Koi Mere Adsense Ad Code Use Kar Raha Hai Mai Kya Karu? Google AdSense publisher ke liye ye bahut bada sawal hai or bahut kam publishers ko iska solution pata hota hai. Mostly new blogger ko to iske bare me bilkul bhi pata nahi hota. Ye problem tab hoti hai jab koi user aapke blog ka content page source se copy karta hai. Usme aapke AdSense code bhi copy ho jate hai or wo jaise hi apni site me content paste karta hai uski site me aapke AdSense ad show hone lag jate hai. Iski wajah se aapki AdSense revenue kam ho sakti hai. Agar aapke AdSense account me aesi warning show huyi hai to is post me aapko isko solve karne ki full information mil jayegi.
Hello AdSense publisher, Agar aapko AdSense me kisi or site par aapke AdSense ad code istemal hone ki warning mili hai or aapko AdSense my site >> site management me aesi site ka link mila hai jo aapki website nahi hai to ye post specially aapke liye hi hai. Is post me main aapko apne AdSense ad code ko kisi or ke upyog karne par bad effect se bachne ka tarika btaunga.
Agar koi aapki AdSense ad code istemal karta hai to aapki AdSense revenue lost ho sakti hai. Pahle iska koi solution nahi tha but ab google ne iska simple solution nikal liya hai. Ab koi bhi aapke ad code use karega to aapko isse koi problem nahi hogi or na hi aapki AdSense earning par koi fark padega. So aao jante hai ki kaise hum apne AdSense ad code ko dusri site ya blog me use hone par uske bad effect se bacha ja sakta hai.
- Google Adsense Se Low Earnings Hone Ke 5 Big Reasons
- Online Blogging Kar Ke Google Adsense Se Paise Kaise Kamaye
Aapko iske liye jyada kuch nahi karna hai bas AdSense account me ek choti si simple setting karni hai. Uske bad aapke ad code ko kisi bhi website par istemal karne par aapke AdSense account me koi fark nahi padega.
Google AdSense me is settings ko enable karne ke bad jab koi aapke ad code use karega to uske blog par to ad show honge but isse uski koi earning nahi hogi. Uski site par hone wale ad clicks and impressions aapke AdSense account me performance report m shonw honge but aapki bhi koi earning nahi hogi.
You may see this alert warning on your AdSense homepage:
“In the past 7 days, your ad code has appeared a significant number of times on sites you don’t own. To avoid lost revenue, make sure to add these sites to your verified sites list in Site Management.”
Yani aapke ad code kisi or site par use hone me aapki ya uski kisi ki income nahi hogi or ad par clicks hone par earning google ke pas hi rahegi. Agar aap ye setting enable nahi karte hai to aapki AdSense revenue kam ho sakti hai or aapke AdSense account par iske bad effect pad sakte hai.
What I Do If Other Sites Using My Adsense Ad Code – Full Information in Hindi
Aesi website jo aapki apni site nahi hai par google AdSense ad code istemal karna AdSense policy ka violation hota hai. Aesi site se cambat karne ke liye aapko apne AdSense account me total 2 settings karni hogi. Inke liye aap ye step follow kare.
1. Verify Your All Sites:
First sign in Your Adsense Account. Sabse pahle aapko apni un sabhi sites ko AdSense me verify karna hai jin par aap AdSense ad istemal karte ho. Iske liye aap first adsense.com par jaye or apni gmail ID se log in kare.
- Ab left sidebar me settings par click kare.
- Ab drop down menu me My sites par click kare.
- Ab drop down sidebar me Overview select kare.
- Ab apni site list me apni sabhi sites ke links check kar le or agar kisi site na link add na ho to add kar le.
- Aapko jin sites ko verify karna hai un par click karke down arrow me right side me Verify sites option ko enable kare.
- Verify Sites par click karke apni all sites ke samne switch ko turn on kar sites ko verify kare.
2. Only Allow Verify Sites to Use My Ad Code:
Own sites ko verify karne ke bad aapko second Site Authorization ki setting karni hai. Site authorization google AdSense ka ek optional feature hai jo aapki verify sites ko identify karta hai or only unhi sites par google ad code istemal karne ki permission deta hai. I mean site authorization optional feature sirf aapki verify sites par google AdSense ads show karna permitted allow karta hai.
Step 1:
- Adsense par jaye or left sidebar me settings par click kare.
- Ab My sites par click kare.
- Drop down menu me Overview Select kare.
- Ab right side me three point menu par click kare.
- Ab ek choti sa pop up page khulega usme Site authorization par click kare.
Step 2:
- Ab ek pop-up windows open hogi usme “Only authorization my verified sites to use my ad code” ke samne siwtch turn kar site authorization setting enable kare.
- Last me SAVE par option click kare.
Ek bar aapke sites verify karne or site authorization feature ko turn on karne ke bad aapke ad unverified sites par show to honge or clicks or impressions bhi aapke account ki performance report me count honge but isse aapki koi earning nahi hogi. Aapke settings complete set karne ke bad ise proper work karne me 48 hours tak lag sakte hai.
Iske bad AdSense policy own sites ke alawa another other sites par ad show karne ki policy ka violation nahi hoga. Jo website ya blog owner aapke ad code use karenge unki sites or blog ke links aapke AdSense site management me show honge. Sath hi in site ke URLs performance report me bh ishow honge but ab aapke AdSense account par inka koi bad effect nahi padega.
- Google Adsense Ke Policy Violation Se Bachne Ki 10 Best Tips
- Invalid Click Activity Ki Google Adsense Team Ko Report Kaise Kare
Yani aapke AdSense account me data report abhi bhi record hogi but ab aapka AdSense account secure hai. Ab aapke AdSense ad code kisi or site par use hone par bhi aapko koi problem nahi hogi. Agar aapko ye post pasand aaye to ye post bhi padhe Mobile Users Ke Liye Adsense Ad Placement Optimize Kaise Kare.
Agar aapko AdSense ad code ko safe rakhne ki or AdSense policy violation se bachne ki ye jankari achhi lage to ise other AdSense publisher ke sath share jarur kare.
Manish
1. Jume deen sir aapne bataya ki godaddy hosting par old blog jisse WordPress par import karna hai WordPress install karne ke liye bhi same proces hai lekin maine ek post read kiya tha ki aap jisold blog ko WordPress par port karna chahate hai ussme WordPress install karne ke liye domain blog se discomnet karna hoga.. kya WordPress install karne se pahle domain disconnect karna hoga ya nahi.
2. Blogger se domain disconnect kaise karte hai.
3.ahar main apna blog WordPress par import kar deta hu to koi galti ho jati hai lekin mere pass blog ka backup hai to kya dubara blogger par vapis ja sakta hu…
4. Godaddy 1 click me WordPress installation deti hai. or usme 4 hosting plan hai.managed hoting innhi plan me milti hai ya alag se buy karni hoti ha.
Jumedeen Khan
1. WordPress software aap bina domain ko disconnect kiye install kar sakte ho. Uske bad aapko domain ko hosting server se connect karna hoga. Iske liye aapko domain setting me hosting ka DNS record add karna hota hai.
2. Kuch nahi karna hai bas domain setting me hosting server ka dns record add karo.
3. Yes aa sakte ho aap blogger par se post or other content ko delete mar karna. Complete setting hone par hi blogger ko delete karna hai.
4. Aap baby ya business plan le lo WordPress ko aap 1 minute me install kar sakte ho. Iske bare me maine post bhi ki hai.
Akash
bhai media.net kaise ads network hai???
or ise approve ke leya kya kya caheya
or main ne infolink ke leya aplyy keya to
reject ho gya kyu???
my blog:- sharmatrick.blogspot.com
Jumedeen Khan
Maine media.net use nahi kiya or na hi iska review kiya so is par comment nahi karunga.
radhe gour
sir maine aapke hindi.supportmeindia.com blog ka post ucnews me dhekha tha . sir uc news par post kaise likhte hai?
Jumedeen Khan
Iske liye aapko UCnews me apna blog submit karna hota hai. Iske bare me main post likhunga.
Ketan Danidhariya
Hello jumedin bhai meri site me muje post thumbl ko chhota karna hai our site ko good look dena hai to aap please meri site dekhe
our muje bataye ki muje isme kya kya changes karne padenge.
vese aapka blog bahut achha hai
me aaye din yaha pe aata rehta hu.
meri problem ka soluction kare.
Jumedeen Khan
Aap apni CSS coding me ye code add karo. qwese ye size achha hai.
.img-thumblite { width: 300px; height: 200px;}
Sachin
Ye to bahut simple tricks thi. thanks aapane find ki.
Jumedeen Khan
Yes i know but everyone don’t know, mostly new user.
Mukesh Gupta
ohh sorry mera nam Mukesh Gupta hai
Rishikesh Mishra
Bahut hi achhi jankari di hAi
Unknown man
Nice information bro
apne bahut achhe se samajhaya hai or ekdm new article post kiya hai.
Jumedeen Khan
Thank you but aapko kis name se thanks bolu samajh nahi aata. Next time name se comment kiya karo.
Deepak Vaishnav
Sir jb mene google planner pr keyword dhundne ki koshish ki to muje waha pr billing le alawa kuch nahi mila or me keyword nahi dund paya sir mere sath esa kyo hua
Jumedeen Khan
Ye link open karo http://adwords.google.com/KeywordPlanner
Deepak Vaishnav
Sir jb mene yah link open ki to bhi muje billing hi dikhai mene aapko fb r eske screenshot bhi bheje hai
Jumedeen Khan
Ok main aapk ofacebook par reply kar dunga.
rajkumar meena
aap to realy super ho…
sir aap mujhe yaha bataiye ki aapne jo slidbar me social networking ke liye konsa plugins use kiya hai.
2. left side me shares ka plugins konsa hai.
3. emil supscripe now
in 3 plugins k name btaiye
thanx
Jumedeen Khan
1. Ye coding se bana hai.
2. social warfare
3. Ye bhi coding se bana hua subscribe box hai.
Nitin
Meri aur ek problem hai bro mera blog kuch post google me show hoti thi. but ab kuch problem tha ab wo maine solve kar diya hai. Agar mai phir se sitemap submit kar dunga to kya hoga ?
jo pahale wale result the wo show honge ya wo phir se new blog ki tarah rank me aane me time lagega.
Jumedeen Khan
Pahle wale results bh ishow honge or new wale bhi, aesa karne par koi problem nahi hogi.
prabha
Sir mere post m niche profile nhi aa rha h setting m kya kru ?? Or plzzz ye b btae ki kb tk blog search m aaega apne template change krne or seo setting k lia kha tha wo mene kr diya 4-5days ho gae ..plzz reply dijeaga.mere blog ka naam goforgreatidea.blogspot.com h
Jumedeen Khan
Aapka blog search me aa gaya hai. ab aap blog ko search console me submit kar lo or kar chuke ho to blog ko achhe se design kar post likhna shuru karo.
Vishnu Kant Maurya
Jab kam Alexa rank wale blog apane se better Alexa rank wale blog par comment karte hai to isase kam Alexa rank wale blog ko to 100% fayada hota hai,lekin isase achhe Alexa rank wale blog par kya effect hota hai??
Chuki comment karne se in general do follow backlink milta hai aur agar kisi post me bhi kisi blog ko mention karne se bhi do follow backlink milta hai.
To inn dono taraki ke backlink me kya fark hai.
Ham kam Alexa wale blog ko apne post ke andar jagah dene se kyo kinara karte hai jab ki vo khud comment kar ke bhi apane blog ko uss post ke jariye backlink bana raha hai.
Pls briefly discribe kare ki dono tarike ke backlink me kya fark hota hai.
Agar ho sake to isase related koi post likhe.
Thanks
Jumedeen Khan
First alexa rank itni important nahi hai.
Second hu jitni jyada quality blog par comment karenge hume utna quality backlinks milega.
Kisi blog ko mention karne se use aapki site se backlink milta hai.
Comments mostly nofollow hoti hai or bekar ki comment karne se koi backlink nahi milta. Content ke bare me comment karnege to hi backlink milega.
Comments se backlinks banane hai to post ke bare me jarur likho reader or site admin aesi comments ko pasand karte hai or aapke link par click karte hai.
Kisi blog par content achha hai to use mention karo bhale hi uski alexa rank better na ho.
Vishnu Kant Maurya
Aap kaisa backlink dete hai nofollow ya nofollow comment ke jariye.
Aur kaise comment ko nofollow ya dofollow kiya jata hai
Jumedeen Khan
nofollow, comment author link me
rel="nofollow"
add karo.Manish
hello jume deen sir aapse WordPress se related kuch or question hai-
1. jaisa ki maine aapko bataya ki main apne blog ko WordPress par important karna chahata hu. ab question ye hai ki maine aapki WordPress wali post read ki hai jissme blog ko WordPress par import karne ke bare me bataya hai lekin usme hosting ka jikr hi nahi hua. kya bina hosting ke bhi blog ko WordPress par import kar sakte hai
2. kya blog ko WordPress par import karne se pahle WordPress install karna hota hai ?
3. godaddy par WordPress kaise install kare ye mujhe pata hai lekin apne old blog ke liye jisse WordPress par import karna hai usse liye kya process hai ye aap short me bataye.
4. WordPress.org ek software hai jo install hota hai to isse sign in gravtar ke username and password se karte hai ya WordPress ke hi username and password se login karte hai….
Jumedeen Khan
1. Nahi WordPress ke liye hosting jaruri hai. Aapko hosting le kar WordPress blog install karke usme blogger blog ka backup import karna hai.
2. Yes. WordPress software install nahi karoge to kisme blog ka backup import karoge.
3. Same process hai.
4. dono me se kisi ki jaururat nahi hoti. Aap apne khud ke log in password generate karne hai.
Sagar Chauhan
Bahut aacha solution diya bhai apne. Ummid hai aise or bhi articles hoge jo aap share karoge.
Jumedeen Khan
Kyo nahi sagar jarur karunga.
Manish panjari
Hello sir,
Mara Ac Google Adsense me approval waiting batata hai.
Ham jab Google Adsense jaha add show option select nathi hota hai.
Or ehame error generated hota.
Is error name could not save earning setting batata hai.
Please help me…
Jumedeen Khan
Aap mujhe screen shot send karo.
Deepak sahoo
sir mera or ak blog he dusre gmail id pe…prblm ye ki jab me blog login karta hu to nehi horaha he login.. error yd dikha raha he – your current account doese not have access to view this page.click here to logout and change accounts .. aisa q likha raha he
Jumedeen Khan
Aap dusri gmail ID se log in karo jisse aapne dusra blog banaya tha.
sanjit
mere 17 video me se 4 video me monitaez ka option nahi hai video coperite bhi nahi hai mene achha chek karliya hai
Jumedeen Khan
Un 4 videos ko fir se monetize karo or dekho ki kya error aata hai.
Ashutosh Mishra (Anshu)
Hay!Jumen Din Ji – Meri Pahli Payment Google Adsense Ki Aa gayi Hai 107$ Mai Bhut Hi Khush hu Mujhe Bloging karte kewal 35-40 Din hi Hue Hai meri Website Ki Traffic Bhut increase Ho Rahi hai Am So Happy …………….
Jumedeen Khan
Wao Amazing welcome and good luck bro.
Nitin
Agar isme hum abhi karate hai to AdSense par kuch fark nahi padega na. mera matalab hai koi ad code use karane par setting karanhi hai ya har koi isko kar sakata hai.
Jumedeen Khan
Setting nahi karoge to aapke AdSense par bad affect padega. Nitin post me sabkuch clear btaya hai ek bar achhe se read kar lo.