Ye post specialy un logo ke liye hai jo abhi blogging me new hai to WordPress ko sikhna chahate hai, agar aap bhi new bloggers me hai to chaliye aaj hum baat karenge DigitalOcean VPS Server Free Hosting ke bare me, jisse aap 15 days ke liye free hosting le sakte ho, or in 15 days me aap wordprerss par bahut kuch sikh sakte ho.
Free Hosting Lene Ke Liye Kya Kya Chahiye: Hosting ka naam aate hi hum sochne lagte hai ki hosting lene ke liye kya kya chahiye hota hai. to nischit ho jayyiye mi aapka free hosting dilwane ja raha hu,
- Koi credit card ki jarurat nahi.
- koi paincard ki jarurart nahi.
- koi paypal & bank account ki jarurat nahi.
- koi jankari ki jarurat nahi bas aapko WordPress ki thodi bhi knowlegze huyi to chalega.
Table of Contents
Free Hosting Kyu Le or Ye Kyo Jaruri Hai
Jab hum hosting ke bare me sochte hai. to humare dimag se sabse ye sawal jarur aata hai ki mujhe kis website se hosting leni chahiye. jo mere bharoshe ki ho. or mere sath koi dhokadhadi na kare. mai aapko suggestion karunga ki aap pahle cloudways se 15 days ki free hosting le kar WordPress try kare.
Iske bad aap koi bhi nirnay kar sakte hai. WordPress ka pura gyan na hone ke karan hume pahle free hosting try karna jaruri hai, isse hum bahut kch sikh lete hai. so WordPress ko aage manage karne me problem nagi hoti.
Maine starting Blogging se starting ki thi. Blogger ek free service hai, or maine ise 3month tak se kiya hai. magar mujhe apna kaam or badhana tha so mujhe WordPress choonna acha laga. WordPress blogpost se behtar hai. or hume pura control deta hai.
First me mere samne bhi yahi sawal tha ki hosting kaha se li jaye. tab mujhe cloudways ki free hosting ke bare me pata chala. Maine iski help se WordPress ko lagbhag kafi had tak sikh liya tha. Ab mai WordPress ko manage karne me 100% fit ho chuka tha, mujhe ye bhi samajh aa gaya tha ki hosting kaha se leni chahiye.
Mere pas 2 option the Bluehost & Hostgator ka maine dono ke bare me internet se thodi jankari leni shuru ki to mujhe hostgator best laga kyuki isme 1,3,6 month ki hosting bhi mil sati thi or iski speed baki se kafi jada thi. mere expriense ke barte me aane wale dino me bat karenge. filhal mai topic par aata hu,
Cloudways Se DigitalOcean Ki Free Hosting Kaise Buy Kare
Step 1
- Sabse pahle Cloudways ke homepage par jaye.
- ab free hosting lene ke liye apna email bhare or “Free trial” par click kare.
Step 2
3. Free Trial par click karte hi aap Sign Up forum par pahuch jaoge.
- Apna email check kar le.
- Koi Password choone.
- aapke pas cloudways se hosting lene wale kisi ka code hai to wo add kare warna khali chod de.
- Start Free Trial par click kare.
Step 3
- apne mobile no. enter kare.
- Send the activate code par click kare.
- ab aapke mobile number par ek msg aayega usme OTP code hoga. use aapko yaha verify karna hai.
Step 4
- mobile no. verify hone ke bad aapki email par cloudways ka ek mail aayega. sme aapko “click here to set your password par click karna hai”
- uske bad apne new password set kare.
Free Digital Ocean Server Par WordPress Install Kaise Kare
ek bar new password set karne ke bad aap cloudways ki free hosting use karne ke liye taiyar hai. yaha aapke pas 2 option honge.
How To Install WordPress To Free DigitalOcean Plan
Step 1
- Cloudways par log in kare.
- select cloud me “digital ocean” par click kare.
- select your application me “WordPress” par click kare
Step 2
Ab “I know my server size” par click kare.
- 1GB par select kijiye.
- yaha aap server ki location check kar sakte hai. aapko wohi select karni hai. jaha se aapko sabse jada visitors mil rahe hai.
agar aapki traffic sabse jada india me hai to aap singapure choone.
3. setting karne ke bad “Start 14 day Free Trial par click karo. aapki application ko perpare hone me 3-5 minit lag sakte hai.
First me Digital ocean 30 days ki free hosting deta tha. magar ab 15 se bhi 14 days hi ho gayi hai. isi se pata chalta hai ki clousways ki hosting kitni fomous hai. hum ye free me install kar rahe hai, so isme hume apni WordPress site par pura control nahi milega. uske liye aapko paid hosting leni padegi. isliye ho sakta hai isme kuch features kaam nahi kare.
Step 3
jab aapki application ki preparing comlete ho jayegi to is tarah se page khulega. isme “manage server” par click kare.
Step 4
- Application management par click kare.
- yeh aapki site ka url hai. yani domain jisse aap apni site open sakte ho.
- ye site admin url hai. yaha par aap cloudways ki free hosting site ko manage kar sakte ho.
- site admin ka log in karne ka email.
- admin panel par log in karne ka password.
Ab aapki WordPress blog free hosting par install ho chuki hai. site ko manage karne ke liye no. 3 url par jaye or no.4 or no.5 se log in kare. ab agar aap chahe to or bhi application cloudways ki free hosting par install kar sakte hai. ummid hai aap in 14 days me WordPress ko kafi had tak sikh jaoge. or is beach aapko iski ki achi jankari bhi ho jayegi.
Warning: Agar aap apni free hosting par 5 days tak koi bhi kaam nahi karte hai to aapka server band ho jayega. or agar aap 10 days tak koi bhi activaty nahi karte hai to aapka free hosting par se account delete ho jayega. or agar aapko cloudways se hosting lene me koi problem ho to 24/7 live chat ke throw problem ka solvation pa sakte hai.
- DigitalOcean Cloud Hosting Par WordPress Install Kaise Kare
- DigitalOcean Cloud Hosting Last 3 Month Review 2024 (Hindi)
- DigitalOcean Server Par Droplet Kaise Create Kare Hindi Jankari
Aapko meri free hosting ki jankari kaisi lagi. kya aapko iske ke bare me kuch puchna hai, kya aap WordPress ke bare me janna chahate hai. kya aapko blogger ki jankari chahiye. aap apna koi bhi sawal comment ke throw puch sakte hai.
Agar aapko ye article bahut pasand aaya hai to ise social media par share jarur kare. sath hi hume bhi Facebook, Google Plus, Youtube, Twitter par follow kare. jisse aapko humari new posts ki jankari mil sake.
Hello sir, Mai free blogging use Karti hu. Us pe Adsense v approved hai.bt mera views na badhta,kamai na hoti, free WordPress jaisa aap kah rahe..15 din wala to kya use blogg se change kar WordPress pe aa sakte, aa jayenge to mera Adsense to disapproved to na ho jayega..na tb koi sasta site bataye jisse WordPress site use kar sake..plz sir reply jarur kare..
नहीं होगा लेकिन आप जब तक वर्डप्रेस के बारे में अच्छे से ना जान लो आपको ब्लॉगर पर ही ब्लॉग्गिंग करनी चाहिए
Hello sir. Jaisa ki aapke apni post me bataya ke hum free hosting le sakti hai. To sir mujhe esme ye confusion tha ki jab free hosting ke 15 din finish ho jaye to kya uski bad bhi hamara blog us hosting par active rahega ya kuch or . Plz help
Uske bad agar aap pay karoge to hi aapka blog live rahega warna delete ho jayega.
To sir kya free hosting lena tik rahega ya nahi . Or sir agar hum bina hosting ke WP par blog creat kare to kya hoga .or agar hosting le ke blog creat kare to kya hoga plz help .
Or sir waise to aap sabki help karti hai. Kya mere bhi help kar sakti hai. Plz aap ek bar mere blog ko dhekh kar ye bata sakte hai ki mera blog perfect hai ya usme koye kami hai.
Dear aapko first worpdress ke bare me janna chahiye main is post me bhi bta chuka hu ki free hosting wordpress sikhne ke liye better hai. Yes bahut achha blog hai or agar aap isme custom domain use karo to or bhi achha hoga.
jumedeen ji kafi achi knowledge full imp. tips apne btayi h SMI pe. aur ye Great Blog h.
jumeden ji mene apna new blog create kiya h. so mene uske liye. Free domin (Freenom) se or hosting Hostinger se li h mene sb fill krdiya h DNS etc but av usme WordPress auto installer pe jake install krne pe error aa rha h so me es ko slove kaise karu.
Error kya aata hai wo btao ya fie hostgator care me bat karo wo help karenge.
Helo sir ,
Agar ham kisi english website ko copy kar hindi me apni site pr dale to copy right lagta he ya nhi koi problem ho sakti he ye nhi
Lagta hai.
bahut bahut shukria apka sir. me try karta hun. me ne aaj hee dekha ye tutorial apke site par warna me tho regular visitor hun. aur ye hosting kuch quality ki tho hai na ?
Yes but ise WordPress sikhne ke liye hi try karna.
Mai bluehost India use Karta Hu or aj meri site pr traffic Jayada a gya Jisse resources limit Likha a gya or site kuch time k liye open nhi hue. Mai ye Janna chahta Hu ki aap konc hosting use Karte ho or shared hosting Mai Kitna real time traffic manage Kar sakte hai Mera to 90 to 100 real time traffic Mai ye error a gya
Kitna traffix manage kar sakte hai wo aap already puch chuke hai. maximum 20,000 and main vps server use karta hu.
Vps server ke bare me aapko ek post likhni chahiye kitna ko pata v nahi h vps kya hota or main v details me janna chahta hun kitna ka aata h or kaise use karenge vps or q use karenge
Thank you abdul main jaldi hi iske bare me post likhunga.
Sir, seo friendly theme kaise pata karein! Mera site par theme laga hai. But seo friendly hai/nahi mujhe nahi pata.
Aap theme ki SEO setting kar sakte ho. Yoast SEO plugin use karo or uske settings sahi se karo.
sir ji mai rahul sir is free hosting lene ke baad sir mai apna blog WordPress par shift kar sakta hoo . sir AdSense hai blogger par please reply sir..please sir mujhe guide kare
Nahi ye galti kabhi mat karna kyuki free hosting me aapka data hack bhi ho gaya to wapis nahi mielga paid hosting me mil jata hai. 100 to 500 ke lalach me free service use mat karo.
nice tips and tricks thanks for sharing
thaks sir , for your answer sir mai aaoko jyada pareshan nhi karna chahata hoo because blogging me aapne meri bahut help ki hai but last question sir , agar mai payed hosting ke saath blogger to wp move karoo to mere AdSense acc. block hoga ya nahi jis custom domain se AdSense k liye apply kiya tha use hi wp par set karna chahata hoo.,,
Its ok. Adsense block kyu hoga, nahi hoga rahul. ha kar sakte ho. maine iske bare me post ki hai use achhe se padh lo.
Mere mobile se WordPress par blog nahi ho pa raha hai pls help.
ya error aata hai wo btao.
cloudways par sign up nahi ho raha hai.
sign up karne par problem kya ho rahi hai.
Hi sir
Mene cloudways se free hosting par try kiya
Ek post bhi Ki hai
But Jo URL hai usme
Woocommerec aa raha hai
Any help sir
Site open hone ke baad name to sahi hai
But URL own site ka kese add kare
Aap apni site ka link btao jise main check kar saku.
Maine Apko Admin wali email par post send kar di hai aap check kar ke batao i hope apko post pasand ayegi.
Ok mai check karke email par aapko reply kar dunga.
hellow sir aap ye bataye ki ager kisi blog se koi code copy karke apne blog me lagayenge to kya ho copyright kah layega or ise kuch dikhat aa sakti hea
Yes copyright hoga or dikkat to hogi hi.
Dear me jab WordPress par own domain add karne ke option jata hu to wo 13$ Payment ke page open hota hai kya hum bina 13$ apna domain add kar sakte hai kya yadi haa to kaise
Aap WordPress ka free version use kar rahe. Aap alag se hosting le kar WordPress blog create karo usme aapko koi pay nahi karna hoga.
sir mera AdSense account mera bhai ke naam par hai aur payee name aur gmail bhi usi ka lekin website par naam mera hai to koi problem to nahi hai
Nahi koi problem nahi hai.
Pehle ye offer 30 days keliye tha, par ab 15 din kar diya hai.
Thanks for the update 🙂
Hi Jume Deen,
My name is Avinash Chauhan
actually main ek hindi bloging (arohihindi.com) site host kar raha hun. and i need your help about Theames & wesite logo. i am using Jetpack plugin write now and i am happy with it
but mujhe achhi themes nahi mil pa rahi hai maine kai free themes use karke dekhi par koi bhi sahi nahi lagi to kya mujhe acchhi themes ke liye pay karna padega. and mujhe meri site ke liye logo kahan se mil sakta hai. maine online chek kiya tha but vo kafi mahnge the. please advise.
Logo aapko khud design karna hai. Internet se copy karke logo use mat karo. Aap mythemeshop ki free theme use kar sakte ho.
Sir Kya Main guest post kar sakta hu ?
Haidar isme puchne ki koi bat nahi hai aap agar guest policy padh kar post likhoge to mai jarur publish karunga.
Hello muje ye puchana tha ki mai ek blog bsnane ki soch raha hu to usper har din 30000 visitors aa sakte he. To me shared hosting karidu kya fir blogger pe try karu kyu ki mere pass vps kharidane ke paise nahi hai
First me aap shared hosting try karo bad me VPS plan le lena.
Sir mujhay aik buhat serius problem hai wo ye keh meri blog pe mai ne tk domain lia tha 2 month pehle aur ab tuk blog ka rank 130000 par ja chuka hai lekin mai ab .com domain lena chahta hai problem ye hai keh iss se meri blog ka rank bilkul gir jaye ga aur visitors bhi chale jaye ge so kya aisa ho sakta hai keh meri blog ka rank bhi theek rhe aur domain bhi change ho jaye.Mjhy sirf itna pta hai keh aisa 301 redirect se possible hai lekin mujhay 301 redirect ke baare mein zayada information nai hai kindly koi solution suggest kre thanks advance
Aap new domain ke kar blog me add karo or old domain ko us par forward kar do. Iske liye aap old domain k isetting me jaye or forward par click karke waha new domain add kar de.
BLOGER PAR DOMAIN LENE KE BAD HOSTING KI JARURAT PADEGI YA NAHI
Nahi blogger par hosting ki koi jarurat nahi hai.
1 Sr muje WordPress ko achhe se smjhna hai
mujhe ye msg aya hai
Mega Offer on CLOUD Web Hosting
Get 3 Months FREE use Coupon Code: ******
For use on Cloud Hosting, Cloud Reseller, Cloud JAVA, Cloud VPS
kya mai ise use kru agr ha to kaise kya pehle WordPress par free blog bnana hoga or Tbhi iska use kr skta hu
guide kijiye phle kya krna hoga
mujhe WordPress ko samjhna hai taki baad me mai WordPress par shift ho saku Ya kisi se shift krwa sku
2 Or ye bhi btaye aap blog ko WordPress par shift krne(with hosting Package) or full seo setting krke dene ka kya charge lete ho
Namdev mai WordPress se related jo post share kar chuka hu. Aap unhe ache se padhe or samahe aapko fir iske bare me puchne ki jarurat nahi hogi.
Agar hum hostgator se hosting karidta hai aur kuch mahino ke liya use par kam na kare to kya wo hamari hosting band kare dange
Nahi aap chaho jitne din kaam mat karo par aapko time to tim plan upgrade karna hoga.
Bhaiya, jaise maine hosting lekar uspar primium theme install kari or agar hosting khatm ho jati hai toh jab mai bina hosting ke apni site chalauga toh theme vahi rahegi primium wali ya vapas free wali lag jayegi?
Nahi hosting expire hone ke bad aapka blog offline ho jayega uske bad aapko net par uska koi data nahi milega.
इसके लिए तो हमको दूसरी ईमेल ईद बनानी पड़ेगी क्या क्योकि ऐसा तो नही होगा की जो ईमेल id रजिस्टर हो जायेगी तो फिर उस id से लोग इन नही हो !
पोस्ट में सबकुछ डिटेल्स से बताया है एक बार आप अच्छे से पढ़ ले।
WordPress per blog banane k bad visitors kaise badaye aur us per add kaise chalaye
Aap supportmeindia ki SEO se related post padho.
Bhaiya, maine cloudway se free hosting li hai magar abhi bhi plugin ka option hide hai. Kya is cloudway ki free hosting se plugin use nahi kar sakte hai?
Aap WordPress blog ko fir se install karo.
Bhai a free hosting lekar WordPress par transfer karne k baad agar hame thik nahi lagta to fkr se hum blogger par wapas transfer kar sakte hain kya kyun k meri ka search engine mein meta description dublicet show kar raha hai to mein WordPress par free hosting try karke dekhama chata tha is description problems ki waja se bhai please help 2 week k wapar hua a problem hai solve nahi ho rahi please replying
Mai aapko suggest karunga ki aap kuch day free hosting par WordPress blog bana kar try karo.
hosting ka kitna charge hota hai for 6-month?
800-1000 per month
Jumedeen Khan ap bhaut barria likhaee kerty ho. Mae seekha bhuat kuch is say. cloudways pee apna blog bhi daal dia hai jo bhaut barria chalta hai.
mene cloudways WordPress par transfer kr diya or usme ek post hai ab kya karu…. ab traffic kese laau plz help me…
Aapne cloudways se free hosting li hai to free plan ke bad aapko pay karna padega. traffic lane ka same tarika hai apne blog ko seo friendly bano or social sites par share karo.
mene cloudways par hosting li hai ab kya karu…. mera blogger blog articles hai to usko isme kaise transfer jaru
Aap cloudways hosting par alag se WordPress blog bana kar WordPress ko try kare. Us par apna blog transfer mat karo. Ye sirf 20-30 ke liye hai. Or agar aapne hosting buy ki hai to kar sakte ho.
Bhai host kaise kare persnol bologe
Hosting le kar
Bhai mujhe aap se kuch questions puchne hai
1. aap ne domian kisse liya hai
2. hosting kis par hai aur kon sa plan hai
3. Theme free use karte hai ja paid aur konsi
4. hosting kitni space tak li hai
Thanks
1. godaddy se.
2. hostgator.com se bussiness plan.
3. mythemeshop ribbon free theme.
4. unlimited space.
Bhai kya is par WordPress. Com wale free blog se jyada control miles?
Sahil is par wo sabhi features milte hai. jo aapko ek paid hosting le kar banaye blog me milte hai.
mere WordPress me theme me add new theme ka option nhi aa rha h kya karu
add new theme ka option hosting lene par available hoga.
Absence ke add ki baat kar raha hu kitne din baad laga sakte hai aap abhi add kayo nahi lagye
Pushpendra ji aapko btaya to hai ki aap jab chahe ads laga sakte ho bas aapke pas AdSense account approved or acha traffic hona chahiye fir chahe WordPress blog banate hi ads laga lena.maine ads laga rakhe hai.
Sir hosting lene ke baad or WordPress install karne ke baad kitne din baad add laga sakte hai
jab aap chaho tab laga sakte ho.
1.Apne kon si hosting li hai kitne rupesh mai
2.template free wali use ki hai ya pesho se template bhi kharidi haai
1. maine hostagtor se hosting li hai.
2. template free hai maine bas ise design kiya hain
Hosting lene se pahle kay WordPress account banana padega
nahi hosting lene ke bad jab aap WordPress blog ko hosting par install karoge tab banana padta hai.
Bht hi barhya likha hai apne,, apki blogging se me bht upachit howa
aap kon sa templet use kar the ho
Mythemeshop Ribbon
Bro..very nice n great informative post…
ek baat , ,,, jab ye free hosting period end ho jayga tb hamara blog kaisa dikhega..
maine post me allready suggest kiya hai ki free hosting only WordPress ko try karne ke liye use kare. free trial khatm hone ke bad aapko hosting leni padegi.
Hello Bhai thank for guide line Free Hosting 14 day.
Bro Meri blog par 20 post hai or ek din me 200 se jade preview ho rahe hai , Blog banaye 1 month huye h.
Bhai me hata du chitika ke code
ha hata do, warna aapka AdSense account block ho jayega.
Bhai mere me addsense ke jo blank add a raha tha maine use remove kar diya hai aur chitika ka add lagaya hai to kya addsense approve hoga ya nahi
Oh, aapne chitika ke ads kyu lagaye hai, AdSense block ho jayega.
hello bhai maine 000webhost se free hosting li hai lekin mujhe samaj nahi aa raha hai ki mai website kaise start karu…..
aor starting guide hai jo English mei hai plz isko hindi mei baataye…
Getting Started Information
Getting started with 000webhost.com is very easy, no matter what experience you have, no matter if you already have website created or not.
If you already have website created:
You have 2 options how you can upload it to our server. Files must be uploaded to public_html folder!
Use FTP client to upload website. Click for FTP details.
Use web based File Manager to upload your files.
sabse pahle mai aapko suggest karunga ki aap free hosting keval sikhne me use kare. webhost company aapse kah rahi hai ki aapke pas 2 option hai. 1. aapke pas pahle se blog hai. 2. aap new blog banana chahate ho. dono hi bahut aasan hai. webhost ke control panel par jao. agar aap new domain se site start karna chahate ho to add a domain par click karke domain add karo. ab control panel me install application me jao or wordpess par click karke WordPress install karo. mai aapko step by step guide nahi kar sakta kyuki maine webhost use nahi kiya hai.
bhai yeh india ka mobile number soppart nahi kar raha hai. aor eroor likha aata hai–>. with out 91 , lekin yeh sistam toh automatic usme aa raha hai. maine bhut try kiya. agar mai login karta hu toh ” not ragistered ” aata hai. agar mai fir se sinup karta hu toh ” exit register contact” likha aata hai. mere toh kuch samaj ni aa raha hai ki mai kya karu.
maine post me jo warning di hai. usme 24/7 live chat ke throw par click karke apni email id or mobile btao. cloudways ke live user ek minit me aapki problem solve kar denge.
sir aap thoda time menage karke plz plz plz next page button ke liye post dall dijiye
ok, mai abhi thoda busy hu, only ek post mushkil se kar pa raha hu. free hote hi jarur dalunga.
aap mera matlab nahi samje hai. meta matlab hai ki aap blogger help design ke liye jo code yha share karte hai aor hamko batate hai mai unke baare mei puch raha hu.
iski jankari ke liye ye post pado. Blog Post Me Code Box Kaise Use Kare
sir mera kafi din se ye confusion he ki jese koi b code yani kafi widget ya koi code html edit me jakar add hote he to mene read kia h ki ki ke niche code paste karne hote he for ex- meta tag wo b head ke below hi hota to agar me koi or dusra code head ke neeche paste karunga to meta tag or neeche ho jayega to or b code paste karunga to meta tag or b kafi neeche ho jayega to head ke neeche jo mene abi koi dusra code paste kiya h wo hogya ab ye batao ki isse meta tag par koi asar nahi padega kya mere vichar se to meta tag ko kaam nahi karna chahiye kyo ki wo head ke neeche he hi nahi. ab aap hi kuch samghiye mughe jis se meri confusion avoid ho ske..
Nahi aysa kuch bhi nahi hai. aap chahe
ke niche kitne bhi code add karo sab sahi kaam karenge.
haa mene wo use kia jummedinkhan ki place par par like widget nahi hua is post ko me fb widget wale categories me comments nahi kar skta kyo ki usme same post detected is tarah se kuch likhkar ata h to me yaha comment karke puch raha hu
koi bat nahi, aapke fb page ka username grabcharge hai aap facebook widget code me se mere naam ki jagah grabcharge change karo.
ek baat aor bataye ki aap html code kha se generate kiya . jo aapke blog post tital ” blog mei facebook like box kaise lagaye” iske andar jo fb code hai wo aapne banaya yaa fir koi generator hai.
Nahi maine nahi banaya facebook khud html code deta hai. jaise is post me btaya hua hai.
Hello bhai mujhe ek baat bataiye jaise ham blogger blog ko blogger.com par jakar chalate hai aor ise andriod mobile se bhi chala sakte hai. Aor isse blogger application se bhi chala sakte hai.
Ab mujhe yeh janna hai ki word press kaisa sistam hai. Aor yeh kaise kaam karta hai. Kya isko mobile se bhi chala sakte hai…
Bhai puri detail mei bataiye WordPress ke baare mei…
WordPress bhi same blogger ki tarah hai bas isme feature blogger se jada hai. dono me kya fark hai ye mai bta chuka hu uski jankari ke liye ye Blogpost Ya WordPress Kounsa Platform Behatar Hai post pade. mai aage bhi jankari share karta rahunga. aap wo pad liya kare.
sir me fb ka like widget lagana chahta hu par mere fb page par mere page ka url facebook.com/grabcharge is tarah se h number me to he hi nahi ab me apne fb page ka url kis tarah se number me nikalu
facebook.com/xyz jo bhi name aa raha hai. wohi aapke fb page ka username hai.
sir kya ham hosting lene ke baad template b change kar skte he ya har baar template change karne par uske pese alag se dene honge
theme ke paise alag se lagte hai, aap free theme use kar sakte ho, WordPress par ek se badh kar ek better theme hai.