DigitalOcean Par Free Hosting Kaise Kharide Cloudways Se

Ye post specialy un logo ke liye hai jo abhi blogging me new hai to WordPress ko sikhna chahate hai, agar aap bhi new bloggers me hai to chaliye aaj hum baat karenge DigitalOcean VPS Server Free Hosting ke bare me, jisse aap 15 days ke liye free hosting le sakte ho, or in 15 days me aap wordprerss par bahut kuch sikh sakte ho.

free-hosting-of-15-days

Free Hosting Lene Ke Liye Kya Kya Chahiye: Hosting ka naam aate hi hum sochne lagte hai ki hosting lene ke liye kya kya chahiye hota hai. to nischit ho jayyiye mi aapka free hosting dilwane ja raha hu,

  1. Koi credit card ki jarurat nahi.
  2. koi paincard ki jarurart nahi.
  3. koi paypal & bank account ki jarurat nahi.
  4. koi jankari ki jarurat nahi bas aapko WordPress ki thodi bhi knowlegze huyi to chalega.

Free Hosting Kyu Le or Ye Kyo Jaruri Hai

Jab hum hosting ke bare me sochte hai. to humare dimag se sabse ye sawal jarur aata hai ki mujhe kis  website se hosting leni chahiye. jo mere bharoshe ki ho. or mere sath koi dhokadhadi na kare. mai aapko suggestion karunga ki aap pahle cloudways se 15 days ki free hosting le kar WordPress try kare.

Iske bad aap koi bhi nirnay kar sakte hai. WordPress ka pura gyan na hone ke karan hume pahle free hosting try karna jaruri hai, isse hum bahut kch sikh lete hai. so WordPress ko aage manage karne me problem nagi hoti.

Maine starting Blogging se starting ki thi. Blogger ek free service hai, or maine ise 3month tak se kiya hai. magar mujhe apna kaam or badhana tha so mujhe WordPress choonna acha laga. WordPress blogpost se behtar hai. or hume pura control deta hai.

First me mere samne bhi yahi sawal tha ki hosting kaha se li jaye. tab mujhe cloudways ki free hosting ke bare me pata chala. Maine iski help se WordPress ko lagbhag kafi had tak sikh liya tha. Ab mai WordPress ko manage karne me 100% fit ho chuka tha, mujhe ye bhi samajh aa gaya tha ki hosting kaha se leni chahiye.

Mere pas 2 option the Bluehost & Hostgator ka maine dono ke bare me internet se thodi jankari leni shuru ki to mujhe hostgator best laga kyuki isme 1,3,6 month ki hosting bhi mil sati thi or iski speed baki se kafi jada thi. mere expriense ke barte me aane wale dino me bat karenge. filhal mai topic par aata hu,

Cloudways Se DigitalOcean Ki Free Hosting Kaise Buy Kare

Step 1

  1. Sabse pahle Cloudways ke homepage par jaye.
  2. ab free hosting lene ke liye apna email bhare or “Free trial” par click kare.

cloudways free hosting forum

Step 2

3. Free Trial par click karte hi aap Sign Up forum par pahuch jaoge.

cloudways sign up forum

  1. Apna email check kar le.
  2. Koi Password choone.
  3. aapke pas cloudways se hosting lene wale kisi ka code hai to wo add kare warna khali chod de.
  4. Start Free Trial par click kare.

Step 3

  1. apne mobile no. enter kare.
  2. Send the activate code par click kare.
  3. ab aapke mobile number par ek msg aayega usme OTP code hoga. use aapko yaha verify karna hai.

enter mobile no.

Step 4

  1. mobile no. verify hone ke bad aapki email par cloudways ka ek mail aayega. sme aapko “click here to set your password par click karna hai”
  2. uske bad apne new password set kare.

Free Digital Ocean Server Par WordPress Install Kaise Kare

ek bar new password set karne ke bad aap cloudways ki free hosting use karne ke liye taiyar hai. yaha aapke pas 2 option honge.

How To Install WordPress To Free DigitalOcean Plan

Step 1

  1. Cloudways par log in kare.
  2. select cloud me “digital ocean” par click kare.
  3. select your application me “WordPress” par click kare

WordPress instalation

Step 2

Ab “I know my server size” par click kare.

  1. 1GB par select kijiye.
  2. yaha aap server ki location check kar sakte hai. aapko wohi select karni hai. jaha se aapko sabse jada visitors mil rahe hai.

select server

agar aapki traffic sabse jada india me hai to aap singapure choone.

3. setting karne ke bad “Start 14 day Free Trial par click karo. aapki application ko perpare hone me 3-5 minit lag sakte hai.

First me Digital ocean 30 days ki free hosting deta tha. magar ab 15 se bhi 14 days hi ho gayi hai. isi se pata chalta hai ki clousways ki hosting kitni fomous hai.  hum ye free me install kar rahe hai, so isme hume apni WordPress site par pura control nahi milega. uske liye aapko paid hosting leni padegi. isliye ho sakta hai isme kuch features kaam nahi kare.

Step 3

jab aapki application ki preparing comlete ho jayegi to is tarah se page khulega. isme “manage server” par click kare.

manage server

Step 4

  1. Application management par click kare.
  2. yeh aapki site ka url hai. yani domain jisse aap apni site open sakte ho.
  3. ye site admin url hai. yaha par aap cloudways ki free hosting site ko manage kar sakte ho.
  4. site admin ka log in karne ka email.
  5. admin panel par log in karne ka password.

your WordPress blog admin details
Ab aapki WordPress blog free hosting par install ho chuki hai. site ko manage karne ke liye no. 3 url par jaye or no.4 or no.5 se log in kare. ab agar aap chahe to or bhi application cloudways ki free hosting par install kar sakte hai.  ummid hai aap in 14 days me WordPress ko kafi had tak sikh jaoge. or is beach aapko iski ki achi jankari bhi ho jayegi.

Warning: Agar aap apni free hosting par 5 days tak koi bhi kaam nahi karte hai to aapka server band ho jayega. or agar aap 10 days tak koi bhi activaty nahi karte hai to aapka free hosting par se account delete ho jayega. or agar aapko cloudways se hosting lene me koi problem ho to 24/7 live chat ke throw problem ka solvation pa sakte hai.

Aapko meri free hosting ki jankari kaisi lagi. kya aapko iske ke bare me kuch puchna hai, kya aap WordPress ke bare me janna chahate hai. kya aapko blogger ki jankari chahiye. aap apna koi bhi sawal comment ke throw puch sakte hai.

Agar aapko ye article bahut pasand aaya hai to ise social media par share jarur kare. sath hi hume bhi Facebook, Google Plus, Youtube, Twitter par follow kare. jisse aapko humari new posts ki jankari mil sake.

Reader Interactions

Comments (115)

  1. Hi Jume Deen,
    My name is Avinash Chauhan
    actually main ek hindi bloging (arohihindi.com) site host kar raha hun. and i need your help about Theames & wesite logo. i am using Jetpack plugin write now and i am happy with it

    but mujhe achhi themes nahi mil pa rahi hai maine kai free themes use karke dekhi par koi bhi sahi nahi lagi to kya mujhe acchhi themes ke liye pay karna padega. and mujhe meri site ke liye logo kahan se mil sakta hai. maine online chek kiya tha but vo kafi mahnge the. please advise.

    • Logo aapko khud design karna hai. Internet se copy karke logo use mat karo. Aap mythemeshop ki free theme use kar sakte ho.

  2. Sir Kya Main guest post kar sakta hu ?

    • Haidar isme puchne ki koi bat nahi hai aap agar guest policy padh kar post likhoge to mai jarur publish karunga.

  3. Hello muje ye puchana tha ki mai ek blog bsnane ki soch raha hu to usper har din 30000 visitors aa sakte he. To me shared hosting karidu kya fir blogger pe try karu kyu ki mere pass vps kharidane ke paise nahi hai

    • First me aap shared hosting try karo bad me VPS plan le lena.

  4. Sir mujhay aik buhat serius problem hai wo ye keh meri blog pe mai ne tk domain lia tha 2 month pehle aur ab tuk blog ka rank 130000 par ja chuka hai lekin mai ab .com domain lena chahta hai problem ye hai keh iss se meri blog ka rank bilkul gir jaye ga aur visitors bhi chale jaye ge so kya aisa ho sakta hai keh meri blog ka rank bhi theek rhe aur domain bhi change ho jaye.Mjhy sirf itna pta hai keh aisa 301 redirect se possible hai lekin mujhay 301 redirect ke baare mein zayada information nai hai kindly koi solution suggest kre thanks advance

    • Aap new domain ke kar blog me add karo or old domain ko us par forward kar do. Iske liye aap old domain k isetting me jaye or forward par click karke waha new domain add kar de.

  5. BLOGER PAR DOMAIN LENE KE BAD HOSTING KI JARURAT PADEGI YA NAHI

    • Nahi blogger par hosting ki koi jarurat nahi hai.

  6. 1 Sr muje WordPress ko achhe se smjhna hai

    mujhe ye msg aya hai

    Mega Offer on CLOUD Web Hosting

    Get 3 Months FREE use Coupon Code: ******
    For use on Cloud Hosting, Cloud Reseller, Cloud JAVA, Cloud VPS

    kya mai ise use kru agr ha to kaise kya pehle WordPress par free blog bnana hoga or Tbhi iska use kr skta hu
    guide kijiye phle kya krna hoga

    mujhe WordPress ko samjhna hai taki baad me mai WordPress par shift ho saku Ya kisi se shift krwa sku

    2 Or ye bhi btaye aap blog ko WordPress par shift krne(with hosting Package) or full seo setting krke dene ka kya charge lete ho

    • Namdev mai WordPress se related jo post share kar chuka hu. Aap unhe ache se padhe or samahe aapko fir iske bare me puchne ki jarurat nahi hogi.

  7. Agar hum hostgator se hosting karidta hai aur kuch mahino ke liya use par kam na kare to kya wo hamari hosting band kare dange

    • Nahi aap chaho jitne din kaam mat karo par aapko time to tim plan upgrade karna hoga.

  8. Bhaiya, jaise maine hosting lekar uspar primium theme install kari or agar hosting khatm ho jati hai toh jab mai bina hosting ke apni site chalauga toh theme vahi rahegi primium wali ya vapas free wali lag jayegi?

    • Nahi hosting expire hone ke bad aapka blog offline ho jayega uske bad aapko net par uska koi data nahi milega.

  9. इसके लिए तो हमको दूसरी ईमेल ईद बनानी पड़ेगी क्या क्योकि ऐसा तो नही होगा की जो ईमेल id रजिस्टर हो जायेगी तो फिर उस id से लोग इन नही हो !

    • पोस्ट में सबकुछ डिटेल्स से बताया है एक बार आप अच्छे से पढ़ ले।

  10. WordPress per blog banane k bad visitors kaise badaye aur us per add kaise chalaye

    • Aap supportmeindia ki SEO se related post padho.

  11. Bhaiya, maine cloudway se free hosting li hai magar abhi bhi plugin ka option hide hai. Kya is cloudway ki free hosting se plugin use nahi kar sakte hai?

    • Aap WordPress blog ko fir se install karo.

  12. Bhai a free hosting lekar WordPress par transfer karne k baad agar hame thik nahi lagta to fkr se hum blogger par wapas transfer kar sakte hain kya kyun k meri ka search engine mein meta description dublicet show kar raha hai to mein WordPress par free hosting try karke dekhama chata tha is description problems ki waja se bhai please help 2 week k wapar hua a problem hai solve nahi ho rahi please replying

    • Mai aapko suggest karunga ki aap kuch day free hosting par WordPress blog bana kar try karo.

  13. hosting ka kitna charge hota hai for 6-month?

    • 800-1000 per month

  14. Jumedeen Khan ap bhaut barria likhaee kerty ho. Mae seekha bhuat kuch is say. cloudways pee apna blog bhi daal dia hai jo bhaut barria chalta hai.

  15. mene cloudways WordPress par transfer kr diya or usme ek post hai ab kya karu…. ab traffic kese laau plz help me…

    • Aapne cloudways se free hosting li hai to free plan ke bad aapko pay karna padega. traffic lane ka same tarika hai apne blog ko seo friendly bano or social sites par share karo.

  16. mene cloudways par hosting li hai ab kya karu…. mera blogger blog articles hai to usko isme kaise transfer jaru

    • Aap cloudways hosting par alag se WordPress blog bana kar WordPress ko try kare. Us par apna blog transfer mat karo. Ye sirf 20-30 ke liye hai. Or agar aapne hosting buy ki hai to kar sakte ho.

  17. Bhai host kaise kare persnol bologe

    • Hosting le kar

  18. Bhai mujhe aap se kuch questions puchne hai

    1. aap ne domian kisse liya hai
    2. hosting kis par hai aur kon sa plan hai
    3. Theme free use karte hai ja paid aur konsi
    4. hosting kitni space tak li hai

    Thanks

    • 1. godaddy se.
      2. hostgator.com se bussiness plan.
      3. mythemeshop ribbon free theme.
      4. unlimited space.

  19. Bhai kya is par WordPress. Com wale free blog se jyada control miles?

    • Sahil is par wo sabhi features milte hai. jo aapko ek paid hosting le kar banaye blog me milte hai.

  20. mere WordPress me theme me add new theme ka option nhi aa rha h kya karu

    • add new theme ka option hosting lene par available hoga.