WordPress par blog banana bhi blogspot par blog banane jaisa hi hai. Bas fark sirf itna hai ki blogspot free hai but wordpress paid hai or is par blog banane ke liye aapko kisi hosting site se hosting leni padegi. Aaj is post me mai aapko wordpress par blog banane ke bare me kuch important bate bta raha hu. jisse aap aasani se wordpress blog bana sakte ho.
WordPress BlogSpot Se Kyu Behtar Hai?
WordPress or blogSpot dono blogger platform hai. WordPress par unlimited feature hote hai. WordPress blog par humara pura control rahta hai. Jabki blogSpot blog par humara pura control nahi hota or isme feature bhi limit hote hai. Yani blogspot ko loha mane to wordpress ko sona manna galat nahi hoga. WordPress blog banane se pahle ek bar ye post or pad le BlogSpot Vs WordPress Kounsa Platform Behatar Hai
WordPress Blog Ke Liye Hosting Kaha Se Kharide?
Hosting humare phone ke memory card ki tarah hai. Jis tarah memory card me humare songs, videos, movies, photos data save rahti hai bilkul wese hi hosting par humare blog ki sabhi data save rahti hai. Maine digital ocean ki free hosting ke bare me pahle se btaya hai, aap chahe to is post ki help se free hosting le sakte hai.
Digital Ocean Par Free Hosting Kaise Kharide Cloudways Se or agar aap paid hosting lena chahe to mai aapko suggest karunga ki aap hostgator ya bluehost se hosting kharide. In my case main hostgator ki hosting use karta hu.
- WordPress Blog Me Google Translate Tool Kaise Add Kare
- WordPress Blog Me CloudFlare Free HTTPS SSL Setup Kaise Kare
WordPress Par Free Blog Kaise Banate Hai?
WordPress par blog banane ke liye aapko hosting leni padegi. Wese to aap WordPress.com par free blog bhi bana sakte ho but usme aap theme change nahi kar sakte or kei or important customizing kar sakte.
Agar aap WordPress par new hai to mai aapse kahunga ki aap ek bar kisi free hosting dene wali site se hosting le kar wordpress ko pahle samajh le uske bad kisi achi hosting site se hosting le kar blog banaye.
Yaha mai aapko wordpress.com par free blog banane ke bare me bta raha hu. agar aap paise kamane ke liye blog banana chahate hai to hosting le kar hi blog banaye.
Step 1:
Sabse pahle WordPress.com website par jaye or create nlog par click kare.
Create blog par click karte hi aapki koi theme choose karne ke liye kaha jayega aap apni pasand se koi bhi theme select kare.
Step 2:
Ab aapko blog ka koi bhi domain chunna hai free domain ke liye domain me WordPress lagaye jaise example.WordPress.com
Image me bataye anusar free domain ke samne select par click kare..
Step 3:
Ab select Free plan par click kare.
Step 4:
- Apna email address fill kare jisse aap WordPress blog banana chahate hai.
- Username select kare.
- Strong password banaye.
- Create account par click kare.
Bas ab aapka WordPress par blog ban gaya hai. Ab aapse email verify ke liye kaha jayega email inbox me jakar WordPress massagwe me link par click kar ke verify kar sakte hai.
Ab customize your website par click kare or aap WordPress blog ke dashboard par pahunch jaoge agar aapko WordPress ke bare me koi sawal puchna hai comment me bataye.
Sath hi agar aap WordPress ke bare me adhik janna chahate ho to hamari website par WordPress se related post padhiye aapko details se jankari milegi.
- WordPress Par Site Kaise Banaye Step By Step Puri Jankari
- WordPress Par Blog Banane Ke Bad Kya Kare – 50 Jaruri Tips
I hope aapko ye article achha laga hoga agar laga hai to ise social media par apne friends ke sath share jarur kare taki wo bhi WordPress par free blog bana sake.
daniell
I enjoy what you guys are up too. Such clever work and
exposure! Keep up the awesome works guys I’ve incorporated
you guys to my blogroll.
Pradeep
Que: WORDPRESS ME CHILD THEME KYA HOTA HAI ??
Ise use kaise karna chahiye….Iske Bare me koi Article Publish Kare Sir..
“OR”
Apka koi Child Theme Related Published Post ho to Bataye…
Jumedeen Khan
Ok main iske bare me content likhunga.
Pradeep
Thanks Sir; But Kuchh WordPress Child Theme (Kya hai) ke Bare me Jankari dewe…!
Kishan Tomar
Dear Sir,
thanks for your continuously reply..
sir mera agala sawal yah hai ki agar me apna blog WordPress pe shift karta hu to kya mujhe hindi typing sekhne ki jaroorat hogi ya jaise abhi me blogger pe english text se hi hindi typing kar sakta hu
Jumedeen Khan
Hindi typing sikhne ki jarurat nahi aap google hindi input tool se easily hindi me likh sakte ho.
Arman
To sir aap iska use karke full hindi me kyo nahi likhate
Jumedeen Khan
Mujhe hinglish me likhna pasand hai.
Kishan Tomar
Hi Sir,
me apna hindi blog (related financial instruments) WordPress pe banana chahta hu mujhe aapke jaisa blog banane me initially kitana kharcha ayega or yearly kitana kharcha ayega. our aapke blog jaise look dene ke liye kin kin chizo ka kharcha ata hai
Jumedeen Khan
Aapko domain, hosting and ek theme ki jarurat hogi.
1. Domain rs100 for one year.
2. hosting rs500 to 700 per month.
3. theme $50 for one year.
Ab aap idea laga sakte ho ki kitna charge lagega.
Manish maharshi
sir mainae new blog bnaya wo google par submit nhi ho rha h m mobile m use krta hu
plzz help
Jumedeen Khan
Aap blog ko search console me submit karo google me bhi aa jayega.
Kishan Tomar
Sir,
mene aaj first time aapka blog pda me aapse aapse ye janna chahta hu ki-
1. kya WordPress pe hindi me likha ja sakta hai(hindi shabdo me)
2.me abhi blogger pe hindi me blogging karta hu me apna blog WordPress pe transfer kar sakta hu?
Jumedeen Khan
Welcome kishan.
1. Bilkul likh sakte ho WordPress 50+ language support karta hai.
2. bilkul kar sakte ho is bare me maine post ki hai aap humari WordPress se related post padh lena.
Kishan Tomar
Sir thanks for your replying…..
me financial blog likhata hu kya affiliated marketing financial product ki bhi hoti hai
Jumedeen Khan
Yes google me search karo is type ke kei affiliate program mil jayenge.
Imran
Sir WordPress m blog ki payment kese hot I h,
Jumedeen Khan
WordPress me payment karne ki jarruat nahi hai. Aap hosting le kar free WordPress install kar sakte ho. Iske bare me maine articles likhe hai aap humari WordPress se related post padhe.
deep
Bro maine free blog bana liya hai or domain bi buy kar liya lekin WordPress par domain set up kaise karu
Jumedeen Khan
WordPress par lbog banane ke liye aapko hosting leni hogi. Hosting lo or us par domain se WordPress blog install karo.
punam
domain ke baare me aur jaankari chahie hai ….plz suggest something….
Jumedeen Khan
Check this link https://www.supportmeindia.com/category/domain-registration/
kamini jain
This tutorial is very helpful mostly for the newbies , aasan steps me samjhaya hai aachi koshis hai aapki .
Jumedeen khan
Oh aapki nazar me ye sirf ek koshish hi hai. So sad.
n.k detruja
Bhot hi great sur interesting idea hsi bro nice a article
thakornaresh
Zume deen ji aapne bhot hi accha jankari diya hai WordPress or blog ke Bare Me usme Sabse acchi bat aapki blogspot vali lagi ki blogspot or WordPress dono ek hi blogger ke hi platform hai uska aapne accha
basic jankari diya
umesh patel
sir kya me mobile se blogger par blog bana sakta hu
Jumedeen Khan
Ha bana sakte ho computer or mobile me same tarika hai bas aap mobile me desktop version use karo.
yugal
बहुत ही सानदार
आर्टिकल था। इसके लिए आपको बहुत
धन्यवाद।
Rajesh Sharma
aap WordPress.org use karte ho ya
WordPress.com
meta blog blogger par h use WordPress par move karna h.
WordPress.org par
ya WordPress.com par karna honga.
kitna khrach honga Domain pahle se khrida hua h.
Jumedeen Khan
ordpress.org sabhi org hi use karte hai. isi me aap WordPress.com ko bhi connect kar sakte ho. aapko WordPress.com ya WordPress.org par kuch bhi karne ki jarurat nahi hai. Aap ye step follow karo.
1. sabse pahle aap domain se hostgator ya bluehost se hosting kharido.
2. hosting buy karne ke bad hosting par WordPress blog install karo.
3. ab WordPress blog me apne blogger blog ka backup import karo.
Isme aapko total charge 5-8 hazar ka aayega. or agar aap hostgator.in se hosting lete ho to aap 1 mahine ki hosting le kar 1-2 hazar me WordPress blog bana sakte ho. Maine is sabke bare me btaya hai. Aap humari WordPress se related post padhe.
Rohit Patel
Sir,
Mai jo bhi post likhta hu usko google plush,facebook,twitter jaisi site par share karta hu magar ek bji visitor nahi aate hai kya karu? Maine abhi tak 7 post likhi hai abhi tak 12 visitor hi hai.
Jumedeen Khan
Rohit jo post logo ko pasand aayegi log use hi padna chahenge. aap kisi ayse topic par post karo jis par pahle se koi post na ho.
vikash
I think this is a real great blog article.Much thanks again. Really Cool.
Prabhat nayajnayak
Sir mjhe ye janna hai mne go daddy se WordPress hosting le rakhi hai.or us par kam bhi kar raha hu.par mere conten google page par nhi ate hai.or visitors nhi ate hai. Mjhe conten ko google par lane k liye kya karna padega.plz sir ap mjhe mail karna jarur
Jumedeen Khan
Aap apni site ko google webmaster tools me submit karo.
Abhishek Prasad
Heloo Apke share pugin ka kya naam hai
Jumedeen Khan
Sssy social share
naved
Mare site WordPress par hai me ya site android mobile par use karta hu par mare site ka deasbord ma plugins ka option nhi aa raha. Ap bata sakta hu kya kro
Jumedeen Khan
Free WordPress me plugin or baki other option disable hote hai. Unke liye aapko hosting leni padegi.