Blog Photos Par Right Click Disable Kar Copy Hone Se Kaise Bachaye

Bahut se blogger jinko copyrighting ke nuksan ke bare me jankari nahi hoti hai. Wo dusro ki images, post content ko copy kar ke apne blog par publish karte hai. Isse jiska content copy kiya gaya hoga uski search ranking low ho jati hai. Aayiye mai aapko photos ko copy hone se rokna ka sabse aasan tarika btata hu. Jisse hum apne blog ki images par right click ko disable kar sakte hai.

Apne Blog Ki Images Par Right Click Disable Kaise Kare

Ye ek bahut abdi problem hai. Jiski wajah se humare blog ki search ranking down ho jati hai or dusro ki galati ki wajah se hume nukshan bhugtna padta hai. Maine iske bare me pahle bhi kuch articles likhe hai. Aap inhe bhi padhe.

Apne Blog Ki Images Par Right Click Disable Kaise Kare or Copy Hone Se Kaise Bachaye

Is post me mai aapko aysi trick bta raha hu. Jisse aap apne blog ke photos par right click ko disable kar sakte ho. Isse apki images chry hone se kafi had tak secure ho jayegi. Or koi bhi aasani se aapki site ki images copy nahi kar payega.

Jab hum blog post me koi image upload karte hai to uski html coding is tarah hoti hai.

<a href="yourblogurl.com/xyz"><img src="yourblogurl.com/imageurl.jpg"/></a>

Isme aapko ye code add karna hai.

oncontextmenu="return false;"

Code add karne ke bad aapki photo ka link is tarah hoga.

<a href="yourblogurl.com/xyz"><img src="yourblogurl.com/imageurl.jpg" oncontextmenu="return false;"/></a>

Bas aapko ye choti si trick follow karni hai. Uske bad aap apne blog me photo upload kar ke photo par right click kar ke check kar sakte hai ki trick kaam kar rahi hai ya nahi.

Ye post short jarur hai. But isme ek long post se jyada kaam ki trick aapko milegi. So plz ise social media or dusre blogger ke sath share jarur kare.

Reader Interactions

Comments (52)

  1. thanks sir

  2. Bro..
    Maine GK MCQ website par ek question copy Kar tha tab ek message show ho Raha tha

    Kya hum BHI Apne blog par koi BHI content copy Kare to use message show Hoga ?
    Please bro. Hume BHI isake bare me bataiye

    • Yes kar sakte ho javascript se.

  3. Mene code add kiya or blog me Es code dikha raha kya code kaam ker raha hay pls bataaye mujhe samjh nahi aa raha

    • Aapne code kaha par add kiya hai.

  4. Sir mere blog me abhi bhi copy ho raha
    Kya keru or mujhe esme kya kerna hoga

    • Aapke blog me copy disable code add nahi huya hai theek se add karo.

  5. Sir mujhe apne blog me text copy karne ko disabled karna hai taki koi copy na kar paye kaise hoga sir btaiye

    • Post me btayi trick use karo.

  6. Hello, I desire to subscribe for this website to obtain newest
    updates, therefore where can i do it please assist.

  7. Kya ham google image se image copy kar sakten hain ya download karke upload karna hoga ya ham kahan se image len please sugges karen .

  8. But ye code kaha aur kaise add karana hota hai brother.jara tafsil se batao mere bhai.kya layout option me jana hota hai. Thanx.

    • Bahut simple hai blogger layout par ja kar kahi bhi widget me add kar do.

  9. mughe apne blog per infolink ka ad lagana ha mene infolink ka code new post banakar html per click karke dala tha lekin ad dhikhai hi nahi dete please help me

    • Ads tabhi dikhayi denge jab aapka infolinks site par accoubt approved ho jayega.

  10. Hi muhe aapki website me jo “Subscribe our site” box hai (email subscription wala) chahiye.
    To wo kaise milega….
    Aur ye bataye ki ye kaise scroll karne par bhi ruka rehta hai .

      • Konsa plugin

        • Q3W3 fixed widget plugin.

  11. toh ab mujhe kya karna hoga
    AdSense account se ads lagane ke liye
    vaapas account approved kaise karu

    • Pahle AdSense ne aapko aapki site me jo kamiya btayi hai. wo sudharo. uske bad AdSense ke liye apply karo.

  12. unfortunataly you AdSense account was disapproved
    thanks you for your interest in google Adsense. while reviewing your application , we noticed that your site doesn’t comply with our AdSense progreamme policies
    unfortunately we’re unable to accept your application at this time . however, if you’re able to fix thi issues on your site, our want to use a defferent site, you can reply below
    I’ve fixed the issue on mysite.blogspot.com
    I’ve want to reply with a different site

    mere AdSense account open karne ke baad yeh message dikha raha hai

    • Aapka AdSense acconut disable ho gaya hai. kyuki aap AdSense ki policy follow nahi kar rahe ho.

  13. Hi, kya me jaan sakta hu ki aapki website ki alexa rank ke according aapki website par average pageviews kine hai daily basis.

  14. aap apne blog me theme konsa use karte hai

    • Mythemeshop ribbon

  15. sir ji ek baat bataye ki hamare blog/site se koi image,article yaa koi content copy krega bhi shi to isme hamare kiya nuksaan hoga jo copy krega uska AdSense approve nhi hoga.

    • Aapki bat sahi hai but kei bar search engine copy karne wali ki post ko originol or humari post ko copyriht samajh leta hai. Jisse humari search ranking kam ho jati hai.

  16. bro..meri site check karo mera bhi hindi blog he or batayei kya muje ji apke jise success mil sakta he kya or plezz kya Mera blog Seo friendly he kya

    Or ha bhai kya ap bata sakte he kya Feedburner subscription me mera full post users ko send hota he to mera only blog ka title send hona chahiye to kese karu

    • Aapka blog best ai bro or aapka post likhne ka tarika bhi best hai. bas mehanat karte raho. ek din mujhse bhi aaghe pahuch jaoge.
      Iske bare me mai jalid hi details se post karunga.

  17. jumedeen bhai
    meri CPC itni low kyo ho rahi hai
    1 Click $0.01
    kya Reason ho sakta hai batayenge pls

    • Kyuki aap ek page par 5-6 display ads use kar rahe ho. Jabki AdSense sirf 3 hi allow karta hai. Jitna jaldi ho sake 3 se jyada ads ko remove kar do. Warna aapka AdSense ban bhi ho sakta hai. Aaapne ne AdSense ki policy todi hai. Saza to bhugtni hi padegi.

  18. Jumedeen Khan ji mujhe ek google AdSense ka masssage aya hai
    Congratulations!
    The AdSense widget has been added to your blog template.
    Press Continue to customise your AdSense settings.

    yesa mujhe massage aya hai iska kya matalab hai or age kya karana hai

    • Iska matlab hai ki aapka AdSense account approved ho gaya hai. Ab aap Adsense par jao or gear icon par click kar settings par click karo. Ab left side sidebar me sitemanagement par click karke apni site ka url add karo. uske bad AdSense aapki site ko review karega. Review complete hone ke bad aapka AdSense account upgrade ho jayega. fir aap AdSense par ads bana kar apne blog par laga sakte ho.

      • Jumedeen Khan ji Review complete hone me kitna time lagata hai or Review hone se pahale hamne ad lagayi to koi problem to nahi hogi na.

        • Agar aapke AdSense account par ads create karne ka option enable hai to laga sakte ho.

          • Jumedeen Khan ji ads create karne ka option enable hai maine ad bhi laga li hai magar wo dikh nahi rahi kya problem ho sakta hai.

          • Koi problem nahi hai. Ab AdSense aapki site ka reveiw karega uske bad ads show hone lag jayenge. aap 2-3 din wait karo. Agar ads show nahi hone to aapko AdSense ka mail mil jayega.

  19. bhaiya jaise aapke post ke font thoda bade hai, w/o settling me nahi mil rahi hai, w/o post likhte waqt option hai, but maine jo post public kar di, wo kaise badu hogi

    • Iske liye aapko blogger template me ja kar all font ka size change karna padega.

  20. jumeedeen bhai jaha tak mujhe pata hai ki ham hamare blog se koi bhi contact copy hone se nahi rok sakte kyu ki internet par ese browser hai jo 1 second me hamri post and images ko copy kar deta hai ex:- ke liye uc mini yeh browser esa hai jisse sabhi bloggers ko bhut nuksaan bhugtna parta hai .

    wese aapko toh codeing ki jankari bhut hogi toh ek esa code banaiye jisse uc mini me yaa toh site hi open naa ho yaa fir contact copy naa ho paye

    • Surendra aap ne 100% sahi bat kahi hai. Hum kabhi bhi puri tatrah se apni site ke content ko copy hone se nahi rok sakte or copy karne wala tab tak copy karna nahi chodega jab tak use copyright ke nukshan ke nare me pata na jale. Uc browser to AdSense use karne wale blogger ka sabse bada dushman hai. Agar ye na ho to hu, daily $5 to $20 jyada earn kare. Nahi bro hum koi bhi coding se uc ke option change nahi kar sakte. Ye uc browser ka founder hi kar sakta hai.

  21. Bhai kya mere ko sabhi post me is code ko dalna hai jisse mere blog ka photo koi copy na kar sake.

    • Ye aap par nirbhar hai ki aap apne kitne photo secure karna chahate ho. Aap pahle jo upload kar chuke ho unhe chodo aage se ab jo photo upload karo. Unme ye trick use kar sakte ho.

  22. sir
    mera AdSense account 2 din chalkar dispropve ho gaya ab me kya karu

    • Aapko AdSense account disapprove hone ka message mila honga. Usme AdSense ke disapproved hone ka reason likha hota hai.