Har Blog post ke liye ek achha SEO Friendly Title bahut important hota hai. Aapki post ka title jitna jyada Eye Catching, Creative, Effective, and Attractive hoga aapki post ko utne hi jyada reader and views milege isliye ye bahut jaruri ki aapki blog ke har post ka title SEO friendly or User friendly ho. But apni post ke title ko SEO friendly banane ke liye aapko kuch terms and formulas ka istemal karna hota hai. Jinme se kuch ke bare me main aapko yaha bta raha hu.
Is post me main aapko Blog Post Ke Liye SEO Friendly Title Kaise Create Kare ke bare me jankari dunga taki aapki site ke articles ko visitors or search engine dono like kare or aapko jyada se jyada traffic mile. Aapki site ki google search me search ranking increase ho.
- Blogspot Blog Ko SEO Friendly Banane Ki Puri Jankari
- (101) Blog Ki Traffic Kaise Badhaye 101 Popular Tarike 2025
SEO yani search engine optimization ke bare me to apne suna hi hoga agar nahi to aap first What is SEO Kya Hota Hai – Search Engine Optimization in Hindi article read kar le or ho sake to humare SEO wale or bhi articles read kar le taki aapko SEO ke bare me sahi jankari ho sake.
Blog Post Ke Liye SEO Friendly Title Kaise Create Kare
SEO friendly title ka matlab hai aapko aesa post title create karna hai jise all search engines pasand kare but hume SEO friendly title ke sath user friendly title par bhi dhyan dena hai taki search engine ke alawa users bhi humari post ke title ko like kar sake.
1. Use Targeting Keyword:
Apne post title me apni post ka main targeting keyword jarur add kare yah Apke Post title ke liye bahut important hai Jis main keyword ya topic per apne apni post ko likha hai use post me jarur add kare, main keyword ko title me Age hi rakhe ise last me place na kare.
Yaad rahe aap jis targeting keywords ka istemal kar rahe ho post content bhi usi keywords ko target karke likha gaya ho.
2. Short Title:
Title ko adhik lamba na kare ise Short hi rakhe, search engine me title ke 50 – 60 Characters hi show hote hai fir chahe title kitna bhi lamba ho isliye apne title me kam or important words ka hi use kre. Isse Search engine me post ka pura title show hoga jisse visitors ise puri tarah se samaj payege or aapko adhik clicks milege.
Mene Search result me Hindi or English titles ko Check kiya hai, Jo titles English ya hinglish me hai unke search result me 50 se 65 words tak show hote hai or jo title pure Hindi me hai unke kewal 30 se 40 words hi show hote hai. Isliye agar ap hindi Blogger hai to apne post title me 30 se 40 words hi upyog kare Isse aapki post ka pura title search results me show hoga.
3. Use Special Words
Apne title me Ek Famous word bhi add kare jaise – Best, Full Guide, Review, Important, Top, present Year etc. Isse title Special, Attractive or Eye catching ho jata hai jisse post ko adhik clicks milte hai.
4. Use LSI Keyword
LSI ka matlab hota hai latent semantic indexing. Basically aapke main keyword se related keywords. Aap Apne Title me post se related LSI keyword bhi jarur add kare isse Search engine aapki post ko asani se samajh leta hai Aap search results me Sabse niche Search query se jude LSI keywords aasani se dekh sakte sakte hai.
5. Use Numbur
Aa post title me no. Bhi Add kar sakte hai Jaise Top 10, 101, 25 etc Isse Bhi Title Special lagane lagta hai or Search results me post ko Jyada clicks milte hai.
Example:-
- 10 Best SEO tricks
- 101 SEO tricks complete guide
Ye tarika lagbhag har lbogger istemal karta hai. Aapko har site or blog par is type ke articles ke titles mil jayenge.
6. Visitors Choice:
Aap posts ke topic related un top keywords ke bare me jane jin keywords ko users sabse adhik search karte hai. Aap iske liye Comments, Quora, Keyword planer etc per check kar sakte hai ki users kis topic per sabse jyada search ya Question karte hai.
Aap Google Keyword planer tool ka Upyog karke Adhik search kiye jane wale keywords ke bare me pata kar Sakte hai. Aap un top keywords me se ek ko apne title me add kar sakte hai. User ko search karte samay jis title me exact searching Keyword dikhayi dete hai users sabse adhik usi per click karte hai.
7. Don’t Repeat Keywords:
Title me keyword ko dobara repeat na kare isse SEO per koi good effect nahi hoga balki aapka title ki length or bad jayegi. Isi liye Keywords ko repeat na kare. Kuch log keywords ko target karne ke liye aesa karte hai jo ki bilkul galat hai but agar jaruri ho to aap use kar sakte ho.
Example:-
- SEO Friendly Tittle Banane Ki Top 10 SEO Tips – It is wrong
- SEO Friendly Titlle Banane Ki Top 10 Tips – It is Right
8. Don’t use Unrelated keyword:
Title me post se unrelated keyword ka istemal na kare isse aapki post bad SEO effect ho sakta hai or sath hi user bhi aapke title ko like nahi karenge. Title me kewal unhi words ka use kare jo aapki post se related ho or apne jinhe apni post me add kiya ho.
Now Make a title :-
- Simple title – Hindi blog par Traffic kaise Badhaye
- Create Special – Hindi Blog Par Traffic Kaise Badhaye Top 10 Important SEO Tips
Aesa na kare or jis bare me aapki post me jankari ho usi ke lyie title select kare.
9. Remember Description
Bahut si sites par dekha jaye to title me extra words jyada istemal hote hai. Unki koshish rahti hai ki wo title me hi sabkuch likh de. Title sirf ye btane ke lyie hai ki post me kya hai or agar aap aesa nahi kar pa rahe ho to meta description me likh sakte ho.
Yaad rakhiye search robots title ke alawa meta description ko bhi check karte hai. Agar aapke title me search kiya gaya keyword nahi hai to wo description se keyword utha kar search me la sakte ho. So title me limit anusar maximum 60 to 65 character hi use kare seo friendly title k alawa description par bhi dhyan de.
10. Use Important SEO tips
Agar aapk success blogging karna chahate ho to aapko SEO ke bare me pata hona chahiye. Tabhi aap search engine se adhik traffic pa sakte ho. Search engine optimization ke bare me sikhe or SEO tips follow karke SEO friendly title create kare.
- Use no. – 10
- Special word – Top, Important
- Target – Hindi blog per traffic
- Length – 52 Characters (without space)
Upar diye gaye Example se aap ab achhi tarah se samajh gaye honge ki kaise uper di gayi tricks ko follow karke ham ek Best SEO friendly or Eye catching title create kar sakte hai or apni site ko search engine me top par la kar jyada organic traffic kama sakte ho.
- Blog Ki Post Ko SEO Friendly Kaise Banaye 10 Killer Tips
- Blog Post Me SEO Friendly Meta Description Use Karne Ki 10 Tips
Finally agar aap post me di gayi Tricks ko Follow karke apna post ke liye SEO freindly title create karenge to aapki post jarur increase hogi or aapki post ko adhik views milege or agar aap sirf post read karke leave kar jaoge to kuch nahi hoga. So soche nahi aajma kar dekhe.
Agar aapko meri ye post pasand aayi hai to ise Social Media par share kare or Hamare blog per hone wali har post ki jankari pane ke liye blog ko Subscribe bhi kare.
Vipul Saini
Title Likhne me pahle Dikkat hoti thi.
Ab in Techniques ko use kar k vo kafi reduse ho jayegi.
Thanks
Reetesh
Good sharing bro
Satendra
bhai aaj kal hamare wordpress ke yoast seo me ye massege show hota hai.
The Text link counter feature (introduced in Yoast SEO 5.0) is currently disabled. For this feature to work Yoast SEO needs to create a table in your database. We were unable to create this table automatically.
Please read the following knowledge base article to find out how to resolve this problem.
please iske baare batao. agar kisi pot me bata diya hai give me link.
Jumedeen Khan
Ye yoast seo ka naya feature hai jo humari post me add internal link ke bare me btata hai. Plugin automatically table create nahi kar pa raha hai so aapko table create karne ke liye kah raha hai. Aap ek bar plugin ko uninstall kar fir se install karke dekhe fir bhi problem ho to niche btayi guidelines follow karke table create kare.
Satwant Yadav
धन्यवाद भाई, ये पोस्ट बहोत ही अच्छा और काम का है।
Lucky
bhai meri blog ka sidbar mobile device me yis css code ke karan hide hua hai
sidebar .widget_125 img,.sidebar .widget_125 .img-right{border:none;float:none;display:inline-block;margin:0 8px 0 0;width:95px;padding:0;}}@media only screen and (max-width: 479px){
bhai jab me yis ko code hata raha hu to to meri blog mobile device me laptop jaisi open ho rahi hai or jab dubara add karta hu to theek ho jata hai lekin sidebar hide ho jata hai bolo bhai ab me kya karu
Jumedeen Khan
Is code me se aap sirf “sidebar” word ko remove karo or setting save karke page refresh karke dekho.
Deepak
Hello Brother!
Kya Blogging carrier secure hai?
#1. agar koi free traffic generator tools se hamare blog par bhut sara spam traffic generate kar de to hamara adsense account block ho jata hai.
#2. or agar koi ek he phone se ads par bhut saare click kar de to bhi hamara adsense account account block ho jata hai.
or bhi bhut se ese tarike se jinse koi hamare adsense account ko disable kar sakta hai. to bro pls bataye ki eska solution kya hai? kisi ke ip address par to yeh likha nhi hota ki wo BAD visitor hai ya GOOD visiter hai. to phir ham apne adsense account ko kaise safe rakh sakte hai? pls bro thoda detail me batana?
Jumedeen Khan
Nahi blogging hi nahi online koi bhi business ho secure nahi hai.
1. Yes ho sakta hai but apa us traffic ko block kar sakte ho.
2. Yes ho sakta hai but aap aesa hone par site se ads hata sakte ho or google ko iski report kar sakte ho.
3. Sirf adsense hi blogging se paise kamane ka source nahi hai or bhi bahut hai. Aap affiliate market use kar sakte ho jisme is tarah ki problem nahi hogi.
sushil pandey
Jume bhai apne LSI graph ke bare me suna hai? ye bhi kafi acche title suggestions deta hai aap ani rai de iss bare me
rajan sharma
sir me motivational blogging start karne ja raha hu to aap kuch tops bata sakte h mujhe
kavya
Sir mujhe apny blog key liye (category site map) banan hai jo mobile friendly ho jise mey google webmaster tools mey add kar sko please help me kyuki mere site key site map mey coding dikhata hai help me.
Jumedeen Khan
Yoast SEO plugin hume already category based sitemap offer karta hai.
Asween
SEO friendly title likhne ki yah sabhi tips bahut hi upyogi he or ise follow karne ke nukshan to kuchh nahi he lekin fayde bahut bahut he
Saim Kumar
Hello Jumedeen Ji pichhle 12 days se Google Search Console meri new posts ko index nahi kar raha hai, Kya wajah ho sakti hai please meri help kare 🙁
Jumedeen Khan
New post ko fetch karo or check karo ki proper fetch ho raha hai ya koi error hai. Agar koi error hai to use fix karo or agar koi error nahi hai to no worry post index ho jayegi.
Deepak
Bro mere site bhut saara fake traffic aa rha hai. uske kaise dekhu? or kaise roke? pls bataye bro barna mera adsesne disable ho jyega.
Jumedeen Khan
Analytics me check karo .htaccess se block karo.
Deepak
Bro .htaccess se block kaise karte hai? thoda detail se bata degiye pls
Jumedeen Khan
Iski janakri yaha hai WordPress .htaccess Se Spam Traffic Ko Block Kaise Kare
RISHIKESH MISHRA
Bahut hi sundar Jankari mili hai thanks sir
Suresh
Maine apne blogger blog me Template ko edit karke google ad code laga rakhe hai. Lekin me cahahta hu ki mere ek page par adsense ad show na ho to kya me kisi single page par adsense ad ko disable kar sake hai ? please help
Jumedeen Khan
Blogger par aesa possible nahi hai wordpress par kar sakte ho.
Nitin
Nice Post Very useful for every blogger.
Rupendra Azad
nice post Jumdeen Brother
Ajay
Sir apse meri request h ki 1 post production home se kis prakar license liya jaye jis se copyright issue na ho plz i m a request
Dharmendra Yadav
Hi नमस्कार sir मेरा एक प्रश्न है की मै अपने email id का पासवर्ड भूल गया हु और मेरा रिकवरी मोबाइल बंद हो गया है , sir कोई ऐसा ट्रिक बताये sir की मै अपना email id एक्सेस कर सकू sir प्लीज हेल्प me .
Jumedeen Khan
Forward password par click karo or step follow karo mobile number ke alawa recovery email address ka option aayega usse recover karo ya koi or method choose karo.
Anand Kumar
Jis laptop ya computer se aapne us email id ko banaya hoga, yadi usi device se recovery karenge to recover hone ke chance bahut had tak badh jayenge.
Ankit kumar
Bhut badiya bhai.Accha article likha hai.
Altaf Hussain
Hi Mere Bhai Happpyyy Freindship Day Alha Apko Aur Taraki Ata Farmaye Mera Ek Question Hai Meine Html Seekhliya Hai And Mereko Jana Hai Template Kaise Banaye I ean Iske Liye Kon Kon Se Lounge Aani Chahiye Jo Mai Seekhu And Mai Template Creating Karje Isme Career Banana Chahata Hu To Kya Isme Achi Earning Hai Plz Detail Me Bataye
Jai Hind
Jumedeen Khan
Iske liye aapko HTML, CSS, JAVA sikhni hogi.