Facebook messenger se aap sirf messages hi nahi bhej sakte, balki aap isse or bhi bahut kuch kar sakte hai. jaise Video calling, Voice calling. iske liye aapko phone me koi extra plan ya apps dalwane ki jarurat nahi hai. aapko messenger apps me ja kar bas video or phone icon par click karna hai. ye options aapko friends ke name ke right side me dikhenge. to chaliye ab jante hai facebook messenger ki top 8 secret tips ke bare me.
Agar aapke pas android phone hai or aap facebook user hai to shayad aap facebook messenger bhi istemal karte honge. aaj is post me mai aapko messenger ke bare me kuch aysi bate btane wala hu. jo shayad aap nahi jante honge. facebook team ne FB messenger me kuch ayse features bhi diye hote hai jinhe hum kabhi use hi nahi karte, kyuki hume unke bare me kuch pata hi nahi hota hai. facebook messenger ko download karne ke liye yaha click kare.
- Online Paise Kaise Kamaye: Internet Se Paise Kamane Ke 20 Tarike
- Adsense Account Ko Approved Karane Ke 20 Tarike Janiye
Facebook Messenger Ki Top 8 Secret Tips and Tricks
Actually 90% user facebook messenger ko only sms bhejne or pane ke liye use karte hai. but agar aap iske features ko check karoge to isme or bhi bahut kuch mil jayega. jinke bare me jyada log nahi jante. facebook ne kuch ysi free services bhi di huyi hai. jo aap is apps ki madad se kar sakte ho. but iske bare me aapko pahle se pata hona chahiye.
1) Free Voice Or Video Call
Messenger se sms send karne ke alawa aap voice and video call bhi kar sakte ho. bas iske liye aap jise call karna chahate ho uske mobile me messenger install hona chahiye or internet connection open hona chahiye. isme aapko friends ke mobile number ki jarurat bhi nahi padti. aap direct call kar sakte ho.
- Smart Phone Ki Battery Life Badhane Ke 10 Android Apps
- Apna Adsense Account Approved Kaise Kare 4-5 Din Me
2) Direct Call To Company
Facebook ne kuch retail companies ke sath partnership ki huyi hai. jisse user in companies se messenger se direct bat kar sake. jaise ki aapko in companiyo se koi product (saman) kharidna ho to aap apne facebook account ke throw in companiyo ko order de sakte hai. aapko shoping update aapko messenger apps me hi mil jayegi. abhi ye service sirf everlane or zulily ke sath hi available hai. facebook future me aysi or bhi companies ke sath partnership karne ka plan bana raha hai.
- Computer Keyboard Ke Top 15 Shortcuts Jo Bana De Aapka Kaam Aasan
- Computer Me Whatsapp Kaise Use (Chalate) Karte hai
3) Money Transfer
Facebook messenger ke jariye aap apne bank account se direct money tranfer kar sakte hai. iski proccessing bahut aasan hai. sabse pahle messenger ko open kijiye or jis friend ko paise send karne hai. usse chating on kijiye ab thum icon ke right side me bane 3 dots par click kare. ab jo options show ho unme se payment ke options par click kare or jitne paise bhejne hai utne enter kare. iske bad aap apne credit card, visa, master card, debit card se payment kar sakte ho. ye service india me available nahi hai.
- Online Shoping Kaise Kare Ghar Baithe Puri Jankari Hindi Me
- Internet Se Ghar Baithe Online Paise Kaise Kamaye
4) Sports Memes & GIF Share Kare
GIF or sports memes ka option messenger me pahle se diya hua hai. inse aap apne dosto ko messenger ke throw gif animation, sports memes ke sath or bhi bahut kuch send kar sakte ho. iske liye bhi asapko 3 dots par click karna hoga. 3 dots par click karne se or bhi bahut sare features show hote hai. aapko jo acha lage try kar sakte ho.
- YouTube Par Video Upload Kaise Karna Chahiye
- Computer Vs Laptop Kounsa Behtar Hai, 10 Bato Se Samajhe
5) Location Share
messenger se aap chating ke sath apni location bhi share kar sakte hai. jisse aapke friends ko pata chal sake ki aap is time kaha par ho. iske liye aap ko 3 dots par hi click karna hoga or options me se location par click karke apni loaction tag karni hai. aap chahe to apni real ya other location share kar sakte hai. iske liye aapko jaha ki location dikhani hai, wahi par tag karna hoga.
6) Desktop Me Bhi Use Kare Messenger Apps
Bahut kam log jante hai ki facebook messenger ko desktop par bhi use kar sakte hai. or messenger ka web apps bhi hai. but mai aapko bta du ke ab aap apne computer me bhi FB messenger install kar sakte ho. or aasani se use kar sakte ho. iski proccessing same android mobile jaisi hai. jis tarah aap phone me ye apps install karte ho same wese hi aap desktop me bhi install kar sakte ho.
- WordPress Par Free Blog Kaise Banaye in Hindi
- Hostgator Hosting Par WordPress Blog Kaise Install Kare
7) Conversation Ko Mute Kar Sakte Hai
Agar aap messenger par aane wali notifications se pareshan hai. to facebook ne iska solution diya hua hai. aap conversation ko mute kar sakte ho. iske liye aapko us person ya group ka name tap karna hoga jisse aapko problem ho rahi hai. iske bad notification par click kare. notification par click karte hi aapko mute ka option mil jayega.isme aap ise kab tak ke liye mute karna chahate hai ka option bhi diya hua hai. aap 15 minutes, 1 hours, 8 hours, 24 hours ya apne hisab se conversation mute kar sakte hai.
- Digital Ocean Par Free Hosting Kaise Kharide Cloudways Se
- Success Blogger Banne Ke Liye Ye 5 Tips Follow Kare
8) Bina Facebook Account Ke Chala Sakte Hai Messenger
Ji ha aap without facebook account ke bhi messenger use kar sakte hai. messenger par apne dosto se bat karne ke liye aapko facebook account ki jarurat nahi hai. 2025 ki starting me facebook ne yeh featur shuru kiya hai. jisme users mobile number se bhi sign in kar sakte hai. aap messenger account mobile apps or website dono se bana sakte ho. iski proccessing jyada lambi hai. so aane wale time me iske bare me bat karenge.
- Website (Blog) Kaise Banate Hai Online Paisa Kamane Ke Liye
- Blog Ki Traffic Badhane Ke 50 Top 50 Tarike janiye hindi me
I hope aapko ye post pasand aayegi. ho sakte hai is post me btayi tricks aapko pahle se pata ho. but 1-2 tricks ke bare me aapko nahi pata hoga. to chaliye ab comment btaye ki aapko in 8 tricks me se kounsi tricks ke bare me nahi pata tha or aapko uske bare me is post se malum hua hai. sirf 30 second me aap apne thoughts comment kar sakte hai.
mohd Aaquib
Bhai Mai jb bhi msg send karta hu aur agr samne Wala online Bhi Hai to usko msg send nahi hota.
Jumedeen Khan
Usne aapko message ke liye block kar rakha hai.
abraruddin khan
If you think you’re seeing this by mistake, please likhe kar aa rha ho too add kaise karu sir aapne friend ko
Jumedeen Khan
Kuch time bad try karo.
Vish
Messanger pe ye kaise pta karenge ki kisi specified person se meri baat kab se ho rahi …..agar chating delete ho gaya ho tab
vikash
Sir ham agr do andrid set se ek hi feacbook I d use kre to koi dikkt aur dono ka messager kam kreja aur ek se massages krne pe dono pe massage turant dekh skte hai
Jumedeen Khan
Koi problem nahi hai. ha dekh sakte ho.
Nisha
Meri massenger main video calling screen minimize nahi kar sakta
Pratik Thakur
Bhai kuch aisa Batao ki apki new direct mere email box me ajaye
Jumedeen Khan
blog newesletter ko subscribe karo.
shashi
Namaste..!! I like it !!
Pratik Thakur
Bahut achi post hai Bhai
sapna alawa
Kisi ne messenger se remove kr diya jis karan na samne wala on dikhta h pr fb Pr frnd hai kese hota h ye
Aayush Upadhyay
Very nice post, sir
Main SMI ka regular visitor hu, main pahle bhi aapki articles par comment karna chahta tha, but nahin hota tha,
sir please meri site me dekh kar bataaiye koi problem to nahin.. maine sab apne man se design kiya hai.
pata nahi kaha sahi hai kaha galat…..
sabkuchinhindi.tk
ye mera blog adderss hai
Jumedeen Khan
Wonderful aapke blog me koi kami nahi hai.
kuldeep negi
Khan Sahab aap bhot achcha kaam kar rahe ho hum logo ko internet Ki jaankari dear,
Mujhe ek baat bataao Bhai please ye Facebook messenger se mai kisi video ko apni timeline pe kaise post karu
Thanks dear brother
Jumedeen Khan
1. conversation par jaye or camera icon par click kare.
2. ab send par click karke thodi der hold kijiye video upload karne ka option mil jayega.
Sanjay
Hello sir m jb b apni site achihelp.com open keta hu to iske liye pehle gmail se login karna padta hai. Is se mujhko bilkul bhi traffic nhi mil rha h. Aap ek baar open karke dekhe or plz koi solution bataiye plz
Jumedeen Khan
logger setting >> other >> adult option me ja kar adult content ke samne no select karo.
Mark BK Kushwah
Sir apni website me mujhe comments ka option add karna hai kese karu please aap bata do
Jumedeen Khan
Aap blogger setting >. post and comment me ja kar who can comment ke samne anyone select karo.
Ali khan
Bhai ye btao jo video call or audio call hum fb pay kartay hain kya wo record ho sakti hain ya nai?
Jumedeen Khan
Ha hoti hai. Facebook aapki call record karta hau. Maine aysa news me padha tha. Ab sachahai kya hai kisi ko nahi pata.
Joginder
Kis kis ne meri story dekhi usme mujhe bhi show kar raha hai iska koi hal hai sir yai hai to jarur batayen
manish katju
Bhai ye massanger me number show kyu kr raha nai login krte time number ko not now krke skip v kiya tha fir v number sho kr raha h kya kru
teju suthar
Bhai kya hum fb massenger se gif animation photo send kar sakte hai ??
Jumedeen Khan
Ha kar sakte ho.
Narendra
Mujhe messenger per hide kiya hua hai kaise pata karen kisi ne bhi personal
Sameer
Thnx*x khan bhai.. jankari dene k liye.. acha laga. Or hum use bhi kiye aapke bataye tarike ko fb messenger app me or hume batiye ki Facebook me like kyse badhya ja sakta hai… iske liye koi app download krna padega ky ? Khan bhai hume Facebook me photos ya status me like or comment badhane k bare me koi trick bataiye..
atul
Mujhe apne messenger ki image change krni h plese kya krna hoga mujhe btao yr
Aarav
Nice Tips, Jume. These days, it’s really important to keep up to date using this awesome facebook tricks
Deepak
bhai me facebook me kuon sa group me hun kese pata lagaun.plz helf
Jumedeen Khan
Bahut simple hai us group ka name check karo.
peeyush Bhargava
Bhai Fb messenger se vidio call ho chuki hai kya unhe Phone me download kiya ja skta hai ya nhi……. AGR ha to keise ???
Jumedeen Khan
Facebook messager se ki gayi call record Nahi kar sakte.
payal agarwal
mere phone me google play kam ni karta to me 9apps kam le rhi thi and uc browser me fb chala rhi thi bt aj mene facebook dawnload kiya h bt isme msg ka nishan to h par is pR click karte hi install mesenger nam aa jata h or google play open ho jata h to plz btao me kya kru
.plz reply
Jumedeen Khan
aap 9apps se facebook messenger download kar sakti ho. jo ki uc browser me direct download ho jayega.
dev
bhyi mene template send kar di he…
Jumedeen Khan
Ok, thoda wait karo mai jaldi hi template send kar dunga.
dev
bhyi mene apke is email par apni template down karke send kar di he plz plz plz plz plz bhayi
1. usme posted by ki jagah meri site ka link dal dena
2. Head ke niche meta tag jarur add kar dena kyo ki mughpe galat hota he or aap achi trah se kar doge
or apni jo jaruri cheeje he unhe b aadd kar dijiyega or agar uspe chuppe style me kisi ka link ho wo hata dena
bhyi me is help ko zindagi bhar nhi bhulunga. itna to mene socha b nhi tha jitna apne mere liye socha shyad meri liye itna koi nhi kar skta
bhyi aap chaho to ange itna mat karna me itne me khus hu lekin help ki ummed to ange b rakhunga. kyo ki meri manjil abhi door h..
Jumedeen Khan
Jaha tak mujhse hoga or jitna mai janta hu, aapki help jarur karunga.