Cryptojacking, illegal tarike se paise kamane ka naya tarika. Pahle hackers ne Ransomware attack se user ka data kidnap kar phirautee ke dwara paise vasule the ab attackers ne naya tarika nikala hai jise Cryptojacking kaha jata hai, iske taht user ke device (computer, tablet, mobile) ko hack kar usse crypto currency kamai jati hai. Is article me aapko Crypto jacking Kya Hai, Isse Paise Kaise Kamate Hai, Iske Kya Nuksan Hai, Iska Istemal Kaun Karta Hai Aur Isse Kaise Bache ki puri jankari hindi me milegi.
Jaha paisa kamana aasan hota hai waha bahut bheed hoti hai fir chahe wo tarika legal ho ya illegal log bas jyada se jyada paisa kamana chaahte hai. Aesa hi ek tarika hai jise Cryptojacking kahte hai, isme user ke device me background script ya software play kar CryptoCurrency coin kamaye jati hai.
Hum internet par jo bhi websites dekhte hai un sabhi ke owner kisi na kisi tarike se paise kamante hai, jaise advertisement, product sell, promotion etc. sabke paisa kamane ke tarike alag-alag hote hai lekin abhi ek naya tarika samne aaya hai, Cryptojacking, aayiye iske bare me vistar se jante hai.
Table of Contents
- Cryptojacking Kya Hai?
- Popular Cryptocurrencies Konsi Hai?
- Attacker Aapke Computer Par Cryptojacking Kaise Karta Hai?
- Cryptojacking Ka Target Kya Hai?
- Kaise Pata Kare Ki Computer Cryptojacked Hai?
- Cryptojacking Aapke PC Ke Liye Harmful Kaise Hai?
- Cryptojacking Kis Type Ki Websites Ko Target Karta Hai?
- Cryptojacking Important Facts and Stats
- Cryptojacking Ka Istemal Karna Sahi Hai Ya Galat
- Cryptojacking Attack Se Kaise Bache?
Cryptojacking Kya Hai?
Cryptojacking ek aesa tarika hai jisme hacker aapke device (compute,r laptop, tablet, smartphone etc.) ki power ka upyog karke crypto currency coin earn karta hai.
Isme hacker user ko bina btaye (without permission) uske device me background script run karke crypto currency kamate hai, isiliye ise Cryptojacking kahte hai.
Cryptocurrency virtual ya digital money ka ek roop hai jo security ke liye cryptography ka istemal karta hai. Is currency ko generate karne ke liye ek computer ki processing power ki jarurat padti hai.
Cryptojacking (Cryptocurrency jacking ya Cryptocurrency malware) aapki permission ya knowledge ke bina Cryptocurrency kamane ke liye aapke computer ki CPU power ka secret use karta hai.
In simple words, jab aapka computer bina aapki permission ke secret tarike se digital money earn karne ke liye upyog kiya jata hai to use Cryptojacking kaha jata hai.
Popular Cryptocurrencies Konsi Hai?
Cryptojacking me kai tariko se paise kamaye jate hai, isme nimn currency shamil hai.
- Bitcoin
- Monero (XMR)
- Litecoin (LTC) Litecoin
- Dash
- Ethereum (ETH)
- Ripple (XRP)
- Zcash (ZEC)
Attacker Aapke Computer Par Cryptojacking Kaise Karta Hai?
Ek hacker aapki anumati ke bina aapke computer ko hack kar us par nimn tariko se cryptojacking carry out kar sakta hai.
- Attacker aapko koi phishing email send kar sakta hai jisme aapko kisi link par click karne ya kisi attachment ko download ke liye kaha jata hai, isse aapke device me ek crypto code drop kar diya jata hai.
- Attacker apni crypto mining script se kisi website usme pop up ads dikha sakta hai. Agar aap aesi website par jate hai aur uske ad par click karte hai to aapke PC me crypto mining script download ho jati hai.
- Is technique ko in-browsing cryptojacking kaha jata hai, kyuki isme hacker ko kuch bhi karne ki jarurat nahi hai, bas aap unke dwara hack ki gayi site par jaye aur ad par click kare uske bad aapka computer cryptocurrency generate karne ki machine ban jayega.
Cryptojacking Ka Target Kya Hai?
Kuch logo ko confusing hai ki Cryptojacking kin users ko target banata hai, unke anusar Cryptojacking attacker unhi ko nishana banate hai jo cryptocurrency handle karte hai.
Jabki aesa nahi hai hacker har us device ko target kar sakte hai jisme internet istemal hota hai.
Kaise Pata Kare Ki Computer Cryptojacked Hai?
Agar aapka computer, mobile, tablet, laptop, smartphone etc. cryptojacking ke liye istemal kiya ja raha hai to iska pata karne ka keval ek hi tarika hai jo aap notice kar sakte hai.
Slow performance and performance interval iski main pahchan hai, Aapka kab cryptojacked ban jaye iska pata chalana mushkil hai bas aapke device ki performance hi ye bta sakti hai kyuki bahut se users (jinke device cryptojacked the) ko pata bhi nahi chala ki unke device cryptojacked hai.
Cryptojacking Aapke PC Ke Liye Harmful Kaise Hai?
Cryptojacking ke kai nuksan hai ye aapke system ki processing power ko istemal karta hai aur kai bar aapke system ko itna slow aur garm kar deta hai ki aap koi work bhi nahi kar pate ho, kyuki kuch crypto mining script aapke device power ka 100% upyog karti hai jisse aapke system ke hardware ki age kam ho jati hai.
Agar aap ek professional, tester, gamer hai to aapke device par attack karne ki shambhavna jyada hai. Agar aapka device cryptocurrency generate kar raha hai to ye aapke electricity bill ko badhayega aur kuch cashes me cryptojacking user ke device ko crash kar deta hai.
Cryptojacking Kis Type Ki Websites Ko Target Karta Hai?
Attacker jyadatar unprotected websites ko target karte hai jin par daily bahut jyada traffic hota hai. In websites me government and news portal website shamil hai. Lekin hacker un websites ko bhi nishana banate hai jo kisi type ki online service provide karte hai aur unki site par massive traffic hai.
Jab koi user cryptojacked website par visit karta hai to uske ad par click karne se uske device me crypto mining script include ho jati hai.
Cryptojacking Important Facts and Stats
- March 2024 me lagbhag 50,000 websites crypto-jacking script se infected mili thi.
- Cryptojacking platform independent hai aur Windows, Mac aur Android devices ko hack kar sakta hai.
- Coinhive ko ko attackers dwara use ki jane wali sabse widespread crypto jacking script mana kata hai.
- Paisa kamane aur technique skills ki less demand ke karan cryptojacking ransomware se jyada popular option ban raha hai, kyuki ek attacker ransomware se attack kar 100 users me se 5-10 se ransom le sakta hai lekin cryptojacking se un sabhi 100 computers se paisa kamaya ja sakta hai.
- April 2024 me Aditya Birla Group ke 2,000+ computers ko cryptojacking hacker ne hack kar liya tha.
- Adhiktar cryptojacking attackers monero digital money generate karna pasand karte hai, kyuki ye bitcoin se jyada anonymous hai.
Cryptojacking Ka Istemal Karna Sahi Hai Ya Galat
Kuch log iske bare me alag alag ray rakhte hai lekin mere hisab se cryptojacking ka upyog karna bilkul galat hai, aap kisi ki permission ke bina uske device ka istemal nahi kar sakte hai aur jab uske nuksan ki bat ho to bilkul bhi nahi.
Website owner apni website par advertisement ke jariye paise kamata hai ya kisi product ko promote kar commission earn karta hai, ye sab user ki marzi se hota hai lekin cryptojacking me user ko pata bhi nahi hota ki uska device cryptocurrency generate kar raha hai.
Cryptojacking Attack Se Kaise Bache?
Yaha tak post padhne ke bad aapke dimag me ye sawal aa hi gaya hoga ki “Apne aapko cryptojacking se kaise bachaye?” to chaliye main aapko iske bare me bhi bta deta hu.
- Sabse paheli bat apne computer me Anti-Virus istemal kare. Antivirus cryptojacking infected website aur email ka pata laga kar block kar deta hai.
- Unwanted, unexpected and unknown mail me add link par kabhi bhi click na kare aur attachment download na kare.
- Agar email important hai to usme diye link par click karne se behtar hai aap call kar mail sender se contact kare.
- Apne computer me jaruri software ko update kare aur other program like adobe, java, internet browser ko up to date rakhe.
- Apne web browser me ad block extension use kare aur latest browser ka upyog kare sath hi kisi bhi website par pop up ad par click na kare.
- Time to time apne PC ko antivirus e scan karte rahe aur temp files ko delete karte rahe. Jab kabhi device slow ho to scanning jarur kare.
Ye thi cryptojacking ki a to z guideline, agar aapko abhi bhi is bare me koi sawal ya confusing hai to aap comment section me puch sakte hai.
Maine ye post apne readers ki security ke liye likhi hai taki wo is virus se apne device aur apne aapko bacha sake, mujhe ummid hai aapko ye jankari pasand aayi hogi.
- Nipah Virus Kya Hai Aur Isse Kaise Bache [Hindi Jankari]
- Computer Ke Liye Antivirus Kyu Jaruri Hai – Why Need Anti-virus
Agar aapko ye article useful and helpful lage to ise social media par apne friends ke sath share jarur kare.
Md Shahnwaz
hi very nice post and very nice site and you keep doing good job
Tushar Kumar
Sir Antivirus kon sa accha rahta hain ?
Jumedeen khan
Main Quick Heal use karta hu.
Haseeb Alam
Mera Laptop Bhi 1 Month Se Slow Ho Gaya Hai. Aur Mai Soch Raha Tha Ki Mere Laptop Me Hi Kuchh Kharabi Aa Gayi Hai.
Lekin Is Jaankari Ke Milne Ke Baad Ab Mujhe Lag Raha Hai Shayad Mera Laptop Bhi Cryptojacking Ka Shikar Ho Chuka.
Ab Mai Kya Karun Jumedeen Sir?
Jumedeen khan
Aap antivirus istemal kare.
Sujal Desai
Bohot hi badiya tarike se samajaya .
Ashish
Itni acchi jankari ke liye shukriya jumedeen bhai. 🙂
Ajay kumar
bahut hi important information aapne ham logon se share kiye hain. is online internet ke duniya me bahut se logon ke baare me pata nahi hota hai. jisse uski nuksaan ho jaati hai. lekin, aapki post padhne ke baad usse hone vaale nuksaan ko rok sakte hain. thanks for sharing this useful information…