StudioPress Affiliate Program Se Paise Kaise Kamaye in Hindi

Blog se money earn karne ke Adsense or Affiliate marketing program 2 most important tarike hai. Aap chahe to dono ko ek sath apne blog par use karke paise kama sakte hai. Is post me mai aapko StudioPress Affiliate Program se earning karne ki information bta raha hu. I hope ye jankari aapke liye helpful sabit hogi.

Earn Money With StudioPress Affiliate Program

Affiliate marketing program blog se paise kamane ka most popular income source hai. Bas aapko apne blog ke liye sahi or perfect affiliate product choose karne ki jarurat hai. Agar aapko ek month me 5-7 sell bhi mil jaye to aap 15000 to 20000 aasani se kama sakte ho.

Yaha mai bat kar raha hu StudioPress Affiliate Marketing Program ki jo lagbhag har category ke blog ke liye perfect hai.

StudioPress world ki number one WordPress theme provider hai. Ye Copy blogger ka hi hissa hai. Genesis sabse jyada 8.35% rating ki WordPress theme hai. Jisse WordPress user sabse jyada like karte hai.

StudioPress Affiliate Program Se Paise Kaise Kamaye – Become a Theme Seller

StudioPress affiliate program aapko world-class themes promoting provide karta hai. Or iski sabse achi bat ye hai ki ye aapko ek sell par lagbhag $20 benefet deta hai.

Ab important bat ye hai ki studiopress ki theme sabse jyada popular hai. So ayse me aapko jyada se jyada sell mil sakti hai. Agar aapa koi user ek theme bhi buy karta hai. Jiski price $59 hoti hai. Aapko is ek theme par hi $20 mil jayenge.

StudioPress Affiliate Marketing Program

StudioPress Affiliate Program Promote Kyu Kare?

StudiPress program affiliate marketing ka top level product hai. Jisse aapko baki other product se jyada sell hone ke chance mil sakte hai.

  1. Maine upar btaya hai ki studioPress WordPress themes proveder company hai. Isliye ise user sabse jyada pasand karte hai or theme buy karte hai.
  2. Agar aapke reader best blog theme ki icha rakhte hai to unke liye genesis theme number 1 choise ho sakti hai.
  3. Sabse important bat studiopress aapko bahut jyada comission deti hai. Sirf ek sell par $20 to $30 mil jate hai. Jo ki ek theme selling ka bada benefet hai.

Agar aapko ek mahine me 10 sell mil jati hai to aap $200 to $250 earn kar sakte ho. Agar aapke blog par acha traffic hai to aapko isse bhi jyada sell mil sakti hai.

StudioPress Affiliate ProgramJoin Kaise Kare?

Studio Press affiliate program ko join karna bahut aasan hai. Iske liye bas aapko ShareASale par account create karna padega.

Sabse pahle aap StudioPress Affiliate Link ShareAsale ko open kare. Iske bad is form me btaye step sahi se follow kare. Iske sabhi step easy hai koi bhi aasani se follow kar sakta hai. Aap bhi kar sakte ho.

Join StudioPress Affiliate Marketing Program

StudioPress Themes Ka Promotion Kaise Kare?

StudioPress affiliate program ko join karne ke bad aap sochoge ki ab mai ise promote kaise karu. So don’t worry mai iske bare me bhi aapko kuch tips bta raha hu.

  1. Aap apne blog par genesis framework review wali post likh sakte hai. Jisme aap apne reader ko studiopress themes ke bare me complete knowledze de kar unhe theme buy karne ke liye kah sakte ho. Isse genesis theme ke bare me jankar user aapki btayi theme buy kar sakte hai.
  2. Aap apne blog ke sidebar, header area, below post title, below post content etc me studiopress affiliate program ke Banner laga sakte ho.
  3. Aap apne blog par genesis theme ko install karne or design karne wali information ke article likh sakte ho.
  4. Aap blog par top 10, 15 WordPress best themes ke bare me post likh sakte ho or usme genesis framework ko promote kar sakte ho.
  5. Aap apne blog ki post, post content, sidebar, header and footer widget me studiopress afiiliate ka link add kar sakte ho.

Is tarah se aap studioPress affiliate marketing ko join kar apne blog par achi income kar sakte ho. Sath hi aap aysi hi other WordPress themes affiliate program ko bhi join kar sakte ho.

Mai ek bar fir se kahta hu ki agar aapko month me 10 sells bhi mil jati hai to aap affiliate marketing se achi earning kar sakte ho.

Agar aapko ye article pasand aaye to ise socail media par apne firends ke sath share jarur kare.

Avatar for Jumedeen Khan

About Jumedeen Khan

I'm the founder of this site and we regularly share useful and helpful information here for beginners. ❤️

Reader Interactions

Comments (116)

  1. Avatar for Rashmi Ranjan BiswalRashmi Ranjan Biswal

    sir ,
    1. main abhi naya join kiya hu blue host affiliate marketing join kiya hu . suppose mere refferal se 1 month k liye hosting purchase hua . kya uka paisa milta hai 4000rs?

    2 . yadi mere account pe id 4000rs aya . phir next month purchase nehi hua . kya account delet hoga…

    3 . kya sign up aur purchase k turant hi id pe paisa show hota hai …..

    sir , please help kariye ..main naya hu ishliye kuch knownledge lena chahta hu

    • Avatar for जुमेदीन खानजुमेदीन खान

      नहीं आपका अकाउंट डिलीट नहीं होगा, नहीं कमीशन सुहाने में थोड़ा टाइम लग सकता है

  2. Avatar for NiteshNitesh

    Bhai yadi ek hi blog ke kuch pages me AdSense ke ad lagau aur kuch pages pr kisi doosre adnetwrok ke ad lagau yani ad mix nahi kru to AdSense ko problem ho sakti hai kya

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Nahi, but main iske liye suggest nahi karunga.

  3. Avatar for Sahil KumarSahil Kumar

    जुमेदीन भाई जब अप्रैल 2016 में मैंने अपना ब्लॉग वर्डप्रैस पर सिफ्ट किया था तब से मैं अपने ब्लॉग पर रिबन थीम का उपयोग कर रहा हुँ।

    हाल ही में मैंने Genesis ख्रीदा था लेकिन मुझे उसकी Child Theme पसंद नहीं आई और ना ही मैं उसे बनाने में समय बर्बाद करना चाहता हुँ।

    अगर मैं अपने ब्लॉग पर Ribbon Theme ही Use करता रहुँ तो इसका कोई Bad effect तो नहीं पड़ेगा?

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Nahi koi bad effect nahi hai. Aap first ek extra blog bana kar usme genesis use kar child theme design kar lo jab complete ho jaye to main blog par use kar lena.

  4. Avatar for Manoj SinghManoj Singh

    jume deen bhai studiopress ke in option me kya karna hai
    DO YOU UTILIZE SPONSORED LISTINGS IN PAY PER CLICK SEARCH ENGINES AS PART OF YOUR PROMOTIONAL STRATEGY? YES NO
    DO YOU UTILIZE COUPONS AS PART OF YOUR PROMOTIONAL STRATEGY? YES NO
    DO YOU UTILIZE A BROWSER “ADD ON”, TOOLBAR, OR OTHER DOWNLOADABLE APPLICATION AS PART OF YOUR PROMOTIONAL STRATEGY? YES NO
    ARE YOU AN ADVERTISING NETWORK OR AFFILIATE NETWORK? YES NO
    DO YOU HAVE A NETWORK OF PUBLISHERS TO WHICH YOU DELIVER ADS? YES NO
    DO YOU DISPLAY ADVERTISEMENTS ON SITES THAT YOU DON’T OWN?

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      In sabko avoid karo. Inki jarurat nahi hai.

  5. Avatar for ManojManoj

    Bhi mara website ma ak problem h ki mara comments show nhi ho rha issa kaisa fix kara please help ma

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Ye aapki template problem hai aap template ko fir se upload karo ya fir se koi dusri template use karo.

  6. Avatar for Harshit RaikwarHarshit Raikwar

    Sir me kese apni website ka Copyright Material pata karu ?

  7. Avatar for Harshit RaikwarHarshit Raikwar

    Sir per Kyu me English Learn nhi kara sakta Reason batayein plZz ?

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Harshut aapse ek bar kah chuka hu kaea sakte ho. Sawal ko repeat mar karo.

  8. Avatar for Harshit RaikwarHarshit Raikwar

    kya me hardin ke hisaab se mere VisitorS ko English Teach kra sakta hu kya sir ?

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      yo nahi kara sakte ho.

  9. Avatar for Amar BanshiwalAmar Banshiwal

    online income ki Bahut badhiya jankari hai. AdSense ke sath affiliate program ka bhi use karna chahiye. Thanx

  10. Avatar for malikmalik

    bhai kya ham affiliate link facebook par bhi share kar sakte he . jaise mene amazon ka banner apne blog me laga rakha he . me agar us banner ki link facebook par share karu or us link ke dwara koi shoping ho jaati he to bhi kya mujhe commision milega .

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Nahi aap sirf apni site par affiliater link use kar sakte ho.

  11. Avatar for Neyaz AhmadNeyaz Ahmad

    Aap ne mera wo dusra blog dekha jis par main dusra template use kar raha hun problem mere ribbon template wale blog par hai , waise bhai maine is par maine abhi custom domain use kiya hai aour aaj do din ho gaye hain lekin abhi tak redirect nahi huwa kya aour time lagega ya kuchh gad-bad hai.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      redirection hone me time nahi lagta. Aapse setting nahi ho rahi hai ache se karo.

  12. Avatar for MitaliMitali

    Youtube par affiliate program ka ad kaise add kare

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Youtube par aap sirf AdSense ads add kar sakte ho.

  13. Avatar for AlkeshAlkesh

    Sr aajkal facebook pr jo ese link aata hea. un link pr click karne ke bad hum apni photo whaa pr lga sekte hea jese ki aap ki manpsand Ipl team kon si hea या make in india jese in linko pr click karke hum apni photo lga dete hea.

    To sr me ye jan sekta hu ki ye link bnaye kese jate hea kya me bhi ye link bna sekta hu.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Ye link facebook team banati hai. Agar ye facebook ka koi new feature hai to mai iske bare me pata kar ke post likh dunga.

  14. Avatar for Debasish pandaDebasish panda

    ap es site se monthli kitna income karte ho

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Income report check kar sakte ho.

  15. Avatar for naveennaveen

    Mera AdSense account disabled kr dia google ne ab kya krun mein koi upay

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      dsense disable ki report dikhao.

  16. Avatar for dilipdilip

    mere blog me ek problem aa rhi h din me 2-3 hour mere blog ko jab open karo to service unavailable show hota h esa sirf opera browser par hota h chrome pe nhi

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aysa kuch bhi nahi hai. Or agar aysa hai to problem ke time mujhe bta dena.

  17. Avatar for Neyaz AhmadNeyaz Ahmad

    Bhai jaan mera blog mobile par right side se fonts kat ke dikh rahe hain aour wo bhi sirf ek-do word kat raha hai jabki mobile friendly blog hai to use main kaise sahi karun

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aapke blog par sabhi gonts sahi dikh rahe hai. Mujhe aysi koi problem nazar nahi aa rahi hai.

  18. Avatar for ASHOK SAINIASHOK SAINI

    Ok, Aapke kahne ka matlab hum ek hi blog par all type contents and all languages me post share kar sakte hai. Kya Hindi Fonts contents ke liye alag se blog banane ki Jarurat nahi hai. And Pure English ki bhi nahi hai. But Jab hum blog niche change karna chahte hai tab kya kare. Means Maine Blog Par kuch post to blogging ki share kar di. Ab Me Ek hindi Blog Par educationall Hindi story share karna chahta hun. and Pure English me kuch technical knowledge. Please again suggest. Thanks

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Ashok sabse pahle to aap niche ka matlab samajho kya hota hai. second aap apne blog par alag aalg bhasha me post kar sakte ho. AdSense ko isse koi problem nahi hai. but aap ye pata kar lena ki aapke visitors ko ye pasand aayega ya nahi. Or sabse badi bat jo maza ek hi language me pahchan banane me hai wo alag alag bhashao me post karne me nahi hai. log aapko pasand nahi karenge or aapke blog ko samajh nahi payenge. So ek hi bhasha choose kar ke usi me bloggigng karo.

  19. Avatar for Ravi KumarRavi Kumar

    ok bahut – bahut dhanybad ab aap ye bataye kitne post me add karu, aur 1,2 jo bhi ho ek post ke liye jo code use karunga wahi dusre post ke liye bhi, na ,
    aur post me kaise add lagaye,

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Sirf ek do post or sidebar me add karne hai. Ye bat aapko mai pahle bhi bta chuka hu. nahi aap ek hi ad create karke kei post me add kar sakte ho.

  20. Avatar for mohd shariqmohd shariq

    bro agar hum kisi english blog ke artical ko hindi me translate karke apne blog per dale to kya bo copyright mana jayega

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Ha copyright hoga. Aap aysa nahi kar sakte.

  21. Avatar for rashid alirashid ali

    lekin sir rank show nahin ho rahi .in se sirf 1 link ho raha hai show

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Ali ek hi sawal ko bar bar repeat mat karo mai aapko iska jawab de chuka hu.

  22. Avatar for rashid alirashid ali

    agar mein apne alexa code mein apne blog ko .com likh raha hun toh 1 link show ho raha hai par rank show nahin ho rahi aur agar .in likh raha hun toh rank show ho rahi hai link nahin

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aapka blog .in se jyada open hota hai isliye .in par rank shw hoti hai. Aap .in hi add karo.

  23. Avatar for zishan ali gulzarzishan ali gulzar

    sir,, to hostgator ka baby plan lene se page speed iska shi hai, ya koi dusra plan lena padega

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Plan aap koi sa bhi lelo speed same hi hogi.

  24. Avatar for rashid alirashid ali

    hello sir mere blog par kisi bhi site ka link nahin hai alexa widget mein kaise badau link

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Ali aap dusri sites par comment kiya karo. jab koi aaki unki site par se aapki site par aayega to aapki site ke backlinks badhenge.

  25. Avatar for dilipdilip

    Google par hamari post me. ( ~ ) ye bala sign aata h ( – ) kyo nhi aata aap ek baar Google par check kr lo kuchh post par template ki jankari aati h post ki nhi

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Mujhe google me aapki site par ye icon kahi bhi nahi dikh raha. Dilip pura sawal btao aapko ye kaha par dikhayi de raha hai.

      • Avatar for dilipdilip

        site:hindigyanland.blogsot.com ko Google par search karo or dekho ~ ye icon aata h

        • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

          Aap subdomain use kar rahe ho ye tyrick sirf xyz.com domain ke liye hai. aap blogspot.com ka subdomain use kar rahe ho.

  26. Avatar for Ravi KumarRavi Kumar

    post me add kaise lagaye aapne widget me add lagana bataye the, java script se, but kisi bhi post me add kaise lagaye, pl

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Ravi bahut simple hai aap direct post edit option me ja kar html section par click karke jaha ad lagana hai waha d code paste kar do.

  27. Avatar for Ravi KumarRavi Kumar

    bhaiy aapne bataya popular post me add lagane ke liye, waha kaise lagayenge,
    Q….Kya hame har ek post me add lagana padega, aisa koi tarika nahi hai, sirf waha ek bar code dal diya, jisse hamare all post me add show ho, har ek me lagana impossible lagta hai,

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Abhi aap sirf ek do posts me add laga lo jab ads show hone lag jaye to baki post me bhi laga lena.

  28. Avatar for Ravi KumarRavi Kumar

    bhaiya maine banner me banner add laga diya ab confused ho raha hu,

    Q…..1.. post ke bich me kon sa add lagaye, aapke post me diya tha link ya responsive but link add ka options nahi aaata, kya responsive use kar sakte hai,
    Q…2…Sidebar me kon sa add use kare, Add ka name bataye,
    Q…..kya avi 3 hi add rahene de,

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      1. abhi aap sirf display/text ads hi add karo.
      2. 300×250 ya 300×600 koi bhi laga lo.
      3. yes, abhi aap 2-3 jagah par hi ads lagao.
      ek ad sidebar me or ek ads aapke blog ki sabse popular post me alagao. bas.

  29. Avatar for KuldeepKuldeep

    Bhai mere blog ka alexa rank globally to dikha raha hai but, india me kitna rank hai nhi dikha raha hai kyun. Or bhai godaddy customer care ka hindi me baat karne ka no. agar koi hai to batao

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Thode time wait karo country rank bhi show hone lag jayegi. Customer care ke ek hi number hai. Wo thodi hindi me bhi bat kar sakte hai. Aap google me number search aro.

  30. Avatar for zishan ali gulzarzishan ali gulzar

    sir page loading speed se traffic me koi effect pdta hai kya,,,

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Yes bilkul padta hai. 90% visitor 4 second se kam time me open hone wali site ko pasand karte hai. Sath hi google search engine bhi fast loading site ko pasand karta hai.

  31. Avatar for ASHOK SAINIASHOK SAINI

    Admin Ji Ye bataye ki Kya hum apne Hinglish Blog par Yadi pure Eglisgh ya Pure Hindi me post likhna start karde to kya AdSense ki koi problem ho sakti hai kya. Mera matlab mai apne blog par ab Pure english me post likhna chahta hun. kyuki ye hum sabhi jante hai ki hinglish blog ke apecha Pure English blog par traffic jayeda aata hai. Thanks

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Why not. bilkul likh sakte ho. AdSense ko isse koi problem nahi hai.

  32. Avatar for rashid alirashid ali

    hello sir mere blog par alexa rank toh show karti hai lekin link no data show karte hain link kaise add karun please tell me

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      e post padho Blog Me Alexa Ranking Widget Kaise Add Kare

  33. Avatar for dilipdilip

    home page MATLAB ye kya hota h jaha or ise kaise fatch kre

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      google webmaster par fetch as google option par jao or bina koi link add kiye fetch par click karo. homepage fetch ho jayega.

  34. Avatar for DilipDilip

    kya post ko fetch karna jyada achha hota h ya Google khud index kr le bah achha hota h

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Dilip aap bas home page ko fetch kar lo .Bas hr post ko fetch karne ki jarurat nahi hai.

  35. Avatar for KuldeepKuldeep

    Hello bhai mujhe apne blog goharyana.in me problem aa rahi hai maine jo alexa widget lagaya hai usme purana rank Show kr raha hai Jab maine lagaya tha tab ka lekin ab mera alexa improve ho gaya hai wo Show nhi ho raha kya karu bhai jaldi batao

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Sabki alexa widget me ek do day late rank show hoti hai. ye problem nahi hai.

  36. Avatar for Ravi KumarRavi Kumar

    ok bhaiya aapka message mujhe mil gaya hai,
    Q…..kya mera AdSense approved ho gaya,
    Q…..bina approved ka hi ads ka option de raha hai, details please bataye

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      1. yes aapko AdSense approved ho gaya hai.
      2. ab aap my ads par click karke ads create karo or apne blog me lagao. Uske bad AdSense aapki site ko check karega or agle 72 hours ke bad aapki site par ads show hone lag jayenge. iska aapko AdSense message send kar dega.

  37. Avatar for Ravi KumarRavi Kumar

    jaldi me reply de, avi mai cafe me hu, yaha bekar me baithe-baithe charge de raha hu, rat bhi 12 baje tak the, but aapne reply nahi kiya,

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Oh sorry bro mai aapko abhi reply kartya hu.

  38. Avatar for Rahul ThakurRahul Thakur

    bhai maine kahi padha tha ki sitemap submit karne ke liye google console me
    “atom.xml?redirect=false&start-index=1&max-results=500” submit karna padta hai lekin maine aapka post padha ki sitemap generate karke sitemap.xml likhke submit karna padta hai fir maine pehle wala hata ke aapka follow kiya to mere blog ki traffic badhne lagi. Lekin mujhe yeh baat samajh ni aa rahi ki pehle wala jo sitemap tha usse bhi mere sare post jaldi index ho jate the lekin aapka wala method karne se hi mere blog ki traffic kyu badhi ?

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Is type ke sitemap submit karne se google robot ko aapki site ko samajhne me aasani hoti hai or wo aapko or jyada better result dete hai. Lagbhag har success blogger isi type ke sitemap use karte hai.

  39. Avatar for arun yadavarun yadav

    search consoleme MobileCurrent select karke post feach karte h to Redirectd kyu aata h,Desktoppar nahi aata h

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aapko har post ko fetch karne ki jarurat nahi hai.

  40. Avatar for Umesh ChavanUmesh Chavan

    Jumedeen acchi post par upar 1 jagah aapki spelling (StudioPress Tgemes Ka Promotion Kaise Kare) mistake ho gayi hai use tik karle.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Ok thanks bro. I solve it now.

  41. Avatar for md alimd ali

    bhai aap post ke bich main konsi size ke ads use kar rahe hain jo mobile par bhi display hoti hai.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      300×250

      • Avatar for md alimd ali

        bhai kya ye ad responsive hai

        • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

          300×250 size ka ads responsive kaise ho sakta hai. is size ka ads already AdSense recommended size me diya hua hai.

          • Avatar for md alimd ali

            sir maine ye 300×250 size ka ad use kiya lekin wo mobile main display se bahar ho jaata hai or aadha ad hi dikhayi deta hai.

          • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

            to aap responsive size ka ads use karo.

  42. Avatar for dilipdilip

    apki jankari to achhi h but me use nhi kr sakta because meri traffic low h jisase koi faida nhi

  43. Avatar for jeet makwanajeet makwana

    Thanks sir
    Aur kitne % copyright hone par Google AdSense accept nahi karta mera blog 21% copyright he

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aap bas kisi ki post copy mat karo. Wese sabka blog content kisi na kisi se to mil hi jata hai. Adsense me % ka koi rule nahi hai.

  44. Avatar for Naveen PooniaNaveen Poonia

    bhai ribbon theme me footer ko kaise edit kare…
    usme se mythemeshop ka nam kaise hataye ?
    please help

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Ribbon theme me ribbon ka ek option hota hai. us par click karo. aapko iska option mil jayega.

  45. Avatar for aasim aanadaasim aanad

    Aap hame ye bataiye sir aapne sabse niche contact us, privacy page ka jo link lagai hai, wo kaise hoga,

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Mai jo template use kar raha hu usme already footer ko ption hai.

  46. Avatar for Ravi KumarRavi Kumar

    ok maine bhej di, please aap ek bar dekhe, ab maine ek add bhi bana diya, jisse hum bener widget me laga bhi diya, but mai confused ho raha hu, AdSense account approved hua, hai ya nahi ya kya problem hai details me batayae,
    ———–
    kyuki maine aaj hi apply kiya maine socha tha 90 post honge uske bad apply karunga,
    ——
    mujhe lag raha isse pahele maine request di thi pata nahi aap hame jaldi bataye

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Ok mai aapko message pdekh kar reply karunga.

  47. Avatar for Naveen PooniaNaveen Poonia

    Hello Dear,
    m aapko bahut bar comment karchuka hu lakin aap jawab nhi de rhe hn. mujhe aapko website ka SEO setup pasand h. kya aap apne SEO ki .zip file ko extract export karke hame de sakte hn ?

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      maine iske bare me mozedia.com par btaya hai. Aap waha par yoast seo wali post padhe.

  48. Avatar for Ravi KumarRavi Kumar

    bhaiya maine AdSense ke apply kar raha tha, but jub mai signup pe click karke, apne account id, pass dala , to uske bad address ka options aata hai but mere sath ye nahi hu, waha pe home—- my ads–Allow & block ads —– performance report —- optimization aa raha hai, mai sabhi pe bari-bari se click kiya,
    1…home — isme earning details mil rahi hai, jubki maine add nahi laga ya na hi kabhi banaya hai,
    2….my ads— add unit, custom chanel ( iska screen short aapke Facebook pe bhej di)
    3…..iska bhi screen short bhej diya ab mai kya karu, samajh me nahi aa rahi hai

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Ravi aapke screenshot mujhe nahi mile hai aap fir se send karo.

  49. Avatar for mohd shariqmohd shariq

    jume deen bhai. mene abhi abhi apna ek blog banaya he clickmeworld.blogspot.com ke name se . please aap isko ek baar check karke bata dijiye ke mujhe isme aur kya kya karna he.. kya me mobile se apne blog ka design kar sakta hu. agar mere paas laptop na ho to kya me blogging kar sakta hu.. pls help me bro… me aapka bahut bada fan hu.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Acha blog hai aapka. bro mobile se bhi kar sakte ho but aapko choti screen ki wajah se problems hogi. Aap ye post padhoe. Blog Banane Ke Bad Kya Kare

  50. Avatar for Ramesh SharmaRamesh Sharma

    Sir muje blog ke liye kya kya karna chaiye jaise
    kaha kaha submit kru (matlab blog directory)
    Wordpress setting mein ping ka option aata hai vha kya kya bhru
    Orr Kya kya Kru

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      aap mozedia.com par yoast seo ke bare me post padho.

  51. Avatar for Ramesh SharmaRamesh Sharma

    Bhai maine 25 din pahle ek WordPress blog bnaya tha.Jispar abhi tak 15 posts hai, jisme se 12 Post Google Mein index hai. Leki Mera traffic blog traffic abhi bhut kam hai. Kabhi 5 visitors aate hai, toh kabhi 30. par abhi tak 35 visitor daily ka nahi hua. Matab daily views 35 se jayda nahi hue hai. orr meri sabhi posts unique hai matlab maine kahi se copy nahi kari hai. Sab khud likhi hai.
    >Toh Mein jan na chahta hu Kya ye normal Hai.
    > kya suru mein itne hi views milte hai.
    >Ya mein koi orr rasta choose kru.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Yes ye normal problem hai. Traffic dheere dheere hi badhta hai.

  52. Avatar for Ankit JhaAnkit Jha

    jume deen ji pata nahi kaha problem aa rahi hai mere blog me kyuki mujhe search engines se jyada traffic nahi mil pa raha jabki main koi aisa post dalta hi nahi jo ki pehle se hi bohot logo ne post kar di ho, keywords bhi main use karta hu, mere sare post bhi 1 hour ke andar index ho jate hai. Ab mujhe pata ni chal raha ki problem aa kaha rahi hai agar aapka koi suggestion ho toh plz mujhe zaroor bataye mujhe khushi hogi

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Ankit aapke btaye anusar aap sabhi settings sahi use kar raheho. But ye time students ke exam ka hai. Isliye user kam internet use kar rahe hai. Isiliye aapko search engine se km traffic mil raha hai.

  53. Avatar for KabirKabir

    Mere blog ke 90% visitor Mobile se aate hain, Kya main Affiliate marketing se earn kar sakta hoon, affiliate ke liye Computer users aana jaroori hain?

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Ha affiliate marketing ke liye aapki site par desktop user aana jaruri hai. Kyuki mobile user product buy muskil se hi karte hai.

  54. Avatar for Mukesh YadavMukesh Yadav

    Lakin india me isse paisa kama nahi sakte. agar h aapka website videsh me bhi khola jata hai to aap kama sakte lakin apna blog to sirf india ko target kar sakta hai.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Nahi mukesh aysi bat nahi hai. studiopress har tarah se better theme hai or lagbhag har koi ise use karna chahata hai. Fir bhi videsh me traffic ho to aap jyada earning kar sakte ho. Becoz USA me $59 jyada nahi hote hai.

  55. Avatar for jeet makwanajeet makwana

    Hi sir kya me ye kar sakta hu? Meine domain nahi kharida aur mere blog me abhi 600/700 hi veiw huye he aur par day 50/80 tak hote he to kya me ise join kar sakta hu?

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Jeet affiliate marketing se paise kamane ke liye aapke blog par 5000+ per day traffic hona chahiye. isse pahle join karne se koi fayda nahi hoga. aapko sell hi nahi milenge.

Add a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

I need help with ...