Blog se money earn karne ke Adsense or Affiliate marketing program 2 most important tarike hai. Aap chahe to dono ko ek sath apne blog par use karke paise kama sakte hai. Is post me mai aapko StudioPress Affiliate Program se earning karne ki information bta raha hu. I hope ye jankari aapke liye helpful sabit hogi.
Affiliate marketing program blog se paise kamane ka most popular income source hai. Bas aapko apne blog ke liye sahi or perfect affiliate product choose karne ki jarurat hai. Agar aapko ek month me 5-7 sell bhi mil jaye to aap 15000 to 20000 aasani se kama sakte ho.
Yaha mai bat kar raha hu StudioPress Affiliate Marketing Program ki jo lagbhag har category ke blog ke liye perfect hai.
StudioPress world ki number one WordPress theme provider hai. Ye Copy blogger ka hi hissa hai. Genesis sabse jyada 8.35% rating ki WordPress theme hai. Jisse WordPress user sabse jyada like karte hai.
StudioPress Affiliate Program Se Paise Kaise Kamaye – Become a Theme Seller
StudioPress affiliate program aapko world-class themes promoting provide karta hai. Or iski sabse achi bat ye hai ki ye aapko ek sell par lagbhag $20 benefet deta hai.
Ab important bat ye hai ki studiopress ki theme sabse jyada popular hai. So ayse me aapko jyada se jyada sell mil sakti hai. Agar aapa koi user ek theme bhi buy karta hai. Jiski price $59 hoti hai. Aapko is ek theme par hi $20 mil jayenge.
StudioPress Affiliate Program Promote Kyu Kare?
StudiPress program affiliate marketing ka top level product hai. Jisse aapko baki other product se jyada sell hone ke chance mil sakte hai.
- Maine upar btaya hai ki studioPress WordPress themes proveder company hai. Isliye ise user sabse jyada pasand karte hai or theme buy karte hai.
- Agar aapke reader best blog theme ki icha rakhte hai to unke liye genesis theme number 1 choise ho sakti hai.
- Sabse important bat studiopress aapko bahut jyada comission deti hai. Sirf ek sell par $20 to $30 mil jate hai. Jo ki ek theme selling ka bada benefet hai.
Agar aapko ek mahine me 10 sell mil jati hai to aap $200 to $250 earn kar sakte ho. Agar aapke blog par acha traffic hai to aapko isse bhi jyada sell mil sakti hai.
StudioPress Affiliate ProgramJoin Kaise Kare?
Studio Press affiliate program ko join karna bahut aasan hai. Iske liye bas aapko ShareASale par account create karna padega.
Sabse pahle aap StudioPress Affiliate Link ShareAsale ko open kare. Iske bad is form me btaye step sahi se follow kare. Iske sabhi step easy hai koi bhi aasani se follow kar sakta hai. Aap bhi kar sakte ho.
StudioPress Themes Ka Promotion Kaise Kare?
StudioPress affiliate program ko join karne ke bad aap sochoge ki ab mai ise promote kaise karu. So don’t worry mai iske bare me bhi aapko kuch tips bta raha hu.
- Aap apne blog par genesis framework review wali post likh sakte hai. Jisme aap apne reader ko studiopress themes ke bare me complete knowledze de kar unhe theme buy karne ke liye kah sakte ho. Isse genesis theme ke bare me jankar user aapki btayi theme buy kar sakte hai.
- Aap apne blog ke sidebar, header area, below post title, below post content etc me studiopress affiliate program ke Banner laga sakte ho.
- Aap apne blog par genesis theme ko install karne or design karne wali information ke article likh sakte ho.
- Aap blog par top 10, 15 WordPress best themes ke bare me post likh sakte ho or usme genesis framework ko promote kar sakte ho.
- Aap apne blog ki post, post content, sidebar, header and footer widget me studiopress afiiliate ka link add kar sakte ho.
Is tarah se aap studioPress affiliate marketing ko join kar apne blog par achi income kar sakte ho. Sath hi aap aysi hi other WordPress themes affiliate program ko bhi join kar sakte ho.
Mai ek bar fir se kahta hu ki agar aapko month me 10 sells bhi mil jati hai to aap affiliate marketing se achi earning kar sakte ho.
Agar aapko ye article pasand aaye to ise socail media par apne firends ke sath share jarur kare.
Ravi Kumar
ok bhaiya aapka message mujhe mil gaya hai,
Q…..kya mera AdSense approved ho gaya,
Q…..bina approved ka hi ads ka option de raha hai, details please bataye
Jumedeen Khan
1. yes aapko AdSense approved ho gaya hai.
2. ab aap my ads par click karke ads create karo or apne blog me lagao. Uske bad AdSense aapki site ko check karega or agle 72 hours ke bad aapki site par ads show hone lag jayenge. iska aapko AdSense message send kar dega.
Ravi Kumar
jaldi me reply de, avi mai cafe me hu, yaha bekar me baithe-baithe charge de raha hu, rat bhi 12 baje tak the, but aapne reply nahi kiya,
Jumedeen Khan
Oh sorry bro mai aapko abhi reply kartya hu.
Rahul Thakur
bhai maine kahi padha tha ki sitemap submit karne ke liye google console me
“atom.xml?redirect=false&start-index=1&max-results=500” submit karna padta hai lekin maine aapka post padha ki sitemap generate karke sitemap.xml likhke submit karna padta hai fir maine pehle wala hata ke aapka follow kiya to mere blog ki traffic badhne lagi. Lekin mujhe yeh baat samajh ni aa rahi ki pehle wala jo sitemap tha usse bhi mere sare post jaldi index ho jate the lekin aapka wala method karne se hi mere blog ki traffic kyu badhi ?
Jumedeen Khan
Is type ke sitemap submit karne se google robot ko aapki site ko samajhne me aasani hoti hai or wo aapko or jyada better result dete hai. Lagbhag har success blogger isi type ke sitemap use karte hai.
arun yadav
search consoleme MobileCurrent select karke post feach karte h to Redirectd kyu aata h,Desktoppar nahi aata h
Jumedeen Khan
Aapko har post ko fetch karne ki jarurat nahi hai.
Umesh Chavan
Jumedeen acchi post par upar 1 jagah aapki spelling (StudioPress Tgemes Ka Promotion Kaise Kare) mistake ho gayi hai use tik karle.
Jumedeen Khan
Ok thanks bro. I solve it now.
md ali
bhai aap post ke bich main konsi size ke ads use kar rahe hain jo mobile par bhi display hoti hai.
Jumedeen Khan
300×250
md ali
bhai kya ye ad responsive hai
Jumedeen Khan
300×250 size ka ads responsive kaise ho sakta hai. is size ka ads already AdSense recommended size me diya hua hai.
md ali
sir maine ye 300×250 size ka ad use kiya lekin wo mobile main display se bahar ho jaata hai or aadha ad hi dikhayi deta hai.
Jumedeen Khan
to aap responsive size ka ads use karo.
dilip
apki jankari to achhi h but me use nhi kr sakta because meri traffic low h jisase koi faida nhi
jeet makwana
Thanks sir
Aur kitne % copyright hone par Google AdSense accept nahi karta mera blog 21% copyright he
Jumedeen Khan
Aap bas kisi ki post copy mat karo. Wese sabka blog content kisi na kisi se to mil hi jata hai. Adsense me % ka koi rule nahi hai.
Naveen Poonia
bhai ribbon theme me footer ko kaise edit kare…
usme se mythemeshop ka nam kaise hataye ?
please help
Jumedeen Khan
Ribbon theme me ribbon ka ek option hota hai. us par click karo. aapko iska option mil jayega.
aasim aanad
Aap hame ye bataiye sir aapne sabse niche contact us, privacy page ka jo link lagai hai, wo kaise hoga,
Jumedeen Khan
Mai jo template use kar raha hu usme already footer ko ption hai.
Ravi Kumar
ok maine bhej di, please aap ek bar dekhe, ab maine ek add bhi bana diya, jisse hum bener widget me laga bhi diya, but mai confused ho raha hu, AdSense account approved hua, hai ya nahi ya kya problem hai details me batayae,
———–
kyuki maine aaj hi apply kiya maine socha tha 90 post honge uske bad apply karunga,
——
mujhe lag raha isse pahele maine request di thi pata nahi aap hame jaldi bataye
Jumedeen Khan
Ok mai aapko message pdekh kar reply karunga.
Naveen Poonia
Hello Dear,
m aapko bahut bar comment karchuka hu lakin aap jawab nhi de rhe hn. mujhe aapko website ka SEO setup pasand h. kya aap apne SEO ki .zip file ko extract export karke hame de sakte hn ?
Jumedeen Khan
maine iske bare me mozedia.com par btaya hai. Aap waha par yoast seo wali post padhe.
Ravi Kumar
bhaiya maine AdSense ke apply kar raha tha, but jub mai signup pe click karke, apne account id, pass dala , to uske bad address ka options aata hai but mere sath ye nahi hu, waha pe home—- my ads–Allow & block ads —– performance report —- optimization aa raha hai, mai sabhi pe bari-bari se click kiya,
1…home — isme earning details mil rahi hai, jubki maine add nahi laga ya na hi kabhi banaya hai,
2….my ads— add unit, custom chanel ( iska screen short aapke Facebook pe bhej di)
3…..iska bhi screen short bhej diya ab mai kya karu, samajh me nahi aa rahi hai
Jumedeen Khan
Ravi aapke screenshot mujhe nahi mile hai aap fir se send karo.
mohd shariq
jume deen bhai. mene abhi abhi apna ek blog banaya he clickmeworld.blogspot.com ke name se . please aap isko ek baar check karke bata dijiye ke mujhe isme aur kya kya karna he.. kya me mobile se apne blog ka design kar sakta hu. agar mere paas laptop na ho to kya me blogging kar sakta hu.. pls help me bro… me aapka bahut bada fan hu.
Jumedeen Khan
Acha blog hai aapka. bro mobile se bhi kar sakte ho but aapko choti screen ki wajah se problems hogi. Aap ye post padhoe. Blog Banane Ke Bad Kya Kare
Ramesh Sharma
Sir muje blog ke liye kya kya karna chaiye jaise
kaha kaha submit kru (matlab blog directory)
Wordpress setting mein ping ka option aata hai vha kya kya bhru
Orr Kya kya Kru
Jumedeen Khan
aap mozedia.com par yoast seo ke bare me post padho.
Ramesh Sharma
Bhai maine 25 din pahle ek WordPress blog bnaya tha.Jispar abhi tak 15 posts hai, jisme se 12 Post Google Mein index hai. Leki Mera traffic blog traffic abhi bhut kam hai. Kabhi 5 visitors aate hai, toh kabhi 30. par abhi tak 35 visitor daily ka nahi hua. Matab daily views 35 se jayda nahi hue hai. orr meri sabhi posts unique hai matlab maine kahi se copy nahi kari hai. Sab khud likhi hai.
>Toh Mein jan na chahta hu Kya ye normal Hai.
> kya suru mein itne hi views milte hai.
>Ya mein koi orr rasta choose kru.
Jumedeen Khan
Yes ye normal problem hai. Traffic dheere dheere hi badhta hai.
Ankit Jha
jume deen ji pata nahi kaha problem aa rahi hai mere blog me kyuki mujhe search engines se jyada traffic nahi mil pa raha jabki main koi aisa post dalta hi nahi jo ki pehle se hi bohot logo ne post kar di ho, keywords bhi main use karta hu, mere sare post bhi 1 hour ke andar index ho jate hai. Ab mujhe pata ni chal raha ki problem aa kaha rahi hai agar aapka koi suggestion ho toh plz mujhe zaroor bataye mujhe khushi hogi
Jumedeen Khan
Ankit aapke btaye anusar aap sabhi settings sahi use kar raheho. But ye time students ke exam ka hai. Isliye user kam internet use kar rahe hai. Isiliye aapko search engine se km traffic mil raha hai.
Kabir
Mere blog ke 90% visitor Mobile se aate hain, Kya main Affiliate marketing se earn kar sakta hoon, affiliate ke liye Computer users aana jaroori hain?
Jumedeen Khan
Ha affiliate marketing ke liye aapki site par desktop user aana jaruri hai. Kyuki mobile user product buy muskil se hi karte hai.
Mukesh Yadav
Lakin india me isse paisa kama nahi sakte. agar h aapka website videsh me bhi khola jata hai to aap kama sakte lakin apna blog to sirf india ko target kar sakta hai.
Jumedeen Khan
Nahi mukesh aysi bat nahi hai. studiopress har tarah se better theme hai or lagbhag har koi ise use karna chahata hai. Fir bhi videsh me traffic ho to aap jyada earning kar sakte ho. Becoz USA me $59 jyada nahi hote hai.
jeet makwana
Hi sir kya me ye kar sakta hu? Meine domain nahi kharida aur mere blog me abhi 600/700 hi veiw huye he aur par day 50/80 tak hote he to kya me ise join kar sakta hu?
Jumedeen Khan
Jeet affiliate marketing se paise kamane ke liye aapke blog par 5000+ per day traffic hona chahiye. isse pahle join karne se koi fayda nahi hoga. aapko sell hi nahi milenge.
jeet makwana
Me kab AdSense approve kar sakta hu abhi mere blog me 700/800veiw he
Jumedeen Khan
ye post padho Blog Banane Ke Bad Adsense Ke Liye Apply Kab Kare