Domain flipping yani domain name buy sell karke earning karna. Ji haa dosto aap domain buying selling se achhi income kar sakte ho. Domain name buy sell ka business bahut beneficially hai. Is post me aapko iski puri jankari milegi. Domain Flipping Kya Hai? Domain Flipping Se Paisa Kaise Kamaye – Full Guide in Hindi.
Internet ki duniya me domain name sirf ek address nahi hai balki ek property bhi hai. Jis tarah se log jamin kharid kar bech sakte hai wese hi aap kam price me domain name buy kar use achhi keemat me sell kar sakte hai. Isse aapko commission milega aur aapki kamai hogi.
Par ek domain name ki value kya honi chahiye? ye aapko pata hona chahiye. Domain name kharidte waqt aapko bahut sujh bujh ke saath domain name kharidna hota hai. Aapko esa domain kharidna chahiye jiski aage chalke kimaat bahut jyada ho sakti hai.
Jaise ek share market ka business hota hai, wese hi domain flipping ka business hota hai lekin share marketing aur land kharidne me jitna risk hota hai uske muqable domain flipping business me bahut hi kam risk hota hai.
Isme aapko,
- Low Risk: Kam jokhim
- Low Investment: Kam nivesh
- No Hard Work: Kam mehanat
karni padti hai. Isme aapko 3x se 10x profit ho sakta hai. Har roz lakho aur hazaro rupay me domains kharide aur beche jaate hai.
Agar ek investor ki tarah soche to domain kharidne aur bechne ki ek strategy honi chahiye. Koi bhi domain name kharida to ye jaruri nahi ki wo lakho me sell hogi.
So ye aapki sujh-bujh par depend karta hai ki aap isse kitna paisa kama sakte hai. To chaliye ab hum topic par aate hai.
Table of Contents
- Domain Flipping Kya Hai?
- Domain Flipping Ke Liye Acha Domain Name Kaise Kharide?
- Domain Name Buying Strategy (Domain Flipping)
- Domain Name Kaise Aur Kaha Se Buy Kare?
- Domain Name Kaise Aur Kaha Sell Kare?
- Domain Name Kharidne Ke Baad Kya Kare?
- Domain Flipping Me Parking Kya Hoti Hai?
- Domain Flipping Kaise Shuru Kare Ki Hindi Jankari
Domain Flipping Kya Hai?
What is domain flipping in hindi: Domain flipping ek domain name buy karne ki process hai jo ise quickly significantly higher cost me sell karne ke irade (intent) se ki jati hai.
In short, kam price me domain buy kar high price me sell karne ki prcoess ko domain flipping kaha jata hai. Ye make money online ka best way hai.
Ye bilkul hounse, land buy sell business ke samaan hai jo commission earn karne ke liye kiya jata hai. Ek success domain flipping ke liye jaruri hai ki aap domain ko sahi time par buy kar sahi time par sell kare.
Domain Flipping Ke Liye Acha Domain Name Kaise Kharide?
Domain name kharidna bahut easy hai lekin ek achha domain name kharidna muskil bhi hai jisse aap lakho kama sake. Isiliye aapko domain name kharidne se pahle kuch baato ka khyal rakhan hoga.
Main aapko bta deta hu ki domain name buy karne se pahle kin kin bato ka khyal rakhe. Domain kharidte waqt humesha in baato ka dhyan rakhe.
- Spam na ho
- Chhota ho (short)
- DA and PA check kare
- Yaad rakhne me aasan ho (easy to remember)
- Usme kuchh nayapan ho (originality)
- Likhne me aasan ho (easy to spell)
- Domain google dwara banned na ho.
Aap is post se bhi jan sakte hai ki domain name kaisa hona chahiye, Domain Registration Karne Se Pahle Ye 10 Bate Pata Kar Le.
Domain Name Buying Strategy (Domain Flipping)
Har kisi ki strategy alag hoti hai lekin aap jab bhi domain buy kare to in baato ko khyal me rakh kar kharide.
- 5-6 naam se shuru ho
- Maan me ek budget rakhiye
- Chhote keyword se bhare naam ho
- Kam price me kharide aur jyada me beche
Lekin dhyan rahe, kisi dusre ke brand name ko mat kharide warna aapke upar case bhi ho sakta hai. Muskil aur lambe naam kabhi select mat kariye aur domain extension esa kharide jiska Market me value ho.
Aksar .com, .net, .org aur country level domain like .in ki value market me jyada hoti hai. Lekin in sabme .com ki value humesha sabse jyada hoti hai.
Lekin achhe naam jab aap kharidne ke liye jayenge to dekhenge ki koi bhi achhe value wale domain available hi nahi hai, to ese me achhe domain name kaha se kharide?
Aap ek achhe domain tab bhi kharid sakte hai. Roz hazaro lakho domain expired hote hai. Aap godaddy website se un expired domain ko kharid sakte hai.
Domain Name Kaise Aur Kaha Se Buy Kare?
Aap humesha domain name kam price me buy karne ki koshish kare taki aapko domain sell karne par jyada se jyada benefit mile. Domain name buy karne ke aapko internet par bahut sari websites mil jayegi.
Main yaha par aapko kuch top and best website ke bare me bta raha hu jo domain buy karne ke liye best hai.
- Godaddy
- Bigrock
Ye dono companies sabse jyada popular hai ar aap in dono company se cheap price me domain buy kar sakte hai.
Domain Name Kaise Aur Kaha Sell Kare?
Agar aapko register kiye gaye domain ko buy kar achha profit kamana hai to aapko apne domain ki value ko pahchanna hoga. Jaise ki .com extension top level domain dusre kisi extension se better hota hai.
Agar aapke pas .com domain hai to aap use baki ki tulna me jyada price me sell kar sakte ho aur jyada commission earn kar sakte ho.
Main aapko kuch top domain selling websites ke bare me bta raha hu jin par aap domain name sell kar achha profit kama sakte ho.
- Sedo.com
- Godaddy Auction
- Flippa.com
- Ebay.com
- Afternic.com
- Aftermarket.com
- Cax.com
- Budomains.com
- 4.cn
- Hugedomains.com
- Huntingmoon.com
- At last, your own website
Domain name selling websites seller and buyer ke bich ek tarah se broker ka kaam karti hai. Jab aapka domain sell ho jata hai to ye sites aapke domain selling price me se kuch commission apne pasrakh leti hai.
Iske bare me hum already explain kar chuke hai. Ye post padhe, Godaddy Domain Sell Hone Par Kitna Commission Leta Hai.
Domain Name Kharidne Ke Baad Kya Kare?
Domain kharid lene ke baad aap use bechne ka wait kare lekin intezar karte waqt aap apne domain ko
- Park
- Redirect
Kar sakte hai. Aap chahe to uska istemal bhi karsakte hai, isse domain ki value hi badhegi.
Domain Flipping Me Parking Kya Hoti Hai?
Jis tarah aap apni gaadi ko park karte hai usi tarah aap apne domain ko bhi park kar sakte hai. Domain name parking 2 tarah ki hoti hai.
- Free domain name parking
- Cash parking
Free domain name parking:
Isme aap apne domain name ko register kar lijiye, aur aapke register se aapko free domain name parking mil jayegi.
Free domain name parking ka example aap is screenshot me dekh sakte hai.
Ye page goddady ne free me bana kar diya hai. Ye domain park ho gaya hai is parking ke mujhe koi paise nahi dene pade hai.
Cash Parking:
Isme aap pehle apna domain name register kariye aur phir use cash park kar dijiye. Ye free nahi hai aur isme aapko charge dena padta hai.
Maan lijiye maine mere domain par cash park kiya hai to godaddy us page par ads laga dega jisse jab bhi koi us ad par click karta hai to us click ke mujhe kuchh paise milenge.
Par cash park ki service free nahi hoti iske liye aapko saal ke kuchh paise pay karne hote hai.
Agar aapko cash park (cashparking) nahi karna to aap apne domain name ko redirect bhi kar sakte hai. Redirect karne ke liye domain name register kariye aur phir apni website par use redirect kar dijiye.
Iski jankari yaha hai,
Domain Flipping Kaise Shuru Kare Ki Hindi Jankari
Upar di gayi jankari se aap samajh hi gaye honge ki kaise aap domain flipping kar domain buy sell kar earning kar sakte ho.
Lekin fir bhi main aapko domain flipping start karne ki kuch tips bta deta hu jo aapki domain buying selling business me help karengi.
- Narrow your focus: apna dhyan kendrit kare aur domain buy sell marketing ko achhe se samajhe tabhi aap isse achhi earning kar paoge.
- Know your budget: Aap domain buy sell business me jitna invest karoge utna better hai lekin bina experience, knowledge ke nahi karna hai. Apne budget se jyada ka kaam na kare.
- Pick Expired Domains: Bahut se expired domain aese hote hai jinki valeu future me jyada hone wali hai, so brand domain se jyada expired domain par focus kare.
- Employ different sale strategies: Safal domain name business ke liye strategies apnaye taki aapko jyada se jyada benefits mi lsake.
Domain flipping me ye 4-5 points follow kare aur internet par researching kar iske bare me puri jankari pata kar le uske bad business shuru kare.
So friends, is tarah se aap domain name kharid kar bech sakte hai aur paise bhi kama sakte hai. Ummid karti hu ki aap domain flipping ke baare me achhe se samajh gaye honge.
Phir bhi agar koi doubt hai to aap niche comment me puchh sakte hai. Post achha laga to ese apne family aur friend ke saath share jarur kare!
Vishvajit Rao
Nice Info Neha ji. Aapne Domain flipping ke bare me bahut hi badhiya se bataya hai.
dhugu sharma
Thanks for sharing. jin logo ko pass blog likne ka time nahi hai wo domain flipping se acha paisa kama sakta hai..
Jitendra Singh Rao
hello neha , kya mai apna old domain jo abhi expire hone vala hai , sale kar sakta hu
Neha verma
Ha kar sakte hai lekin expired hone ke pehle sell ke liye dal dijiye
Muhammad fawad
but hindi blogger domain direct buy karte hai!
aur 95% Godaddy se to kya karna chahiye hindi ke liye?
Jumedeen khan
Aap hindi domains ko buy sell karte hi kyu ho jisme benefit ho usko karo.
Rupendra Kumar
nice sir, Ek baar fir se aapne bahut achhi jankari di hai
Ramanand mehta
Domain buy sell to hota hai bas etna pata tha but eske bare me etna kuchh knowledge nahi tha… so thanks…