Kisi Site Me Aapke Adsense Ad Code Use Hone Par Kya Kare

Koi Mere Adsense Ad Code Use Kar Raha Hai Mai Kya Karu? Google AdSense publisher ke liye ye bahut bada sawal hai or bahut kam publishers ko iska solution pata hota hai. Mostly new blogger ko to iske bare me bilkul bhi pata nahi hota. Ye problem tab hoti hai jab koi user aapke blog ka content page source se copy karta hai. Usme aapke AdSense code bhi copy ho jate hai or wo jaise hi apni site me content paste karta hai uski site me aapke AdSense ad show hone lag jate hai. Iski wajah se aapki AdSense revenue kam ho sakti hai. Agar aapke AdSense account me aesi warning show huyi hai to is post me aapko isko solve karne ki full information mil jayegi.

Other site using my AdSense ad code

Hello AdSense publisher, Agar aapko AdSense me kisi or site par aapke AdSense  ad code istemal hone ki warning mili hai or aapko AdSense my site >> site management me aesi site ka link mila hai jo aapki website nahi hai to ye post specially aapke liye hi hai. Is post me main aapko apne AdSense ad code ko kisi or ke upyog karne par bad effect se bachne ka tarika btaunga.

Agar koi aapki AdSense ad code istemal karta hai to aapki AdSense revenue lost ho sakti hai. Pahle iska koi solution nahi tha but ab google ne iska simple solution nikal liya hai. Ab koi bhi aapke ad code use karega to aapko isse koi problem nahi hogi or na hi aapki AdSense earning par koi fark padega. So aao jante hai ki kaise hum apne AdSense ad code ko dusri site ya blog me use hone par uske bad effect se bacha ja sakta hai.

Aapko iske liye jyada kuch nahi karna hai bas AdSense account me ek choti si simple setting karni hai. Uske bad aapke ad code ko kisi bhi website par istemal karne par aapke AdSense account me koi fark nahi padega.

Google AdSense me is settings ko enable karne ke bad jab koi aapke ad code use karega to uske blog par to ad show honge but isse uski koi earning nahi hogi. Uski site par hone wale ad clicks and impressions aapke AdSense account me performance report m shonw honge but aapki bhi koi earning nahi hogi.

You may see this alert warning on your AdSense homepage:

In the past 7 days, your ad code has appeared a significant number of times on sites you don’t own. To avoid lost revenue, make sure to add these sites to your verified sites list in Site Management.

Yani aapke ad code kisi or site par use hone me aapki ya uski kisi ki income nahi hogi or ad par clicks hone par earning google ke pas hi rahegi. Agar aap ye setting enable nahi karte hai to aapki AdSense revenue kam ho sakti hai or aapke AdSense account par iske bad effect pad sakte hai.

What I Do If Other Sites Using My Adsense Ad Code – Full Information in Hindi

Aesi website jo aapki apni site nahi hai par google AdSense ad code istemal karna AdSense policy ka violation hota hai. Aesi site se cambat karne ke liye aapko apne AdSense account me total 2 settings karni hogi. Inke liye aap ye step follow kare.

1. Verify Your All Sites:

First sign in Your Adsense Account. Sabse pahle aapko apni un sabhi sites ko AdSense me verify karna hai jin par aap AdSense ad istemal karte ho. Iske liye aap first adsense.com par jaye or apni gmail ID se log in kare.

  1. Ab left sidebar me settings par click kare.
  2. Ab drop down menu me My sites par click kare.
  3. Ab drop down sidebar me Overview select kare.
  4. Ab apni site list me apni sabhi sites ke links check kar le or agar kisi site na link add na ho to add kar le.
  5. Aapko jin sites ko verify karna hai un par click karke down arrow me right side me Verify sites option ko enable kare.
  6. Verify Sites par click karke apni all sites ke samne switch ko turn on kar sites ko verify kare.

Adsense site management settings

2. Only Allow Verify Sites to Use My Ad Code:

Own sites ko verify karne ke bad aapko second Site Authorization ki setting karni hai. Site authorization google AdSense ka ek optional feature hai jo aapki verify sites ko identify karta hai or only unhi sites par google ad code istemal karne ki permission deta hai. I mean site authorization optional feature sirf aapki verify sites par google AdSense ads show karna permitted allow karta hai.

Step 1:

  1. Adsense par jaye or left sidebar me settings par click kare.
  2. Ab My sites par click kare.
  3. Drop down menu me Overview Select kare.
  4. Ab right side me three point menu par click kare.
  5. Ab ek choti sa pop up page khulega usme Site authorization par click kare.

Site authorization settings

Step 2:

  1. Ab ek pop-up windows open hogi usme “Only authorization my verified sites to use my ad code” ke samne siwtch turn kar site authorization setting enable kare.
  2. Last me SAVE par option click kare.

Site authorization

Ek bar aapke sites verify karne or site authorization feature ko turn on karne ke bad aapke ad unverified sites par show to honge or clicks or impressions bhi aapke account ki performance report me count honge but isse aapki koi earning nahi hogi. Aapke settings complete set karne ke bad ise proper work karne me 48 hours tak lag sakte hai.

Iske bad AdSense policy own sites ke alawa another other sites par ad show karne ki policy ka violation nahi hoga. Jo website ya blog owner aapke ad code use karenge unki sites or blog ke links aapke AdSense site management me show honge. Sath hi in site ke URLs performance report me bh ishow honge but ab aapke AdSense account par inka koi bad effect nahi padega.

Yani aapke AdSense account me data report abhi bhi record hogi but ab aapka AdSense account secure hai. Ab aapke AdSense ad code kisi or site par use hone par bhi aapko koi problem nahi hogi. Agar aapko ye post pasand aaye to ye post bhi padhe Mobile Users Ke Liye Adsense Ad Placement Optimize Kaise Kare.

Agar aapko AdSense ad code ko safe rakhne ki or AdSense policy violation se bachne ki ye jankari achhi lage to ise other AdSense publisher ke sath share jarur kare.

Avatar for Jumedeen Khan

About Jumedeen Khan

I'm the founder of this site and we regularly share useful and helpful information here for beginners. ❤️

Reader Interactions

Comments (99)

  1. Avatar for FajludeenFajludeen

    Kya hoga agar me apne adsense ads code ko mere 2nd site movies site me use kru ?
    I waiting your reply

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      agar second site adsense friendly hogi to google uska review kar ad show karna shuru kar dega lekin usse pahle aapko adsense setting me site link add karna hoga warna us site par ad to dikhenge par aapki earning nahi hogi.

  2. Avatar for Mukesh choudharyMukesh choudhary

    Hello
    Meri site m ads to show ho rhe but adsense account login karne par we are working on setting you up
    Mne yeh adsense account kisi or se kharida h

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      Ye problem kai logo ke sath hai, aap thoda wait karo apne aap solve ho jayegi.

  3. Avatar for Hansa Juhi RaniHansa Juhi Rani

    Sir ye setting hamne bahut pahle se ki hui hai. Lekin fir bhi hame baar past 7 days wala notification aata hai.

    Kya aisa koi tarika hai, Jisse pata chale ki kisne apni website me mere ads lagaye hain?

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      Notification to aayega, use remove karna ka tarika ye hai ki jis site par aapke adsene ad show ho rahe hai usse apne adsense ad code delete karwana.

      • Avatar for Hansa Juhi RaniHansa Juhi Rani

        To sir ye kaise jaane ki kis site par mere AdSense ads show ho rahe hai?

        • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

          Ye adsense aapko btata hai, kisi site par aapke ad code use hone par adsense me warning show hoti hai.

      • Avatar for all digital helpall digital help

        sir aap ne bahut aacha knowlage diya hai

        sir jo hum ad unit banate hai kay hum us ko delete kar sakte hai

        • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

          Aap ad units ko hide kar de jab wo use nahi hoga to apne aap delete ho jayega, manually delete nahi kar sakte.

  4. Avatar for VIRENDER KUMARVIRENDER KUMAR

    sir mane apne site ko blogger se wp par shift kiya hai uske 2 din bad ye massage aya hai adsense par
    In the past 7 days, your ad code has appeared a significant number of times on sites you don’t own. To avoid lost revenue, make sure to add these sites to your verified sites list in My Sites.
    site verify to abhi bhi dikha rha hai mai kya karu sir reply jarur karna

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      Post me btaye step se authority enable karne ke bad aapko koi problem nahi hogi, bas dusri site ke ads se aapki earning nahi hogi lekin aa site owner ko kah kar apna ad code remove kara le to problem completely khatm ho jayegi.

      • Avatar for Virender kumarVirender kumar

        Sir Dino site MERI hai
        MERI site phale Blogger par thi ab WP par hai WP shift Karne ke bad ye massage aha rha hai

        • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

          To fir aap old site se adsense ad code hata do problem solve ho jayegi.

  5. Avatar for dollydolly

    sir
    Mere adsense account update nahi ho raha. page view or total earning bhi six hours se bhilkul jaise the vaise hi he bhilkul hi freez ho gye he kya karu. sir please help me.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      No worry kai bar adsense me aesa hota hai apne aap update ho jayega.

  6. Avatar for AryanAryan

    Namste jummedin Bhai.

    Mera sawal hai. Bank of india ka account adsense me add kar sakte hai kya?

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Yes

  7. Avatar for Rohit kumarRohit kumar

    ek bnde ne mere code copy kar liye hai aur uska blog link mere AdSense me bhi show kr rha hai.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      No problem aap bas iske step follow karo problem solve ho jayegi.

  8. Avatar for JaiJai

    Dear jume deen
    Maine apne blog me custome domain set kiya hai aur usi se adsense account liya hai.

    Ab mere adsense report me add click per day show ho raha hai .but earning nahi ho rahi hai .

    Please iska solution bataye .

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Blog par traffic badhao earnings hone lag jayegi.

  9. Avatar for sudhanshu choureysudhanshu chourey

    sir your proving very useful information
    please check my website is not approved for adsense kindly help me.

  10. Avatar for Satpal singhSatpal singh

    Jumedeen bhai post toh bhut helpfull hai iske liye shukriya and me apka bhut purana visitar hu but mujhe ek question ka jawab ni milra hai. Bhai Mene apki blog par aur dusro ki blog par dekha hai releted posts ki taraha google ads ki list hai kya me jaan sakta hu aise ads create kaise karu.
    For example jaisa ki releted posts dikhte hai wouse hi google ke ads show hore hai mujhe uss adunit ka nam jaan na hai

  11. Avatar for harshad bataviyaharshad bataviya

    sir aaj mere AdSense account me muje ek msg mile jisme esa likha tha

    “In the past 7 days, your ad code has appeared a significant number of times on sites you don’t own. To avoid lost revenue, make sure to add these sites to your verified sites list in Site Management.”

    eska kya matlab hai aur ab kya karna chahiye

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Is site ke step follow kar AdSense secure karo.

      • Avatar for harshadbataviyaharshadbataviya

        sir aapne bataya hai use method vaise he mane stap follow kar diye hai fir bhi ye msg dikhay de raha hai…..

        • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

          Message kuch time bad apne aap remove ho jayega.

  12. Avatar for Kishor kumar GuptaKishor kumar Gupta

    bhai maine bhi AdSense code koi aur website par ad kar ke bhul gaya tha …… aur me nahi chahta tha ki mera AdSense code aur koi website par use ho…. is post ki madad se mujhe help mili…. aur maine bahut dino baad us ad code ko remove kar diya thank u….

  13. Avatar for NitinNitin

    Sir jb mene AdSense ko apne YouTube account se joda tha tb ek missteck ho gai thi me chrome me 2email khuli hui thi video monetize to ho gya par jb AdSense id vaha se banai to meti dusri id me us YouTube id ka link aa gaya or mene sb bhar diya ab dikkat aa rahi h jis id se mere YouTube acc h usme AdSense ni bani h to ab me kya karu plzzz help me…. Ye msg aaya h YouTube se plzzz guide me.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Kuch din bad fir se apply karna or abki bar address thoda change karke apply karna.

  14. Avatar for Naveen PooniaNaveen Poonia

    Firstly, Wish You A Happy 2017.

    Bro i need your help.
    bro last month mere AdSense account ki estimated earning 59$ thi or ab aaj meri estimated earning bhi 59$ hi hai jabki mere AdSense account me total earning 115$ ho chuki hai.
    fir bhi jab mai withdrawal karna chahta hu tab waha 59$ hi show hota hai. aisa kyu ho raha hai Bhai ?
    mere December 2016 ki earning estimated earning me add kyu nahi hue please batana yaar ?
    or hogi to ye kab hogi ?
    mere account me 59$ to November me hi add ho chuke the. December ki jo earning hai wo estimated me add nahi hue why ?

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Naveen december ki earning ek do din me add ho jayegi. 2-3 tarikh tak wait karo fir bhi na ho to mujhe btana.

      • Avatar for Naveen PooniaNaveen Poonia

        ok khan saab Thank you.

        very fastest reply from you. awesome…
        such a professional blogger.

        Happy 2017

  15. Avatar for JandailJandail

    sir mere pichle month ki earning show nahi kar raha hai AdSense – pichle month me earning huyi thi bo gayab ho gayi aaz 1 date ko ! 🙁 ab me kya karu?

    or 1 sawal ki meri site ki backlinks update nahi ho rahi hai bohot din ho gaye alexa me but me other link chekar tool se check karta hu to baha back links show hoti hai aisa kyo?

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Don.t worry kal show jayegi.
      Alexa me kisi bhi site ke backlinks update nahi ho rahe hai. Ye alexa ki problem hai aapki nahi avoid karo.

  16. Avatar for Nikhil JainNikhil Jain

    new bloggers ke liye kaafi usefull jaankari share ki aapne….

  17. Avatar for rupendra kumarrupendra kumar

    1.jumdeen blogspot blog ko WordPress par sift karne par kitna kharcha ayega.
    2.or par month kitna paisa dena padega WordPress or hosting provider ko.
    3.YouTube par vedeo konsi size ka upload kare.
    4.kaya pc screen record karke direct YouTube par upload kare ya phir thoda edit karke.
    5.kya AdSense acount se blog or YouTube dono par ads laga sakte he.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      1. Aapko sirf hosting leni hogi jo aapko 200 to 500 rupee per month me mil jayegi.
      3. Full size. 1280×720
      4. yes kar sakte ho.
      5. yes dono par ek hi AdSense account use kar sakte ho.

  18. Avatar for Vicky KumarVicky Kumar

    Bhai Aapko Ek Guest Post Email Ki Thi Maine. Lekin Abhi Tak Aapne Koi Response Nahi Diya. Maine Aapke Blog Ke Liye Vo Guest Post admin@supportmeindia.com Par Mail Ki Thi.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aapk10 pm ke bad mail check kare.

  19. Avatar for kamleshpariharkamleshparihar

    Very useful. thanks for share

  20. Avatar for Ajeet KushwahaAjeet Kushwaha

    Namaskar JDK, Kya blogspot hame hamari earning ka pura hissa deti he?

    Means jaise YouTube hamare earning ka 56% le leta he, to kya blogspot bhi hamari earning ka hisa leta he?

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Nahi blogger par bhi aap AdSense use karoge to same commission hi milega.

  21. Avatar for fawad chaudhryfawad chaudhry

    sir me aap ke daliy reader hu me ne ik blog bnaya hai please aap is ko mobile se cheak kare Q keh k ya redirect hote mobil per…!
    1.sir web addrss aur google dono me cheak kare aap ke buhat mehrubani hugi.
    2.blog desighning be cheak kare koe problem ho to btaye please.
    3.kya me aap ke site per quest post karsakta hu aur kiss email per send karna hai.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aapke blog me koi kami nahi hai. Bas SEO optimize sahi se kiya karo. Guest policy padh lo usi me mail ID di huyi hai.

  22. Avatar for rohit kumarrohit kumar

    AdSense की तरफ ये मेल आई है क्या है इसका मतलब
    और इसका solution क्या है

    This is a warning message to alert you that there is action required to bring your AdSense account into compliance with our AdSense program policies. We’ve provided additional details below, along with the actions to be taken on your part.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aapke mail me di gayi warning me jis post ka link diya hua hai usme aapne AdSense policy violation kiya hai. Us post me se ad remove karo ya us post ko delete karo.

  23. Avatar for Deepak VaishnavDeepak Vaishnav

    सर आपने आपकी साइट के लोगो के नीचे किस साइज का ads लगा रखा है

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Responsive.

      • Avatar for Deepak VaishnavDeepak Vaishnav

        Sir lekin jb me logo ke niche responsive ads lagata hu to wah display hi nahi hote hai

        • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

          its your theme problem.

      • Avatar for Deepak VaishnavDeepak Vaishnav

        Sir me meri site ka keyword kese set karu jese ki me meri site me WWE ki news hindi me dalta hu to jb koi google me wwe hindi news search karega to meri site waha kese aayegi

        • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

          Aap jis keyword par quality content likhoge usi par aapki post top par aayegi.

    • Avatar for ketan danidhariyaketan danidhariya

      Banners Size – 468×60

  24. Avatar for ManishManish

    1. Jume deen sir aapne bataya ki godaddy hosting par old blog jisse WordPress par import karna hai WordPress install karne ke liye bhi same proces hai lekin maine ek post read kiya tha ki aap jisold blog ko WordPress par port karna chahate hai ussme WordPress install karne ke liye domain blog se discomnet karna hoga.. kya WordPress install karne se pahle domain disconnect karna hoga ya nahi.

    2. Blogger se domain disconnect kaise karte hai.

    3.ahar main apna blog WordPress par import kar deta hu to koi galti ho jati hai lekin mere pass blog ka backup hai to kya dubara blogger par vapis ja sakta hu…

    4. Godaddy 1 click me WordPress installation deti hai. or usme 4 hosting plan hai.managed hoting innhi plan me milti hai ya alag se buy karni hoti ha.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      1. WordPress software aap bina domain ko disconnect kiye install kar sakte ho. Uske bad aapko domain ko hosting server se connect karna hoga. Iske liye aapko domain setting me hosting ka DNS record add karna hota hai.
      2. Kuch nahi karna hai bas domain setting me hosting server ka dns record add karo.
      3. Yes aa sakte ho aap blogger par se post or other content ko delete mar karna. Complete setting hone par hi blogger ko delete karna hai.
      4. Aap baby ya business plan le lo WordPress ko aap 1 minute me install kar sakte ho. Iske bare me maine post bhi ki hai.

  25. Avatar for AkashAkash

    bhai media.net kaise ads network hai???
    or ise approve ke leya kya kya caheya
    or main ne infolink ke leya aplyy keya to
    reject ho gya kyu???
    my blog:- sharmatrick.blogspot.com

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Maine media.net use nahi kiya or na hi iska review kiya so is par comment nahi karunga.

  26. Avatar for radhe gourradhe gour

    sir maine aapke hindi.supportmeindia.com blog ka post ucnews me dhekha tha . sir uc news par post kaise likhte hai?

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Iske liye aapko UCnews me apna blog submit karna hota hai. Iske bare me main post likhunga.

  27. Avatar for Ketan DanidhariyaKetan Danidhariya

    Hello jumedin bhai meri site me muje post thumbl ko chhota karna hai our site ko good look dena hai to aap please meri site dekhe
    our muje bataye ki muje isme kya kya changes karne padenge.

    vese aapka blog bahut achha hai
    me aaye din yaha pe aata rehta hu.

    meri problem ka soluction kare.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aap apni CSS coding me ye code add karo. qwese ye size achha hai.
      .img-thumblite { width: 300px; height: 200px;}

  28. Avatar for SachinSachin

    Ye to bahut simple tricks thi. thanks aapane find ki.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Yes i know but everyone don’t know, mostly new user.

  29. Avatar for Mukesh GuptaMukesh Gupta

    ohh sorry mera nam Mukesh Gupta hai

  30. Avatar for Rishikesh MishraRishikesh Mishra

    Bahut hi achhi jankari di hAi

  31. Avatar for Unknown manUnknown man

    Nice information bro
    apne bahut achhe se samajhaya hai or ekdm new article post kiya hai.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Thank you but aapko kis name se thanks bolu samajh nahi aata. Next time name se comment kiya karo.

  32. Avatar for Deepak VaishnavDeepak Vaishnav

    Sir jb mene google planner pr keyword dhundne ki koshish ki to muje waha pr billing le alawa kuch nahi mila or me keyword nahi dund paya sir mere sath esa kyo hua

  33. Avatar for rajkumar meenarajkumar meena

    aap to realy super ho…

    sir aap mujhe yaha bataiye ki aapne jo slidbar me social networking ke liye konsa plugins use kiya hai.

    2. left side me shares ka plugins konsa hai.

    3. emil supscripe now

    in 3 plugins k name btaiye

    thanx

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      1. Ye coding se bana hai.
      2. social warfare
      3. Ye bhi coding se bana hua subscribe box hai.

  34. Avatar for NitinNitin

    Meri aur ek problem hai bro mera blog kuch post google me show hoti thi. but ab kuch problem tha ab wo maine solve kar diya hai. Agar mai phir se sitemap submit kar dunga to kya hoga ?
    jo pahale wale result the wo show honge ya wo phir se new blog ki tarah rank me aane me time lagega.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Pahle wale results bh ishow honge or new wale bhi, aesa karne par koi problem nahi hogi.

  35. Avatar for prabhaprabha

    Sir mere post m niche profile nhi aa rha h setting m kya kru ?? Or plzzz ye b btae ki kb tk blog search m aaega apne template change krne or seo setting k lia kha tha wo mene kr diya 4-5days ho gae ..plzz reply dijeaga.mere blog ka naam goforgreatidea.blogspot.com h

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aapka blog search me aa gaya hai. ab aap blog ko search console me submit kar lo or kar chuke ho to blog ko achhe se design kar post likhna shuru karo.

  36. Avatar for Vishnu Kant MauryaVishnu Kant Maurya

    Jab kam Alexa rank wale blog apane se better Alexa rank wale blog par comment karte hai to isase kam Alexa rank wale blog ko to 100% fayada hota hai,lekin isase achhe Alexa rank wale blog par kya effect hota hai??

    Chuki comment karne se in general do follow backlink milta hai aur agar kisi post me bhi kisi blog ko mention karne se bhi do follow backlink milta hai.
    To inn dono taraki ke backlink me kya fark hai.

    Ham kam Alexa wale blog ko apne post ke andar jagah dene se kyo kinara karte hai jab ki vo khud comment kar ke bhi apane blog ko uss post ke jariye backlink bana raha hai.
    Pls briefly discribe kare ki dono tarike ke backlink me kya fark hota hai.
    Agar ho sake to isase related koi post likhe.
    Thanks

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      First alexa rank itni important nahi hai.
      Second hu jitni jyada quality blog par comment karenge hume utna quality backlinks milega.
      Kisi blog ko mention karne se use aapki site se backlink milta hai.
      Comments mostly nofollow hoti hai or bekar ki comment karne se koi backlink nahi milta. Content ke bare me comment karnege to hi backlink milega.
      Comments se backlinks banane hai to post ke bare me jarur likho reader or site admin aesi comments ko pasand karte hai or aapke link par click karte hai.
      Kisi blog par content achha hai to use mention karo bhale hi uski alexa rank better na ho.

      • Avatar for Vishnu Kant MauryaVishnu Kant Maurya

        Aap kaisa backlink dete hai nofollow ya nofollow comment ke jariye.

        Aur kaise comment ko nofollow ya dofollow kiya jata hai

        • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

          nofollow, comment author link me rel="nofollow" add karo.

  37. Avatar for ManishManish

    hello jume deen sir aapse WordPress se related kuch or question hai-

    1. jaisa ki maine aapko bataya ki main apne blog ko WordPress par important karna chahata hu. ab question ye hai ki maine aapki WordPress wali post read ki hai jissme blog ko WordPress par import karne ke bare me bataya hai lekin usme hosting ka jikr hi nahi hua. kya bina hosting ke bhi blog ko WordPress par import kar sakte hai

    2. kya blog ko WordPress par import karne se pahle WordPress install karna hota hai ?

    3. godaddy par WordPress kaise install kare ye mujhe pata hai lekin apne old blog ke liye jisse WordPress par import karna hai usse liye kya process hai ye aap short me bataye.

    4. WordPress.org ek software hai jo install hota hai to isse sign in gravtar ke username and password se karte hai ya WordPress ke hi username and password se login karte hai….

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      1. Nahi WordPress ke liye hosting jaruri hai. Aapko hosting le kar WordPress blog install karke usme blogger blog ka backup import karna hai.
      2. Yes. WordPress software install nahi karoge to kisme blog ka backup import karoge.
      3. Same process hai.
      4. dono me se kisi ki jaururat nahi hoti. Aap apne khud ke log in password generate karne hai.

  38. Avatar for Sagar ChauhanSagar Chauhan

    Bahut aacha solution diya bhai apne. Ummid hai aise or bhi articles hoge jo aap share karoge.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Kyo nahi sagar jarur karunga.

  39. Avatar for Manish panjariManish panjari

    Hello sir,
    Mara Ac Google Adsense me approval waiting batata hai.
    Ham jab Google Adsense jaha add show option select nathi hota hai.
    Or ehame error generated hota.
    Is error name could not save earning setting batata hai.

    Please help me…

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aap mujhe screen shot send karo.

  40. Avatar for Deepak sahooDeepak sahoo

    sir mera or ak blog he dusre gmail id pe…prblm ye ki jab me blog login karta hu to nehi horaha he login.. error yd dikha raha he – your current account doese not have access to view this page.click here to logout and change accounts .. aisa q likha raha he

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aap dusri gmail ID se log in karo jisse aapne dusra blog banaya tha.

  41. Avatar for sanjitsanjit

    mere 17 video me se 4 video me monitaez ka option nahi hai video coperite bhi nahi hai mene achha chek karliya hai

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Un 4 videos ko fir se monetize karo or dekho ki kya error aata hai.

  42. Avatar for Ashutosh Mishra (Anshu)Ashutosh Mishra (Anshu)

    Hay!Jumen Din Ji – Meri Pahli Payment Google Adsense Ki Aa gayi Hai 107$ Mai Bhut Hi Khush hu Mujhe Bloging karte kewal 35-40 Din hi Hue Hai meri Website Ki Traffic Bhut increase Ho Rahi hai Am So Happy …………….

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Wao Amazing welcome and good luck bro.

  43. Avatar for NitinNitin

    Agar isme hum abhi karate hai to AdSense par kuch fark nahi padega na. mera matalab hai koi ad code use karane par setting karanhi hai ya har koi isko kar sakata hai.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Setting nahi karoge to aapke AdSense par bad affect padega. Nitin post me sabkuch clear btaya hai ek bar achhe se read kar lo.

Add a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

I need help with ...