Abhi kuch din pahle kisi hackers group ne dawa kiya tha ki india ke facebook accounts se 70% girls or ladies ke photo p*rn or s*xy sites par send kiye ja rahe hai. Is news ke aane ke sath hi facebook ne apne users ki security or increase ki hai. Agar aap in hackers se bachna cahhate hai or apne photo safe rakhna chahate ho to is post ke bataye tips jarur follow kare. Aapka facebook account 80% safe rahega. Agar ye bat sach hai to sochne wali bat hai. Isliye hum lekar aaye hai kuch aesi secret tips jo aapke facebook account ko hack hone se bachayengi or aapke photos ko koibhi hacker nahi chura sakega.
Actually social sites already secure rahati hai. Lekin hum apne social media ki security settings ko ignore kar dete hai. Jiski wajah se hacker aasani se hamare account ko hack karke hamari personal data ko chura sakta hai. Maine Blog Ki Security Ke Liye HTTPS Enable Kaise Kare post me bataya tha ki kis tarah hacker hamari site, account, email ko hack karte hai. Ab main aapko facebook account ki security ke bare me tips de raha hu agar aapko sahi lage to follow kare.
- Smartphone Ki Memory Badhane Ke 5 Badhiya Tarike
- Facebook Account ID Block Hone Par Recover Kaise Kare
Facebook account safe kaise rakhe 11 secret tips: Is post me bataye tips badhiya hai. Agar aap or hum in tips ko follow karenge to koi bhi hacker hamara facebook account hack nahi kar sakta.
Facebook Account Ko Hack Hone Se Kaise Bachaye 11 Tarike
Actually, facebook me pahle se apne accountko secure karne ki suviddha uplabdh hai. Aapko bas kuch step follow karne honge or apne facebook account ki settings is tarah karni hogi ki koi aapki personal information hack and chura na paye.
Follow below steps:
1. Facebook Photos, Posts, Status Ko Anjan Logo Se Bachaye
Facebook par apne photos, posts and status ko anjan logo se kaise bachaye ye main aapko batane wala hu. Actually facebook me pahle se ye security uplabdh hai ki aap jin logo ko nahi jante hai unse apne photos, posts and status ko hide kaise kar sakte hai.
Account setting:
- Ab settings & privacy par jaye.
- Ab jaha kahi bhi privacy publish ho waha privacy change karke only my friends ya aap jo bhi chaho add kar sakte hai.
Facebook page setting:
- Apne facebook page ke right side me diye icon par click kare.
- Ab aapke samne Privacy Setting and Tools ka option open hoga.
- Isme Who can see my future posts? par click karke aap apni privacy only me ya only my friends karke apni photos ko anjan logo se hide kar sakte ho.
2. Facebook Log in Alert On kare
humesha facebook log in alert ko on rakhe. facebook alert on hoga to jab koi aapke account ke sath chedchad karega ya log in karne ki koshish karega to aapko iska email ya message mil jayega.
- facebokk settings par jaye.
- Security Settings par click kare.
- Log in alert par click kare.
- ab alert option ko on karke setting save kare.
3. Bina Pahchan Ke Person Ki Friend Request Block Kare
Facebook par kei bar aapko anjane logo ki friend rquest milti hai. or inhe aap accept nahi karte hai to wo bar bar rquest send karte hai. ye log hacker ho sakte hai. ayse mai aap apne account ki setting me ja kar ye set kar de ki aapko koi anjan user friend request na bhej sake.
- facebook privacy setting par jaye.
- ab ‘Who can contact me?’ par jaye.
- yaha ‘Who can send you friends request’ par aap everyone ki jagah friends of friends select kare. ayse me aapko sirf aapke dosto ke dost hi friends rquest send kar sakenge.
4. Message Filter Kare
Agar aapke pas jarurat se jyada message aate hai to aapko message filter setting me ja kar message filter setting karni hai. message filter settings set karna isliye jaruri hai ki yaha se bhi aapki private information leek ho sakti hai.
- facebook privacy settinfg paer jaye.
- ‘Whose messages do want filtered into my inbox’ par click kare.
- yaha basic or strict 2 option honge. aap strict set kare. jise aapke pas aane wala har message filter ho.
5. Email Address Hide Kare
Bahut se log email id se facebook account banate hai or apni email id ko facebook account par publish karke chod dete hai. ayse mai hacker aapki email id pata karke aapke pas facebook ke fake message bhejta hai. jaise koi offer ya kuch or ayse me aap us link par click karke jab log in karte ho to hacker ko aapke password mil jate hai.
- iske liye aap ‘who can look you up using the email address you provided?’ par jaye.
- yaha par everyone ki jagah friends select kare.
6. Mobile Number Hide Kare
Agar aapki facebook profile par aapke mobile number add hai to phone no. ko bhi yaha se churaya ja sakta hai. so apne mobile number kabhi bhi publish na kare.
- facebook setting me ‘who can look you up using the phone number you provided?’ par jaye.
- ab evryone ki jagah friends select kare.
7. Timeline or Tagging
Kai bar aapki timeline par aysi photo share ki jati hai. jo aapke liye galat ho sakti hai.ayse mai is bat ka dhyan rakhna jaruri hai ki koi aapko galat images me tag na kar sake.
- timeline and tagging setting par jaye.
- Who can post on your timeline?, Who can see posts you’ve been tagged in on your timeline?, Who can see what others post on your timeline? sab par only me set kare.
8. HTTPS Ka Rakhe Khyal
Aap jab bhi kisi site par log in ya sign up kare to ek bat ka humesha dhyan rakhe ki wo site https:// se start hoti ho. fir chahe wo social media ho ya koi or site ho. https ka matlab hota hai Hypertext Transfer Protocol Secure. ise website security ke liye hi banaya gaya hai. jo site https se start hoti hai. un par aapki id koi nahi chura sakta hai.
9. Active Security Code
apne facebook account ko secure rakhne ke liye humesha security code active rakhe . isse aapko apne account ke bare me jankari milti hai. or koi aapke account par chedchad nahi kar sakta.
- facebook settings par jaye.
- security settings par click kare.
- Code Generater par click kare.
Ab yaha apr ek unable ka option aayega. is par click karte hi ek box khulega. isme aapko security number dalna hai. aapko ye security code facebook apps se milega. facebook apps ke menu me ye option hota hai. yad rahe apps se code milne ke bad ise 30 second se pahle box me enter karke submit karna hota hai.
10. Log Out Any where
Hum aksar jaldbazi me apna facebook account log in hi chod dete hai. ayse me iske sath koi bhi ched khani kar sakta hai. facebook me ab aysa feature hai ki aap kahi se bhi log out kar sakte ho. facebook par aapke account se kab kaha or kis browser ya android mobile se log in kiya hai sab save ho jata hai. ise aap niche diye tarike se delete kar sakte ho. iska fayda ye hai ki agar aap kisi or ke computer ya phone me log in karke chod aaye hai to aap use apne device se log out kar sakte ho.
- facebook settings par jaye.
- security settings par click kare.
- ab ‘where you are logged in me dekhiye. aapne jaha bhi apna account open kiya hoga. sabki jankari yaha hogi. in sabko log out kar de.
11. Followers Setting
followers setting me agar aapne setting publish kar rakhi hai to aapke friends ke sath aapko follow karne wale bhi aapki post dekh sakte hai. ayse mai hacker aapko follow karke aapki image chura sakta hai. isliye followers setting ko bhi publish nahi rakhe. aap facebook setting>>followers>>who can follow me par everyone ki jagah friends select kar sakte ho.
Post Summary:
Ummid hai is post ko padne ke bad aap apne facebook account ko secure rakh sakte ho or aapka facebook account hack nahi hoga. is post me btayi tips ke alawa abhi facebook par apne account ko safe rakhne ke or bhi bahut tarike hai. jinke bare me hum aanr wale time me bat karenge. abhi ke liye itna hi bahut hai.
- Facebook Par Like Kaise Badhaye, Post Ko Viral Kaise Kare
- Aapki Facebook Profile Ko Sabse Jyada Kisne Dekha Hai Kaise Pata Kare
Is Message ko ignore na kare. or apne 5 minute de kar apne facebook account ki securty set kar le taki future me aapko kabhi account hacking ka samna na karna pade. becoz ab hacker ki power day by day badhti ja rahi hai. agar aapko ye post achi lagi ho to ise share jarur kare.
Aditya
sir mujhe free fire game mai ek bande ne kaha ki apko membership chahiye to usne mujhe meri id or password manga meri game facebook se login thii mujhe member ship mai diamonds milne thee lekin aab jab manay apni id open ki to usne meri id ka name password change ker diya hai aab mai id open karu to open nahi hoti agar apna find account karu to otp uske number pe show hota hai aab aap betao mujhe apni id lane ke liye kya kerna chahiye please help me
जुमेदीन खान
अब कुछ नहीं कर सकते है, आपने खुद ही उसको एक्सेस दे दिया है, और उसने details बदल ली है, हां आप उस ID की रिपोर्ट करके उसे बंद करवा सकते हो
Ankita sharma
Sir mujhe ye btaiye ki fb pe msg request pe kese privacy lgayi jati ha baaki mene aapki har tips follow ki ha bss message request ki privacy k bare mai bhi kuch bta dijiye
जुमेदीन खान
आपको केवल आपके दोस्त ही मेसेज भेज सकते है, और अगर किसी से समस्या है तो आप उसे ब्लाक कर सकती है
Arjun namdev
Facebook photo pr just now ka tag na lage to kya kre
Afreen
Thank you.. Sir mujhe posts me kafi tag kiya ja raha hai maine useib bnd bhi kiya lekin kuch nahi ho raha kya karu
Sunil Agrahari
Sir meri I’d disable ho gayee hai open nhi ho rahi hai main kya Karoon please help me
md hasrat
sir mujhe ye bataiye ki fb me add button ki jagah par follow button kaise lagaye add button ko hatakar follow button kaise lagaye…. plz sir reply me…..
Jumedeen Khan
Aapne jin logo ko follow kiya hua hai unko unfollow kar do follow button show hone lagega.
Nouman Rajput
Sir kisi ne meri id ko hack kr liya h
sir pls help me
ankush Sinha
Hello good morning sir kisine mera Fb account hack kar diya computer se khul bhi nahi pa raha hu plz help me,, !!
Jumedeen Khan
Aapne other device se account par login kar password change karo orlog in na kar payo to password reset karo.
vishal
sir ji mai jab bhi mere kuch blogpost ko jab bhi facebook pe share karta hu to ek error ata hai ki : “Did you post this? It looks like it might be spam. If you didn’t post this yourself, ” sir kya ap muze bata sakte hai ki ye aisa kyo ho raha hai plz help me
Jumedeen Khan
Ye facebook ki warning hai. facebook nahi chahata ki aap apni site ka facebook par promotion karo.
Madan Swami
Bro plz heLp me meri id kisi ne hack kr li hai mein kisi kharabh pictures pr likes nhi krta hu fir bhi meri id mein jab mein activity log mein dekhta hu to usmein bhdi pictures pr likes bta dete hai mein kya kru maine password change kiye fir bhi kuch nhi hua please help me
Jumedeen Khan
Madan aap facebook password fir se change karo or strong password use karo ho sake to mobile number bhi change kar lo.
Niel
Sir, mera fb ac kisine block kr dya he.. abb login krne ki kosis krne par, id verification mangte he. or jb me mera id ka photo upload krne jata hu toh nhi ho raha. plz help me..
Jumedeen Khan
Photo upload karne par kya problem ho rahi hai.
Sharukh
Jume deen Bhai mera ek gmail account kisi ne hack kar liya hai jab me login ke liye password enter karta hu to recovery email address verify karne ke liye kahta hai.lekin email address match nahi hota hai. maine bahut try kiya lekin fir bhi mera gmail account nahi khul raha hai aur us gmail id se mera facbook account bhi hai uske password to maine change kar diye hain jume deen bhai meri help kijiye mujhe kya karna chahiye aur kisi ne mere dusre gmail account ko bhi hack karne ki koshish ki hai uska msg mere us gmail par aaya hai bhai me bahut pareshan hu mujhe kya karna chahiye mere dusre account bhi koi apna banana chahta hai jo msg mere paas aaya hai wo ye hai-
Someone has your password. Google prevented the sign-in. Learn more
Windows
Time: Yesterday, 4:42 PM
Location: Pune, Maharashtra, India
Browser: Chrome 53.0
IP address: *.**.**.**
bhai mujhe iske bare me jarur bataye please ab mujhe kya karna hoga
Jumedeen Khan
Aap gmail account ko mobile number se recover karo or uske password change karo.
bhupendra kumar
hello sir meri fb id number se bni hui hai aur me uska password bhul gaya hu aur mera no wo kho gya kya me use dobara start kar sakta hu koi trick ho to zarur btayen
Jumedeen Khan
Nahi without number nahi kar sakte.
Vikas Sahu
Recover Email Add Karo Aap ID Ko Aasani Se Recover Kar Sakte Ho
Abhishek Mondal
Facebook ka Strict message filtering option disable ho gya hai. Iss setting ko kisi aur options se active kr skta hoon kya? Strict Filter ki zarrurt hai mujhe. Bahar se bohot abuse messages aa rhe hai.
amir
hi sir mujhe bataye plz ki agar ek Facebook account me 10 page ho aur un pages me 100 likes hoto kya hum use ek saath bech sakte hai
Jumedeen Khan
Nahi nahi bech sakte.
Vikas Sahu
Facebook Pages Ko Merge Karo Jisse Sabhi Ke Like 1 Page Par Chale Jayege
atul
Bhai yeh btaye ki maine apna google adsen account 5 se 6 din hogya hai bnaye huye aur abhi bhi approve hone ka message nhi aaya hai mai kya karu aur jub main alexa rank ka widget lgata hun to no data likh ke aarha hai please help me
Jumedeen Khan
Aapke blog par jab tak 300+ pageviews per day na aaye tab tak aap AdSense account nahi bana sakte. or aapke blog par abhi alexa rank hi show nahi ho rahi hai. iska matlab hai ki aapke blog par abhi 100 pageviews per day bhi nahi. hai. so ayse mai aapne AdSense account kiski salah se banaya hai. aapa AdSense approved nahi hoga. pahle apne blog ki traffic badho uske bad AdSense account banana.
Harshad Bataviya
Sir apki website par ” social slide out ” widget hai vo me mere blog par kaise ad kar sakta hu….
Jumedeen Khan
mera blog WordPress par hai or maine social button plugin se lagaye hai. agar aapka blog WordPress par hai to aap social share button plugin use karo.
Harashad Bataviya
Mera Blog Blogger Me hai to kya kar sakta hu…..
Jumedeen Khan
ye post pado Social Follow Buttan Widget Blogger Me Kaise Add Kare
Harashad Bataviya
sir muje me social follow button ki bat nahi kar raha hu aapke blog ka page jab load hota hai tab facebook ka ek slider aata hai jisme Likha hai…… “Follow Me on Facebook Humse Facebook par contact Kare.” Ye me kaise Blogger me Ad kar sakta hu….
Jumedeen Khan
maine slider facebook plugin use kiya hai. agar mere pas iski coding hoti to aapko send kar deta. fir bhi mai iske bare me post karne ki puri koshish karunga.
Raj
Me apke sath guest post karna chahta hu kya or me us post me apni site promotion kar sakta hu.
Jumedeen Khan
agar aapko supportmeindia par guest post karni hai to contact form me message send karo. comment me aap koi bhi link bina wajah add nahi kar sakte.
Vijay Singh
achi jankaari he !!!
mithlesh kumar
sir min simple site .com se ek website bnakr enterweb k dwara submit ki h to kitne din bad ye search engen pe aayega air kitne aartical ya post honi chahiye
2 and website ko disaine kaise karte hain help me plz
Jumedeen Khan
aap sidhe apni site ko google search engine se submit kari. read this post Blog Ko Google, Bing, Yahoo Search Engines Se Kaise Submit Kare
website ko design karne ke liye aapko uski coding aani chahiye.
Vijay Singh
are nhi mere kehne ka matlab he ki jaise aap kuch samjane ke liye photo daalte ho or usme jo arrow hote he 1,2,3 wale wo … kis software se add karte ho?
Jumedeen Khan
mai bhi aapko usi ki bare me bta raha hu ki photoshop se banata hu.
Vijay Singh
sir plz bataye aap arrow wale photo kis software se karte ho?
Jumedeen Khan
mai photo photoshop software se banata hu.
Deepak Shrivastav
Really, Har Kisi ko apna Fb account secure rakhna chahiye or kaise secure banaye ise aapne bahot badiya tareeke se smjhaya hai..
mera ek question tha, AdSense me Search engine unit ads ke baare me , ke use kaise ad kar sakte hai apne blog me n maine pehle AdSense me bahot ad code units create kiye the but ab mai sabhi posts me space ke hisab se or ads placement policy ke hisab se ads set kar raha hu, to jo purane ads the unhe remove karke new ads generate krke laga raha hu isse koi problem to nhi hogi. kyuki pehle wale ads mai remove krke ab new ads ad kr raha hu,
Jumedeen Khan
Nahi koi problem nahi hai. aap AdSense par jao or my ads>>create new ads par click karo. ab left side ke sidebar me search option par click karo. yaha aapko create custom search engine ka option mil jayega.
Deepak Shrivastav
Search Unit me keywords me kya add karna hai?
I mean k konse keywords daalne hai waha ?
Jumedeen Khan
apne blog se related 4-5 keyword add karne hai. aap jiski jankari share karte ho. jaise mai blogging ki jankari share karta hu to blogging keyword use karunga.