Facebook messenger se aap sirf messages hi nahi bhej sakte, balki aap isse or bhi bahut kuch kar sakte hai. jaise Video calling, Voice calling. iske liye aapko phone me koi extra plan ya apps dalwane ki jarurat nahi hai. aapko messenger apps me ja kar bas video or phone icon par click karna hai. ye options aapko friends ke name ke right side me dikhenge. to chaliye ab jante hai facebook messenger ki top 8 secret tips ke bare me.
Agar aapke pas android phone hai or aap facebook user hai to shayad aap facebook messenger bhi istemal karte honge. aaj is post me mai aapko messenger ke bare me kuch aysi bate btane wala hu. jo shayad aap nahi jante honge. facebook team ne FB messenger me kuch ayse features bhi diye hote hai jinhe hum kabhi use hi nahi karte, kyuki hume unke bare me kuch pata hi nahi hota hai. facebook messenger ko download karne ke liye yaha click kare.
- Online Paise Kaise Kamaye: Internet Se Paise Kamane Ke 20 Tarike
- Adsense Account Ko Approved Karane Ke 20 Tarike Janiye
Facebook Messenger Ki Top 8 Secret Tips and Tricks
Actually 90% user facebook messenger ko only sms bhejne or pane ke liye use karte hai. but agar aap iske features ko check karoge to isme or bhi bahut kuch mil jayega. jinke bare me jyada log nahi jante. facebook ne kuch ysi free services bhi di huyi hai. jo aap is apps ki madad se kar sakte ho. but iske bare me aapko pahle se pata hona chahiye.
1) Free Voice Or Video Call
Messenger se sms send karne ke alawa aap voice and video call bhi kar sakte ho. bas iske liye aap jise call karna chahate ho uske mobile me messenger install hona chahiye or internet connection open hona chahiye. isme aapko friends ke mobile number ki jarurat bhi nahi padti. aap direct call kar sakte ho.
- Smart Phone Ki Battery Life Badhane Ke 10 Android Apps
- Apna Adsense Account Approved Kaise Kare 4-5 Din Me
2) Direct Call To Company
Facebook ne kuch retail companies ke sath partnership ki huyi hai. jisse user in companies se messenger se direct bat kar sake. jaise ki aapko in companiyo se koi product (saman) kharidna ho to aap apne facebook account ke throw in companiyo ko order de sakte hai. aapko shoping update aapko messenger apps me hi mil jayegi. abhi ye service sirf everlane or zulily ke sath hi available hai. facebook future me aysi or bhi companies ke sath partnership karne ka plan bana raha hai.
- Computer Keyboard Ke Top 15 Shortcuts Jo Bana De Aapka Kaam Aasan
- Computer Me Whatsapp Kaise Use (Chalate) Karte hai
3) Money Transfer
Facebook messenger ke jariye aap apne bank account se direct money tranfer kar sakte hai. iski proccessing bahut aasan hai. sabse pahle messenger ko open kijiye or jis friend ko paise send karne hai. usse chating on kijiye ab thum icon ke right side me bane 3 dots par click kare. ab jo options show ho unme se payment ke options par click kare or jitne paise bhejne hai utne enter kare. iske bad aap apne credit card, visa, master card, debit card se payment kar sakte ho. ye service india me available nahi hai.
- Online Shoping Kaise Kare Ghar Baithe Puri Jankari Hindi Me
- Internet Se Ghar Baithe Online Paise Kaise Kamaye
4) Sports Memes & GIF Share Kare
GIF or sports memes ka option messenger me pahle se diya hua hai. inse aap apne dosto ko messenger ke throw gif animation, sports memes ke sath or bhi bahut kuch send kar sakte ho. iske liye bhi asapko 3 dots par click karna hoga. 3 dots par click karne se or bhi bahut sare features show hote hai. aapko jo acha lage try kar sakte ho.
- YouTube Par Video Upload Kaise Karna Chahiye
- Computer Vs Laptop Kounsa Behtar Hai, 10 Bato Se Samajhe
5) Location Share
messenger se aap chating ke sath apni location bhi share kar sakte hai. jisse aapke friends ko pata chal sake ki aap is time kaha par ho. iske liye aap ko 3 dots par hi click karna hoga or options me se location par click karke apni loaction tag karni hai. aap chahe to apni real ya other location share kar sakte hai. iske liye aapko jaha ki location dikhani hai, wahi par tag karna hoga.
6) Desktop Me Bhi Use Kare Messenger Apps
Bahut kam log jante hai ki facebook messenger ko desktop par bhi use kar sakte hai. or messenger ka web apps bhi hai. but mai aapko bta du ke ab aap apne computer me bhi FB messenger install kar sakte ho. or aasani se use kar sakte ho. iski proccessing same android mobile jaisi hai. jis tarah aap phone me ye apps install karte ho same wese hi aap desktop me bhi install kar sakte ho.
- WordPress Par Free Blog Kaise Banaye in Hindi
- Hostgator Hosting Par WordPress Blog Kaise Install Kare
7) Conversation Ko Mute Kar Sakte Hai
Agar aap messenger par aane wali notifications se pareshan hai. to facebook ne iska solution diya hua hai. aap conversation ko mute kar sakte ho. iske liye aapko us person ya group ka name tap karna hoga jisse aapko problem ho rahi hai. iske bad notification par click kare. notification par click karte hi aapko mute ka option mil jayega.isme aap ise kab tak ke liye mute karna chahate hai ka option bhi diya hua hai. aap 15 minutes, 1 hours, 8 hours, 24 hours ya apne hisab se conversation mute kar sakte hai.
- Digital Ocean Par Free Hosting Kaise Kharide Cloudways Se
- Success Blogger Banne Ke Liye Ye 5 Tips Follow Kare
8) Bina Facebook Account Ke Chala Sakte Hai Messenger
Ji ha aap without facebook account ke bhi messenger use kar sakte hai. messenger par apne dosto se bat karne ke liye aapko facebook account ki jarurat nahi hai. 2025 ki starting me facebook ne yeh featur shuru kiya hai. jisme users mobile number se bhi sign in kar sakte hai. aap messenger account mobile apps or website dono se bana sakte ho. iski proccessing jyada lambi hai. so aane wale time me iske bare me bat karenge.
- Website (Blog) Kaise Banate Hai Online Paisa Kamane Ke Liye
- Blog Ki Traffic Badhane Ke 50 Top 50 Tarike janiye hindi me
I hope aapko ye post pasand aayegi. ho sakte hai is post me btayi tricks aapko pahle se pata ho. but 1-2 tricks ke bare me aapko nahi pata hoga. to chaliye ab comment btaye ki aapko in 8 tricks me se kounsi tricks ke bare me nahi pata tha or aapko uske bare me is post se malum hua hai. sirf 30 second me aap apne thoughts comment kar sakte hai.
Ayana
Maine apni friend ka account restrict Kiya tha abh unrestrict ka option ni ata or msg bhi karti hun toh msg ni hota no internet connection batate hai esa kyu unko msg kyu ni jata
Deepak dhillon
Sir mujhe koi sms karta h chating me to me ye nhi dekh pata ki vo type kar rha h yaa nhi esa kyu
Phele dikhata tha ab nhi
Sunil
Messenger ke home page par Jaha par show hota hai
Messages Active Groups Calls
Left hand par friends ka name or Photos ata hai or
pahale write hand par tick ka mark ata tha par ab us jagar message send ka time ata hai
but me chahta hu ki us jagah pahle ki tarah hame page par hi pata chalna chahiye ki msg read hua hai ya nhi