Domain Registration Karne Se Pahle Ye 10 Bate Pata Kar Le

Top 10 things to know before domain registration: Jab humara business internet par online hone ke liye ready ho jata hai to hume sabse pahle ek good domain name ki talash hoti hai or hame iske liye kafi searching karni padti hai magar sirf search karne se good domain name buy nahi kiya ja sakta. Domain registration karne se pahle aapko kuch jaruri bato ka pata hona chahiye taki aap brand domain le sako. Is post me main aapko new domain name purchage karne se pahle aapko kya kya pata hona chahiye or ek good domain kaise buy karte hai ke bare me details se btaunga. Without a top domain ke aapka online business successful nahi ho sakta.

Best things to know before buy new domain registration

Aaj ke time me business ka internet par online hona bahut jaruri ho gaya hai. Business ko online na karna aapki bahut badi galti hai or aap apne 40% customers ko avoid kar rahe ho. Online business karne ke liye brand domain names ki jarurat hoti hai. Ek good domain registration karna easy nahi hai. Aapko domain buy karne se pahle domain name ke bare me kuch important thinks ka pata hona jaruri hai. Tabhi aap brand domain purchage kar sakoge.

I know ki aap internet par brand domain register karne ke bare me searching kar knowledge le sakte ho but main ye bhi janta hu ki in sab ke liye aapke pas time nahi hai or aap bina time west kiye bahut jaldi domain registration ke bare me information pata karna chahate ho. So kaisa hoga agar aapko iski ek jagah hi full details mil jaye.

Is tutorial me main aapko “domain name buy karne se pahle kin kin bato ko dhyan me rakhne ki jarruat hoti hai?” ke bare me bta raha hu.

Domain Registration Karne Se Pahle Aapko In Bato Ka Khyal Rakhna Chahiye

Online success business karne ke liye ek good domain ki jarurat hoti hai or ek good domain buy karne ke liye aapko domain registration ki kuch jaruri bato ka pata hona chahiye tabhi aap apne business ke liye brand domain register kar sakoge.

Top thinks to know before buy a new domain name:

1. Check Domain Availability:

Check registered domain names. Domain regiration karne ka ye crucial step hai. Jab aap kisi unique name ke sath online business build karna chahate ho to pahle ye pata kar le ki aapke businesss name wala domain available hai ya nahi.

Ho sakta hai aapki pasand ka domain already kisi ne register kar liya ho kyuki world bahut bada hai or aesa hone apr aap apne online business ko lost kar doge. Iske alawa aap expire domains ko bhi check kar le. kuch log domain register kar use renew nahi narte hai or time out hone par wo expire ho jate hai. Iske liye aap www.expireddomains.net site par expired domains check kar sakte ho.

2. Top Level Domain Name:

Main top level domain names .com, .org, .net, .info hai. Inme se sabse jyada .com domain ka extension hai. Main aapko strongly recommend karunga ki aap .com domain hi buy kare kyuki iska extension sabse jyada hai. All world me aapke business ko search ranking me top par lane ke liye .com domain name sabse best or har business ke liye fit hai.

But agar aapka business local area tak limited hai or aap world ko target nahi karna chahate to aapke liye country level domain perfect hoga. Jisse aap apne areas ko easily target kar sakte hai. Iske bare maine niche 5 point par btaya hua hai.

3. Easy to Type and Remember:

Aap jitni bhi online websites like Facebook, Twitter, Google, Wikipedia, Amazon, Flipkart and other sites ke bare me jante ho un sabhi ke domain name easy, simple, short and eye catching hai. Aap inhe aasani se yaad rakh sakte ho or aasani se type bhi kar sakte ho.

Aapko bhi apna online business inhi ki tarah popular karna hai to aap bhi apne busienss ke liye aesi tarah ka short, simple, yaad rakhne or type karne me aasan and eye catching domain name register kare.

4. Use Keywords:

Search engine optimization (SEO) ki tarf se domain me keyword istemal karna better btaya gaya hai kyuki aap isse apne business point ko easily target kar sakte ho or isse google search engine me aapke domain ki top ranking bhi hogi.

But aapka busienss multiple niche par hai to aap without keyword ka istmemal kiye domain le sakte ho. Domain name me keyword tab jaruri hota hai jab aap ek hi niche par kaam karne wale ho or aapka business ek hi topic ko target karta hai.

5. Target Your Local Area:

Agar aapka busienss local area tak simit hai or aap sirf apne area ko target karna chahate ho to aapke liye Top Country Level Domain behtat sabit hoga. Country level domain se aap apne country areas ko target kar sakte hai. Jaise india ke liye .in, USA  ke liye .us and UK ke liye .uk domain register kar sakte ho.

Is tarah ke country level domain se aap kisi bhi country ko target kar sakte ho. Main iske liye aapko tabhi suggest karunga jab aap sirf ek hi country  se traffic pana chahate ho. Baki all cases me aapko .com hi try karna chahiye.

6. Short and Fits Domain:

kei bar domain registration ki jankari na hone apr kuch log apne business se unrelated domain buy kar lete hai jo unke business par bilkul bhi fit nahi baithta. Ye bahut badi galti hai aapka domain name aapke business se match hona chahiye tabhi aapka business internet par alag pahchan bana sakega.

Iske alawa long domain se bhi bache. Long domain register karne se user na to use yaad rakh sakte hai or na hi sahi se type kar pate hai. Humesha short and type karne me easy domain name buy kare.

7. Avoid Matched Domain:

Dusre business websites se milta julta domain buy karne se bache like example.com or examples.com, halanki ye illegal nahi hai but aesa karne se hum usi website ke hanger ban jate hai. Jabki hume to alag business karna hai jiska name, work sabse alag or different ho.

Other domain se related domain lene se achha hai ki aap sabse alag domain buy karo. Isse aapki pahchan usi website ke name hogi or aap humesha uske pichhe chalne wale mane jaoge. So jitna ho sake sabse alag domain registration kare.

8. Avoid Hyphens and Numbers:

Agar possible hai to domain name me hyphens and numeric ka istemal karne se bache like blogtips12.com. lession1.com, Is tarah ke domain unique nahi hote or sabse badi problem is type ke domains ko audience bahut kam pasand karte hai.

Ek without numeric domain hyphens and numbers wale domain se better work karta hai. Halanki main is matter par jyada pressure nahi dunga. Aapke liye ye jaruri hai or aapki choice hai to aap aesa kar sakte ho.

9. Protect Your Brand:

Jab aap apne business ke liye .Com ya other koi bhi brand domain register kar le to aapko apne brand ko protect karna hoga. Kyuki jab aapka business successful ho jayega to aapke competitor aapke domain name se similar domain names register kar aapke audience ko misrepresentation karne ki koshish karenge.

Is se bachne ke liye aap apne brand domain ke sath baki important local domain, country level domain ko bhi register kare or un sabhi ko apne main domain par redirect kar de. Jaise aapne example.com domain buy kiya to aapko example.in, example.us jaise jaruri domain le kar unhe main domain par forward karna hai.

10. Expanding Capability:

maine five and four step me btaya tha ki aap apne local area ke liye country level domain le sakte ho or better search ranking ke liye aap domain name me keywords istemal kar sakte ho. Is point ko kuch newbie galat tarike se follow kar lete hai.

  • Aapko world wide businss karna hai or aap country level domain le lete ho.
  • Domain me ek se jyada extra keywords ka istemal karna.
  • Less popularity wale single product wale keyword use karna.

Hume sirf tabhi keywords ka istemal karna hai jab huamra keyword famous or top searches me ho. Local or less traffic wale keyword ko domain name me add karna bahut badi galti hai. Agar aap future me big business karna chahate ho or world wide audience ko target karna chahate ho to country level domain registration na karke aapko brand .com domain hi buy karna chahiye.

I hope upar btayi gayi domain registration se pahle jaruri bate aapki brand domain buy karne me help karegi. Ek good domain buy karne ke liye aapke pas koi or best tips ho to aap comment box me uske bare me bta sakte hai.

Aap domain registration ke bare me or bhi janna chahate hai to ye post bhi read kare Blog Ke Liye Konsa Domain Name Best Hota Hai Free Ya Paid.

Avatar for Jumedeen Khan

About Jumedeen Khan

I'm the founder of this site and we regularly share useful and helpful information here for beginners. ❤️

Reader Interactions

Comments (64)

  1. Avatar for KumarKumar

    Yadi koi company apna traidmark li ho aur uska domain dot in khali ho to use ham lekar publish kar sakte hai wo legally ham par traidmark hone ke wajah se case to nahi kar sakti hai n ?

    • Avatar for Jamshed KhanJamshed Khan

      case to nahi kar sakti par isse aapko koi fayeda nahi hai.

  2. Avatar for MonoshreeMonoshree

    hello sir, mere pass ek domain tha jo ki godaddy se liya hua tha. ab expire ho gaya hai. ab mai naya domain lena chahti hu. sir me janna chati hu ki naya domain ko apne blog me add kar sakti hu. ya mujhe naya blog banana chahiye?

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      Yes kar sakte ho no problem.

      • Avatar for MevabhaiMevabhai

        Hi sir

        Mene Ek domain liya hai godaddy se lene ke baad pata chala ki vohi Domain ka Subdomain name Dusre blogger par par pahle se hi Majud hai To kya ye Domain illegal hai

        • Avatar for जुमेदीन खानजुमेदीन खान

          नहीं, illegal नहीं है

  3. Avatar for ranjotranjot

    sir trandemark domain ko log kaise use karte hai kya vo log VPN use karte hai and kya ye krna illegal hai

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      trademark domain use karne ka legal tarika yahi hai ki aap uske owner se domain buy karo, baki tarike illegal hi honge.

  4. Avatar for Devdas guptaDevdas gupta

    Sir mann lijiye ki maine custom domain add kar dunga to kya majhe labh hoga,
    agar sir ham apne blog ko wordpress par install kar denge to kya hoga

  5. Avatar for Devdas guptaDevdas gupta

    Kya sir blogspot me custom domain lagana jaruri hai kya

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Jaruri nahi hai but better hai.

  6. Avatar for dineshdinesh

    Sir google console me jo warnings aate hai agar unhe remove na kre to us se kya problem ho skte hai

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Remove nahi karoge to aapki site ki search rank down hogi.

  7. Avatar for dineshdinesh

    Sir aaj us pe 34 ho gye total clicks. Sir please btao na kya problem ho skte hai ye

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Ye koi problem nahi hai ise ignore karo.

  8. Avatar for dineshdinesh

    Sir kya aap mujhe Bt skte hai ke agar mene kuch smye phle ek domain buy Key Tha kumarfamil. Info ab me use kumarfamil. Com ke naam se buy kr lu to jo phle vale site domain pe jo data tha use. Com vale site domain pr kese lau

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      First aap new domain par blog banao or usme old blog ka data import karo.

  9. Avatar for Amul ThakurAmul Thakur

    Bhai Maine Serprank.com Se Free Privacy Policy Banai Thi Serprank.com Se Privacy Policy Page Banane Mein Koi Dikkat To Nahi Hai Jaise Blog Ko Google AdSense Se Approved Karate Wakt

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      Aap apni site ke liye khud privacy policy banao to behtar hai.

  10. Avatar for Siddharth thakurSiddharth thakur

    Brother Mera Account Godaddy.com Par Nahi Ban Raha Hai Baar Baar Dusra Password Daalne Ke Liye Bol Raha Hai Kya Karu

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      Aap mozilla browser me cache delete kar try karo.

  11. Avatar for Amul ThakurAmul Thakur

    Brother Main Agar Godaddy.com Se 99 Rupees Mein Domain Kharidta Hoon To Kya Mujhe Ye Domain 1 Saal Ke Liye Milega Ya Isse Kam Kahi Aisa To Nahi Rs 99 Mein Domain Kharidne Ke Baad Turant Hi Mujhe Aur Bhi Paise Dene Hong

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      Nahi apako ek sal tak pay karne ki jarurat nahi hai.

  12. Avatar for KetanKetan

    Hi sir, mera blog Hindi me tha usme Adsens bhi laga that,fir mene 1 company join ki jo sharing or temples trick bhi deti thi,lekin unki policy thi ki Adsens account vapas nahi dete fir me vo company mese left ho gaya or apna English blog banaya he daliy 2000 aaspas visitor bhi hote he, mene Adsens aplay kiya to mail aaya ki aapka dusara Adsens he fir mene use Adsens SE apply kiya 8 din wait kiya lekin kuchh nahi aaya fir mene use mail ID ko delete kiya or naya Adsens account banaya lekin Purana Adsens or mail ID delete karne par bhi vahi mail aaya he ki aapka Adsens account dusara he kal fir vapas mail ID recovery karke mail ID delete ki ab wait kar raga hu, aap mera blog dekhake bataye aakhir 2000 visiter par bhi kuy Adsens nahi nil rara mera blog.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Jab apake pas old ID se adsense tha to use delete karne ki kya jarurat thi. Chalo kar diya hai to ab new ID se apply karo but address different use karo approve ho jayega.

  13. Avatar for Nikhil JainNikhil Jain

    business me similar domains sbse jyada nuksaan pahucnhaate hai, jaise ki Amazon ke nam par bhi fake links share ho rhe hai aur facebook k naam par bhi,bilkul similar ki tarah.
    So similar domains se bachna kaafi important hai aur business owner ko chahiye ki vo apne customers ko sahi jaankaari samay samay par deta rhe.

  14. Avatar for yogendra Singhyogendra Singh

    Hay jume deen ji. main aapse ek jaankari chahta hoon.
    sir mujhe ye bataye ki Permalink me roman english word use karne chahiye ya shuddh english word use karne chahiye.

    our country primeminister is narendra modi ji. (roman english word)
    ya
    hamare desh ke pradhanmantri narendra modi ji hai. (shuddh english word)
    sir is baat par jara dhyan de ki main ek hindi blogger hoon aur main hindi bhasha me post likhta hoon. ab aap reply de. thanks

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      permalink me aapko keyword istemal karna hota hai or extra words remove karne hote hai. Show aap hinglish ya english dono me link use kar sakte ho. Aapke btaye dono link me dekho keywords ek hi hai. Isiliye koi bhi use karo.

  15. Avatar for Vishnu Kant MauryaVishnu Kant Maurya

    WordPress ke liye best free theme kuch suggest kare jo mere blog ke liye suitable ho.
    Thanks

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aap newspaper theme use karo.

      • Avatar for Vishnu Kant MauryaVishnu Kant Maurya

        Par newspaper theme paid hai na ?
        Kya cracked theme use karana blog ke liye sahi hai ?

        • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

          Free theme use karni hai to mythemeshop sabse best hai.

  16. Avatar for shashankshashank

    Maine apki affiliate se related post padhi.
    1.- kya Bluehost affiliate sirf sign up karvane ke bhi paise deta hai. agar kisine parchese nahi kiya to bhi paise milenge kya.
    2.- Flipkart affiliate me kisi product ki link banakar use promot karte hai or koi vahi product buy karta hai to commission milta hai… kya esa nahi ho sakta ki esi link banaye jisse koi kuch bhi kharide to commissiion mile.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      1. Mostly affiliate companies product buy karne par commission deti hai. Sirf kuch hi aesi sites hai but inme bhi fraudulet hoti hai.
      2. Flipkart kei tarah ke link deta hai. Jisme aapka ek main link hota hai. Baki aap product ke liye bhi affiliate link le sakte ho. Aapke main affiliate link se koi kuch bhi kharide aapko commission milega.

  17. Avatar for Deepak VaishnavDeepak Vaishnav

    सर आपकी भी तो एक हिंदी साइट है ना mozindia के नाम से तो आप उसके लिए keyword कैसे ढूंढते हो।

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Us website par main nahi koi or content likhta hai.

  18. Avatar for Deepak VaishnavDeepak Vaishnav

    ..सर लेकिन मेरे एक बात समझ में नहीं आ रही है कि में पोस्ट हिंदी में लिखता हूं और उनका टाइटल भी हिन्दी में लिखता हूं तो में हिंदी के लिए अच्छे keyword कैसे डून्डु।

    ..और सर जब में पोस्ट लिखता हूं तो मेरे पास हिंदी का टाइटल होने के कारण में उसमे अच्छे keyword नहीं लगा पाता हूं।

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Keyword aap google keyword planner par search kar sakte ho. Aap hindi lekh me english keyword bhi use kar sakte ho.
      Aap hindi title me keywords english me use kiya karo.

  19. Avatar for Mukesh sainiMukesh saini

    Sir apse request he ki ap Meri madad kare. Sir mere blog indiametech.com he jis par me menu create Karna Chah Raha hoo. Help

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      WordPress dashboard >> appearance >> customze par jao or menu select karke menu item set karo.

  20. Avatar for Babita SinghBabita Singh

    Jume Deen ji thanks for sharing such useful information related to buying domains.

  21. Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

    Ansari humesha isik e bare me to likhta hu. Aap SEO related post padha karo or achhe se samajha karo.

  22. Avatar for Kuldeep VishnoiKuldeep Vishnoi

    maine google webmaster me sitemap submit kar diya hai phir bhi meri koi link google par nhi aa rahi hai kyo aap dekh kar btaiye na….

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aapke blog ke 27 links google me index hai or mere hisab se aapke blog par itne hi links hai.

  23. Avatar for IsmailIsmail

    Nice information dear keep it up

  24. Avatar for Siraj ahmadSiraj ahmad

    Hello bhai mujhe aapki help chahiye maine ek blog banaya he or mere liye aap koi accha sa template bataye please

  25. Avatar for Deepak sahooDeepak sahoo

    very nice article likha he apne but backlink ke bareme kab likh rahe ho sir ??

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Jaldi hi likhunga.

  26. Avatar for Suraj BaraiSuraj Barai

    Ha ye toh thik hai lekin mera ek sawaal hai ki blogger me ek se jyada domain kaise set karte hai? Please iss sawaal ka jawaab dijiyega… Iss sawaal ko kai baar puchaa bhi thaa maine..

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Suraj aap apne main domain par dusre domain ko reditect kar sakte ho. Iske liye aap dusre domain ki setting me jaye or domina ko main domain par forward kare.

  27. Avatar for Shaikh JasimuddinShaikh Jasimuddin

    1. Bhai mera blog ka domain name thik hai kya ?

    2. Main Almost 4 month se regular post published kar raha hu aur custom domain add karna bhi 2 months ho gaya fer bhi page views increase nehi ho raha hai. apka SEO related post read karke blog par istemal kiya aur mera blog ka 280 se jyada post ho gaya. Page views increase kyu nehi ho raha hai ?

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      1. Is bare me aapko sochna hoga main sirf step bta sakta hu. Aap soche ki kya waki aap pakayekhaye par hi kaam karoge. Agar ha to domain sahi hai.
      2. Iski wajah hai aap short content likhte ho or SEO ko sahi se follow nahi karte. Post title effective nahi banate.

  28. Avatar for bismbism

    sir aap ke in blog hindi me hai ik blog english me hai ik blog hindish me hai aap in 3 ke liye ik AdSense accounte use karte hai ya sub ke liye ilag ilag …!!!
    ik use karte hai to per aap ne AdSense accounte me kon se languge selecte ke hai i have also 3 blog…!!! please help me.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Iske bare me nahi bta sakta. Jis bhasha me content ho wohi language select karo.

  29. Avatar for TanveerTanveer

    Bro…bura mat manna apke us reply se mera confusn aur jyada ho gya hai…

    1) mera AdSense acount hosted hai jo mujhe YouTube se mila hai aur ap keh rahe hai my site section me blog ko manually add karne but maine research kiya video sharing site aur AdSense ke help form me to i got other product ke section me blog ko add karna hoga .. my site me non hosted approved acount wale manually site add krte hai.
    bro ise clear kijye.

    2) in both of cases agar site ko add kar leta hu to kya mujhe fully approval ke msg ka wait karna hoga ya usi waqt ads code blog me laga lun.

    3) kitne ads lagana behtar hoga aur kis portion me first time .

    4) admob me agar same AdSense aur YouTube registered email se signup karu to mera adsens acount hosted se non hosted hogi?

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      1. Tanveer matter ek hi hai aapke samjhne ka fark hai. Hosted account me feature thode alag hote hai. Hosted account me aapko my sites ki jagah i got other product ke section featutre milega. Usme site ko add kar sakte ho.
      2. Site domain ko AdSense me add karne ke bad aap AdSense par ad unit bana kar blog me add karo uske bad google aapki site ka review karega. Reveiww complete hone par aapke AdSense account me ad show honge.
      3. Starting me aap 2-3 ad unit laga lena ad show hone par or laga lena.
      4. Admob apps ke liye hai or AdSense blog website ke liye. Aapke pas mobile apps hai to hi admob use karo.

  30. Avatar for Deepak VaishnavDeepak Vaishnav

    Sir mera niche sports hai or mene sportzpari.com liya hai kya yah domain sahi hai sport site ke liye plz sir bataeye

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Sport keywords par google me 348 million search results hai. Iska matlab is par bahut jyada traffic hai. Aapne achha domain liya hai.

Add a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

I need help with ...