DigitalOcean Review in Hindi: ek cloud hosting provider hai jo apni better and reliable cheap hosting ke liye popular hai. Bahut se professional blogger digitalocean cloud hosting use karte hai. Iski hosting service kaisi hai, iski hosting use karne ke fayde or nuksan (pros and cons) kya hai. Is post me hum isi ke bare me janenge.
Main last 3 month se DigitalOcean cloud hosting service use kar raha hu. Is bich mera is hosting ke sath experience kaisa raha hai, Iska support and service, Uptime and Downtime etc. sabke bare me main aapko yaha details se bta raha hu.
Actually, Digitalocean ke internet par itne sare negative review hai ki unhe padhne ke bad aap digitalocean cloud hosting use karne ke bare me sochoge bhi nahi but 2 year ke bad maine isko select kar hi liya or aaj main kah sakta hu ki ye ek best VPS Server cloud hosting provider hai.
- Digital Ocean Par Free Hosting Kaise Kharide Cloudways Se
- DigitalOcean Server Par Droplet Kaise Create Kare Hindi Jankari
To chaliye jante hai ki DigitalOcean ki hosting service kare me jaha main apna last 3 month ka experience share karne wala hu.
Table of Contents
DigitalOcean Cloud Hosting Review in Hindi
Mujhe blogging me 2 year se jyada time ho gaya hai is bich maine bahut si hosting try ki but sabhi me koi na koi kami jarur hoti thi. Digitalocean cloud computing ko main last 3 month se istemal kar raha hu or main isse 100% satisfied hu. Janiye Kaise?
1. Pricing
Digitalocean other all cloud hosting providers ki tulna me kahi jyada cheap hosting provide karti hai. Iski hosting service ka price only $5 se start hota hai jo ki $640 tak hai. Price per month ke anusar decide hota hai but droplet ko hourly charge kiya jata hai.
Digitalocean $5 me 512MB Memory, 1 vCPU, 20GB SDD Disk, 1TB Transfer offer karta hai baki aap is screenshot me dekh sakte ho.
2. Server Location Data Centers
DigitalOcean ke abhi total 12 datacenters hai. Jinme 3 New York, 2 San Francisco, 3 Amsterdam, 1 Singapore, 1 London, 1 Frankfurt, 1 Toronto, 1 Bangalore me hai. Inka fayda ye hai ki aapki location ke aaspas ke datacenter choose karne se content delivery process fast hogi jisse aapki site ki conversion rate increase hogi.
3. Payment and Billing
Aapko per month 1 tarikh ko payment karna hota hai. Payment Credit Card ya PayPal se hoga. Payment process automatically hai aapko manually kuch bhi karne ki jarurat nahi hai. Har mahine ke bad automatic aapke credit card ya paypal se payment cut jayega. Jiski notification aapko email ke dwara de di jayegi.
Aap chahe to bich me manually pay kar sakte ho. I think paymen ke liye paypal wali process better and secure hai.
4. Referral Program
DigitalOcean referral program offer karta hai wo bhi kamal hai. Agar koi aapke referral link se hosting buy karta hai to aapko uska commission milta hai. Example, Agar aap kisi ko $10 credit doge to aapko uska $25 milega or
Isi tarah isse jyada commission milega or kha bat ye hai ki iski koi limit nahi hai. Agar aapko monthly 2-5 sell bhi mil jati hai to aap hosting buy karne ke sath isse achhi khasi earning bhi kar sakte ho.
5. Setup & Install Process
DigitalOcean ke unmanaged virtual private server VPS ko droplet ke name se bulate hai. Aapko iske liye basic technical knowledge hona jaruri hai. Halanki aap one click install method se digitalocean server par one click se WordPress install kar sakte ho.
DigitalOcean par aap apache and nginx koi bhi server run kar sakte ho. Aap apache or nginx kisi par bhi wordpress install kar sakte ho. Apache yani LAMP or nginx yani LEMP, Iske liye aap ye 2 article read kare.
- How To Install WordPress with LAMP on Ubuntu 16.04
- How To Install WordPress with LEMP on Ubuntu 16.04
In 2 articles ko read karke aap digital ocean par manually wordpress install kar sakte hai. Inke alawa bhi internet par is bare me kai post and videos mil jayenge.
Aap chahe to Cloudways, ServerPilot etc. project ke through bhi digitalocean ki hosting use kar sakte hai jo 24/7 support provide karte hai but uske liye aapko extra pay karna hoga.
6. Backup
Digitalocena backup ke liye monthly only $2.00 charge leta hai jo weekly aapke data ka backup le kar secure karta hai. Backing up process fully automatic work karta hai, means aapko manually kuch bhi karne ki jarurat nahi hai.
7. Resize Droplet
Hosting buy karne me sabse badi problem hoti hai website par traffic badhne par hosting change karne ki, Iske liye hume new hosting le kar site ko one hosting to another hosting par migrate karna padta hai. DigitalOcean par aapko ye sab karne ki jarurat nahi hai.
Aap jab chaho tab apne droplet ko resize kar sakte ho. Agar aapko sirf space ki jarurat hai to aap hard drive space, bandwidth, memory, price ke anusar droplet resize kar sakte ho. Yani aapko jis product ki jarurat hai sirf wohi buy karo or extra money west hone se bachaho.
8. Security
Apne data ko secure rakhne ke liye jaruri hai ki hosting provider ki security achhi ho. Digitalocean apne control panel or virtual server (droplet) ko secure karne ke liye good level security provide karta hai. Chaliye jante hai isme aap security ke lyie kya kya kar sakte ho.
- Two-factor Authentication: Digitalocean account me aap 2 step verification enable kar account ko secure kar sakte ho.
- Backup method: Codes: Aap s ste pverification ke alawa backup codes ka bhi istemal kar sakte ho. Agar aapke pas mobile nahi hai ya aapko OTP password nahi mil raha hai to backup code se account access kar sakte ho.
- SSH Keys: Har droplet ko access karne ke liye aapko SSH ki ki jarurat padegi. Without SSH Key koi bhi aapke virtual server ko access nahi kar sakega.
- Certificates: Digitalocean load balance service ke sath TLS/SSL certificate provide karti hai. Iski jankari yaha hai, Configure SSL Termination on DigitalOcean.
9. Support and Help
DigitalOcean support team aapki hardware and network failure se related help karegi baki apne virtual server ko aapko khud hi manage karna padega. Aap support team ko ticket submit karoge to response milne 2 days tak lag sakte hai.
Digitalocean ke pas help ke liye big helping tutorial set hai. Jo aapki har tarah se help karega. Droplet create karne se le kar configuration tak sabke tutorials mil jayenge. In October 2024, digitalocean community par 1750+ tutorials available hai.
Finally, main digitalocean ke support ko excellent nahi only good kahunga. Aapko digitalocean par sit run karne ke liye iski basi knowledge honi jaruri hai. Agar aapko support ki jarurat nahi hai to ye aapke liye sabse bette hosting hai.
10. Uptime and Downtime
DigitalOcean 100% uptime service provide karta hai. Ye main isiliye kah raha hu kyuki last 3 month se digitalocean ki service use kar raha hu, is bich maine 1 minute ka bhi downtime nahi dekha. Most popular web hosting siteground ka bhi server down ho jata hai but maine DO ke sath downtime ki problem face nahi ki.
Last 3 month ke experience ke dekhte huye main kah sakta hu ki DigitalOcean 99.99% uptime service offer karta hai.
DO Server fully aapke control me hota hai. Use kab on off karna hai kaise manage karna hai ye aap khud handle karte ho. So iski good service dekhte huye main aapko suggest karunga ki aap DO cloud hosting use kare.
Digitalocean se $10 free credit pane ke liye niche btaye link par visit kare. Isse aapko $5 wale plan ki 2 month ki hosting free me mil jayegi. Iski jankari yaha hai, DigitalOcean Se 2 Month Free Hosting Kaise Kharide.
Myths: Kuch review me aapko iske bare me galat bate milegi jo 1% true nahi hai. Haa, agar aap iski terms and conditions ko follow nahi karoge to aapko problem to hogi hi.
Conclusion
Finally, main last 2 year se kai hosting use kar chuka hu, Hostator, Bluehost, Siteground etc. sabhi hosting use karke dekh li but jitna wo kahte hai wesi service provide nahi karte. DigitalOcean VPS server jo kahta hai reality bhi wohi hai.
Kuch logo ko isme problem hoti hai uski wjaah wo khud hote hai. Main already upar bta chuka hu DO VPS server run karne ke liye iski basic knowledge hona important hai. Uske bina server run karoge to problem hogi hi so iske bare me thodi information le kar starting kare to koi problem nahi hogi.
- DigitalOcean Cloud Hosting Par WordPress Install Kaise Kare
- SupportMeIndia Blog Par Konsi Hosting Aur Plugins Use Hote Hai
Agar aapko ye article pasand aaye to ise dusre bloggers ke sath share jarur kare.
Tilak Raj
Sir, kya digitalocean hosting AdSense wale website k leye acche hai
Jumedeen Khan
Hosting ka adsense se koi lena dena nahi hai. Haa agar aap fast server use karte ho to aapki site fast load hogi aur isse ad click increase honge to ye achha hai.
Tilak Raj
Mere site may pichle 4 maine say average daily 1500 user ate hai..
Es say jyada nahi badthe jitna v new post dalo.
Kya karna chahiye kya maine cloud use karna chahiye
Abi mai hetzner ka shared hosting use karta hu sir
Jumedeen Khan
SEO पर काम करो
Jitender Singh
jumedeen bhai kya DO hindi calling support deta hai ya nhi
जुमेदीन खान
नहीं करता
rozina
google cloud hosting par ek post likhiye sir.
maniah
sir jab aapne digitalocean choose kiya tha to aapne koun sa data center region choose kiya tha
Jumedeen khan
Bangalore
amit
ResellerClub / Hostgator etc Cloud Hosting se Digital Ocean q Better hai……
ResellerClub / Hostgator Price (1100-1200)
6 CPU Cores, Unmetered Disk Space, 6 GB RAM, Unmetered Bandwidth, Host Unlimited Websites, Free SSL Certificate, Unlimited Email Accounts
Digital Ocean
4 GB 2 vCPUs 80 GB 4 TB $20/mo
Jumedeen khan
Digital Ocean server is more fast than etc. and see performance, uptimie is 100%.
Irfan Khan
Bhai Mujhe ek baat puchni Hai Ki Meri Site pr Pr Day 60,000 View hote iske liye Mujhe Konsa Plan Lena hoga.
digitalocean
Jumedeen khan
Traffic ke alawa aapko disk space kitna chahiye ye bhi dekho aur daily kitna GB data transfer hota hai us hisab se plan ho.
Irfan Khan
diskspace 3GB Bahot hai. 15GB monthly data transfer ho raha hai.
Jumedeen khan
Fir aapke liye 4GB RAM wala plan better hai. Lekin aapke pas traffic jyada hai to main aapko 8 GB wala plan suggest karunga.
Irfan Khan
1.) bhai app ek baat btaye ki agr backup manual lena hoga to kiya hum manual backup le sakte hai jese direct phpmyadmin main database ko download kr sakte hai kiya directory download kar sakte hai jese wp-content ki.
2.) 1 Droplets main kitni site chala sakte hai.
Jumedeen khan
1. Aap DigitalOcean server ko manually customize kar sakte ho aapke pas full access rahta hai chahe jaise backup le sakte ho. Yes ye sab kar sakte ho.
2. Multiple kar sakte ho lekin ek droplet par ek hi site run karna better hai.
Sankalp
Sir mujhe apse ye puchna tha ki 1/2/3/4 million per day page views/visitors ke liye digital ocean sahi hai kya….
Aur konsa plan hai million visitors ke liye digitalocean site me kuch information diya nhi hai…..
Please bataye sir
Jumedeen khan
Aap apni jarurat ke hisab se plan select kar sakte ho. DO $960/mo tak plan offer karta hai. Aapki site ko kitna storage chahiye aur daily data transfer size kitna hai us hisab se plan choose karo.
kashif
sir meri website par month me 3 lakh user aate hai jo lagbhag 9 lakh page view karte hai lekin isme lagbhag 90% user facebook me instant article par aate hai to aap mujhe suggest kijiye mujhe konsi hosting leni chahiye me abhi hostgator ki vps snapy 4000 plan use kar raha hun lekin meri site me slow aur down ho jane ki problem, please aap check kar ke bataiye meri site slow kyun hai jabki mene kafi optimize bhi kar rakha hai me gtmetix aur google page speed ke andar check karta hu to kabhi speed sahi dikhata hai aur kabhi slow speed dikhata hai, aap ye check kijiye agar mere server me koi prolem hai to me kaunsa server use karu agar digital ocean ka use karu to kaunsa plan sahi rahega, aur aap kaunsa plan use kar rahe ho.
Jumedeen Khan
Aap kinsta managed wordpress hosting ya cloud hosting use karo.
Anand Kumar
Maine is post ko bahut carefully padh liya hai aur ab mera kuchh sawal hai.
1) Kya yearly payment bhi kiya ja sakta hai ya sirf monthly hi? Yadi yearly bhi payment ho sakta hai to fir kahin donon ke price mein difference to nahin hai?
2) Yadi monthly payment hota hai tab to mujhe ek baar poora paisa lagane ki jarurat hi nahin hai, aise mein to main abhi hosting le sakta hoon. Lekin suppose, yadi jarurat ho to kya baad mein main kuchh month use karne ke baad hosting cancel kar sakta hoon? Maan leta hoon ki maine sirf 2 month hi hosting use kiya hai tab to mujhe sirf 2 month ka hi payment karna hoga na, baki ka paisa to bach jayega?
3) Payment ke liye Debit card ka option nahin hai?
4) Kya $10 wala plan monthly 60000 visitors handle kar sakta hai?
5) Yadi kisi mahine mere account me balance hi na ho jisse payment na ho paye to kya hoga?
Jumedeen Khan
1. Aapko monthly payment karna hoga.
2. Yes kar sakte ho, wese bhi aapko hosting use karne ke bad use karna hai.
3. Nahi iske liye aapko credit card ya paypal ki jarurat padegi.
4. Yes kar sakta hai aap FastCGI cache use kar sakte ho.
5. Aesa hone par DO aapko 15 day ka time dega uske bad aapka account delete ho jayega.
Anand Kumar
Mujhe wordpress ke bare mein knowledge nahin hai isliye main FastCGI ka matlab nahin samajh paya (shayad speed boost karne wala plugin ho). Normally 10$ wala sahi rahega ya 20$ wala plan hi lena hoga? Halanki kuchh time use karke dekhta hoon yadi problem hogi to baad mein upgrade kar dunga. Ab main 7 din ke andar aapke link se hosting buy kar lunga. Aap apna referal link de dijiyega.
Jumedeen Khan
Aanad aapko ab aap digitalocean ke bare me pata chal chuka hu so better hai aap iski site par jaye aur iske articles check kare. Sabkuch samajh aa jayega.
Abinash
Meri website par visitors badh rahe hai hosting migrate karna hai aur continue blogging karna chahata hu kaunsa hosting sahi aur achha rahega kam se kam 500000 visitors per month ke liye
जुमेदीन खान
$80 वाला optimized droplet ले लो
Pramod yadav
Right jumedeen!
M digitalocean 2015 se use kr rha hu.
Mne abi tk downtime nhi dekha h.
Iske features and pricing b shi h.
Jumedeen khan
Maine bahut si hosting use ki hai sab kahte kuch hai or dete kuch hai, Digitalocean jo kahta hai wesi service provide bih karta hai.
Ankit kumar
Bhut badiya bataya hai bhai aapne or vo bhi positive. Thanks
Vijay Panara
hello bro digital ocean ka refer kaise Complete hoga, or refer Complete hone par kitana credits hume milta hai
Jumedeen khan
Iske liye aapko digitalocean par sign up karna hoga, I mean hosting leni hogi. Agar aap hosting lene ke liye offer chahate hai to abhi $10 free credit pane ke liye post ke end me diye link par click karke hosting buy karo aap $5 wala plan le lo aapko 2 month free milega.
Ravi Kumar
Actually Isse Negative Dekhne Ki Normal Wajah Ye Hai Ki Iska Term Condition Non Advance Technical Person Ko Samjh Me Nahi Aa Pati Jub Problem Creat Hoti Hai To Wo Bechain Ho Jata Hai……
Q. Mai Ab Ye Karunga Per 6 Month Ke Bad Hosting Change Kar Diya Karunga Kyuki Renewal Charge Jayada Dena Padta hai Aisa Karna Kitna Had Tak Sahi Hai
Jumedeen khan
Jab aapko ek achhi hosting mil jati hai to server change karne ki jarurat nahi hai. Bar bar server change karne se IP address change hota hai jo ki sahi nahi hai.