Agar aapka koi english blog hai to jahir hai aapse article likhne me koi na koi galti hoti hogi. But kya aapne kabhi ye check kiya hai. Agar nahi to chaliye aaj mai aapko aysa tarika btata hu. Jisse aap spelling mistake and other mistakes ko check karne ke sath sath unhe solve bhi kar sakte ho aur apni english writing ko or behtar bana sakte ho.
Jab maine february 2024 me apne english blog Mozedia.com ki shuruat ki thi to starting me maine jo 3-4 article likhe. Usme se ek par ek comment aaya tha ki “Hello Jume deen khan, Your blog is really nice but you have need solve some spelling mistakes.” Mai apne blog me koi kami nahi chahata tha. Wakai me mere liye ye bahut buri bat thi.
- 10 Blogging Tricks Jo Aapko Successful Blogger Bana Sakti Hai
- Blogger Blog Ko WordPress Par Import Kaise Kare: Simple Way
Maine apni english writing ko behtar banane ke liye bahut si english spelling checker tools ko try kiya. But mujhe koi bhi tool pasand nahi aayi. Aakhir me mujhe Grammarly Spellinng Checker ke bare me pata chala. Really, Grammaly mujhe itna pasand aaya ki mai isi wajah se iske bare me aapko bta raha hu.
Grammarly ke free or premium do version hai. Aapko free version me hi bahut achi service milegi. I sure agar aapko ye pasand aa gaya to aap iska premium version bhi use karna chahenge.
Grammarly Ko Aap online bhi use kar sakte hai ya fir aap grammarly ka chrome extension install kar sakte hai. In my case, Mai grammarly chrome extension hi use karta hu.
Table of Contents
Grammarly Se Apni English Writing Ko Behtar Kaise Banaye – Solve Spelling Mistakes
Grammarly ek spell checker system hai jisse hum grammer spelling check kar sakte hai. Yeh aapki online likhte time help karta hai. Isko aap WordPress, blogspot, Joomla and other kisi bhi blog post editer me use kar sakte ho. Iske sath hi aap note-pad ya fir kisi bhi text edit file me grammarly ka istemal kar sakte ho. Yaha mai iske kuch poit bta raha hu.
- Jab bhi aap apne computer me online kuch bhi likhte ho. Fir chahe aap kahi bhi likho. Grammarly aapke likte time spelling and verb mistage ko attach karti hai or galat words ko underline kar deti hai.
- Jaise hi aap underline words par click karoge to ek popup page open hoga. Usme us words ki mistakes hogi or uska sahi words bhi hoga. Aap us word par click karke issue solve kar sakte hai.
- Ya fir aap Grammarly icon par click kare. Aysa karne se ek popup page open hoga usme post me huyi sabhi mistakes hogi. Aap un par click karke spelling, verb or commas mistakes ko theek kar sakte hai.
Iske alawa bhi grammarly me bahut se better features hai jo aapki english writing me help karte hai. Ab agar aapko har jagah par ise use karna hai to aapko Grammarly site par ja kar online likhna hoga.
Grammarly Spell Checker Tools Ko Online Kaise Use Kare?
Agar aap apne blog par online articles nahi likhte ho to aap ise note pad ya microsoft text editer software me bhi use kar sakte hai. Iske liye aapko bas grammarly dashboard par apni file ko upload karna hai. Grammary site par jane ke liye grammarly.com link open kare.
- Yaha par aap online write kar sakte ho.
- Jab aap complete likh lo ya fir jab aap chaaho Check your text par click karke spelling mistakes check kar sakte ho.
- Ya fir aap upload a file par click kar apni post ko yaha uploadf karke grammer check kar sakte ho.
Grammarly Better Post Likhne Me Aapki Help Kaise Karta Hai
Mai aapko suggest karunga ki aap grammarly tool chrome extension hi use kare. Kyuki ye bahut hi aasan hai jo aapki blogspot, WordPress par post likhne me help karta hai. Jis se aapko bar bar grammarly site par jana nahi padega. Or jab bhi aap koi post likhonge to grammarly extension humari help karega.
Grammarly Extension Ko Chrome Me install karne ki jankari ke liye Chrome Browser Me Grammarly Extension Kaise Install Kare post padhe.
Sath hi ye aapki social media sites facebook, google, twitter par bhi writing check karta hai. I mean aap chrome browser me jab bhi kahi typing karoge to grammary aapki spelling mistakes check karega.
Sabse pahle aap Grammarly Chrome Extension ko apne chrome browser me install kare. Usse ke bad apne blog par new post likhna shuru kare.
Option 1: Yaha par aap dekh sakte hai ki jin words me mistake hai. Wo sab underline hai. Ab aap jaise hi kisi underline word par mouse le jaoge to ek choti si popup windows khulegi. Usme us words ki sahi spelling hogi. Us par click karke aap spelling mistake solve kar le.
Option 2: Ya fir aap right side me niche Grammarly ke icon par click kar ke grammary ka full popup page open kar sakte ho. Isme aapko post me huyi sabhi mistakes jaise commas, meaning, spelling, verb sabhi ka pata chalega. Aapko yaha par sirf currect word par click karna hai or wrong word sahi ho jayega.
- Yaha par jo wrong words mistakes btayi hai use ache se solve kar le.
- Grammer mistakes check karne or unhe solve karne ke bad yaha click akre.
Ab aap wapis post editer par pahuch jaoge. But aapki post ki sabhi mistakes solve ho chuki hogi. Grammarly spelling issue ke sath grammatical mistakes ko bhi check karta hai. Agar aapko yaha diye baki features use karne hai to aapko iska premium version buy karna padega.
Is tarah se grammarly better english likhne me aapki help karta hai. Mai aapko recommend karunga ki aap ek bar ise jarur aajmaye. I promise aapko ye bahut pasand aayega.
Note:- Yaad rahe grammarly sirf aapko sahi english words suggest karta hai. Iska ye matlab nahi hai ki aap aankh band karke grammarly se post ki mistakes solve kar lo. Aapko ise dhyan se ache se use karna hai ki ye sahi words bta raha hai ya nahi.
- Website Ki Page Speed Kaise Badhaye 10 Best Online Tools Boost Speed
- Google Keyword Ranking Check Karne Ki 5 Badhiya Websites
Har blogger chahata hai ki uski post me koi kami na ho or wo badiya se badiya post likhe. So mai aapse kahna chahunga ki ye trick aapki real me help kar sakti hai. Aap ek bar ise try jarur kare or ha aapko ye pasand aaye to mujhe dhanywad kahna na bhoolna.
Agar aapko grammarly spell checker ke bare me ye article pasand aaye to ise social media par apne friends ke sath share jarur kare. Aapki help se kisi or ko iske bare me pata chalega to wo aapko thanks jarur bolega.
syed areeb ali
my writing is not good please i request my writing is improvemet
Jumedeen Khan
Follow above mention steps.
Prasad shinde
Sir mai abhi fyba mai padhta hu mai mpsc dena chahta hu mera english subject bahut weak hai to english subject acchi tarh samjne ke liye mujhe aapka margdarshan chahiye to mujhe aap english sudharne ke liye kya karna chahiye sir pls guide
Jumedeen Khan
bate karte time english try kiya karo. second english speaking caurse kar lo.
mohan
kya me…k, ka, ki, kee…..? se english likhana nahi shikh sakta kya…
Jumedeen Khan
Kyo nahi bilkul sikh skate ho. But iske liye aapko some english book padni hogi.
Harshit Raikwar
Bro mere ek last Question he Blogging ke liye aur Ye question ke answer Per mera poora Career Depend hoga,,,
1) Kabhi bhi Life me Blogging ki Technical Problems hogi kya jese ki Blogging ab nhi hogi ya kuch aur.
2) Yadi maan le ki Adsense ne hume block ker bhi diya then hum kya karenge aage ?
Thode questions Silly type ke he per bhai LiFe ka Dicision he to der to lagta hi he. Mujhe apke Answers Ka bRiefly ka intezaar he aap thoda jyada lokhe jisse ki mujhe Tagat mile .
Jumedeen Khan
1. Aysa nahi hoga or agar aysa hoga to aapse pahle croro blogger bhi honge. Aysi bato se nahi darte. Ye dar bilkul wesa hi hai jaise humari mout. Jab aapko pata hai ki ek din marna hai to ye sab kyu karte ho. Isliye kal ke dar se aaj ka kaam mat chodo.
2. blogging se paise kamane ke bahut tarike hai. Aap affiliate marketing use kar sakte ho ya fir kisi or website ka promotion kar sakte ho.
Harshit jab ek rasta band hota hai to hazar raste khul jate hai. Isliye bekar ki bato se mat daro. Dil se mehanat karo. Blogging se paise kamane ke bahut tarike hai.
Harshit Raikwar
Sir jesa ki aap jante he ki mera blog Health ka he , to mujhe ye jaanna he ki yadi me kuch EGG (ande) ke baare me likhu to mera Title content Kya hona chahiye Jo mere visitors ko attract kare ?
Jumedeen Khan
Br opost title aapko hi choose karna hai.
Jai Singh Shekhawat
Jume deen bhai !!! Mere blog par suddenly pata nahi kya hua…. pahle meri post google pe aa jati thi i mean jab mei Google par meri post ka title search karta to likha hua aata 2-1 minutes ago or top pe aati thi…. lekin ab mei title search karta hu to post kahi bhi nahi aati…
. Please aap ek baar blog open karo or cheak karo please
Jumedeen Khan
Ye koi problem nahi hai. Kabhi kabhi regular update na karne se se ya post content ki wajah se google aapki site ko index karne me time le leta hai.
sunil bhargav
Sir mujhe roj AdSense se msg aate hai ki “AdSense share a post” kya ye msg spaicly mere liye to nahi aate un msg me kuchh post ke baare me bataya bhi jata hai.
And upar jo comment me mahrshi ne puchha ki AdSense se msg aaya tha ki ad banakar site par lagao ye msg to mere paas bhi aata hai “AdSense share post” me
Jumedeen Khan
Ye fake message hote hai. Inhe ignore karo.
prashant
aapke blog par AdSense to dikh bhi nhi rahi hai to aap AdSense ke through kaise income karte hai
prashant
i mean humare bhi AdSense lagi hui hai or traffic bhi hai to bhi income nhi ho rahi hai
Jumedeen Khan
Aap social media se kitna traffic mil raha hai or ad click kitne ho rahe hai.
Jumedeen Khan
ap mere blog ko chrome me open karo. Ads dikhegi.
nitesh
hi sir
google fonts se hindi fonts our hindi fonts style kaise add karte hai blogger html me …..english fonts to add horhai par hindi nahi plze help me my email id
Jumedeen Khan
Aap coding me koi galti kar rahe ho. Ache se karo.
nitesh
Could not load template preview: Error parsing XML, line 5, column 67: The reference to entity “subset” must end with the ‘;’ delimiter.
sir ye error aa rhai jab google hindi fonts html ke ke niche standar code past karta hu to
plez help
Jumedeen Khan
Aap coding me se ‘;’ remove karke save karo.
Sandeep Jinagal
hostgator ki sabhi site kasie down hui thi. meri bhi hui thi or apki bhi
Jumedeen Khan
Nahi mer isite down nahi huyi. Aap hostgator me call karo. problem ka reason bta denge.
Sandeep Jinagal
bro mere pass screenshot bhi hai.Even jab meine unko try kia toh unki bhi down thi. agar aap chao toh mein aapko apki site ki speed check dikha sakta hu
Jumedeen Khan
Sandeep speed check karne par kabhi kabhi internet slow connection ki wajah se galat result show hota hai. Or agar meri site really me down hoti to jahir hai mere blog par traffic kam hota. But aysa nahi hua hai. Isliye kah raha hu. Fir bhi ho sakti hai.
Sandeep Jinagal
sir meine unse fb par bhi pucha tha unhone khud kha tha ki sabhi sites 20 mnute ke liye down hui thi. Mere pass fb chat bhi hai. hostgator official ki. Baki agar apki nahi toh aacha hai. Host-gator Bless you my broo
Jumedeen Khan
Sandeep Jinagal bro kah to raha hu. Ho bhi sakti hai. Maine confirm nahi kiya hai. Aapne confirm kiya hai to ho gayi hogi. But is time sahi open ho rahi hai.
kiranbhai
aapka article muje bahot hi useul laga. mai bhi kuchh tools use karta tha lekin kuchh accha se work nahi kar pata tha. grammarly tool Chrome Browser Me Grammarly Extension se try kiya to mera kam simple ban gaya . thanks
malik
bhai ek baar meri website dekh kar batao ki kya kami hai or kya mujhe aage karne chiye. plz
Jumedeen Khan
koi kami nahi hai. Bas blogging seo par dhyan do.
S K Pathan
main apne blog par ribbon theme use karna chahta hu par vo ab WordPress par uplabdh nahi hai kya karu
Jumedeen Khan
Nahi aysi koi bat nahi hai aap mythemeshop se ribbon theme download kar sakte ho.
Praveen manikaran
main apni website ka status dekhta hu to usme adhiktar click us me dikhai dete hai or India me cum aisa kyo jabki me hindi me likhta hu
Jumedeen Khan
Aapki site par views india se hi hote hai. Ye server ki wajah se galat location show hota hai.
Harpreet Kumar
Bahut kaam ki jankari hai bhai me bhi yahi use karta hu. Bhut bdya usefull hai Grammaraly extension
Aryan
Bhai ap Ek bar godaddy pe dekh ke bata dijiye kya muje .com bala domain 200 ke andar milega ya fir muje 599 rupay me hi kharidna pdega
Jumedeen Khan
First time rs99 me second time 499 me.
Ashish Sahu
sir ek aur help kar dijiye, apke blog par comment karne par vo modaration ke liye jata hai fir bhi comments commentator ko dikhai deta hai, iske liye kya setting karna padega.
Jumedeen Khan
Aap WordPress dashboard >> settings >> discussion me jao or “A comment is held for moderation” ke samne tick karo.
Vikas
Sir
Grammar checker install kaise karu
Jumedeen Khan
Post me btaya hai.
Vikas
post se nahi ho raha hai
Fir kaise karu
Jumedeen Khan
Ok aap direct google me search kar lo.
Maharshi
mene 2 month pehle google AdSense apply kiya tha.
uske 7 din baad mujhe email aaya ki aap ads banake apne blog pe lagaye,
mene ads lagaye , par woh show nahi ho rahe the , sab ne kaha thode dino baad show honge ,
ab 2 month ho gaye abhi bhi show nahi ho rahe daily views 1000 ke karib aate hai……..
mujhe ye janna hai ki AdSense wale accept ya reject karne ka email karte hai……..me to fas gaya hu……agar woh accept ya reject saaf saaf batade ………to kuch samaj me aaye…….iske chakkar me me chitika ki ads bhi nahi laga sakta
kya meri template ki wajah se to ads show nahi ho rahi…..aap ek baar check karke bataiye
Jumedeen Khan
a aapko approved or disapproved ka mail send kiya jata hai. Ho sakta hai aapse mail delete ho gaya ho. Aap ye step follow karo.
1. old ads ko hide karke new ads unit banao.
2. ab ads code ko blog ke sidebar or sabse fomus post me add karo.
3. Iske bad site manangemet me check karo ki aaoki site ka ulr add hai ya nahi hai. Nahi ho to site ka url add karo.
4. Ab kuch day wait karo. AdSense aapko mail kar dega.
sunil bhargav
Sir Maine aapko ek guest post send ki thi shayd wo post aapki site ke liye yogy nahi hai, kya aapko meri wo post pasnd aayi thi and kya aap use public karenge
Jumedeen Khan
Maine abhi aapki post check nahi ki hai. Check kar ke jald publish kar dunga.
Ashish Sahu
Thanks sir, English me mistake ko find out kar thik karne ke liye achcha tool hai jiska use blogger kar sakte hai, sir mujhe WordPress ke liye email subcription box lagana hai, jaise apke sidebar me hai, kya is plugin ka naam batayenge please..
Jumedeen Khan
Bro ise to maine design kiya hai. But aap same aysa hi subscribe box use kar sakte ho mythemeshop plugin se.
Prabhjit
Kya apko English blog se earning hoti hai
Jumedeen Khan
Ha hoti hai par jyada nahi.
jitender singh
Sir jasie blogger mai tamplate>edit html mai jaa kar koi bhi code hum k niche paste kar dete hai wasie hi code paste karna ho toh WordPress mein kasie paste karna hai jasie muje WordPress mein Social weight kaa ek code hai wo k niche hi paste karna hai
Toh sir WordPress ki coding kha se hoti hai
Jumedeen Khan
WordPress par aap plugin use karo.
mohd sharik
sir mere blog ka name clickmeworld.blogspot.com he. pls aap use ek baar check karke bata de ke is me kya galtiyan he.. aur chitika ya vidvertiser ki ads lagane ke hamre blog per kam se kam kitne view per day hone chahiye
Jumedeen Khan
Acha blog hai. Per day 300-500 pageviews hone jaruri hai.
Ankit Jha
Bro maine analytics code tracking code blog mein add kr diya hai fir bhi analytics mein views nahi badh rahe jabki mere blog pe views aa rahe hai kya karu ? Any solution
Jumedeen Khan
Analytics ko work kanr me 1-2c day lag sakte hai. Aapne blog me analytics ka code add kar diya hai bas ab thoda wait karo.
suraj ,ishra
sir mere blog par ads show ho raha hai ab mujhe kya karna padega…mera blog dekh kar bataye ki kya kami hai abhi isme plzz
Jumedeen Khan
Ab aap apne blog par traffic badhao. Jisse aapki jyada income ho sake.