WordPress par blog banana bhi blogspot par blog banane jaisa hi hai. Bas fark sirf itna hai ki blogspot free hai but wordpress paid hai or is par blog banane ke liye aapko kisi hosting site se hosting leni padegi. Aaj is post me mai aapko wordpress par blog banane ke bare me kuch important bate bta raha hu. jisse aap aasani se wordpress blog bana sakte ho.
WordPress BlogSpot Se Kyu Behtar Hai?
WordPress or blogSpot dono blogger platform hai. WordPress par unlimited feature hote hai. WordPress blog par humara pura control rahta hai. Jabki blogSpot blog par humara pura control nahi hota or isme feature bhi limit hote hai. Yani blogspot ko loha mane to wordpress ko sona manna galat nahi hoga. WordPress blog banane se pahle ek bar ye post or pad le BlogSpot Vs WordPress Kounsa Platform Behatar Hai
WordPress Blog Ke Liye Hosting Kaha Se Kharide?
Hosting humare phone ke memory card ki tarah hai. Jis tarah memory card me humare songs, videos, movies, photos data save rahti hai bilkul wese hi hosting par humare blog ki sabhi data save rahti hai. Maine digital ocean ki free hosting ke bare me pahle se btaya hai, aap chahe to is post ki help se free hosting le sakte hai.
Digital Ocean Par Free Hosting Kaise Kharide Cloudways Se or agar aap paid hosting lena chahe to mai aapko suggest karunga ki aap hostgator ya bluehost se hosting kharide. In my case main hostgator ki hosting use karta hu.
- WordPress Blog Me Google Translate Tool Kaise Add Kare
- WordPress Blog Me CloudFlare Free HTTPS SSL Setup Kaise Kare
WordPress Par Free Blog Kaise Banate Hai?
WordPress par blog banane ke liye aapko hosting leni padegi. Wese to aap WordPress.com par free blog bhi bana sakte ho but usme aap theme change nahi kar sakte or kei or important customizing kar sakte.
Agar aap WordPress par new hai to mai aapse kahunga ki aap ek bar kisi free hosting dene wali site se hosting le kar wordpress ko pahle samajh le uske bad kisi achi hosting site se hosting le kar blog banaye.
Yaha mai aapko wordpress.com par free blog banane ke bare me bta raha hu. agar aap paise kamane ke liye blog banana chahate hai to hosting le kar hi blog banaye.
Step 1:
Sabse pahle WordPress.com website par jaye or create nlog par click kare.
Create blog par click karte hi aapki koi theme choose karne ke liye kaha jayega aap apni pasand se koi bhi theme select kare.
Step 2:
Ab aapko blog ka koi bhi domain chunna hai free domain ke liye domain me WordPress lagaye jaise example.WordPress.com
Image me bataye anusar free domain ke samne select par click kare..
Step 3:
Ab select Free plan par click kare.
Step 4:
- Apna email address fill kare jisse aap WordPress blog banana chahate hai.
- Username select kare.
- Strong password banaye.
- Create account par click kare.
Bas ab aapka WordPress par blog ban gaya hai. Ab aapse email verify ke liye kaha jayega email inbox me jakar WordPress massagwe me link par click kar ke verify kar sakte hai.
Ab customize your website par click kare or aap WordPress blog ke dashboard par pahunch jaoge agar aapko WordPress ke bare me koi sawal puchna hai comment me bataye.
Sath hi agar aap WordPress ke bare me adhik janna chahate ho to hamari website par WordPress se related post padhiye aapko details se jankari milegi.
- WordPress Par Site Kaise Banaye Step By Step Puri Jankari
- WordPress Par Blog Banane Ke Bad Kya Kare – 50 Jaruri Tips
I hope aapko ye article achha laga hoga agar laga hai to ise social media par apne friends ke sath share jarur kare taki wo bhi WordPress par free blog bana sake.
Utsav zamare
Sir mere pass pc Nahi hair,mai mobile me wordpress Kaiser install kru.kya ye possible hai
Jumedeen khan
Mobile ke liye bhi same process hai.
Mohammad Vasim
accha article hai sir, mera blog abhi blogger par hai aur me jald hi wordpress par shift karne wala hu . aapke kai saare article wordpress ke baare me hai jisse mujhe help mil rahi hai. thanks
prabh bal
hello bro mai ek website banana chahta hu jisme sirf all language ke lyrics hoge..mere kujh swaal hai..
1. lyrics post se google adsense kaise approve karega kyuki uska content bahut kam hota hai.
2. kya wordpress par hi lyrics site banani chahiye ya kisi aur par?
3. kaun sa domain name accha rahega.
4. lyrics site ke liye kaunsi premium theme acchi rahegi.
Jumedeen khan
Aap kisi aur ka content share karke earning ki ummid na hi kare to better hai.
ashutosh pandey
sir me aap ki site ka regular reader hu aap ke blog ke help se wordpress aagya hu blogger se par me koe paint se ya ms office se koe image bna ke wordpress par lata hu to dikhta nhi please sir help me yeh dikkat kese dur karu
Jumedeen
Aap sirf thumbnail support theme use karo main aapko pahlwe bhi kah chuka hu.
Ranjeet
Me apka blog 1 saal se padh rha hu or bhut kuch sikha he or ab me apna blog start krna chahta hu LEKIN me wordpress ko payment nahi kr paa rha hu me 2 international debit card banva kr try kr chuka hu pr fir bhi payment nahi ho paa rhi he.
Aap please mujhe btaae ki payment kis card se hogi or kese hogi.
Jabki wordpress support wale bool rhe he ki mere card me problam he.
Please help me.
Jumedeen Khan
Aap credit card use kare ya fir kisi indian company se hosting le or wordpress.org par blog banaye.
Afifa Ambari
Hello sir me stories aur poetries likhti hun aur me aapna ek blog bana na chahati hun WordPress me to me jana Na chahati hun ki kese blog bana na jyada acha rahega free ya premium ya fir agar me pehle free blog banaun aur baad me premium lena chahun to esa hosakta hai
Jumedeen Khan
Aap hosting le kar self hosted blog banao uski jankari yaha hai WordPress Par Site Kaise Banaye Step By Step Puri Jankari
Mukesh Rajput
Good job jume deen bhai
Mahendra
Hello sir mera blog WordPress com par hai ya WordPress org par muje ye pata nahi chal paa rha hai
Jis tarh se aapne likha tha mene usee tarh se sabkuchh kiya
Jumedeen Khan
Is psot me btaye tarike se aap wordpress.com par blog banaye ho wordpress.org ki jankair yaha hai WordPress Par Site Kaise Banaye Step By Step Puri Jankari
Sanjay
sir ,
me jab apni email id dalta hoo to vah support nahi karti hai yah massage show hota hai—–
Choose a different email address. This one is not available. If this is you log in now.
aur jab login karta hoo to password wrong bataate hai.. please help me.
Jumedeen Khan
Aap dusri gmail ID se try karke dekho ya password reset karo.
Jumedeen Khan
Aap wordpress.com use kar rahe ho wodpress.org par blog banao fir kar sakoge.
Gautam
Sir,jab WordPress per create blog per click Ker ke free blog bna lets hai toh bhi hosting Ki jarurat padti hai kya,sir Maine free blog bnaya but plugin add nhi Ker pa rha,jab plugin add kerta Hu toh upgrade in business plan aata hai,jisse m koi plugin add nhi Ker paa rha Hu,
Jumedeen Khan
Nahi, Aap wordpress.com use kar rahe ho wodpress.org par hosting le kar blog banao fir kar sakoge.
gautam
Maine free hosting se bnaya blog WordPress per but theme wale ka naam show Ho rha hai,paid hosting m nhi asa hoga kya
Jumedeen Khan
Iske liye aapko fotter.php se code remove karna hoga.
sumer
Sir me WordPress par blog bana kar kamai karna chahta hu free me kya ASA ho sakta h plz talk me
Jumedeen Khan
Nahi. blogger use karo free hai. WordPress par apako domain add karne ke liye bhi pay karna padta hai jabki blogger par nahi.
Bheru singh
Sir mere blog ka site map submit naho ho rha hai search console me submit karne pe 1 error show kar rha hai
General http 404 error
http://www.hindisites.com meri site hai aap chek karke bta sakte hai isme kya kami hai
Jumedeen Khan
First aap yoast plugin install karo or usme sxml sitemap option ko enable karo fir example.com/sitemap.xml link ko open karke dekho ki sitemap work kar raha hai ya nahi uske bad sitemap search consol eme submit karo.
Bheru singh
Ha sir uske page or post do site map dikha rahe hai But me link submit krta hu to ye error ata hai sir
Apke blog ka daily visit or hu sir sub kuch yahi se sikha hai support me india mera guru hai but apki btayi post folow kare ke baad bhi ye error kyu aa rha hai.
Jumedeen Khan
Dear koi bhi kaam mushkil nahi hota bas ek bar hum use samjh le. Aap ye stpes follow karo.
1. First aap blog me yoast plugin install karo.
2. Uske bad is page ko open karo WordPress Yoast SEO Plugin Setup Kaise Kare – Full Settings
3. Ab is post ko scroll karo or XML sitemap wala step follow karo.
Bheru singh
Yoast Seo plug in install kiya or jaisa apne btaya weise uska setup.bhi kiya hai sayad mene cloud flare se ssl setting kiya uske bad me https lagu ho gya pr wordpress url and site url dono me http hi hai i mean adress chang nhi ho pa rha hai kahi ye reason to nhi hai khan bhai
Jumedeen Khan
Aapke blog par sitemap work nah ikar raha hai. Yoast plugin ko uninstall kar fir se install karo or usk isettings reset kar fir se sitemap generate karo.
Monika Sharma
Hello Sir Mere Pass WordPress Ka Free Blog Hai Kya Mein Use Update kar Ski Hu Premium Mein Or ye Kitne Time tak Free Mein Chal Skta Hai Sir Plz Tell Me Sir I Wait Your Answer Sir
Jumedeen khan
Lifetime free use kar sakti ho nahi upgrade mat karo hosting le kar blog ko wordpress.org par migrate kar lo.
prasiddh yadav
sir
kya hum mobile se blog kar sakte hai mobile se post likh sakte sir mujhe paise nahi kamana hai sirf mujhe blogging me sabse aage jana hai main aap ki site 6 month se daily visit karta hon
Jumedeen Khan
Bilkul kar sakte ho but screen choti hone se blog ko manage karne or article likhne me problem hogi.
kuldeep bhatt
jume deen khan bro apke blogs pade mene really bht jyada helpful h aur apke smjhane ka way v bht accha h sir main v apse ye puchna chahta hu k mene avi blogger pr blog likhna start kiya h,kya mujhe earning krne k liye WordPress hi use krni hogi aur kya WordPress pr phle me free site me blog likhke apne viewers bda skta hu fr jb viewers bad jayenge tb domain aur hosting le lu
Jumedeen Khan
Aap blogger par bhi achhi earning kar rahe ho. WordPress full paid hai. Domain jitni loge achha hoga.
Mohammad ather
sir WordPress site banane ke baad earning kaise hogi
Jumedeen Khan
Aap site par AdSense ads, affiliate marketing and earning source use kar sakte ho.
Vinay Kumar
sir – WordPress kpr blog banane ke baad traffic nahi aa raha – Uske liye kya kare? Please hsare some link for this
Jumedeen Khan
Uske liye humari SEO wali post padho.
rushikesh sonawane
Sir WordPress par post dalne ke liye html coading ki jaroorat hai. Ya fir blogger par jaise ham sidha content type karte hai waise post likhani hai.
Jumedeen Khan
Nahi coding ki jaruratnahi hoti hai blogger ki tarah post likh sakte ho.
Rushikesh sonawane
Sir WordPress par blog banane ke liye html coading ki jaroorat hai ya fir ham blogger par jaise type karte hai waise hi karna padta hai.
Jumedeen Khan
WordPress or blogger dono par apa bina coding ki jankari ke apps bana sakte ho.