Facebook Instant Articles Kya Hai – All Feature Details in Hindi

Agar aapka facebook par koi page hai to aapne apne facebook page par Facebook Instant Articles feature jarur dekha hoga. Ya fir aapne iske bare me kahi or suna hoga. Aaj is post me mai aapko facebook instant articles ke sabhi features ke bare me detail se information de raha hu. Ise padh kar aap aasani se samajh sakoge ki. Facebook Instant Articles Kya Hai?

Facebook Instant Articles

Actually, Maine bhi ye featue apne facebook page par kei bar dekha tha but ek friend ke iske bare me puchne par maine iske bare me ache se information pata ki to mujhe laga ki iske bare me apne readers ko bhi btana chahiye.

So mai is article me aapko Facebook Instant Articles ke bare me wo sab jankari bta raha hu. Jitni me janta hu. Adhik information ke liye aap facebook help form par visit kar sakte hai.

Facebook Instant Articles Kya Hai – All Feature Information in Hindi

Facebook ne 12 may, 2024 ko Facebook Instant Articles feature ko launch kiya tha. Starting me ye features sirf kuch official pages par available tha. But ab ye sabhi facebook pages ke liye available hai or koi bhi ise use kar sakta hai. Pahle ye sirf iOS application me work karta tha but ab ye sabhi andorid mobile me work karne laga hai. Or koi bhi publisher ise apne facebook page me add kar sakta hai.

Ek bar aapke Facebook Instant Articles ko facebook page me enable karne ke bad aapke blog or website ki har post Facebook Instant Articles ke roop me automatically share hogi. Means aapko Facebook features ko use karne ke bad facebook page par manualy post share karne ki jarurat nahi hogi.

Facebook Instant Articles All Feature Details in Hindi

Facebook Instant Articles feature ko facebook ne publisher ke fayde ke liye banaya hai. Facebook team ka kahna hai ki facebook page par kisi post ko open karne me kei bar slow connection ki wajah se bahut time lag jata hai or post jaldi loading nahi hoti hai.

Is reason se bahut se reader aapki post padhe bina hi aapke page ko chod jate hai. Facebook Instant Articles features me aapki site puri post show hogi or fast open hogi. Aapke facebook page par ye service approved hone ke bad aap ise try kar sakte hai or iske bare me details se pata kar sakte hai. Fir bhi mai yaha aapko iske kuch important benefit bta deta hu.

  1. Fast loading time: Facebook ke anusar Facebook Instant Articles pahle 10% fastly open honge. Jisse slow internet connection use karne wale mobile user bhi aapke article jaldi or kam time me padh sakenge. Isse reader or publisher dono ko fayda hoga. Publisher ki site par traffic badhega or reader aapki post easily padh payenge.
  2. Analytics: Facebook team ne apne aritcle me btaya hai ki aap Facebook Instant Articles par aaye traffic ko aap google analytics and other traffic report btane wale tools par dekh sakte ho. Facebook bhi iske bare me alag se tools banane wala hai. Jis par aap ye pata kar sakte ho ki aapke Facebook Instant Articles ko kitne log padh rahe hai or ye visitors kaha kaha kis country se aaye hai. Iske alawa bhi aap or bahut kuch dekh sakte ho. Aap chaho to is feature ko google analytics se track kar sakte ho.
  3. Only for Mobile: Facebook Instant Articles features sirf mobile users ke liye hai. Ye sirf mobile me hi work karta hai,
  4. Advertisment: Aap chaho to Facebook Instant Articles me apne ads bhi dikha sakte ho. Aapki ads se jitni income hogi wo sabhi aapki hogi. Facebook iska aapse koi commission nahi lega. Iske bare me adhik information ke liye aapko apne page par Facebook Instant Articles features enable karne ka wait karna hoga. Uske bad aap facebook guidelines ki help se pata kar sakte hai ki aap isme kis type ke ads use kar sakte ho.
  5. Formating: Facebook Instant Articles features ko aap chahe jaise customize kar sakte ho. Yani aapko kaha kaise or kya kya dikhana hai or kya kya chipana hai. Ye sab aap is feature me set kar sakte ho. Iske alawa aap apni post ke text, link, logo and background ka color bhi change kar sakte ho.

Finally, Ab aapko Facebook Instant Articles kya hai ke bare me to pata chal gaya hoga. Next post me hum bat karenge ki kaise hum Facebook Instant Articles features ko apne facebook page me enable kar sakte hai or kaise apni site ki post ko facebook par automatic share kar sakte hai.

I hope aapko ye article pasand aayega or aapko isme useful information mili hogi. So plz ise social media par share jarur kare.

Avatar for Jumedeen Khan

About Jumedeen Khan

I'm the founder of this site and we regularly share useful and helpful information here for beginners. ❤️

Reader Interactions

Comments (124)

  1. Avatar for NirajNiraj

    Jumedeen Bhai 1 acha article kaise likhe jaise heading,subheading or keyword ka use post me kitni bar kre, or image type jaise jpg, png, kiska use kre,

    • Avatar for जुमेदीन खानजुमेदीन खान

      जितनी जरूरत हो उतना ही heading, subheading or keyword इस्तेमाल करो आर्टिकल खुद-ब-खुद अच्छा बन जाएगा

  2. Avatar for DharamDharam

    Hello sir aap ye batao ki facebook instant articles ko sign up krne ke baad vo mujhe mere purane page show krta h or mene ek new page bhi abi bana liya hai.lekin signup k baad new page select nhi hota hai or purane par select karne par hota to hai lekin usme site ka url add nhi hota hai.error aati hai .mene website bhi new bnayi hai jisme 10post jo 200word ki hai.us par trafic nhi h.or new fb par pr bhi koi like follower nhi hai.plz help

  3. Avatar for Ajay kumar GuptaAjay kumar Gupta

    Good information sir, hame bhi malum nhi tha ki aakhir yah facebook instant article kya hai? So aaj aapki post me padh liya. Thanks sir is post ko share karne ke liye.

  4. Avatar for kapil malikapil mali

    facebook instant article 10000 page view par kitna paisa deta hai..

  5. Avatar for kashifkashif

    mene apni website ki hosting change ki aur tab se meri post instant article me sahi se publish nahi ho rahi hai matlab jaise hi me facebook page par post publish karta hun ya to wo instant article me jati hi nahi ya fir jati bhi hai to post ko open karne par content ki jagah question mark ka sign aata hai mera blog hindi me hai aap check kijiye kya problem ho sakti hai mene innstant ariticle feedd check kiya usme bhi question mark dikha raha hai

  6. Avatar for kashifkashif

    me jab apne hindi blog ki instant article post facebook me publish karta hun to usme ?????????????
    ?????? aa jate hai content ki jagah agar usme kuch english ke word hai to wo sahi aate hai ye problem jab se hui hai jabse mene server change kiya hai

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aapka blog open nahi ho raha hai so main check nahi kar sakta.

  7. Avatar for G. P. GautamG. P. Gautam

    भाई बहुत अच्छा लेख है, Instant Article के बारे मे. आपने हिंदी में लिखा है तो यह और भी बढिया काम है. क्योंकि इसके बारे में हिंदी में जानकारी मिलती ही नही. सिर्फ एक दो ब्लॉग पर ही इसके बारे में लिखा गया है. जिनमे से एक आप भी है.

    धन्यवाद.

  8. Avatar for Mo AzizMo Aziz

    jumedeen ji
    facebook Instant Article ko kaise Use ya setup kare iske Bare me Bataye

  9. Avatar for Arvind chauhanArvind chauhan

    bhai ribbon theme ko kaise host karu sabhi file php me hai aur upload html ho raha hai to site run kr rahi hai. To ?ibbon file ko file zila se kaise host karu help me bhai

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Arvind aap kya kah rahe ho them ko host kaise karte hai. jara details me btaoge.

      • Avatar for arvind chauhanarvind chauhan

        Mera matlab hai ki mughe hosting karni hai aur template ka theme ribbon hona chahiye aur mane godady ki hosting service li hue hai to bataye ki ribbon theme ko mai apne template pr kaise lagau mai blogger pr nahi hu maine godady se hi domain name aur hosting li hai. aur hosting ke liye html file he upload karni hoti hai jabki ribbon theme me php extenssion ki file hai jo upload karne baad coding ko hi show kar raha hai koi samadhan batayen bhai..

        • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

          Aap sabse pahle hosting par WordPress blog intall karo.

      • Avatar for arvind chauhanarvind chauhan

        Yaa to Jume Deen Bhai Mughe apni Site (https://www.supportmeindia.com) Ko Kaise host Kiye huye Hain yah hi bata do mai apni site ko same procedure se host kar luga aur haan Maine Apki saari Post Padh Li hai Ye mat Kahiye Ga ki meri Ye Post Padho.

        • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

          Arvind mere bhai aapne sari post padhi hoti to aapko WordPress or hosting ki puri jankari nahi hai. Aap sabse pahle hosting par WordPress blog install karo. Fir us blog me ribbon theme upload karo.

  10. Avatar for Md SabanMd Saban

    sir, meri website per traffic kyu nhi aa rha hai. Please meri website chech karke bataye ki kya kami hai mere blog me.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      SEO friendly post likho traffic badh jayega.

    • Avatar for chaitanya yadavchaitanya yadav

      Sir mere blog ko search krte samay aap ka ek blog jisme maine bahut se comment kiye hai wo aa gya hai aisa q hai plz ise rok dijiye

      • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

        mai ise nahi rok sakta.

  11. Avatar for prashant rathoreprashant rathore

    hlo sir
    WordPress blog ko analytics se kaise connect kare

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      WordPress blog ke dashboard > appearance > editer par jao or header.php me head se pahle analytics code add karo.

  12. Avatar for ravi kumarravi kumar

    bhaiya mere message ka reply nahi aaya fb pe anytechinfo ke name se hoga , jaldi kare kai din ho gaye

  13. Avatar for zishan ali gulzarzishan ali gulzar

    sir, ek problem hai mera blog ko google webmaster me submit 15 day pahle kiye the uske bad all url index ho gya tha jaise 76 me 76 index bta rha tha,,,but aj check kiye to only 55 index show kr rha hai,,,ur graph me v kal tak 76 tha ur aj 55 hai aisa kyu..?? ur isse koi problem,,ur ise kaise thik kare

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      URL index hote rahte hai. Don’t worry fir se sabhi index ho jayenge.

  14. Avatar for dilipdilip

    jab me XML sitemap banata hu ye likh k aata h
    here was an error while accessing the URL specified:xyz.blogspot.com
    Please make sure to specify the correct website URL and resubmit your request.

    jabki URL bilkul sahi dalte hai

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aap galat url use kar rahe ho xyz.com use karo.

  15. Avatar for RUTVIK ModiRUTVIK Modi

    Sir मैंने अभी 2 महीने पहले एक ब्लॉग बनाया है जिसमें अभी तक १०० पेज view नहीं होते और जो भी पेज view होते हैं वह भी सोशल नेटवर्क के जरिए ही होते हैं तो क्या आप मेरी वेबसाइट देखकर बता सकते है कि इसमें क्या गलती है प्लीज मेनें पहेलें भी कोम्जयुनेट क्याथा लेकून मेंरी वैबसाइट की लींक गलत थि जो अब सहीं लिंक है मुंजे प्लीज जावाब दीजीए गा
    मेंरी लिंक ruyamee.blogspot.com

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      aapki site me koi kami nahi hai hai. Traffic na aane ki wajah hai aap wohi post likh rahe ho jo pahle se internet par 1000+ blogger likh chuke hai. So iske bare me sabhi ko jankari hai or koi bhi aapki post padhna nahi chahata. Aap sabse alag kuch post likho traffic badhne ki garantee deta hu.

  16. Avatar for vakil shaikhvakil shaikh

    hii jumedeen bhai kaise hai aap bahut hi badiya post kiye hai aap kuch hi dino me best jumedeeen bhai keep it up mai bhi aapke site per guest post karna chahta hu kya aap paise dete hai guest post karne per.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Guest policy padh lo. Paise wali post hogi to jarur dunga.

  17. Avatar for AryanAryan

    Bhai mai apki tarah menu bar banana chata hu jaisa apke header ke niche black color me hai kaise banaye isko

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      ye javasript coding se banta hai. Meri theme me ye pahle se hai.

  18. Avatar for Sonu RajputSonu Rajput

    Sir Kya hum Apne Website par AdSense ke Sath koi Or Ads Laga Sacte Hai Kya ?

  19. Avatar for RAJESH SharmaRAJESH Sharma

    maine apne blog par page lavel ads. lagye h fir jab URL ke aage #googleads likhkar chek kiya to ads to show rhe h par jab #googleads nhi likhte h to nhi show ho rhe h.
    or jab maine chek kiya to ye massage show ho rha tha aisa kyu h.

    The requested ad might not be shown to real users for the following reason(s):
    Page-Level ad format disabled in AdSense Front End.
    The Page-Level ad tag was not the first ad loaded on the page.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aap adsense.com par jao or page level ads ko enable karo. Waha aapne page level ads off kar rakhe hai.

  20. Avatar for Rajesh SharmaRajesh Sharma

    Blogger main Post ki Date kaise change kre.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Post edit option me ja kar kar sakte ho.

  21. Avatar for vijay panaravijay panara

    jdk maire blog ko 3 month ho gaye hai par traffic 100 ke aas paas hai but wo bhi social network se ho rahi hai aise mai mari purani post 10se 12 hai wo kus copy writing type ki hai full copy nahi hai to kaya mai in ko delat kar du to sahi hoga or in se koi problem to nahi hogi or maine SUPPORTMEINDIA ke uper ek post likha hai apne blog mai to aap dekh ke bato ki is post mai or mare blog mai koy kami to nahi hai jin se mai traffic miss kar raha hu….

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Vijay new time me bahut se logo se ye galti hoti hai .But inshan galti karke use sudhar le to bahut achi bat hai. Aap un posts ko delete mat karo balki unhe edit karke copyright content ko delete karo or khud apna content likho. Aapne achi post likhi hai bas bro aap usme metre name ki spelling sahi karo or alexa rank sahi add karo.

      • Avatar for vijay panaravijay panara

        ok sir accha huva aap ne name wala point bataya or alexa to upgread hoti raheti hai is time aap ke alexa rank kaya hai world mai or india mai sir mai full english sikhna cahta hu to kaise sike or aap ne english kaha se sikhi thi

  22. Avatar for RoppnendraRoppnendra

    Aapne Aajtak kitni post likhi hai

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      300+

  23. Avatar for karan jethwakaran jethwa

    bro site logo ko bada kaise karte hai matlab ki website logo ki size increase kaise karte hai ?

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Karna aapke pas do option hai.
      1. aap blogger > edit html section me banner ke size ka css code add karo.
      2. aap pahle se gix size ki image blog me upload karo.

  24. Avatar for arun yadavarun yadav

    dost aajkal animation ke video YouTube par kuch channel animation video bna kar video ko monatize kar rahe ha mai ye kahana chahta hu ke aap ek post likho ke hum kaise animation video banaye or unse paise kamaye

  25. Avatar for Dilip ChauhanDilip Chauhan

    mera page fb par hai kya mujhe bhi ye use karna chahiye

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      yes kar sakte ho.

  26. Avatar for Rahul ThakurRahul Thakur

    aap meri baat nahi samaj rahe main aapse kehna chahta hu ki maine jispe url parameter kiya hai wo toh google index nahi karega lekin mere usi post ka jo original link hai kya wo index hoga ?

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Right aapki original post to show hogi hi usi ko show karne ke liye hum referral link ko hide karte hai.

  27. Avatar for swapnil jambhaleswapnil jambhale

    Jumedeen Khan ji maine jab plagarism mere copy right content check kiya to 90 unique dikhata hai. phir wo copy write hota hai kya.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Nahi sabhi ka content kisi na kisi se match ohte hai. Aapne check kar liya hai so ab jisse match ho rahe hai uske jaisi post mat likho.

  28. Avatar for rohitrohit

    aapne ke post me kuch code bataye the jo AdSense ads code ke sath add kar ke ads lgane the fir ads ka size sahi ayega. Toh aisa karne se AdSense block toh ni hoga

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Mai ye trick 2-3 month se use kar raha hu. or bahut se blogger aysa karte hai but fir bhi mai aapko iski garantee nahi deta.

  29. Avatar for ravi kumarravi kumar

    bhaiya maine aapke fb pe Kuchh message ki hai,

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      ok mai check karke aapko reply kar dunga.

  30. Avatar for PriyaPriya

    Jume Deen ji me apne blog ko ab migration karna chahati hu WordPress me, meri daily page view 3000+ hai kya aap mujhe bata sakte hai konsi hosting lena sahi rahega ? or ek saal me kitna kharcha aa jayega hosting ka ? or jab mere blog me 10000+ page view hoga tab server down na ho aisa koi hosting ke bare me bataye plz, or jab me apne blog ko blogger se WordPress me move karungi uske dauran kahi mere blog ka rank kam to nahi ho jayega? jaise google se ab mujhe traffic mil rahe hai baise hi milte rahenge na ????

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      aap hostgator ya bluehost se hosting le. dasbse better hai. nahi aap blogger blog ko WordPress blog par redirect kar sakti ho.

  31. Avatar for Arvind chauhanArvind chauhan

    bhai mughe us template ki link batao jisme ribbon theme index ho, mughe hosting karni hai jiske liye template jaaruri hai …

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      mythemeshop.com

  32. Avatar for zishan ali gulzarzishan ali gulzar

    sir page size kaise kam kare, i mean gtmetrix me check krne pe mera blog ka size 2mb se jyada show krta hai,,,

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      iske bare me aap mozedia.com par post padho.

  33. Avatar for RUTVIK ModiRUTVIK Modi

    Sir मैंने अभी 2 महीने पहले एक ब्लॉग बनाया है जिसमें अभी तक १०० पेज view नहीं होते और जो भी पेज view होते हैं वह भी सोशल नेटवर्क के जरिए ही होते हैं तो क्या आप मेरी वेबसाइट देखकर बता सकते है कि इसमें क्या गलती है प्लीज मुझे ईमेल के जरिए सोल्युशन बताइएगा

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aapka blog open nahi ho raha hai. aap sahi link btao.

  34. Avatar for PrincePrince

    Hello sir ye batao
    Ki jab ham koi post likhte hain to wo home page par show hoti h
    Agar jaise hamne koi post likhi aaj aur publish kar di
    Aur ham chahte hain ki sirf wo post home page par na show ho tab kya karna padega

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Ha latest post home page par show hoti hai. Agar aapko koi post homepage par show nahi karni hai to aap uski date change kar do.

      • Avatar for PrincePrince

        Thank you for information
        Mujhe is website par comment karne me bahut badhiya lagta hai
        kyunki jab main latest post par comment karta hu to reply milta hi hai aur jawab bhi clear tareeke se milta h
        Aur jab main kisi old post par comment karta hu, chahe wo post 4 month old hi ho Us par bhi reply milta hai aur clear tareeke se jawab milta h
        New post par comment aur old post par comment ks reply bahut hi badhiya tareeke se milta h

        Kuchh blogger to new post ka to reply karte h par old post par comment ka reply jaldi nahi karte ya karte hi nahi

        SMI par comment karna achchha lagta h

  35. Avatar for piyushpiyush

    godaddy me debit card ka option kyu nhi aa raha

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Ache se step follow karo aata hai.

  36. Avatar for vivek choudharyvivek choudhary

    amazon me ebook bechkar paise kaise kamaye jaa sakte hai par post likhe. mujhe full detail chahiye thi pleas. ignore mat karna.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Ok bro iske bare me post likhunga.

  37. Avatar for arun yadavarun yadav

    mai ek YouTube video bna raha hu meta tag ka kya mai aap ke website se meta tags bna kar logo dikha sakata

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Ha laga sakte ho.

  38. Avatar for AryanAryan

    Bro ab ap sabse pehle ye dekh lijiye jo maine ab apni site pe template lagayi bo kaise hai kya iska design acha hai aur jo apne header ke niche menu bar banaya bo kaise banaya

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Blog ki template to sahi hai. Bas ab baki step follow karo.

  39. Avatar for rashid alirashid ali

    hello sir mere blog par adsese ke ads kyun nahin dikh raahe

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aap pahle domain lo uske bad AdSense account banao fir show honge.

  40. Avatar for Harpreet KumarHarpreet Kumar

    Bhai aap apni post ke liye images banane ke liye konsa software ya website use karte ho

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Mai photoshop or paint use karta hu.

      • Avatar for Harpreet KumarHarpreet Kumar

        Photoshop me konsa verson hai bhai..me bhi photoshop use krta hu.. lakin pic ki cleariry nahi ati

        • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

          latest version use karo. Mai photo paint software se banata hu.

          • Avatar for Harpreet KumarHarpreet Kumar

            Latest version photoshop cs6 hai bhai. Ek mahine ke baad monethly charges 1000 rs. Hai

  41. Avatar for rohitrohit

    blogger blog me ham dusre ko admin banakr ham dono log ek hi computer se post kr skte hai. Kuch problem toh ni hogi

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Koi problem nahi hai. But dhyan rahe aap jise admin bana rahe ho wo aapki site ke ads par click na kare.

  42. Avatar for vikramvikram

    sir aapne kaha tha ki apni ID or PASSWORD mujhe facebook par send kar do ..maine kab ka hi kar diya hai ..lekin ab tak aapne meri help nhi ki hai…
    please sir meri help karo

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Vikram bro maine abhi tak kisi ke bhi message check nahi kiye hai check karke aapko replt kar dunga.

  43. Avatar for Rahul ThakurRahul Thakur

    bhai toh fir mere post ka kya hoga jisme extra words add ho gaye hai ? Maine jis pe url parameter apply kiya hai wo kya google index nahi karega ? Agar aisa hua toh mujhe uss post pe search engine se traffic kaise milega plz bataye bhai

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Bro maine post me already btaya tha ki bina parameters ki jankari ke ise use mat karna. ab aap gwt me ja kar url parameter ko reset kar do.

  44. Avatar for Sandeep JinagalSandeep Jinagal

    1. sir apne niche footer mein diya hua author box kaise banaya hai.
    2. Apne Sidbar mein Diye hue Social Icon ke liye kiss plugin ka use kiya hai.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Sandeep mai sirf 3 plugin use karta hu. jetpack, yoast seo and ad injection baki sab coding se banaye hai.

      • Avatar for Sandeep JinagalSandeep Jinagal

        par bro bta toh de kaise bnaye hai

        • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

          Sandeep already btaya hai ki coding se yani javascript and html coding se.

  45. Avatar for Rahul ThakurRahul Thakur

    bhai maine aapka url parameter trick use kiya lekin 2 days ho gaye mera ek url abhi bhi thik nahi hua maine aapka tutorial puri tarah follow kiya hai. Kya url parameter se aapke url thik huye hai ?

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      URL parameters se url thik nahi hote hai sirf search engine se hide hote hai.

  46. Avatar for prashantprashant

    hlo sir
    suppose “xyz.com” yeh wala mera domain hai or yeh wala domain mene kisi or ko de diya or ab mere “zyz.blogspot.com” ka domain hai or iss domain ko mujhe “abc.com” par redirect karna hai to isme jo post hai wo sab “abc.com” par automatic redirect ho jayegi kya?

    or agr suppose hogayi to kitne tym me aayegi lagh bhag 110 post hai to kitna tym lagega dusre domain par redirect hone me

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Ho jayegi. Google me aapki post ko index hone me 5-10 day lag sakte hai.

  47. Avatar for sunil bhargavsunil bhargav

    kya hum YouTube par kisi film ki fight ka video ya dailoge ka video upload kar sakte hai, isse koi problems to nahi hogi na

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Nahi copyrighting hogi.

  48. Avatar for sunil bhargavsunil bhargav

    kya ribbon templete mere astrology blog ke liye set ho sakti hai ya aap bataye ki main astrology ke liye konsi templete choose karu.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      agar aapka blog WordPress par hai to ho sakti hai. aap google me earch karo bahut sari mil jayegi.

  49. Avatar for AryanAryan

    Bhai ji maine adsene ko fir apply kiya tha aur meri blog me 21 post thi tab fir bhi adsene ka wahi message aya insufficient content aur bro meri blog me sari post 750 words se upar ki hai lakin adsene approve kyu ni ho rha bhai

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aryan maine aapke blog ki kei post check ki hai. Jiska result ye hai.
      1. aapki bahut si post me 500 words bhi nahi hai.
      2. aap post me bina wajah or thodi si jarurat par bahut sari images use karte ho.
      3. SEO ka namo nishan nahi hai ki kahi se to seo friendly post likh le.
      4. google translate widget ko AdSense support nahi karta hai use remove karo.
      5. aapki template ka design or font style bhi better nahi hai theme change karo.
      6. aapke blog par sirf 21 post hai. ho sakta hai aapke blog par daily 500 pageviews traffic bhi na ho.
      7. blog par ko banner nahi hai or na koi jaruri widget.
      8. footer me sitemap, privacy policy or about us ka koi link nahi hai.
      blog me koi menu bar nahi hsi.
      Aryan ab socho googlerobot aapke blog ka review kaise karega use aapke blog ko check karne me kitniproblem hogi. Isliye AdSense taam aapki site par content ki kami error show karti hai. In sabhi problems ko solve karo. uske bad AdSense ke liye apply karo.

  50. Avatar for abhishek kumarabhishek kumar

    sir maine blogger se AdSense ke liye apply kiya lekin vo disapprow ho gaya phir maine YouTube se dusri id se apply kiya to vo approw ho gaya phir maine YouTube wale AdSense me website submit karne par meri website me AdSense ke blank adds show ho rahe hai kam se kam 6 days ho gaye.

    Aur meri kuchh post maine short.st se link short karke lagaye koi problum to nahi hogi please help.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aapko AdSense mai lsend karega. Uska wait karo. Or aaapki site par 500 pageviews per day honge to hi AdSense approved hoga.

  51. Avatar for amitamit

    bhai post me sb to h image words bhi 500 se jyada h or kya chahiye ap btao kya glti h

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Amit maine guest policy me kam se kam 1000 words ke liye bola hai. Iske alawa aapki post me or bhi bahut mistake hai. Jiska matlab hai ki aapne guest policy padhe bina hi post ki hai.

  52. Avatar for Umesh ChavanUmesh Chavan

    bidvertiser ads show kar raha hai but earning 0 dikha raha hai yesa kyon aap dekh ke bataye

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aap blog par traffic badhao. Jab aapki site par traffic badhega to hi income hogi.

  53. Avatar for Rajesh SharmaRajesh Sharma

    kya hum blog logo or menu ke bich main
    Adsense ka banner ads. lga skte h.
    or blog main kha kha ads. lagaye to achha rhenga.
    please help me bro.
    ek or Q. h
    bro mere blog ke homepage par Jo post dhikhyi deti h usme homepage par ads. by Google aisa kyo show ho rha aap dhekh ke batye isko kais hide kre.

  54. Avatar for surajsuraj

    Sir kya Php programming sikhne ke bad koi company me job lagti hai? Aur web designing field me carrier ban sakta hai?

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Why not but uske liye aapko sabhi type ki coding sikhni padegi.

  55. Avatar for amitamit

    bhai mene aapko post send ki h plz rply karen rkbbusiness.com se aai hogi dekhen

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Amit post send karne se pahle aap guest policy padh lo. Agar aap uske ek bhi rules ko follow nahi karoge to i am sorry mai post ko publish nahi karunga.

  56. Avatar for Rakesh KumarRakesh Kumar

    ish feature ka wahi use kar sakte hai jo wp blogging platform use kar rhe hai…
    waiting for blogger

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Right. Mai iske bare me jald post likhunga.

      • Avatar for Badan SinghBadan Singh

        Sir meri blog khole per 404. That’s an error.

        The requested URL / was not found on this server. That’s all we know.
        Aa raha hai me kya karu please help me

        • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

          aap apne blog ka link btao mai check karke aapko bta sakta hu.

          • Avatar for Badan SinghBadan Singh

            Kamyaabi.tk hai sir check Kr k Bata do plz

          • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

            Aapkaa blog open nahi ho raha hai aapne dns file ache se add nahi ki hai.

          • Avatar for sanjeevsanjeev

            sir mere blog ka setup kiya hai fb instant articals lakin koi artical show nahi ho reha unclaimedurl dikha reha hai
            please help

Add a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

I need help with ...