Facebook messenger se aap sirf messages hi nahi bhej sakte, balki aap isse or bhi bahut kuch kar sakte hai. jaise Video calling, Voice calling. iske liye aapko phone me koi extra plan ya apps dalwane ki jarurat nahi hai. aapko messenger apps me ja kar bas video or phone icon par click karna hai. ye options aapko friends ke name ke right side me dikhenge. to chaliye ab jante hai facebook messenger ki top 8 secret tips ke bare me.
Agar aapke pas android phone hai or aap facebook user hai to shayad aap facebook messenger bhi istemal karte honge. aaj is post me mai aapko messenger ke bare me kuch aysi bate btane wala hu. jo shayad aap nahi jante honge. facebook team ne FB messenger me kuch ayse features bhi diye hote hai jinhe hum kabhi use hi nahi karte, kyuki hume unke bare me kuch pata hi nahi hota hai. facebook messenger ko download karne ke liye yaha click kare.
- Online Paise Kaise Kamaye: Internet Se Paise Kamane Ke 20 Tarike
- Adsense Account Ko Approved Karane Ke 20 Tarike Janiye
Facebook Messenger Ki Top 8 Secret Tips and Tricks
Actually 90% user facebook messenger ko only sms bhejne or pane ke liye use karte hai. but agar aap iske features ko check karoge to isme or bhi bahut kuch mil jayega. jinke bare me jyada log nahi jante. facebook ne kuch ysi free services bhi di huyi hai. jo aap is apps ki madad se kar sakte ho. but iske bare me aapko pahle se pata hona chahiye.
1) Free Voice Or Video Call
Messenger se sms send karne ke alawa aap voice and video call bhi kar sakte ho. bas iske liye aap jise call karna chahate ho uske mobile me messenger install hona chahiye or internet connection open hona chahiye. isme aapko friends ke mobile number ki jarurat bhi nahi padti. aap direct call kar sakte ho.
- Smart Phone Ki Battery Life Badhane Ke 10 Android Apps
- Apna Adsense Account Approved Kaise Kare 4-5 Din Me
2) Direct Call To Company
Facebook ne kuch retail companies ke sath partnership ki huyi hai. jisse user in companies se messenger se direct bat kar sake. jaise ki aapko in companiyo se koi product (saman) kharidna ho to aap apne facebook account ke throw in companiyo ko order de sakte hai. aapko shoping update aapko messenger apps me hi mil jayegi. abhi ye service sirf everlane or zulily ke sath hi available hai. facebook future me aysi or bhi companies ke sath partnership karne ka plan bana raha hai.
- Computer Keyboard Ke Top 15 Shortcuts Jo Bana De Aapka Kaam Aasan
- Computer Me Whatsapp Kaise Use (Chalate) Karte hai
3) Money Transfer
Facebook messenger ke jariye aap apne bank account se direct money tranfer kar sakte hai. iski proccessing bahut aasan hai. sabse pahle messenger ko open kijiye or jis friend ko paise send karne hai. usse chating on kijiye ab thum icon ke right side me bane 3 dots par click kare. ab jo options show ho unme se payment ke options par click kare or jitne paise bhejne hai utne enter kare. iske bad aap apne credit card, visa, master card, debit card se payment kar sakte ho. ye service india me available nahi hai.
- Online Shoping Kaise Kare Ghar Baithe Puri Jankari Hindi Me
- Internet Se Ghar Baithe Online Paise Kaise Kamaye
4) Sports Memes & GIF Share Kare
GIF or sports memes ka option messenger me pahle se diya hua hai. inse aap apne dosto ko messenger ke throw gif animation, sports memes ke sath or bhi bahut kuch send kar sakte ho. iske liye bhi asapko 3 dots par click karna hoga. 3 dots par click karne se or bhi bahut sare features show hote hai. aapko jo acha lage try kar sakte ho.
- YouTube Par Video Upload Kaise Karna Chahiye
- Computer Vs Laptop Kounsa Behtar Hai, 10 Bato Se Samajhe
5) Location Share
messenger se aap chating ke sath apni location bhi share kar sakte hai. jisse aapke friends ko pata chal sake ki aap is time kaha par ho. iske liye aap ko 3 dots par hi click karna hoga or options me se location par click karke apni loaction tag karni hai. aap chahe to apni real ya other location share kar sakte hai. iske liye aapko jaha ki location dikhani hai, wahi par tag karna hoga.
6) Desktop Me Bhi Use Kare Messenger Apps
Bahut kam log jante hai ki facebook messenger ko desktop par bhi use kar sakte hai. or messenger ka web apps bhi hai. but mai aapko bta du ke ab aap apne computer me bhi FB messenger install kar sakte ho. or aasani se use kar sakte ho. iski proccessing same android mobile jaisi hai. jis tarah aap phone me ye apps install karte ho same wese hi aap desktop me bhi install kar sakte ho.
- WordPress Par Free Blog Kaise Banaye in Hindi
- Hostgator Hosting Par WordPress Blog Kaise Install Kare
7) Conversation Ko Mute Kar Sakte Hai
Agar aap messenger par aane wali notifications se pareshan hai. to facebook ne iska solution diya hua hai. aap conversation ko mute kar sakte ho. iske liye aapko us person ya group ka name tap karna hoga jisse aapko problem ho rahi hai. iske bad notification par click kare. notification par click karte hi aapko mute ka option mil jayega.isme aap ise kab tak ke liye mute karna chahate hai ka option bhi diya hua hai. aap 15 minutes, 1 hours, 8 hours, 24 hours ya apne hisab se conversation mute kar sakte hai.
- Digital Ocean Par Free Hosting Kaise Kharide Cloudways Se
- Success Blogger Banne Ke Liye Ye 5 Tips Follow Kare
8) Bina Facebook Account Ke Chala Sakte Hai Messenger
Ji ha aap without facebook account ke bhi messenger use kar sakte hai. messenger par apne dosto se bat karne ke liye aapko facebook account ki jarurat nahi hai. 2025 ki starting me facebook ne yeh featur shuru kiya hai. jisme users mobile number se bhi sign in kar sakte hai. aap messenger account mobile apps or website dono se bana sakte ho. iski proccessing jyada lambi hai. so aane wale time me iske bare me bat karenge.
- Website (Blog) Kaise Banate Hai Online Paisa Kamane Ke Liye
- Blog Ki Traffic Badhane Ke 50 Top 50 Tarike janiye hindi me
I hope aapko ye post pasand aayegi. ho sakte hai is post me btayi tricks aapko pahle se pata ho. but 1-2 tricks ke bare me aapko nahi pata hoga. to chaliye ab comment btaye ki aapko in 8 tricks me se kounsi tricks ke bare me nahi pata tha or aapko uske bare me is post se malum hua hai. sirf 30 second me aap apne thoughts comment kar sakte hai.
dev
bhyi mughe 1 tension hoti h ki kahi apko aisa to nhi lagta ki me apse kuch jayada hi q. karta hu
agar apko aisa lagta he to aap hi batao me kya karu ab jis kaam ki suruwat ki he use puri to karni hi padegi agar aap mughe nhi bataoge to aap khud hi batao me kisse puchuga imandari se 1 baat bol rha hu aisi help wali bahut site he lekin pata nhi kyo mughe sirf apse hi ummed rhti he or me kisi site se koi q nhi karta kyo ki sach bolu to mughe unpar bharosa nhi he ki wo log hamari help karnege ya shyad nhi . bas aap ke siva.
Jumedeen Khan
nahi aysi koi bat nahi hai. maine ye site aap logo ki help ke liye hi banayi hai. aap ek kam karo admin@supportmeindia.com par mujhe apni template send karo. mai usme setting karke aapko template send kar dunga. ab to khush ho.
dev
chalo koi baat nhi me khud hi kosis karunga
lekin jitna jyada bata sko utna puri kosis karna bhyi. nhi to kuch time barbad hone ki wajah se thoda hi batate he ab me thode me to nhi smgh skta kyo ki me nya hu…
apne jitni kosis ki uske liye bahut bahut thansk…
dev
comment karte time mene code b comment me dale the apko batane ke liye par par comment me nhi dikh rhe mughe agar apko dikh rhe he to aap meri prblm smgh jaoge.
Jumedeen Khan
wo code mene remove kar diye hai.
dev
“post-author” ye template me 2 place par thi first pe to kaam nhi kiya jab mene dusri place par href ke samne same first wali process ki to post sabhi gayab ho gayi to phir mene phir se use usi trah set kar diya ab btao me kese karu?
Jumedeen Khan
dev ye kam karne ke liye aapko blogger ki coding ki jankari honi jaruri hai. mai aapko jitna bta sakta tha bta chuka hu.
dev
sorry bhyi me smgh gaya aoni ka matlab apni ok..
par bhyi mene posted by search kiya wo meri template me search me nhi mila ab me kya karu bhyi is prblm ka smadhan aap hi kar skte ho bhyi me apse ummeed rkhta hu ki aap meri prblm jarur solve kar doge.
Jumedeen Khan
Aap ache se try karte to mil jata. theek hai mai aapko step by step samajhata hu. template me ja kar “post-author” search karo. or uske samne href=”xyz” code hoga. isme xyz ki jagah jo bhi code ho uski jagah apni site ka url add kar do.
Dev
aoni site ka link add karo aoni matlab smgh nhi aya bhyi
Dev
bhyi 1 or kripa kijiye jo mere har post ke niche posted by dev likhar ata he us dev par agar koi click kare to wo
meri site par hi rehe mughe apni site ka hi url add karna he wo mere gmail profile par na ja paye iske liye bata
do code me kya search karke kya paste karu?
Jumedeen Khan
blog ke template>>edit html section me jao or posted by search karo. ab uske samne coding me jo href wala link code hai uski jagah aoni site ka link add karo.
Dev
thanks bhyi …
1) jab mene sitemap genereate kiya tha mene neche dekha usme likha tha ki 22 broken links or 24 post dali hui he abi tak kuch prblm ho gayi kya jo 22 broken link likhakar aa rha he
2) sitemap.xml yahi to likhna tha agar ham 2 baar sitemap.xml submit karde search console me to koi prblm hogi
ya sitemap kaam nhi karega ya phir 1 hir 1 hir rakhna he/
Jumedeen Khan
1. aap un par dhyan mat do or sirf sitemap create karke google console me add karo.
2. do bar add hi nahi hoga. sirf ek bar hi ho sakta hai.
rohit
maine apko post ka title contact form se send kar diya hai ek bar title fir bta deta hu TOP 20 AFFILIATE MARKETING PROGRAM IN INDIA
ab mai post likhna start karu
Jumedeen Khan
ok aapki post me kam se kam 1000 words hone chahiye. or post aap admin@supportmeindia.com par send karke mujhe bta dena.
Dev
bhyi meri ye smgh nahi aa rha he ki sitemap xml. or sitemap html inme kya difference he or kisko kese apni site me use karu plz reply
or haa 1k baar meri site check karlo or kya kami he wo batado
Jumedeen Khan
aapko sirf sitemap.xml use karna hai. sitemap.html par dhyan mat do. site me koi kami nahi hai. sabkuch theek hai. maine seo ke bare me itni post ki hai agar aap unhe pad le to seo ka pura jan jaoge.
Suraj Kumar
Aap AdSense ke liye koun sa plugin use karte ho. Mai itne sare plugin dekh k confuse ho ja RHA hu. Aapko experience hai to aap bataye ki koun sa plugin achha rhega. Or han aap ek forum banaye jaha mai apne questions post kar saku or aap rply kr paye ya jinko Bhi pata ho wo bata paye.
Jumedeen Khan
Mai ads injection plugin use karta hu. thoda wait karo ek din sawal jawab ki bhi better site banaunga.
Suraj Kumar
Mains wo author box to on kiya hua h. Bt mujhe footor me Bhi ek author box lagana hai jaisa aapne lagaya hua hai.
Jumedeen Khan
uske liye aap “Meks Smart Author Widget plugin” use karo.
rohit
website logo design kese kare aur wo sahi se fit ho jaye
aap meri posts apni site me publish kr skte ho mai apko guest post dena chahta hu
Jumedeen Khan
Aap agar image design karna aata hai to kisi bhi photo editer software se kar sakte ho. ha kar sakta hu. but pahle mujhe Contact forum me post title ka name send karna uske bad post likhna.
rohit
sir meri site me logo sahi se nahi aa rha hai aap mera blog open karke dekho aur ek fix size bta aapne phle btaya tha 16*16 ka aur bhi size the par koi bhi sahi se nahi aa rha hai plz help sir
Jumedeen Khan
Mai aapko logo ka size bta sakta hu.dedign to aap h. Ko karna padega.
Deepak shrivastav
Hi,
Jume deen Bro..
Mai Animated image create karna chahta hu…apne blog post ke liye to kaise banau kya aapko pata hai…
agar pta ho to please jarur btana..
and
happy New 2016 for you and your family
Jumedeen Khan
First aapko bhi happy new year 2016 animation images banane ke liye ye post pado Animation Image Kaise Banate Hai
Suraj Kumar
Aapne apne blog ke bottom me Jo blog author box lagaya hai wo kaise kiya hai. Mai Bhi aap Hi ka theme use karta hu. Mera blog self hosted WordPress pe hai 🙂
Jumedeen Khan
apne blog ke dashboard>>ribbon par jao or single post setting me author box enable karo. uske bad user>>edit profile me ja kar biography me apne bare me likho.
dev
Bhayi to me kya karu jisse meri site 1st page par ho uske liye me kya karu 2 min kam se kam sochkar batana Usi step ko me follow karta jaunga.
Jumedeen Khan
Top List Articles Se 1 Month Me 100,000 Visitors Kaise Paye is post maine to tarike btaye hai wo ache se follow karo aapki post first ranking me hogi.
rohit
domain me identity verify karna jaruri hai
maine znetlive se domain kharida hai my billing par click krke dekho toh delevy in process aata hai.
Domain generate hone me 24 hours lgte hai kya
Jumedeen Khan
Ha domain active hone me 1-3 days bhi lag sakte hai. wait karo aapka domain activate ho jayega.
Dev
bhyi jab ham apni post me image dalte he to us image ki image properties me me do option hote he title text to usme to ham batate he ki image kis baare me he
2nd jo dusra option hota he ALT Text ka usme kya likhna hota he plz bhyi isko thik se batado?
Ex-meri image (Saturday Special Offer:Get Flat 90% off On products from firstcry) Ye first wale option me likh dunga
Alt Text—– me isko kese likhuga (———————-) Plz bhyi jarur batana is tarah se likhkar batana ki traffic bad jaye.. phir me likh liya karunga.
Jumedeen Khan
alt tag se search engine or visitors dono ko image ko samajhne me aasani hoti hai. exaple aap meri kisi bhi post ki image par mouse le jayiye. 2 second rukne par kuch words show honge yahi alt tag hote hai.
alt text option me aapko image ke bare me do shabad likhne hai.
Rohit Kumar
mere do sawal hai
1-sir maine znetlive se domain liya hai usme
delevery in process aa rha hai account se paise toh kat gaye hai
ek mail bhi aayi hai usme likha hai ki automatic registration failed Manual processing initiated iska kya mtlab domain puchase hua ki nahi
2- mere blog me location newyork ki dikhai deta hai agar kuch bhi publish karo toh time india ka nhi aata hai new york ka aata hai
Jumedeen Khan
1. pahli report ke anusar aapka donain abhi processing me hai. dusri report ke anusar domain register nahi hua hai. aapne jis site se domain liya hai us par log in karo or apni profile me check karo ki domian register hua hai ya pending me hai.
2. apne blog ke dashboard me jao. Click “Settings” or “Language and Formatting” select karo. ab drop-down menu me +5:30 set karke setting save karo..
rohit
sir aap meri site goole aur bing me submit kar do mai bohat kr chuka hu par mujse ho hi ni rhi aap ki submit wali sari post bhi padhi hai tab bi ni ho rha
Jumedeen Khan
post me btaye step ache se follow karo or fir bhi error aaye to mujhe btao kya error aa raha hai.
Mehro
Jee mujhe ye puchna tha k hum jo fb mesenger per chat ,pics send krna or video call krte hen es ka record fb walo k pas safe rehta he ya hamare delet krne se all delet ho jata he?or hamari send ki gai pics ka delet krne k bad bhi out hone ka koi khatra to nahi hota?pliz tell me about fb mesenger ..is it safe or not?
Jumedeen Khan
Yes bilkul hota hai aapke data delete karne ke bad bhi facebook ke pas aapka data save rahta hai.