WordPress par blog banana bhi blogspot par blog banane jaisa hi hai. Bas fark sirf itna hai ki blogspot free hai but wordpress paid hai or is par blog banane ke liye aapko kisi hosting site se hosting leni padegi. Aaj is post me mai aapko wordpress par blog banane ke bare me kuch important bate bta raha hu. jisse aap aasani se wordpress blog bana sakte ho.
WordPress BlogSpot Se Kyu Behtar Hai?
WordPress or blogSpot dono blogger platform hai. WordPress par unlimited feature hote hai. WordPress blog par humara pura control rahta hai. Jabki blogSpot blog par humara pura control nahi hota or isme feature bhi limit hote hai. Yani blogspot ko loha mane to wordpress ko sona manna galat nahi hoga. WordPress blog banane se pahle ek bar ye post or pad le BlogSpot Vs WordPress Kounsa Platform Behatar Hai
WordPress Blog Ke Liye Hosting Kaha Se Kharide?
Hosting humare phone ke memory card ki tarah hai. Jis tarah memory card me humare songs, videos, movies, photos data save rahti hai bilkul wese hi hosting par humare blog ki sabhi data save rahti hai. Maine digital ocean ki free hosting ke bare me pahle se btaya hai, aap chahe to is post ki help se free hosting le sakte hai.
Digital Ocean Par Free Hosting Kaise Kharide Cloudways Se or agar aap paid hosting lena chahe to mai aapko suggest karunga ki aap hostgator ya bluehost se hosting kharide. In my case main hostgator ki hosting use karta hu.
- WordPress Blog Me Google Translate Tool Kaise Add Kare
- WordPress Blog Me CloudFlare Free HTTPS SSL Setup Kaise Kare
WordPress Par Free Blog Kaise Banate Hai?
WordPress par blog banane ke liye aapko hosting leni padegi. Wese to aap WordPress.com par free blog bhi bana sakte ho but usme aap theme change nahi kar sakte or kei or important customizing kar sakte.
Agar aap WordPress par new hai to mai aapse kahunga ki aap ek bar kisi free hosting dene wali site se hosting le kar wordpress ko pahle samajh le uske bad kisi achi hosting site se hosting le kar blog banaye.
Yaha mai aapko wordpress.com par free blog banane ke bare me bta raha hu. agar aap paise kamane ke liye blog banana chahate hai to hosting le kar hi blog banaye.
Step 1:
Sabse pahle WordPress.com website par jaye or create nlog par click kare.
Create blog par click karte hi aapki koi theme choose karne ke liye kaha jayega aap apni pasand se koi bhi theme select kare.
Step 2:
Ab aapko blog ka koi bhi domain chunna hai free domain ke liye domain me WordPress lagaye jaise example.WordPress.com
Image me bataye anusar free domain ke samne select par click kare..
Step 3:
Ab select Free plan par click kare.
Step 4:
- Apna email address fill kare jisse aap WordPress blog banana chahate hai.
- Username select kare.
- Strong password banaye.
- Create account par click kare.
Bas ab aapka WordPress par blog ban gaya hai. Ab aapse email verify ke liye kaha jayega email inbox me jakar WordPress massagwe me link par click kar ke verify kar sakte hai.
Ab customize your website par click kare or aap WordPress blog ke dashboard par pahunch jaoge agar aapko WordPress ke bare me koi sawal puchna hai comment me bataye.
Sath hi agar aap WordPress ke bare me adhik janna chahate ho to hamari website par WordPress se related post padhiye aapko details se jankari milegi.
- WordPress Par Site Kaise Banaye Step By Step Puri Jankari
- WordPress Par Blog Banane Ke Bad Kya Kare – 50 Jaruri Tips
I hope aapko ye article achha laga hoga agar laga hai to ise social media par apne friends ke sath share jarur kare taki wo bhi WordPress par free blog bana sake.
Sahil
Hi Jume Deen Khan, Aapaka blog bhaut acha bnaya hai aapane.. aapse ek question puchana chahate hu ki blog me post kaise hone chahiye. or add ka proper destination kaise hina chahiye.
Jumedeen Khan
Aap smi ki eo se related post padho
Sonu bhardwaj
Pase kese milte h ye btao sir
Jumedeen Khan
Adsense direct aapke bank account me paise send karta hai. ye post padho Google Adsense India Me Payment Kaise Karta Hai
Mdbarkat
Jume.sir Sawal hai mera ke maina apna Blog ko WordPress par karna Chahta hun.. Aur mera Blog jo hai wo Blogspot main Hai kya main Hosting Le Sakta hun… aur Use WordPress. par kar Sakta hun please.. bataye details
Jumedeen Khan
ha kar sakte ho. Blogspot Blog Ko WordPress Par Trasfer Kaise Kare post me iski jankari hai.
zahid
Hello sir WordPress mai domain name kharid ke freehosting lekar blog start nehi kar sakte ?
Jumedeen Khan
Ha kar sakte ho ye post padho Digital Ocean Par Free Hosting Kaise Kharide Cloudways Se
dineshv
koi jab bhi mere blog ki post dekhta hai to ye warning kyu btata hai
I understand wish to continue
Jumedeen Khan
aapka blog WordPress par hai ya blogger par.
dineshv
sir mera blog blogger pr hi hai
jap post ko dekhte hai to ye warning aati hai….I understand I wish to continue
Jumedeen Khan
ok blogger dashboard>>settings par jao or adulet content ke samne no select karke settings save kar do. problem solve ho jayegi.
shubh
Blogger me subdomain kese banate hai ..
bhut prshaan ho chuka hu smjh he nhi aarha h
Jumedeen Khan
blogger me subdomain use nahi kar sakte. subdomain use karne ke liye aapko hosting le kar WordPress par blog banana padega.
zahid
bhai kya mai free mai blog bana ke paisa kama sakta hun .?
Jumedeen Khan
aap blogger par free blog bana kar paise kama sakte ho. ye post pado Website (Blog) Kaise Banate Hai Online Paisa Kamane Ke Liye
vaughn
You could certainly see your skills in the work you write.
The arena hopes for more passionate writers such
as you who are not afraid to say how they believe. All the time follow your heart.
prakash
1. Aapka blog WordPress par hai ya blogger par
2. Aapne jo link diya WordPress par blog banane ke liye magar us par only create website bata raha hai create blog nahi bata raha hai
Jumedeen Khan
1. WordPress par.
2. AdSense account banane ke liye aapko domain registeration karna padega.
Pramod
jumedin bhai kya mujhe custome template edit karke matlab ready kar ke de sakte ho …. mujhe redirecting code ya footer link udane me bahot dikkat ho rahi hai… kabhi bhi jaise apko time milta hai. plss.
Jumedeen Khan
Nahi, mai is waqt ghar par nahi hu.
Deepak Shrivastav
Jume deen bro , aapne sahi btaya WordPress k baare me, WordPress ek professional or unique look deta hai blog ko…
Or WordPress me seo bahot achhi working karta hai or bahot hi fast hai…maine apna pehla blog WordPress pe hi bnaya tha…..good information
sanju dangar
Sir mujse koi galati ho gayi he kya ?
Kya mujse naraj ho aap?
Sir aap meri comment ka reply nahi deti ho
Comment me galati hui ho
Or aapko bura laga ho to maaf karana
Par aap answer to dijiye pleas
Maine Computer Vs Laptop Kounsa Behtar Hai, 10 Bato Se Samajhe post pe comment ki he
Jumedeen Khan
Are nahi bro maine aapki comment ka reply kiya hai. aap achhe se check karo.
surendra
hello bhai,
mai ek problem mei hu . meri website mei post ke niche comment box show nahi hota. aor maine comment setting bhi sahi set ki hai. new post par sirf 1-2 din comment box aata hai . fir comment box automatic hat jata hai. Iss problem ko kaise theek kiya jaye.
Jumedeen Khan
blog ki setting>>post and comments>>comment location ke samne embedded select karo or Who can comment ke samne anyone par tick karo. or save par click karo.
jitu
word press mai add kaie lagye bataye google AdSense k
Jumedeen Khan
Adsense plugin se
dev
2) ok bhayi jese ki apne kaha traffic redirect karne ke liye oha 2 option he transfer karne ke liye domain ya subdomain kise select karu
Jumedeen Khan
domain par select karo or new domain add kar ke save kar do.
dev
phli baar to mene rs.99 me domain register kiya tha renew ke liye kitna pay karna padega 1 year ke liye
Jumedeen Khan
aapne jis site se domain regiter kiya hai waha check kar sakte ho.
dev
1) me apni site ka name change karna chahta hu to mere is site ki traffic new domain par redirect ho jaye kese stting karu.
2) ek baar domain register karne ke baad 1 year bad phir kya processing hogi kya me phir se domain register karunga ya kya krna padega
3) me google play par apna debit card add karke app purchase karna chahta hu par par invalid card bata rha he mughpar sbi,ubi,boi 3no bank ke debit card lagake dekh liye kya uske liye credit card chahiye.
plz fast reply… i am waiting for u ans..
Jumedeen Khan
1. aapne jaha se domain liya hai us site par jao or domain setting par jao waha forward ka option hota hai. usme new domain add karo.
2. nahi. sirf aapko renew yani payment bharna padega.
3. ha credit card se hi apps buy kar sakte ho.
dev
Bhayi lagta he aap mughe bhul gaye apse kuch puchna tha.
Jumedeen Khan
Nahi bro aysi koi bat nahi hai. Pucho
surendra
bhai, mere ek baat samaj nahi aai ki wese toh dono platform hi best hai. lekin SEO mei kya fark hota hai. SEO kiska accha rehta hai Blogger Ka Yaa WordPress
Jumedeen Khan
Wese to dono SEO friendly hai. But WordPress better SEO result deta hai.
dev
Bhyi aap mughe bataiye ki kya ham hosting liye bina website banake pese nahi kama skte kya.ads ke ads lagake
Jumedeen Khan
Kama sakte ho blogspot par free blog bana kar