Maine affiliate marketing program se paise kamane ke bare me pahle bhi StudioPress Affiliate Program Se Paise Kaise Kamaye article me btaya tha ki kaise hum WordPress theme sell karke money earn kar sakte hai. Aaj is post me aapko Flipkart Affiliate Program se paise kamane ke bare me bta raha hu.
“Hello sir flipkart affiliate se paise kamane ke bare me janna chahata hu. Kya aap iske bare me post likh sakte ho.” Ye message Arvind Sharma ne contact form me send kiya hai. So is tutorial me mai arvind ke sath aap sabhi ko details me flipkart affiliate marketing se paise kamane ke bare me bta raha hu.
- Top 7 Affiliate Marketing Program In India
- Blogging Kya hai? Blogging Se Related Question Answer in Hindi
Agar aap affiliate marketing program ke bare me puri jankari chahate hai to aap humari Affiliate Marketing Kya Hai or Isse Income Kaise Hoti Hai post padhiye. Isme aapko affiliate program se paise kamate hai ki full information milegi.
Flipkart Kya Hai?
Flipkart bharat ki ek E-commerce company hai jise Sachin Bansal and Binny Bansal ne 2007 me banaya tha. Flipkart ke founder pahle amazon.com ke liye work karte the but 2007 me inhone apni alag company banane ke bare me socha or flipkart ko launch kiya. Ye singapore me registered hai but iska headquarters Bangalore, Karnataka, India me hai.
Flipkart ko main books kharidne or bechne (Buy and Sell) ke liye banaya gaya tha. Magar ab customer is par Electronics, Books, Clothes, Accessories, Home furnishing and other product buy and sell kar sakte hai.
Flipkart par aap cash on delivery, credit or debit card transactions, net banking, e-gift voucher and card swipe on delivery method se payment kar sakte ho. Flipkart ne apne aapke product “Digiflip” ko launch kiya hai. Jiske under ye tablets, USBs, laptop bags and computer ka saman sell karta hai.
Flipkart Affiliate Program
Flipkart affiliate program ke ads apni site par laga kar aap achi earning kar sakte hai. Aapko sirf apni site par flipkart ke links and banner ads lagane hai. uske bad jab bhi koi aapki site par se flipkart ke ads par click ke koi product kharidega to us product ka kuch hissa yani commission aapko milega.
- Flipkart aapko product ke price ke hisab se aapko commission deta hai. ye commission 5% se 20% tak ho sakta hai. Agar aap janna chahate hai ki flipkart kis product par kitna commission deta hai to aap flipkart commissions form par visit kare.
- Flipkart affiliate program par aap 2 tarah se money earn kar sakte hai. ek me aapko flipkart par shoping karni hogi or dusre me aapko direct bank account me payment milega.
- Gift Voucher: Isme aap flipkart se jo bhi paise kamaoge wo aapko nahi milenge. Aap sirf un paiso se flipkart se shoping kar sakte ho. Yani flipkart aapko cash payment nahi karega. Aapko uske product buy karne honge. Isme aapki earning Rs250 hone par aap shoping kar sakte ho.
- EFT: EFT yani Electronic fund transfer, Is method me flipkart aapke bank account me direct payment send karta hai. Jab aapki earning Rs1000 ho jati hai to aap payment receive kar sakte ho.
- Flipkart ke link or banner ads ko aap apne hisab se customize kar sakte ho. Or kisi bhi product ko search karke uska affiliate link generate kar sakte ho.
Flipkart Affiliate Se Earning Kaise Hoti Hai?
Flipkart affiliate program ko join karne ke bad jab aap apne blog ya website par uske ads lagaoge or us ad par click karke koi visitor flipkart ke product buy akrega to aapko uska kuch persent commission milega.
Flipkart Affiliate Program Par Account Kaise Banaye?
Flipkart par register karne ke liye sabse pahle aap Flipkart Affiliate par jaye or JOIN NOW FOR FREE ya regidter par click kare.
Yaha par aapko apna email address or password choose karne hai. Apne password or email ID add karne ke bad “I agree to the Flipkart Affiliate Program Term and Conditions” ke samne tick kare. Uske bad REGISTER ME button par click kare.
Ab ye message show hoga “Successfully registered! Please check your email for a confirmation link to activate your account.”. So apne gmail inobox me jaye or usme diye link par click kare. Us link par click karke aapko account verify karna hai.
Ab aapke samne flipkart affiliate account information ka page khulega. Ab yaha par aapko apne account ki sahi information bharni hi.
- Account Information: Isme aapko apna name, email address, recoer email addpress, mobile number, address, country, state, city and pin code select karna hai.
- Affiliate Type: Yaha par aapko ye select karna hai ki aap apni company ke liye affiliate program join kar rahe ho ya sirf apne liye. Agar apne liye kar rahe ho to individual slect kare. Or agar aap company ke liye account bana rahe ho to Organisation select kare.
- Payment Information: Aapke pas two option hai. EFT or Gift Voucher. Inke bare me mai upar bta chuka hu. Dono me aapko PAN Card ki jarurat padegi.
- Webste URL, upload photo and account setting: Isi tarah aapko Webste, upload photo and account setting ki setting set karni hai.
Flipkart Affiliate Products Ka Promotion Kaise Kare?
Ab aapka flipkart par account bhi ban gaya hai. So ab aapko apni site par flipkart ke ads lagane hai. Iske liye aap ye step follow kare.
- Flipkart site par jaye or us product ko search kare jo aap apni site par bechna chahate hai.
- Ya fir aap flipkart affiliate form par ja kar bhi categary ke hisab se product pasand kar sakte hai.
- Ab aapke pas do option honge first aap apni site par links add laga sakte hai. Second aap flipkart ke banner use kar sakte hai.
- Mai aapko suggest karunga ki aap banner and links add use karne ke sath sath flipkart product ke bare me articles likhe or usme flipkart ke links add kare.
- Links example: https://dl.flipkart.com/dl//mesleep-abstract-69-821-vinyl-laptop-decal/p/itmebvhxb8skfhjz?pid=LSDEBVHXQZYHNVJD&affid=iamjumede
Finally, Ye thi flipkart affiliate program se paise kamane ki complete guide. Agar iske bad bhi aapko kuch puchna ho to aap niche comment me puch sakte hai. Or agar aapke pas flipkart ke bare me koi or jankari hai to aap comment section me apne thoughts share kar sakte hai.
Agar aapko ye tutorial pasand aaye or isme helpful information mile to ise social media par apne friens ke sath share jarur kare.
Tariq khan
M ne textile engineering kiyaa hoo to kya m uspe bloging Kar skta hoon..Fashion related
Or
1. What to write in
2.kyaa koi dekhega
3. Kya ye niche success Hoga ..
Waitingfor your valuable reply
Pankaj kumar Singh
hi sir mujhe ye bataye ki affilate flipkart ke register option pe click karne pe regester page open to hota hai per wo bilkul khali hota hai usme kuchh likha huaaaa nahi aata to mai kya karu kaise register kkaru
Jumedeen Khan
page refresh karke fir se karo.
Yogesh kumar Dewangan
सर मुझे आपका ब्लॉग बहुत पसंद है मैंने भी नया ब्लॉग बनाया है सर मेरी शुरुआत है इसलिए थोड़ा help कर दीजिये । ब्लॉग direct लिखना है या काही और लिख कर पेस्ट करना है ! ब्लॉग मे टेबल of content कैसे सेट करना है !
जुमेदीन खान
आप दोनों तरीके से कर सकते हो
Preeti
Mai images par blog Bana Sakti hu kya or kese Kam karna hoga.
Mainly best wishes card Bana kar dalna hai . blogger par.kese start kare .
जुमेदीन खान
Apne niche se relate achhi theme choose karo aur jaise text post karte hai waise hi image post share karo.
Yogendra Singh
Registration me kitna paisa kharch hoga.
जुमेदीन खान
Registration free है
junaid husain
jaimuddin bhai kaise karun bhai bata do zara mujhko meri to website bhi nahi h to main kaise website banau aur kaise affiliate markting karun please bhai tell me
जुमेदीन खान
वेबसाइट बनाने की जानकारी यहाँ है फ्री ब्लॉग और वेबसाइट कैसे बनायें?
akash
Superb article thanks for sharing earn money ways from flipkart
Prakash Bhai
aap ne filipkart se paisa kamane ke bahut good suggest kiye hai
Husanjeet
Great article sir Maine apki website se hi article ko achi tarah read karke bilkul aisa hi kiya hai aur Maine flipkart affialte me account create kiya aur kuch earning bhi ki hai .thanks for sharing.
HARERAM MAHTHA
bhai please help ,
maine flipkart affilliate account create kiya hai 7 se 8 month ho gaya hai puri details fill up kiya hai . a/c details puri tarah fill kiya hai. useke bad uske bad website details me facebook
ka url dala hai aur payment details me eft chooge kiya hai uske niche upload document me pan card aur cancel chque dala hai but bahut dino se account verify nahi ho raha hai. kya karna chaliya please help
Jumedeen khan
Contact support team.
TAPAN
Hello sir mera ek blogger website hai or mene ek amazone acccount create kiya hua hai. or uske links apni site par diya hai. mene un link ke dwara 6 itemes purchase krwaya tha jisme se ek laptop tha 5 items ke to mujhe commission mil gye hai par laptop ka commission jo ki 27 din ho chuke hai abhi tk nhi mila hai iska kya reason ho skta hai. sir please reply kare…..
Jumedeen Khan
Contact affiliate support.
vikas dahiya
sir…. blog ya website k bina kaam chl skta h
Jumedeen Khan
Yes aap social media par apne referral link share kar sakte ho.
tinku
Sir Adsense fully approval hai lekin website par ads show nahi karta .. YouTube pe ads chal rahi hai
.. kuch help ho sakti hai
Jumedeen khan
Adsense setting me ja kar my site setting me apni site ka link add karo sath hi policy center me check karo koi warning to nahi hai, Agar hai to use fix karo.
sourav kumar
sir mai bhi aapki trh website banana chahta hu kya aap meri help kr sakte ho sir
Jumedeen Khan
bilkul ask everything
ankush tokare
sir……..
document upload ki size kya honi chahiye pan card ki vo nahi ho raha he ….?
Manish
Sir me filipkart aur Amazon dono me account banana chahta hu kya me dono me bana sakta hu
Jumedeen Khan
Yes bana sakte ho.
manoj singh
jume deen bhai kuch question h
1. jab flipkart par a/c banate h tab pan card or cancel cheque ki copy magta h mere pass pancard h but cheque nhi to cheque ke bina nhi ho sakta kya
2. amazon me a/c bante ke turant baad hi hum product bech sakte h jaise kisi product ka link send kar ke ya fir product ka ad code apni blog par laga kar ke
3. mera blog govt jobs par h kya me pratiyogita darpan ya other jo monthly gk ati unka pdf file ka link apni blog par laga sakta hu ye copyright hoga ya nhi
Jumedeen Khan
1. cheque ki jarurat nahi hai us option ko avoid karo.
2. yes.
3. yes kar sakte ho.
wakil Ahmad
Mr khan is apna paisa v lagana part a hai kya aur kaise afflited suru kar skte.
Jumedeen Khan
Wakil post ko full read kiya karo. Isme paise lagane ki jarurat nahi hai.