Har Blog post ke liye ek achha SEO Friendly Title bahut important hota hai. Aapki post ka title jitna jyada Eye Catching, Creative, Effective, and Attractive hoga aapki post ko utne hi jyada reader and views milege isliye ye bahut jaruri ki aapki blog ke har post ka title SEO friendly or User friendly ho. But apni post ke title ko SEO friendly banane ke liye aapko kuch terms and formulas ka istemal karna hota hai. Jinme se kuch ke bare me main aapko yaha bta raha hu.
Is post me main aapko Blog Post Ke Liye SEO Friendly Title Kaise Create Kare ke bare me jankari dunga taki aapki site ke articles ko visitors or search engine dono like kare or aapko jyada se jyada traffic mile. Aapki site ki google search me search ranking increase ho.
- Blogspot Blog Ko SEO Friendly Banane Ki Puri Jankari
- (101) Blog Ki Traffic Kaise Badhaye 101 Popular Tarike 2025
SEO yani search engine optimization ke bare me to apne suna hi hoga agar nahi to aap first What is SEO Kya Hota Hai – Search Engine Optimization in Hindi article read kar le or ho sake to humare SEO wale or bhi articles read kar le taki aapko SEO ke bare me sahi jankari ho sake.
Blog Post Ke Liye SEO Friendly Title Kaise Create Kare
SEO friendly title ka matlab hai aapko aesa post title create karna hai jise all search engines pasand kare but hume SEO friendly title ke sath user friendly title par bhi dhyan dena hai taki search engine ke alawa users bhi humari post ke title ko like kar sake.
1. Use Targeting Keyword:
Apne post title me apni post ka main targeting keyword jarur add kare yah Apke Post title ke liye bahut important hai Jis main keyword ya topic per apne apni post ko likha hai use post me jarur add kare, main keyword ko title me Age hi rakhe ise last me place na kare.
Yaad rahe aap jis targeting keywords ka istemal kar rahe ho post content bhi usi keywords ko target karke likha gaya ho.
2. Short Title:
Title ko adhik lamba na kare ise Short hi rakhe, search engine me title ke 50 – 60 Characters hi show hote hai fir chahe title kitna bhi lamba ho isliye apne title me kam or important words ka hi use kre. Isse Search engine me post ka pura title show hoga jisse visitors ise puri tarah se samaj payege or aapko adhik clicks milege.
Mene Search result me Hindi or English titles ko Check kiya hai, Jo titles English ya hinglish me hai unke search result me 50 se 65 words tak show hote hai or jo title pure Hindi me hai unke kewal 30 se 40 words hi show hote hai. Isliye agar ap hindi Blogger hai to apne post title me 30 se 40 words hi upyog kare Isse aapki post ka pura title search results me show hoga.
3. Use Special Words
Apne title me Ek Famous word bhi add kare jaise – Best, Full Guide, Review, Important, Top, present Year etc. Isse title Special, Attractive or Eye catching ho jata hai jisse post ko adhik clicks milte hai.
4. Use LSI Keyword
LSI ka matlab hota hai latent semantic indexing. Basically aapke main keyword se related keywords. Aap Apne Title me post se related LSI keyword bhi jarur add kare isse Search engine aapki post ko asani se samajh leta hai Aap search results me Sabse niche Search query se jude LSI keywords aasani se dekh sakte sakte hai.
5. Use Numbur
Aa post title me no. Bhi Add kar sakte hai Jaise Top 10, 101, 25 etc Isse Bhi Title Special lagane lagta hai or Search results me post ko Jyada clicks milte hai.
Example:-
- 10 Best SEO tricks
- 101 SEO tricks complete guide
Ye tarika lagbhag har lbogger istemal karta hai. Aapko har site or blog par is type ke articles ke titles mil jayenge.
6. Visitors Choice:
Aap posts ke topic related un top keywords ke bare me jane jin keywords ko users sabse adhik search karte hai. Aap iske liye Comments, Quora, Keyword planer etc per check kar sakte hai ki users kis topic per sabse jyada search ya Question karte hai.
Aap Google Keyword planer tool ka Upyog karke Adhik search kiye jane wale keywords ke bare me pata kar Sakte hai. Aap un top keywords me se ek ko apne title me add kar sakte hai. User ko search karte samay jis title me exact searching Keyword dikhayi dete hai users sabse adhik usi per click karte hai.
7. Don’t Repeat Keywords:
Title me keyword ko dobara repeat na kare isse SEO per koi good effect nahi hoga balki aapka title ki length or bad jayegi. Isi liye Keywords ko repeat na kare. Kuch log keywords ko target karne ke liye aesa karte hai jo ki bilkul galat hai but agar jaruri ho to aap use kar sakte ho.
Example:-
- SEO Friendly Tittle Banane Ki Top 10 SEO Tips – It is wrong
- SEO Friendly Titlle Banane Ki Top 10 Tips – It is Right
8. Don’t use Unrelated keyword:
Title me post se unrelated keyword ka istemal na kare isse aapki post bad SEO effect ho sakta hai or sath hi user bhi aapke title ko like nahi karenge. Title me kewal unhi words ka use kare jo aapki post se related ho or apne jinhe apni post me add kiya ho.
Now Make a title :-
- Simple title – Hindi blog par Traffic kaise Badhaye
- Create Special – Hindi Blog Par Traffic Kaise Badhaye Top 10 Important SEO Tips
Aesa na kare or jis bare me aapki post me jankari ho usi ke lyie title select kare.
9. Remember Description
Bahut si sites par dekha jaye to title me extra words jyada istemal hote hai. Unki koshish rahti hai ki wo title me hi sabkuch likh de. Title sirf ye btane ke lyie hai ki post me kya hai or agar aap aesa nahi kar pa rahe ho to meta description me likh sakte ho.
Yaad rakhiye search robots title ke alawa meta description ko bhi check karte hai. Agar aapke title me search kiya gaya keyword nahi hai to wo description se keyword utha kar search me la sakte ho. So title me limit anusar maximum 60 to 65 character hi use kare seo friendly title k alawa description par bhi dhyan de.
10. Use Important SEO tips
Agar aapk success blogging karna chahate ho to aapko SEO ke bare me pata hona chahiye. Tabhi aap search engine se adhik traffic pa sakte ho. Search engine optimization ke bare me sikhe or SEO tips follow karke SEO friendly title create kare.
- Use no. – 10
- Special word – Top, Important
- Target – Hindi blog per traffic
- Length – 52 Characters (without space)
Upar diye gaye Example se aap ab achhi tarah se samajh gaye honge ki kaise uper di gayi tricks ko follow karke ham ek Best SEO friendly or Eye catching title create kar sakte hai or apni site ko search engine me top par la kar jyada organic traffic kama sakte ho.
- Blog Ki Post Ko SEO Friendly Kaise Banaye 10 Killer Tips
- Blog Post Me SEO Friendly Meta Description Use Karne Ki 10 Tips
Finally agar aap post me di gayi Tricks ko Follow karke apna post ke liye SEO freindly title create karenge to aapki post jarur increase hogi or aapki post ko adhik views milege or agar aap sirf post read karke leave kar jaoge to kuch nahi hoga. So soche nahi aajma kar dekhe.
Agar aapko meri ye post pasand aayi hai to ise Social Media par share kare or Hamare blog per hone wali har post ki jankari pane ke liye blog ko Subscribe bhi kare.
Habib khan
Jumedeen bhai aap ne konsa plugn use karke header bnaya hai?
जुमेदीन खान
ये theme feature है
Dharmendra Yadav
Hi नमस्कार sir मै जानना चाहता हु की यदि कोई new वेबसाइट है तो उसे Google search Engine rank करने में कम से कम कितना दिन लगता है |
Jumedeen khan
1-2 din me google me rank ho jati hai, look New Website Blog Ko 2 Day Me Search Engine Me Kaise Laye
Deepanshu Saxena
Sir meri site pr 30 blog posts hein or sirf 40-50 visitors aate hein…
kya m Adsense k liye apply kr sakta hu..??
Jumedeen Khan
Nahi abhi or traffic badhao or daily 500+ traffic hone par apply karna.
manoj
bahut acchi post share ki aapne
manoj kumar
hi nice article and very good point please uplode more
RAJKUMAR MEENA
bahut hi badiya information share ki aapne mujhe pahle se website ping ke bare me itni jankari nahi thi but ab aapka article read karke ho gayi thanks bro
meri earning bahut din se slow chal rahi hai pata nahi ki add place ment sahi hai ya galt aap meri site ko check karke bataye ki add kha par lagana hai.
Jumedeen Khan
Ad placement sahi hai. Traffic increase karo earning bhi badh jayegi.
Anand Kumar
Thanks for sharing this useful info….
sachin pandey
sir mujhe free mobile friendaly theme jo ki java mobile me bhi support kare aur blogger par kam kare bilkul simple ho
Jumedeen Khan
Aap gooyaabitemplates site se template use karo.
Abhishek kumar
wordpress MonsterInsights update kaise kare please bataiye
Sasi Binu
Thank you, But where i track lsi keywords with volume & cpc like semrush. Please suggest me some tools
Jumedeen Khan
No problem old url 1-2 week me apne aap google se delete ho jayenge aapko kuch bhi karne ki jarurat nahi hai.
Gagan Shrivastav
Bahut hi Accha Article Sir…. Sir meri yek Website hain usme yek problem hain aur problem yeh hain –
Jab main apni website ko mobile me open karta hu to uska template kuch aur aata hain aur jab PC me open karta hu to kuch aur. Yesa kyo ho raha hain Sir? Plz bataye….
Jumedeen Khan
Aap blogger dashboard template option par jao or mobile version ko disable karo.
Kunj Bihari
Nice information for SEO article
Harun
kya koi esa tools hai jaha se ham hindi keywords ko search kr skte hai ?
nilesh
Aapke email par mene guest post send ki hai kya dekh sakte hai? Sir
Jumedeen Khan
Ok main check karke aapko reply kar dunga.
fawad
sir aap ko se child them use karte hai aur ager costum hai to per ko se best hai,,,!
jo aap ke site ke thems se related ho please
Jumedeen Khan
Main genesis framework ke sath self created child theme use karta hu. Aap studiopress ki child theme check kare or jo aapko best lage use kare.
SahiL
verry nice article bhai lakin bhai aapne guest post band kar diya tah na
Shahid Afridee
Bro hum apne blog ke home page par kam SE kam kitna ads laga sakte hai aur jyada SE jyada kitna ads laga sakte hai…
Jumedeen Khan
Minimum 1 or Maximum 3 ads lagana better hai. Wese aap kitne bhi laga sakte ho but koi fayda nahi.
Deepak sahu
google analytics me ye kaha se pata karte hai ki aaj ke din meri kis post par kitne views aaye hai.
Jumedeen Khan
Analytics search box me “All pages” type karo “Behavior >> Site content >>” All pages par click karo.
Ravi Sharma
Hello Jumedin Sir 🙂
Acchi Jankari Share ki hai Apne 🙂
And Sir Aap Homepage Builder ke liye konsa Plugin Use me lete hai 🙂
Jumedeen Khan
No plugin iska option already genesis framework me hai.