko bta diye prantu new channel ko ek hi Adsense account se kaise jodenge jisme ka niyam btaye
2 bro mobile se low CPC ads block Kar high CPC ads apne videos par kaise lgaye mobile par to copy or paste Karne nhi aata hai puri tarah process btaye
3 Kya low CPC block Kar dene par har bar videos par ads show hoga ya nhi
4 Kya hum play store se game ke app ko load Kar khel Kar recorde Kar upload Kare ya nhi kaise Samajhenge ki ko automatically play hota hai or kaise kaise explain Kare please bro bistar se sare ko btaye sorry
Jumedeen Khan
Dear reshu aapki bat ose lagta hai ki aap apne work ko success banane ki jagah paise kamane ke bare me jayada sochti ho. Agar aesa karogi to aap fail ho jaogi. Main aapko already kah chuka hu ki aap earning par nahi apne channel ko brand banane par focus karo. Jab aapke pas support badhega to earning apne aap badh jayegi.
Chanel ki pahchan video category se hoti hai alag lag category banane se log aapke channel ko unsubscribe karna shuru kar denge. So ek topi par video banao taki aapka channel success ho sake. Paise ke piche mat bhago uske kabil bano wo khud tumhare piche aayega. Please understand and do good work.
Jk
Bhai mera channel terminated ho gaya hai
Form pe appeal kardi hai lakin reply aaya hai ki woh channel active nahi kr sakte jabki maine koi galti nahi ki hai na koi copyright
Jumedeen Khan
Google ne aapko message me iska reason bhi btaya hoga. bina galti ke google channel delete nahi kar sakta.
GOVIND
U r great sir,
Muje is post me apne bohot se jwab mil gye.
1 bat or clear kr do sir
Mera 1 chennel ki adsense parmanent disable ho chuki h. Ab mane dusra chennel suru kiya h to m us chennel ki sabhi video and subscriber ko new chennel me m
Transfer krunga to add milegi ya nhi.
Agar nhi milegi jaisa apne ek post me btaya h to kya m pahle chennel ki videos waha se delet krke new chennel me daal lu fir to mil jayegi na ya usme b problem rhegi .
Plz bataye sir.
Thank u very much
Jumedeen Khan
1. Nahi.
2. Yes dal sakte ho.
Afzal ahmed
Brother mene 2 din pehale ek channel bana ya tha jis me 2 3 video dala tha us me se ke video viral ho gya he or trading me he but mene adsense me apply kiya tha pr abhi tak hua nahi to abhi me kya karun or kya kuch fayada ho ga please reply.
Jumedeen Khan
Check karo ki aapne sahi se apply kiya hai or wait karo kuch day me adsesne approve ho jayega.
Afzal ahmed
Brother mene you tube channel me
3 hafte se kaam kar raha hun or har social site me apna video shree karta hun pr mujhe youtube search se ek bhi traffic nahi milta bhai me aap ko apna id do aap dekha lo na kya garbar he please
Jumedeen Khan
Thoda sabr karo site ko search me top par aane me time lagta hai.
Afzal ahmed
Jume deen bhai mene you tube me chanal bana ya he pr do alg alg he or AdSense bhi alag he to kya hum chanal ko tarfa kar sakte he
Or bhai agar humara video koi usar
Bar bar dekhe jis ke vah jah se view to ho ga to kya is se mere channel me koi fark padhe ga or us view ka money add ho ta he?
Jumedeen Khan
Aap dono channel ko ek hi adsense se connect kar sakte ho. Nahi koi fark nahi padega koi video ko kitni bar bhi dekhe.
Afzal ahmed
Bhai mene apne ek channel ko pehle adsense se add kiya tha pr ab vo mene dosre me add kr diya he to pehale wale ka kya karun or kese pata chale ga ki kis ib se adv aa raha he
Or agr jo mere video ko br br dekhne ga kya us kai pesa mile ga
Jumedeen Khan
Agar aapke pahle wale adsense me $100 hai to aap payment le sakte ho.
Afzal ahmed
Bhai mene blog bana ya tha 2 hafte pehale ab us me adsan chalo ho gya he pe ad dikha nahi raha he gadget laga ne pr bhi
Jumedeen Khan
Adsense ke aapki site ka review complete hone ke bad hi ad show honge.
विनोद कुमार
सर, मैंने कुल 15 पोस्ट लिखे है, जिसमे से 7 को पब्लिश कर दिया हु और वो गूगल में इंडेक्स भी है। लेकिन जब मै गूगल सर्च कंसोल में देखता हु तो पुरे 15 यूआरएल एरर देता है।……ये क्या प्रॉब्लम है, और कैसे ठीक होगा……प्लीज सर हेल्प कीजिये
2. Sir मेरे share chat पर 12000 फोल्लोवेर्स है, क्या मुझे इसका कोई लीगल फायदा मिल सकता है…..deaily 200 से ज्यादा जुड़ रहे है
Jumedeen Khan
1. Aap error mujhe dikhao.
2. Kyu nahi apne follower ko apni site ke bare me btao.
Ajay saini
Sir blog ka SEO kese set kre please full detail me btaiye
Jumedeen Khan
Ajay iske liye aap humari SEO wali post padho.
yashdeep vitthalani
bhai hamari channel ab first search main aa gayi hai aur 1773 subscribers bhi ho gaye hai
Jumedeen Khan
Bahut achhi bat hai.
Ajay saini
Sir blog ko SEO krne ke liye custom redirect ko kese edit kare please tell me
Jumedeen Khan
Ye post padho Blogspot Country Specific Redirect URL Ko Kaise Band Kare
Anil 'jharkhand'
sir maine YouTube channel me video ko bina monetize kiye hi AdSense apply kiya par reject ho gaya 1000 se v jyada view hai kya video ko monetize krne k baad phir se apply kr sakta hun please help me sir
Jumedeen Khan
Yes kar sakte ho.
vicky rajput
sir jis Gmail id se YouTube me channel hai,usi Gmail id se AdSense account banana jaruri hai kya….?
Jumedeen Khan
Nahi kisi se bhi bana sakte ho.
Kiran
Nice Post Sir
Sir me Kuchh dino se YouTube me 2 channel chala raha tha lekin coPyright me YouTube ne mera YouTube account ko band kar diya he me kya karu?
aur account me $22 tha uska kya hoga Plese sir ans. me
Jumedeen Khan
Aap YouTube policy ka violation kyu karte ho. Check karo ki AdSense to disable nahi hua. Agar nahi to aapke $22 aapko mil jayenge dusra channel bana lo.
vinod kumar
Sir maine kuch din pahle Elise blogger template apne blog me lagaya tha . ab usko badal kar simplecent template lagaya hu lekin us template ka add mere blog me abhi bhi dikh rha hai. Mai isko kaise hatau .please sir help kijiye, mai ak problem se nikalta hu to dusre me pahuch jata hu.
Aap ak baar mere blog ko dekh le baaki aap samajh jaayege
Jumedeen Khan
Blog ki template me jao or uske ads code ko remove kar do.
Deepak Vaishnav
Sir aap ne konsa social share plugin laga rkha hai bhut achha hai muje bhut achha laga kya aap muje bhi uska naam bata skate ho plz sir
Jumedeen Khan
Ye plugin nahi hai. Ye social share button maine develop kiye hai. Jaldi hi iske bare me post likhunga.
mohsin shaikh
pahle mera blog url job-ms.blogspot.com tha domain set karne ke bad http://www.govtcareerindia.in ho gaya hai. but domain change hone ke bad AdSense ads dikh nahi rahe hai, blank aa rahe hai
2. agar mene avira software download post dali hai or uska download link filehippo.com karta hu to jab filehippo bhi AdSense user hai
Jumedeen Khan
1. New domain ko AdSense site management me add karo. Check this post Google Adsense Me Website URL Kaise Add Kare
2. Sawal clear or pura pucha karo. Is sawal ka matlab kya hai.
mohsin shaikh
mene mere blog par third party url gudday se setup kiya hai but not working AdSense ads this domain. is url AdSense ads blank aa rahe hai.
2. agar me software related blog banata hu or usme software download link kisi AdSense use ke web ka ho to kya AdSense policy ke khilaf hai Ex.filehippo.com
aap apna hindi blog English word me kyu likh rahe ho
Jumedeen Khan
1. Apni site ka link btaoge to hi main check karunga.
2. No problem but jis site se related site banaoge use problem hogi. Mujhe hinglish me likhna pasand hai.
Deepak Vaishnav
सर वर्डप्रेस में एक साइड में ही दो लैंग्वेज कैसे यूज करते हैं मैं आपको एक साइट का लिंक दे रहा हूं वह दो लैंग्वेज यूज करता है क्या मैं भी वर्ल्ड प्रेस पर ऐसा कर सकता हूं या नहीं
http://www.cricketcountry.com
Jumedeen Khan
Deepak ye site single nahi double hai ek example.com or ek example.com/blog sub directory par aap bhi bana sakte ho aapko alag aalg language me content likhna hoga. Wo ek news site hai or wo search engine se jyada apna target follow karte hai.
Deepak Vaishnav
Kese banate hai domain.com/blog subdirectory me sir
Jumedeen Khan
Main iske bare me jaldi hi post likhunga.
kuldeep vishnoi
aap ek ucnews publisher par ek post likho wo kaise ad monetise karta h or kaise hum ucnews se paise bana sakte hai jaldi likhna…
Jumedeen Khan
Maine iska review kiya tha abhi tak kisi user ko UC news ka payment nahi mila hai. Proof hote hi post likhunga.
Ashutosh Mishra
Hey Jumendeen Khan Mai SarkariHelp.com Ka Owner Hu Mere Blog Ka Traffic Awosome Hai Aur Income Bhi Acchi Khasi Ho Rahi Hai Kewal 2 Mahine Hi Hue
1- Mujhe Jo Apne Apni Website ke HomePage Par Header Me Plugin Use Kiya Hai Uska Name Bata Sakte Hai.
2- Plugin Hai Ya Kuch Aur
3- Mailchimp Subscribe Ka Post Automatic Publish Kaise Ho Give Me Information.
Jumedeen Khan
1. Main iske liye koi plugin use nahi karta. Ye coding se bana hai.
2. HTML, CSS and Javascript use karo.
3. Aap blog me mailchip ka RSS URL add karo. Blog settings >> writing par jao or Update Services me RSS feed ka link add karo.
radhe gour
sir kya ye baat sach hai ki blog ki tulna me YouTube ka cpc bahut kam hota hai
Jumedeen Khan
Yes.
Adarsh
Sir bluehost.com better h ya bluehost.in.
Kya bluehost.in wo slow ya uska uptime sahi nai h comparison to bluehost.com
Jumedeen Khan
bluehost.com is best bluehost.in bahut bekar hai. Site slow ho jati hai.
Vikram Singh
Bro Adsense Kitni traik Ko Pay Karta Hai India Me,,,,,?
Jumedeen Khan
21 tarikh ke bad.
suraj
Sir aapne kitne visitors daily cross karne ke bad vps server kharida
Jumedeen Khan
20k
kamlesh Parihar
Sir jab mein YouTube mein search karta hun to aapke do accoun milte hai kya dono aapke hi hai.
Jumedeen Khan
Nahi sirf ek account mera hai.
Abhishek kumar
Sach me yeh post mere liye bahut helpful hai….Thank you.
Magar mera ek question hai ki YouTube videos me add show karane ke liye AdSense kitne days me approw ho jata hai?
Jumedeen Khan
2 to 5 day me.