PUTTY Se SSH Key Ya Private Key Generate Kaise Kare

Digitalocean Server ko PUTTY se connect karne ke liye SSH Key ki jarurat hoti hai jise Private Key bhi kahte hai. is post me main aapko PUTTY ke sath SSH Key Generate karne ke bare me step by step with screenshot bta raha raha hu. Is tutorial ko follow kar aap aasani se SSH Key create kar sakte hai.

Create SSH Key with PUTTY

PUTTY ke sath aap SSH Key ke alawa Public Key and Privater Key bhi create kar sakte ho. Sath isse aap key ko ek format se dusre format me convert bhi kar sakte ho.

Agar aapne abhi tak apne computer me PUTTY install nahi kiya hai to pahle aap humara ye article read karke PUTTY application download kar apne PC me install kar le.

PUTTY Se SSH Key, Private Key and Public Key Create Kaise Kare

Window system me PUTTY install karne ke bad aapko 2 apps milte hai.

  1. PUTTY
  2. PUTTYGEN

Inme se PUTTY web server ko connect karne or PUTTY Generator public, private SSH ki generate karne ke kaam aata hai. So sabse pahle aap apne PC me PUTTYGEN ko open kare.

Step 1:

Aap desktop shortcut se ise open kar sakte hai ya fir Windows Start Menu → All Programs → PUTTY → PUTTYGEN par ja kar open kar sakte ho.

  1. Generate par click kare.

Generate SSH Key with PUTTY

Step 2:

Ab jo windows open hogi usme aap mouse se move kare. Aapke mouse movement ke anusar hi key generate hogi. I mean aapko is pop up windows par mouse idhar se udhar, golgol ya fir jaise aap kar sako move karna hai.

  1. Mouse se window par move kare.

Key Generator PUTTY

Step 3:

  1. Type of key me RSA select kare.
  2. Key size me 2048 set kare.
  3. Save private key par click kare.

 

Step 4:

Ab aapko .ppk format me private key save karni hai. Example – privatekey.ppk

  1. *.ppk format me file save kare.

Save SSH Key

Congratulations! aapne successfully PUTTY ke sath SSH Key generate kar li hai. Isi tarah se aap private key or public key generate kar sakte ho.

Ye bhi padhe,

Agar aapko ye tutorial helpful lage to ise other webmasters ke sath share jarur kare.

Avatar for Jumedeen Khan

About Jumedeen Khan

I'm the founder of this site and we regularly share useful and helpful information here for beginners. ❤️

Reader Interactions

Comments (2)

  1. Avatar for NiteshNitesh

    Bhai shared hosting se digital ocean pr migrate krna kise khte hai
    Isme shred hosting pr wordpress install rhegi ya use delete krna hoga

    • Avatar for जुमेदीन खानजुमेदीन खान

      Aap DO par blog run kar shared hosting server ko delete kar sakte ho.

Add a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

I need help with ...