Google AdSense me invalid click activity ek serious issue hai or iski wajah se bahut se users ka AdSense account block ya permanently disable ho jata hai. Today, main aapko invalid click activity ke bare me kuch jaruri bate btane ja raha hu. Jinse aap pata kar sakte ho ki aapke AdSense ads par invalid clicks ho rahe hai ya nahi or hai ya nahi or agar ho rahe hai to kya kare.
Adsense ads par hone wali invalid click activities ke bare me pata lagana or isse apne AdSense account ka secure karna har ek AdSense publisher ke liye important hai. In this post, main aapko invalid click ke bare me pata karne or isse bachne dono ke bare me bta raha hu.
But usse pahle hume ye janna jarui hai ki aakhir ye invalid click activity hoti kya hai or kis tarah ke clicks ko AdSense invalid manta hain.
Table of Contents
What is Invalid Click Activity ? अमान्य क्लिक गतिविधि क्या हैं ?
Adsense invalid click activity me wo clicks or impressions shamil hote hai jinse advertiser ki costs and publisher ki earnings artificially increase ho jati hai. Isme intentionally fraudulent traffic or accidental clicks ko bhi shamil kiya jata hai.
I mean fraud traffic se janbujh kar kiye gaye clicks ki activities ko invalid click activity kahte hai. Isse publisher ke earnings badh jati hai but without benefits ke advertiser ki costs bhi badh jati hai. Isiliye google ise invalid click activity man leta hain or aapke AdSense account ko permanently disable kar deta hai ya fir aapko 30 day ya isse jyada time tak liye banned kar deta hai.
Publisher ke apne khud ke ads par clicks karne or apne friends se ads par click karnwane like automatically tools, robots ka istemal karke artificially clicks karwana bhi invalid click activity me shamil hai.
I mean invalid clicks me bahut kuch shamil ho sakta hai but iski koi limit nahi hai. Main yaha par aapko iske bare me kuch terms bta raha hu jo aapki invalid clicks ko define karne me help karegi.
- Adsense publisher ka apne khud ke live ads par clicks karna.
- Users ke ek hi ads unit par bar bar click karna yani clicks repeat karna.
- Publisher ka ads par click karne ke liye user ko uksana or yaha click kare jaise words ke sath ads placement karna. Examples, user ko ads par click karne ke liye ye btana ki aap yaha click karke jyada benefits pa sakte hai.
Google chahata hai ki user apne interest se ads par click kare and artificially kisi bhi way se clicks or impressions ko badhana prohibited hai or google ise bilkul bhi allow nahi karta. Aesa karna google ki program policies ka violation hoga.
Agar AdSense ko aapke account me high level ka invalid clicks ka issue milta hai to google apne advertisers or users ki protect yani security ke liye aapke AdSense account ko suspend, disabled, permanently disable, block and ban kar sakta hain.
Adsense Ads Par Hone Wali Invalid Click Activity Ka Kaise Pata Kare ?
How to define invalid click activity ? ye ek bahut bada issue hai or har ek publisher ke liye ye bahut mushkil hai ki wo invalid clicks ke bare me kaise pata kare. Actually, iske bare me koi clear information nahi hai but google ki btayi kuch tips se hum iske bare me kafi had tak jan sakte hai.
Jab aapke blog par low traffic or bahut jyada ads clicks hone lage or AdSense impressions ke mukable clicks bahut jyada ho to samajh lijiye aapke ads par invalid clicks ho rahe hai.
Google janta hai ki some thirt party aapki knowledge or permission ke bina AdSense ads par invalid clicks generate kar sakti hai.
However, ultimately yani kuch bhi ho is sabke bavjud bhi invalid click activity ke jimmedar sirf aap honge. I mean iski responsibility aapki hogi or kuch bhi koi bhi ads par invalid click karega to nuksan google ko nahi aapko uthana hoga.
But google ne isse bachne ke liye kuch tips btaye hai jinhe follow karke aap apne AdSense account ko invalid click ki problem se secure kar sakte ho.
- Understand your ad traffic and site visitors: Apne blog ki traffic ke sources ke bare me pata kare ki kis traffic se aapke AdSense ads par invalid clicks ho rahe hai. Iske liye aap google analytics par traffic report check kar sakte hai jo aapko aapki site traffic or user ke bare me details se information provide karti hai.
- Avoid partnering with untrusted / low-quality parties: Agar aap AdSense ke alawa bhi kisi or low quality wale advertising program ke sath partnering kar rahe hai to use forn band kar de. Google bahut se advertising program ke sath partnership pasand nahi karta hai.
- Don’t click on your own ads, even if you think it’s okay to do so: Agar aap sochte hai ki aapke khud ke ads par click karne ke bare me google ko pata nahi chalega to aap galat hain. Adsense ads par khud click karna uski policy ka vioaltion hai or isse jaldi hi aapka account suspend kar diya jayega.
- Double- and triple-check your implementation: Kuch publisher custom implementations istemal karte hain jiske unintended consequence hote hai. Check kare ki aapke implemetations me koi programming erros to nahi hai or kya aap AdSense ads placement policy ko follow kar rahe ho or kya aapki site par ads har browser me sahi se show rahe hai.
- Use the authorized sites feature to prevent unauthorized use of your ad code: Sirf authorized website or blog par hi AdSense ads istemal kare or unauthorized sites par ads lagane se bache. Agar aap kisi or sites par ad lagana chaahte ho to AdSense site management me uska link jarur add kare.
- Consult the AdSense Help Forum: Agar aapko is bare me koi question puchna hai to aap AdSense help forum me iske bare me sawal puch sakte hai. Actually, aapko jo problem hai wo kisi or AdSense user ko bhi huyi hogi or ho sakta hai wo help forum me aapko iska sahi solution bta de.
Main AdSense invalid click activity se bachne ke liye Adsense Ads Par Invalid Click Rokne Ke Liye Kya Kare 10 Tips post me already details se bta chuka hu. So agar aap iske bare me full information chahate hai to ye post read kare.
Conclusion,
Finally, aapko AdSense invalid click activity ke bare me sabkuch samajh aa gaya hoga. By the way, agar kisi bhi wajah se aapka AdSense account suspend bhi ho jata hai to aap google ke Invalid click Contact Form me iski report send kar sakte hai. Ho sakta hai google aapko fir se AdSense use karne ki permission de de.
I hope aapko is post se invalid clicks ki problem se bachne ki achhi jankari mili hogi. Please apna 2 second ke time de kar is post ko social media par share jarur kare.
Nripendra kumar singh
Sir mera blog wordpress par hai aur mere site me Adult po-pop ads show ho raha hai isko kaise site par show hone se roke Aur adsense ke ads bhi site par lagaya hu please koi solution dijiye.
जुमेदीन खान
Adsense blocking control me जा कर आपकी इसकी category ब्लाक कर सकते है
Kailash
सर मुझे invalid click की वजह से Google absence approval nhi मिल रहा है। मैं पांच बार apply कर चुका हूं। मुझे ऐसे मे क्या करना चाहिए कृपया कर बताए।
जुमेदीन खान
Invalid clicks stop karo.
dharmesh rajput
sirbahut hi badhiya jankari di hai , sir aap se ek baat puchni thi oj 2-3 invalid clic aati hai to uski report adsense ko karni chahiyr ya nahin. ek i p address se bar ba invalid click aa raha hai. lekin mera ctr average rahta hai. please jawab jarur dijiye.
जुमेदीन खान
2-3 इनवेलिड क्लिक से कोई प्रॉब्लम नहीं होगी, ज्यादा हो तो रिपोर्ट कर देना
Md Jalal
Bahut khoob!!!
Jumedeen sir actually mai avi new blogger hoo.
Maine adsense liya uske k bàad code ko add kiya lekin add nahi hua…
To Maine usme cu-pb- aur niche ki code ko hata diya fir mera ad show hone laga …
Kya ye sahi h?
Mai ne 2-4 click v khood k add par kr diye hai..kya mera adsense approve ho jayege
Plz let me know I am still waiting for your kind response …
Thanks have a nice time!!!
Jumedeen Khan
MD jalal adsense ad codeko optimize karne or ad par click karna allow anhi karta aapne k sath 2 policy violation kiye hai. Approve ho jayega kah nahi sakta but ho jaye to achhi bat hai kyuki first time mistakes ko maaf kar deta hai. Next time aesa mat karna.
Sivam Datta
Sir aaj maine fb pe aap se bat kiya adsense ke bare me. aapko 2 screenshot bhi diya. aapne check kiya aur bataya bhi ki yah prob invalid click ke vajah se hoti hai. fir aapne bola ki ad sahi jagah lagana hai.
1) Plz aap mere blog 1st post check karke bataiye ki ad sahi hai ya nahi.
2) Aur kon – konse ad laga sakta hu. kya ad lagane ki limit over ho gai.
3) maine side bar me 3 ad place kyo wo wrong hai.
plz tino sawalo ke jawab dijiye.
Jumedeen Khan
1. Aap header add ki location sahi karo.
2. Apane sidebar me 3 ad laga rakhe hai sidebar me 1-2 ad sue karo or post content ke bich me ad lagao.
3. Yes3-4 ad use karna better hai.
Bas in problems ko solve kar lo.
Anoop negi
Sir ek hafte se mere site par bhi invalid clicks hore hai..!! Traffic jyada ni hai.. Par earning traffic ke hisab se bhut jyada hai..!! Sir any idea mujhe abi kya karna chahiye..!!
Jumedeen Khan
Aesi problem hai to kuch time ke liye site par se ad hata do.
RAJA ASHU
Jumedeen Bro mai apne post me text ads inject karta hu to wo ek baar hi appear hota hai. Mai chahta hu ki post ke beech me 3-4 bar text ads inject karu yani 3-4jagah wo ads show ho post ke andar. Jaise aapke post me 4-5 text ads inject hai. PLZ check my blog http://www.quicklystartup.com and give me tips about it. Thanks you
Jumedeen Khan
Aap total 3 text ad units use karte ho. Text ad unit proper work nahi karte isiliye sabhi is format ke ads ko use nahi karte. I’m so sorry aapke sath bhi kuch aesa hi hi aap ads ko enable rahne do kuch time bad work karne lag jayenge.
Santosh Singh
Mera parso ko address verification hua or earning ek din acchi hui fr self click ho gya ad par uske Baad SE Earn Kam ho Gyi…
Do din ho gye…
Any solutions !
Jumedeen Khan
Next time self click mat karna.
Sumit Mishra
Hello Sir Apki Post Bahut Hi Achchi Hai. “Lekin Kuchh Log Dhamkiya Dene Lage Hai Ki Vo AdSense Par Bar-Bar Click Karke AdSense Block Karwa Denge”
To Ham Aise Me Kya Kar Sakte Hai?
Jumedeen Khan
Sumit first to kisi se jhagda mat karo agar koi aesa karta hai to aap google ko iski report kar sakte ho. Invalid Click Activity Ki Google Adsense Team Ko Report Kaise Kare
Naresh detruja
Bhot hi accha jankari share kiya hai aapne nice post
Deepak Vaishnav
Sir desktop or mobile pr feature image ki size kese set karte hai
Jumedeen Khan
CSS coding se like
featured-post img{width: 80%}
ajay
jumedin sir mere site par 3 ads show rahe the jisme ki 1 ads show hona band ho gaya mujhe ek msg aaya tha your 1 ads is disprove jiske bad mere header me lage ads show hona band ho gaya
1.kya jo header ke ads show hona band ho gaya vo fir se show ho sakta hai
2.kya vo 1 ads ko aprove karna padta hai tbhi ads fir header me show hoga
3.header me fir se ads kese show hoga iske baare me hame bataie
mera site apnahelp.tk aap dekh sakte hain
Jumedeen Khan
Ajay aapke liye behtar hoga ki AdSense ki policy ka palan karke ads blog me lagao. Is bare me main post ki huyi hai wo padh lo warna aapke policy violation karne se AdSense disable bhi ho sakta hai.
Anju Lamba
It’s Time To Celebrating A Lakh + Visitors & Page Views On Our Blog.
Thanks For Some Great Information. Now I Am A Moderator & Author At HinditrickBlog.com
Haidar khan
Bahut acchi jankari hai AdSense account ko invalid activities se secure rakhne ki.
Well abhi to mere account me aisa kuch nhi ho raha hai. Han future me ye post kaam sakti hai.
Thanks !
@OnlineHindiGuide
dilip
Bro jab me apne blog par template use karta hu to usme footer me credit link diya hota hai agar me usko remove kar ke blog par apply karta hu to jab bhi koi mera blog open karta h toh visitor us theme k author hote h unki website par redirect ho jata hai to inko kaise remove karu jisase blog redirect na ho
Jumedeen Khan
Aapki template me redirection code add hai. Jise coding se remove karna mushkil hai aap dusri template use karo.
Uttam
Thanks jume deenji aap ne ye post likhi me yhi aapse contact form me pucha tha.
bt av me kya kru jisse block aacount Reopen kr shku unhe Mail bhi ki mene bt av tak koi response nhii aaya
whtz can i do reopen again AdSense A/c
Jumedeen Khan
Main iske bare me bhi post karne wala hu. just wait.
kuldeep vishnoi
sir mere blog par visitors nhi aa rahe hai to visitors kaise laau…
Jumedeen Khan
badhiya post likho.
Akash Sharma
Sach mein sir, AdSense invalid click ek bohot badi problem hai. Ek to AdSense milne mein kitna samay lagta hai, Upad se invalid click ke waja se account disable ho jata hai. Ise rokna bohot zaroori hai. Thanks for sharing the article. Isse publishers invalid click se apne account ko baja sakega.
Ashish Pandey
sir mere AdSense account se bahot kam earning ho rahi he kya karu
Jumedeen Khan
traffic badhao.
Pawan Gautam
Thanks sir vahut aachhi jankari di aapne sir mera sawal hai ki maine dusra blog banaya hai kya domain lagane ke bad kya AdSense use karne ke liye 6 month waiting karna padega.
Jumedeen Khan
Nahi aap domain le kar kabhi bh iads laga sakte ho.
sarfraj shekh
Sir
mera AdSense account 30 days
ke liye suspend ho gaya hai.
30 days ke baad mujhe kya
karna padega jo mera accident
account secure bana rahe
Jumedeen Khan
Aap 30 day ke bad fir se AdSense use kar sakoge. sirf wait karo.