Event Blogging time to time jyada popular hoti ja rahi hai. Event blogging karne wale bloggers ki earning dekh kar aap bhi event blogging karne ka plan bana lo. Kyuki aap blog se 2-3 month me jitni earning karte ho usse kahi jyada event blogging se 2 -3 day me kama sakte ho.
Event blogging ek aesa tarika hai jisse apa kam samay me high quality income generate kar sakte ho. Agar aap isme success ho jate ho or aapka event blog google search engine me rank kar jata hai to aap two and three days me itna earn kar sakte ho jo normal blogging se 1 year me nahi kar sakte.
Agar aap sirf paise kamane ke liye blogging karna chahate ho to aapke liye Event Blogging sabse better way hai. Is post me main aapko event blogging ke bare me step by step btaunga. Hum yaha iske bare me 3 part me janenge taki aapko sabkuch clearly samajh aa sake.
To chaliye ab janna shuru karte hai us blogging ke bare me jisse aap mahino ki kamai only kuch dino me hi kar sakte ho.
Event Blogging Kaise Kare – Event Blogging Ki Jankari Hindi Me
Maine diwali 2025 par event blogging ko try kiya or mujhe kafi fayda hua. Isiliye aaj main iske bare me apako bta raha hu. Ye guideline un logo ke liye important sabit hogi jo kam time me jyada earning karna chahate hai.
Agar aap bhi unhi me se ek hai to niche btayi jankari ko dhyan se padhe or samajhe uske bad next upcoming event ke liye tayari kar paise kamana shuru kare.
Event Blogging Kya Hai
Event blogging ka matlab hota hai kisi specific topic par blogging karna. Jiska goal hota hai event time me jyada se jyada income karna.
Ek blog jise single day or week or month me lot of traffic pane ke liye upcoming event par focus karke specific topic par banaya jata hai use event blog kahte hai. Example, Happy New Year, Festive, Valentine Day and Special days etc.
Mostly, event blogging 30 to 40 days ke liye ki jati hai or is bich audience ko attract kar huge traffic receive karne ki koshish ki jati hai. Upcoming event se related product promotion ya sell kar earning ki jati hai.
Event blog se aap thousand dollar bhi kama sakte ho or agar aap online earning karne me believe nahi karte ho to ye aapke liye fake bhi ho sakta hai. I think, agar aap achha karte ho to aap $$$$$$ kama sakte ho.
Event Blogging Kaise Kare – Event Blogging Karne Ke 8 Tarike
Event blogging karne ke liye aapko koi special training ki jarurat nahi hai. Koi bhi blogger jo blogging and SEO me expert ho ya fir use blogging ki basic knowledge hai event blogging kar sakta hai.
But event blogging se achhi earning karne ke kuch secret way hai jinhe follow karke aap isse jyada money earn kar sakte ho.Mai yaha aapko event blogging karne ke bare me step by step bta raha hu.
1. Choose an Upcoming Event
Jab aap event blogging karne ke bare me decide kar lo or idea bana lo to aapke samne sabse pahla kaam hota hai aane wale event select karna. Aap internet par most popular ko choose kare taki aapko jyada traffic mile or jyada earning ho. Niche kuch popular topics ke bare me bta raha hu unme se kisi ek ko select kar le.
- Holidays: India ke sath all world me kuch holidays bahut jyada famous hai, like Diwali Wishes Quotes, Happy New Year, Happy Valentine Day, Independence Day, Christmas Event etc. Aap inme se kisi ek ka chyan kar sakte ho.
- Sports: Cricket World Cup, FIFA World Cup, IPL, Olympic, Bigboss League, and other many sports days.
- New Launches: Freedom 251, Reliance Jio, Champ One C1, Freedom 251 and many other deals or days.
- Others: India me bahut se religions ke people ahte hai or per year yaha bahut se holiday aate hai.
Inme se kisi upcoming event ko select kar uske liye k domain buye kare or ek professional look wali website or blog ready kar le. Ye kaam aapko upcoming event se 30 se 40 din pahle karna hoga.
2. Find Keywords for Event Blogging
Keyword research karna event blogging ka important part hai. Iske bina event blog ka success hona bahut mushkil hai. Because jab aapko ye pata nahi hoga ki event time me user google me kya search karte hai to aap search engines se traffic kaise receive karoge.
Jaha aapko event blog par 40-50 articles likhne padenge wahi aap SEO guidelines follow karke 10-30 articles write kar good earning kar sakte ho.
Event blog ke liye event select karne ke bad second work hai uske liye top and most popular keywords find karna taki aapka blog google and other search engines me top rank me show ho or achhaa organic traffic mil sake.
Example, valentine time me aap ye keyword google me search karte ho.
- Happy Valentine Day Wishes
- Valentine Day Gift for GirlFriend
Sirf aap hi nahi balki world me millions people aese hi keywords ko google me search karte hai jinme “Valentine Day” keyword common rahta hai. Keyword researching me ye article aapki help kar sakte hai.
- Google Adwords Keyword Planner Tool Kaise Use Kare
- Blog Ke Liye Long Tail Keywords Search Karne Ki 5 Best Tools
Agar aese me aapki website in keyword se google me top par aa jaye to aapko 1-2 day me millions traffic milega. Ab aap soch sakte ho ki aap millions traffic se kitna kama sakte ho. Niche ke screenshot ko dekhiye or suppose kijiye itne traffic se aap kitna kama sakte ho.
So, without keyword researching ke event blogging karne me time west na kare or keyword researching kar most searching keyword par content write kare.
3. Buy a Domain
Event blog ke liye event select karne or keyword search karne ke bad upcoming event se relevant domain buy karna hai. Dhyan rahe domain name me upcoming event keyword hona chahiye jisse click through rate increase hogi.
Halanki google algorithm update ke bad ye important nahi hai but event blog ke liye ye better hai. Iske alawa country level domain use kare. Example, agar aap Indian event choose karte ho to .in or other all countries choose karte ho to .com domain purchase kare.
4. Start and Setup Event Blog
Event blog ke liye topic, keyword and domain name choose karne ke bad aapko blog start kar uska sahi se setup katrna hai. Iske liye aap most popular blogging platfrom WordPress and BlogSpot me se kisi ek ko select kar sakte hai.
Event blog ke liye main aapko blogger platform choose karne ko kahunga kyuki ye bilkul free or secure hai. Sabse achi bat aap blogger par ek minute me blog create kar sakte ho, Free Website Blog Kaise Banaye.
Or agar aap pay karne me able hai to aap WordPress platform choose kar sakte ho jiske liye aapko hosting ke liye pay karna hoga.
Blog create karne ke bad us par aesi theme or template install kae jo event se relevant design wali ho. Sath hi theme user-friendly hone ke sath fast loading bhi honi chahiye.
5. Write Quality Content
Blog create and setup karne ke bad aapko us par event se related content wal achha achha high quality content write karna hai. Apne main keyword ko target kar long and unique content write kare. Ye kaam aapko event day se 30-40 day pahle start karna hai.
Yaha main top event se related keywords ke hint de raha hu. Aapko aesi hi topics par content likhna hai.
- Happy New Year Wises and Greetings
- Happy New Year Message, New Year SMS & Wishes
- Valentine Day Special Shayari for GF or BF
- Special Diwali Offer – 50% Discount Coupon Code
Har article me kam se am 1000 words use karo. Agar aap 1000 per post write karte ho to 10 to 20 posts or isse kam words write karte ho to 20 to 40 posts likhni hai. On Page SEO and Off Page SEO follow karke quality content like taki aapka content google me top par aaye.
6. Create Quality Backlink
Apne blog ko google me first page par rank karane ke liye link building jaruri hai. Iske liye aap related website or blogs par comments or guest post karke backlink generate kar sakte ho. Backlink dofollow ho to jyada better hai.
Same keyword par bar bar backlink banane ki jagah different keywords par backlinks banao. Blog ke liye backlink banane me ye article aapki help karenge. Agar aap aesa karte ho to google aapki site ko rank nahi dega.
- Blog Par Quality Backlinks Kaise Banaye 20 Ways
- Dusre Blog Par Comment Kar Ke Backlink Kaise Badhaye
Aap chahe to iske liye backlink tools ka istemal kar sakte ho but main iske liye recommend nahi karunga.
7. Monetize Event Blog
Blog ko monetize karne ke kai tarike se apa kai tariko se blog se earning kar sakte ho. Event blog se bhi aap same tarike se paise kama sakte ho.
Ek blogger ke liye ye koi naya topic nahi hai par agar aap new ho or blogging earning source ke bare me jyada jankari nahi hai to aap humari ye post read kare.
- Website or blog Bana Kar Usse Paise Kaise Kamaye
- Blog Se Paise Kaise Kamaye, Paise Kamane Ke 5 Popular Tarike
Event blogging me aap kitne tarike se paise kama sakte ho is bare me niche details se btaya gaya hai.
8. Promote Blog & Get Traffic
Last me aapko apne content ko promote traffic receive karna hai. Iske liye aap kai tarike istemal kar sakte hai. I think social media iske liye best way hai but aap jaise bhi kar sako or jitna kar sako utna promote kar traffic increase kare kyuki aapke pas only 30-40 days hi hai.
Yaha main aapko kuch posts ke link de raha hu jo traffic pane me aapki help karegi.
- (101) Blog Ki Traffic Kaise Badhaye 101 Popular Tarike
- Website Par Jyada Referral Traffic Pane Ki Top 10 Tips
- Blog Par Without SEO Ke Traffic Kaise Badhaye 5 Badiya Tarike
- Social Media Sites Se Adhik Traffic Pane Ke Top 5 Clever Ways
- Hindi Blog Par Traffic Kaise Badhaye Top 10 Important SEO Tips
In articles ko read kare or inme btaye formulas follow kar jyada se jyada trafffic pane ki koshish kare. Yaad rakho aap jitna traffic receive karoge aapki utni hi jyada earning hogi.
Event Blogging Se Paise Kaise Kamaye
Iske bare me main already step 2 ke point 7 me bta chuka hu. Yaha main kuch explain karke bta deta hu. Actually, event blog ke liye hume event se relevant advertisement or product ki jarurat hogi.
Google ka adsense network top advertising program hai or iske pas har type ke ads available hai. Aap koi bhi event select kare google ke pas usse related advertisement mil hi jayenge.
Second aap affiliate marketing use kar event se related product ko promote kar sakte ho. Iska sabse achha fayda ye hai ki isme aapko per sell $10 to $100 ya isse bhi jyada mil sakta hai.
Main yaha aapko kuch top income source ke bare me bta raha hu aapko jo better lage wo choose kare.
- Google Adsense
- Affiliate Marketing
- Infolinks
- Chitika
- Media.net
- Promote your Own Product
- Other many advertising programs
Inme se Google Adsense and Affiliate Marketing mere favorite hai. FIrst aap ye try kare or agar aapko lagta hai ki aap dusre tarike se jyada kama sakte ho to wo choose kare.
Final Conclusion
So ye thi event blogging, event blogging karne, or event blogging se paise kamane ki jankari. I sure koi bhi event blog bana kar saalo ki income sirf kuch din me kar sakta hai. Kam time me adhik earning karne ka plan hai to ye tarika aapke liye beneficially sabit ho sakta hai.
I hope upar btayi jankari event blog shuru karne ke liye kafi hogi. Agar aapko event blogging ke bare me jankari hai to aap apne ideas niche comments me jarur share kare taki humare readers ki help ho sake.
I hope aapko ye jankari achhi lagi hogi agar haa to is article ko social media par share
Dileep Gupta
mujhe jo bhi jankari Event blogging ke bare me chahiye tha wo aapake es artical se mil gaya thank you for sharing
Roshan Kumar
Sir Event Blogging Me Adsense Approval Milta Hai Kya
जुमेदीन खान
हां, बिल्कुल मिलता है
SANDEEP TAK
Event Blogging ke bare me bhut achi jankari share ki hai apne thanks sir
Sachin Patel
Bahut acchi jankari di aapne but sir mene you tube par video dekha vaha bataya gaya hain agar aap adsence add ko wishing website par use karte he then aapka adsence disapprov ho jata he.
Jumedeen khan
Yea, disable ho jata hai.
Bhupendra Singh Lodhi
Bhut achhi jankari sir,
Main bhi event blogging pr.kaam kr rha hoon ab
Ahmed nawaz
Bhai agar men ek Blog banata hun Blogger e us pe Hard work karta hun Backlinks banata hun to Aage chal ke Agar men dot com domain buy kar ke WordPress pe ajaon to un Backlinks ka Kia hoga jo Blogger ko use kar ke banaye the ?
Jumedeen khan
Jab aap domain change karoge to aapki site ki ranking 0 se shuru hogi, backlinks transfer nahi honge so aap pahle se domain le kar blogger par blogging karo bad me jab chaho wordpress par move kar lena problem nahi hogi.
Afreen
Woooo… itne saare right now.. Its like a dream for me to see this 🙂 but i know team work makes the dream work.. and thank you so much for this lovely information
kuldeep singh
Sir event blog ko hame jaldi top rank me lana padta hai,to isko jaldi rank karane ke liye kya karna padega
Jumedeen khan
Jaldi index karane ke liye google search console tool ka fetch as google feature use karo.
vikas
1. sir event blogging me jaise hum koi happy new year ki sayari ya koi quotes internet se copy karke likhte hai to copyright ka issue nahi hoga kya sir
2. sir kya hum internet se sayari or quotes copy karke apni website me laga sakte hai kya?
Jumedeen khan
Shayari joke copyright nahi hote hai. lekin copy paste karna buri bat hai.
Raksha
Sir Maine WordPress.Com pe account banaya hai free Mei Lekin mere pass Koi website nahi hai bus aise he Bana liya free service Mei Mujhe Jo bhi mila wo Sab or do blog bhi publish kiye hai.. Abb baat ye hai ki isse earning kaise kare ya alag se website banaye… Kya karna chahiye ye bataye
Jumedeen khan
Free blog banana hai to aap blogger.com par banao wordpress.com par bahut si limit hai jo aapke kaam m adchna paida karengi.
Barinder singh
Nice post thanks for sharing
Rakesh kumar
वाह अच्छी जानकारी
Barinder singh
Sir very good post thanks for sharing
Barinder singh
Hi very good post thanks for share
Barinder singh
Hi very good post thanks for sharing
Umesh Ninawe
Boht badhiya bhai mere liye ye boht hi kaam ki post hai muze pta nhi tha ki event blogging kya hai ab aapne boht achhe se aur detail me samjhaya hai.. thanks for sharing
Amit Rajput
Sir agr main aaj se blogspot par event blogging start karta hoon to mera AdSense ka account kitne din main approved ho jayega
Jumedeen Khan
No days limit jab aapke blog me 300 to 500 traffic ho jaye apply kar lena.
nitin
Bahut badhiya jankari di hai, event blogging jarur try karenge.
Nazim Ansari
Bahut hi informative post share ki hai apne.
Ye kaafi useful hai un bloggers k liye jo ek dams se achi earning karna chahte hain.
Great work. Keep it up.
Thanks for sharing…!
neeraj singh
मेरा ब्लॉग Adsense से Approved है एक पोस्ट पर कितने ऐड लगा सकते हैं. और होमपेज पर कितने ऐड लगाना सही रहता है.
Jumedeen Khan
Look here Google Adsense Ad Limit Per Page Policy Removed in Hindi
Anuj Singh
Sir aapki ye post bahut achi hai. Mujhe kuch naya sikhne ko mila or bhi janne ko mila ki event blog se ache khase paise bhi kamaya ja sakta hai.