Blogspot ek top free blogging platfrom hai. But blogger par user ka WordPress ki tarah full control nahi hota hai. Google ne blogger ko limit control diye hai. So google aapke blogger blog ko kisi hi wajah se delete or remove kar sakta hai. Mostly agar aapse copyrighting hoti hai to bhi google aapke blog ko delete kar sakta hai. So aapke pas apne blog ka backup hona jaruri hai.
How To Remove Copied Content From Google Search Engines tutorial me maine btaya tha ki kis tarah humare copy karne par humara blogspot blog google ke dwara delete ho sakta hai. Or ho sakta hai koi kabhi aapke blog ko hack bhi kar sakta hai. Agar aapke sath aysa hota hai to ayse me aapke pas apne blog ki sabhi posts, pages, comments and images ka back up hona jaruri hai.
- Blogspot Blog Me Custom Permalink Kaise Use Kare
- Blogspot Blog Ko WordPress Par Trasfer Kaise Kare – Hindi Tutorial
Blogspot blog me back up data ka option hota hai. Jisse aap apne blog ka all data osts, pages, comments and images ka backup le sakte ho. Blogger ka backup .XML file me hota hai. Jise aap apne computer me store kar sakte ho. By the way, Bahut se blogger apne blog ka backup nahi lete hai .But mai aap sabhi ko suggest karunga ki aap weekly apne blog ka backup lete rahe. Agar aap weekly nahi kar sakte to montth me ek bar blog ka backup jarur banaye.
Blogspot Blog Ka Backup Kaise Banaye – Taking backup of Your BlogSpot blog
Apne blog ka bachup lena bahut jaruri hai. Isse aap apne blog me kiye gaye changes yani cusomizing setting ka store bana sakte ho. In my case, Mai 8-10 day me apne blog ka backup leta hu. Kyuki future ke bare me koi nahi janta ki kal kya hoga. Isliye hum aaj hi kal ka samna karne ke liye taiyar ho jaye to bahut achi bat hai.
Step 1:
Blogger.com site par ja kar sign in kare or blog drop down menu par click kare.
- Settings par click kare.
- Other option par clic kare.
- Ab “Back up Content” par click kare.
Step 2:
Ab ek pop up windows khulegi. Yaha par “Save to your computer” par click kare.
Bas ab aapke blog ka backup data download hona shuru ho jayega. Apne blog ka regular backup lena ek intelligent blogger ki pahchan hai. Agar aap abhi tak ise follow nahi kar rahe the to abhi se follow karna shuru kar do.
- Blogspot Blog Ko SEO Friendly Banane Ki Puri Jankari
- Blogspot Par Free Blog Banane Ke Bad Kya Kare Full Guide
Mai aapko recommend karna chahunga ki aap apni site ka backup computer ke alawa apni personal pan drive or google drive par bhi store karte rahe. To chaliye ab comment me btaye ki aap is post ko padhne ke bad kya karne wale hai. Sath hi is post ko dusre blogspot blogger ke sath share bhi kare jisse unhe bhi iske bare me pata chal sake.
Arvind
Sir mene apke blog par bhut si post read ki lekin mujhe hosting ke cpanel me se wordpress blog ka complete backup kaise lete hai iske baare me koi Post nhi mili agr aap is subject par Post publish kar chuke hai. To please mujhe uska Link de jisse me blog ka complete backup le saku. Aur jarurat padne par use restore kar saku.
Jumedeen khan
Main jald hi is bare me article likhunga. abhi aap ask.supportmeindia.com forum par is bare me discuss kar sakte hai.
PRABHA
nice article sir
aap ki post pd ke mene apne blog ka back up to le liya hai pr jrurt pdne yaani blog ke del hone pr esko waps kese use kr skta hai pllzz ye btae
Jumedeen Khan
Same process hai import karne ke liye aapko import option select karna hai.
Raghuveer Charan
Nice article sir and blog backup ko WordPress me lagane par article ka URL change hoga ya nahi
Jumedeen Khan
Nahi hoga.
Ankit Anand
Sir,mere blog ke right sidebar me apne aap blog post widget add ho gaya hai…
Isss sidebar me bhi sare post dikhte h aur sabhi images aur text ke sath..sir mai use hatana chahta hu lekin is me remove ka option nhi aata hai Maine coding ki,template change kiye lekin error aa raha hai…sir,please help me
Jumedeen Khan
Aap pane blog ko open karo or us widget par right click karo ab inpect par click karo or check karo ki us widget ki id kya hai. Uske bad blogger template me jao or wo ID search karo ab us id ke samne true ki jagah false likho or template save karo. Ab aap blogger layout me jao or us widget ko delete kar do delete ka option mil jayega.
deep
Thanku sir aapne bahut acchi jankari share ki hai m isi ke baare me search kar raha tha kya aap bi blog ka back up lete ho
deep
Sir, m backup leakr dusre blog pat transfer karna chahta hu to koi copy right hoga kya
M mere blog ko dlt kar dunga
Jumedeen Khan
Nahi nahi hoga aap kar sakte ho.
Ritik kadole
ye data dusri blog par trafr karne se khatra hai???
Jumedeen Khan
Ha bilkul khatra hai. Koi aapki sabhi posts yani blog ke all data ko apne blog me import kar sakta hai.
aman gupta
Maxi mile pe account kaise banaye wanha to sahi se kuchh bhi likha hua nahi hai pleaseplease replay me
Jumedeen Khan
Aman mai aapko blogging se related question ka jawab de sakta hu. Maxi mile ki jankari ke liye aap uski terms padho.
Ritik kadole
Bahoot acchi post hai…
abdul khan
asslamu alaikum bhai bhai thoda confuse hun plz ye baatyie aap me post ke and hone par uske neeche google ad laga sakta hun ki nahi…..mene post ke andar ek text link daala hai aur post end hone ke baad uske neeche ek text/img daala hai kuch probl to nahi hogi na bhai
Jumedeen Khan
Ha laga sakte ho but 3 se jyada ads use mat karna.
pakaj
Amazing! Its actually remarkable paragraph, I have got much clear idea.
Ashish sahu
Nice information, blogger blog par bhi backup lena chahiye jisse blog delete hone ki condition me ham apna data safe rakh sake. But new blogger is baare me dhyan nahi dete thik usi tarah jaise android phone me contact ka backup nahi rakhte aur phone me problems aane par reset karna padta hai. Aur ham contacts ko bahut miss karte hai. So be careful
Manish Sharma
Sir Backup Lene Ke Baad Fir Se Blog Per sab Cjiz Daal Saktey hai
Jumedeen Khan
Ha dal sakte hai.
Surendra
bhai me chahta hu ki aap koi aisa post likho jisme mobile applications banana sikhye pLz..
Jumedeen Khan
Ok jarur likhunga.
Sahil kumar
bhai blog ka time to time backup lena bahut jaroori hai. hala ke Blogger.com par koi dar to nahi par safety ke lihaj se to Backup lena banta hai. kai bar yadi hamare email account me koi problem aa jaye par jis email par domain hai wo hamare pass ho to koi problem nahi ho sakti
Bhale hi hamari site me kitni bhi badi problem aa jaye par yadi Domain Aur Blog BackUp hamare pass ho to Site ko phir se live kiya ja sakta hai.
surendra rsdp
Bhai mujhe 1 swaalo ke jabab de dijiye ,
Sbbj bank jo ki only Rajasthan me available hai toh kya AdSense sbbj bank me payment send karta hai yaa kar sakta hai .
Jumedeen Khan
Nahi AdSense sirf international branch wali bank me payment karta hai jaise sbi, hdfc, pnb, icic etc.