Blogspot Blog Me HTTPS Mixed Content Errors Ko Fix Kaise Kare

Blogger platform form google ki service hai or google ne example.blogspot.com ke sath free HTTPS ki security di huyi hai ya fir aap SSL certificate buy karke security lete ho. But isse blog par kuch mixed content errors jaise common issue show hote hai. In this post, main aapko blogger par se HTTPS mixed content errros ko fix karne ke bare me step by step bta raha hu.

HTTPS Mixed Content Errors

Agar aap blogspot blog user hai or apne blog me HTTPS security enable karna chahate hai to aap humari Blogger Blog Ki Security Ke Liye HTTPS Enable Kaise Kare post read kare. Isme maine iski importance or ise use karne ke bare me details se btaya hua hai.

Mixed Content Errors Kya Hai ?

Jab koi web page SSL certificate se secure hota hai or https ke sath open hota hai but https green color me nahi hota hai to page none secure ke sath open hota hai. Aese me blog par mixed content errors issue show hota hai.

Iska reason hota hai aapke blog ke content me http k hona. Jab koi link HTTPS:// ki jagah HTTP:// ke sath open hota hai to blog par mixed content error show hota hai. Ye aapke blog ki post content ke links, scripts, style sheets, videos, images me ho sakta hai.

Isse blog par negative effect padta hai. Agar aapko is problem ko solve karna hai to aapko blog ki template ki HTML coding, layout gadget and other place se ye source code change karne honge.

HTTPS Mixed Content Errors Ka Pata Kaise Kare ?

How to identify mixed content error ? Iski process bahut si simple hai. Aap apne internet browser se iska aasani se pata laga sakte ho. Main yaha aapko chrome browser ke step bta raha hu.

  1. Chrome browser ko open kar apne blog ko open kare.
  2. Ab chrome browser ke right side me URL bar ke samne three point wale menu icon par click kare.
  3. Ab More tools >> Developer tools par jaye.
  4. Ab Console par select karke Cntrl+Shift+J key button dabaye.
  5. Ab jo javascript open hogi. Yaha par aapke blog ke mixed content erros show honge.

Mixed Content Errors

Yaha par aapko insecure script request and usecured URLs ki list mil jayegi. Agar aapne blog par HTTPS security enable kar rakhi hai to ek bar aap apne blog par check kar le ki kahi aapke blog par mixed content errors show to nahi ho raha hai.

Blogger Blog Me Mixed Content Errors Ko Fix Kaise Kare ?

Ab aapko ye bhi pata chal gaya ki mixed content error kya hai or blogspot blog me iska pata kaise lagate hai. So mixed content errors ko identify karne ke bat metter hota hai ise fix and solve karne ka to iske liye aapko blog ki template coding, layout widget, posts content and pages me se http:// ki jagah https:// set karna hoga. Iske liye aap ye step follow kar sakte hai.

Step 1: Fix Mixed Content Errors in Blogger Templates:

Iske liye aap blogger dashboard >> temlate >> edit HTML option par jaye or http:// search karke https:// set kar de.

  1. Go to blogger blog dashboard and choose blog for settings.
  2. Click on template >> edit html option.
  3. Click anywhere in template coding and prase Ctrnl+F key button for searching.

replace http with https

Now type http:// and search it then replace it with https:// matlab http:// ko https:// me change karna hai. Carefully editing kare mistake na kare warna setting save nahi hogi.

Step 2: Fix Mixed Content Erros in Blogger Layout Widget / Text area.

Isi tarah aap blogger dashboard >> layout option me ja kar pane blog ki sabhi widgets me http:// search karke use https:// me replace kar de. Blog header, sidebar and footer all widget me se code change karna hai.

Widget me html coding, javascripts me http:// code ho sakta hai use bhi https:// me replace kare. Aap mostly HTML / Javascript gadget me check kare kyuki unhe hum manually coding add karte hai.

Step 3: Update Blogger Post Editor to Fix Mixed Content Errors

Mixed content issue aapke lbog ki post and pages ke content me bhi ho sakta hai. Iske liye aap ye step follow kare.

Aapke blog ki jis post ko open karne par non secure problem ho uske edit option me ja kar HTML  section par click kare or http:// search kar ke sabhi jagah par https:// set kar de.

  1. Go to blogger dashboard >> posts >> edit option and select HTML section.
  2. Ab http:// search karke sabhi place par https:// add kar de.

Fix to Mixed Content Errors in blogger post

Theek isi tarah aap blogger pages me se bih mixed content errors issue ko solve kar sakte ho. Is tarah se aap pane blog ki mixed content errors ki proble mko slve kar sakte ho or blog ki performance better kar sakte ho.

Finally, blog par se mixed content erros ko fix karne se aapke blog ki performance badhiya hogi or blog web pages ko laod hone me koi problem nahi hogi. Agar aap custom domain use karte ho or SSL certificate se security le rakhi hai to bhi aap in tips ko follow karke mixed content errors ko solve kar sakte ho.

By the way, agar aapko ye post pasand aaye to apna 5 seconds ka time de kar ise social media par share jarur kare.

Avatar for Jumedeen Khan

About Jumedeen Khan

I'm the founder of this site and we regularly share useful and helpful information here for beginners. ❤️

Reader Interactions

Comments (60)

  1. Avatar for HimanshuHimanshu

    Mere blogger site ka layout page loading me prblm de rha hai, sirf blue line load ho rhi hai na kuch kaam kar paa rha hu, blogger draft option bhi band hai, sir pls bataye.

  2. Avatar for Mahesh kuteMahesh kute

    Google Search console me sitemap me error aa raha hai bhai esa bata raha hai ki
    Your Sitemap appears to be an HTML page. Please use a supported sitemap format instead.
    Plizz bhai keya karu bataona

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      xml format sitemap istemal karo.

  3. Avatar for ashik pathanashik pathan

    thanks bhai

  4. Avatar for Deepak SahuDeepak Sahu

    sir mere blog ka homepage non https url ke sath open ho raha hai but jab mai koi post open kar raha hu to wo https ke sath open hota hai. aisa kyu ho raha hai? isko kaise fix kare

    • Avatar for जुमेदीन खानजुमेदीन खान

      Homepage का source code check करो और जो URL http के साथ हो उसे https में replace करो

  5. Avatar for Puran Mal MeenaPuran Mal Meena

    jankari badhiya hai but bhut si jagah aapne http:// ki jagah https:// likh Rakha hai.Mera Kahne ka matlab bahut jagah aapne https:// ko https:// se hi replace karne ke bare me bataya hai.karpya post ko update kare

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      Ek jagah nahi balki har jagah https hi hai, actually site me https enable karne time aesa hua hai, post update kar di gayi hai. thanks btane ke liye.

  6. Avatar for anup lakraanup lakra

    hello sir
    mera blogg se same problem aa rha h
    (
    Editing your theme so it mixes HTTP and HTTPS may affect the security and user experience of your blog when it is viewed over HTTPS. Learn more. Hide warning ) ye bata raha h apke kahe anushar maine (http) ki jagah (https) replace kr diya h but save nhi ho rha h? or layout m kahi v http search krne ka option nhi aa rha h
    so please help me

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Carefully mixed content ko fix karo.

  7. Avatar for kashifkashif

    sir meri ye ek wbsite hai zaykarecipes.com is website ko jab me http://www.zaykarecipes.com adderess dalkar khlta hun to ye website nahi khulti matlab now www to website khul jati hai but http://www.zaylarecipes.com nahi khul pati ye problem jab se aai jab mene ssl certificate instal kiya ab aap please iska solution bataiye

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aap DNS setting me A record add karo or www ko example.com par point karo.

  8. Avatar for gopal sharmagopal sharma

    dear sir

    meri blog post v uska url search engine me show nahi ho paa raha h jab ki usse address baar me dalta hu to waha show ho raha h jab ki mene use 2 mahine pahle hi post karwa diya tha or saath me index b karwa diya tha.

    please tell me reason

    thanks

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aapke blog par traffic badhao or site ko GMWT me submit karke rakho to hi search me aayega. Internet par competitor bahut hai. Jo best karega wohi top apr aayega.

      • Avatar for Santu KumarSantu Kumar

        But iss process ko mobile me kaise kare please help me

  9. Avatar for Rohit kumarRohit kumar

    Sir mere blog ki post ko crome par search karo to search ho jati h Mgr plus.goole.com kaise address hot a meri website kaise address nhi fir use open karenge to meri Google profile open ho jayegi fir waha open karenge tab meri post open hoti h
    Plz help

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aap Post content me keywords ka istemal sahi se kare taki wo search engine me top par aa sake.

  10. Avatar for HaiderHaider

    bro template main mix content error show ho rahi,, agr main AdSense appply kr do to kai AdSense approve ho jay ga?

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      ho jayega.

    • Avatar for Priyanka rajPriyanka raj

      Sir mere blog pr subscribe butten error Show kar rha hai kya kare ki sahi ho jaye sir plz help me………….

  11. Avatar for HaiderHaider

    A O A
    Bhai mery blogg( renewablepowersource.blogspot.com/ ) k template main Main mixes HTTP and HTTPS error show kr rha last week sy main solve krni ke try kr raha but nehi howi ..
    ap ny jo information shear ke mixes HTTP and HTTPS contant k bary wo apply b kr k dekh le but koi fida nehi..
    Kindly Help me .

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Haider sabhi template me javascript link with http nahi rahte show aap agar http security use karoge to ye error aayega hi. fayda tabhi hoga jab aap kar paoge.

  12. Avatar for Shashi YadavShashi Yadav

    Bro ! aap mere comment ka javab kyu nhi de rhe ho ? mera saval hai, ki hamare blog ke template me http and http mixes error hai. Aur mai apne blog me domain add karna chahta hu. to kya mujhe http mixed error ko fix karna chahiye ya fir blogger mere blog me domain ko support karega ? ydi fix karna ho to kaise kare ? help me plz…

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aap domain use karoge to aapko ye error nahi aayega. Don’t worry aap domain ko blog me add karo.

  13. Avatar for Shashi yadavShashi yadav

    Hallo brother ! mai apne blog me domain add karna chahta hu. but sari settings karne ke bad blogger me save karta hu to (We have not been able to verify your authority to this domain. Error 12.) msg sow hota hai. kya iska karn http mixes content bhi ho sakta hai. ydi ha, to is problem ko thik karke blog me domain set karne ke bare me bataye. help me plz…

  14. Avatar for RajeshRajesh

    हेल्लो सर में गुजरात से हु और में एक एड्यूकेशन का ब्लॉग सलता हूं Jobguj.com लेकीन जिसके PC में क्विखिल हो उसमे मेरा ब्लॉग ऑपन नहीं होता तो प्लीज आप मुझे इसका सॉल्यूशन बताएंगे

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      क्विखिल का क्या मतलब हैं.

  15. Avatar for Babita SinghBabita Singh

    very useful information about mixed content error. Can you please tell how to customize menu bar in blogger. How can menu items can be automatically linked with labels.
    -khayalrakhe.com

  16. Avatar for Rajesh KumarRajesh Kumar

    Sir Mere Pas Ek YouTube Channel Hai aur mai chahta hu ki use AdSense se jor de lekin meri age 17 years hai to kya mai aapne mother ki ac de sakta hu.

    2. Kya Jab AdSense proved hone ke bad kiske nam se AdSense pin bhejega kya wo jiske nam se ac jai use nam se ya mere nam se.

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      1. Ha bana sakte ho.
      2. haa usi ke name se bhejega jiske name se aap AdSense account banaoge.

      • Avatar for Rajesh KumarRajesh Kumar

        Kya Mai Jab Meri age 18 ho jayegi to kya mai AdSense account name and bank account change kar sakta hu?

        • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

          Haa kar sakte ho.

  17. Avatar for dilipdilip

    Bro jab me template me page lavel ka cade add karke save karta hu to save nhi hota hai or likh k aata h ki kya apne xml ko sahi se band kiya hai lekin me jab code add karta hu tabhi likh k aata h or code bhi bilkul sahi use karta hu

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      Aap page levle ad code apne blog ki widget me add karo work karega.

      • Avatar for dilipdilip

        Page lavel ad code blog k layout me jakar sidebar me lagaye ya footer me

        • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

          Kahi par bhi widget me add kar do work karega.

          • Avatar for dilipdilip

            mene sidebar me lagaye lekin show nhi hue or na hi error likh k aaya

          • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

            Mobile me check karo.

  18. Avatar for vikashvikash

    Hello sir bhut aachi but muje html me show ho rha hai wp per

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      usme bhi aap http ki jagah http set karo.

  19. Avatar for AryanAryan

    sir AdSense ki taraf se ek mail aya iska matlab bata dijiye kya hai


    The survey takes 15-20 minutes to complete.

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      Ye servey message hai. Mujhe ye fake lagta hai. But AdSense ka message bhi ho sakta hai. Aap ise avoid kar do AdSense ka hoga to AdSense par homepage pe show hoga.

  20. Avatar for Yasir khan saqlainiYasir khan saqlaini

    Bhai bahut hi acha article hai. Aur bata du ki ap sach me bahut hi ache writer ho aur motivate karte ho hmsha
    Apka blog se sikha kar hi maine blog banaya par bhai search engine se traffic kyu nahi aa raha chk krke bta do kya kami h

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      Its my pleasure yasir, Aap abhi blogging se related or post padho or better post likho.

  21. Avatar for shahadat khanshahadat khan

    Masha allah very beautifull post thanks for good help about bloggers

    Dear kaise pata chale ki kisi ne meri site par click kya hai Add To laga diya hai woh bhi 4 _ 5 koi mushkil to nahi hogi AdSense mein aur mein pehle bhi aapko bataya tha traffic ke bare mein jab woh blog islamic tha but ab with domain ke health2hindi se chala raha hun kafi achha likhne ki koshish karta hun par day 200 to 400 visitor page wiv hi ho pate hain

    Pehle se to kafi changing hai khair har post ko be carefull hokar padhta hun but abhi bahut ziyadah mehnat ki zarurat hai but full time nahi milta hai

    Mein abhi saudi mein hun agar koi meri site ke add par koi click karega to benefit ziyad hoga ?

    Please mere blog ko aapne kafi chaik kiya hai but abhi maine add lagaya hai iss liye 1 nazre karam hojae kya add ki jaga galat to nahi add jaise lage hain yeh methodh right ya wtong plz chak

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      Thanks shahadat,
      aap AdSense performance report me check kar sakte ho ki kounse ad par kitne click mile hai. Traffic me bare me me kei post likh chuka hu or sabhi me btayi tips 100% working hai.
      Nahi ye visitor ki location par depend karta hai apaki par nahi. Ads aapne sahi lagaye hai koi problem nahi hai.

  22. Avatar for Kuldeep SinghKuldeep Singh

    Thanx Sir, Maine apke wala template laga liya hai. Sir mai apse kuchh puchhna chahta hu

    1. Jaise aapne template ke niche se links hata diye hai jaise mythemeshop or newbloggertheme.com ka to kya ye copyright to nahi mana jata.
    2. Aapne category or author box kaise lagaya hai.
    3. Aapne niche privacy policy, contact, about, sitemap or disclaimer ke links kaise add kiye hai.

  23. Avatar for KuldeepKuldeep

    Hello Sir, aap ek baar meri site goharyana.in khol kar dekhiye isme problem aa rahi hai site pata ni kaha redirect ho rahi hai ise kaise solve karu

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      Aap blog ki template change kar osab thee kho jayega.

  24. Avatar for surajsuraj

    Sir kya aap muje bta sakte he ki me meri site me kya kya change kru jese
    Ki me jo post dal rha hu uska taital kya mene sahi sahi dale he
    Or jo post me write kiya he bo shi he kya
    Or mene apni site kesi dijain ki he

    Or jo bhi aapko galat lage plz aap bta dijiye me use thik kar duga

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      Aap blog ke footer me jaruri widget add karo or sidebar ka background color sahi karo.

  25. Avatar for shashankshashank

    Sir bahut hi achcha article h. Mai daily visitor hu supportmeindia ka.

    Ek baat puchna tha –blog me Disclaimer, or privacy policy ka jo page banana padta hai usme bahut sari cheejo ki details likhni padti hai, jo ki kisi kaam ki nahi hoti hai, kya mai esa kar sakta hu ki kisi dusre ke blog ke privacy policy or disclaimer ko copy karke apni site me laga du. esa karne se AdSense copyright to nahi manega.

Add a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

I need help with ...