Maine affiliate marketing program se paise kamane ke bare me pahle bhi StudioPress Affiliate Program Se Paise Kaise Kamaye article me btaya tha ki kaise hum WordPress theme sell karke money earn kar sakte hai. Aaj is post me aapko Flipkart Affiliate Program se paise kamane ke bare me bta raha hu.
“Hello sir flipkart affiliate se paise kamane ke bare me janna chahata hu. Kya aap iske bare me post likh sakte ho.” Ye message Arvind Sharma ne contact form me send kiya hai. So is tutorial me mai arvind ke sath aap sabhi ko details me flipkart affiliate marketing se paise kamane ke bare me bta raha hu.
- Top 7 Affiliate Marketing Program In India
- Blogging Kya hai? Blogging Se Related Question Answer in Hindi
Agar aap affiliate marketing program ke bare me puri jankari chahate hai to aap humari Affiliate Marketing Kya Hai or Isse Income Kaise Hoti Hai post padhiye. Isme aapko affiliate program se paise kamate hai ki full information milegi.
Flipkart Kya Hai?
Flipkart bharat ki ek E-commerce company hai jise Sachin Bansal and Binny Bansal ne 2007 me banaya tha. Flipkart ke founder pahle amazon.com ke liye work karte the but 2007 me inhone apni alag company banane ke bare me socha or flipkart ko launch kiya. Ye singapore me registered hai but iska headquarters Bangalore, Karnataka, India me hai.
Flipkart ko main books kharidne or bechne (Buy and Sell) ke liye banaya gaya tha. Magar ab customer is par Electronics, Books, Clothes, Accessories, Home furnishing and other product buy and sell kar sakte hai.
Flipkart par aap cash on delivery, credit or debit card transactions, net banking, e-gift voucher and card swipe on delivery method se payment kar sakte ho. Flipkart ne apne aapke product “Digiflip” ko launch kiya hai. Jiske under ye tablets, USBs, laptop bags and computer ka saman sell karta hai.
Flipkart Affiliate Program
Flipkart affiliate program ke ads apni site par laga kar aap achi earning kar sakte hai. Aapko sirf apni site par flipkart ke links and banner ads lagane hai. uske bad jab bhi koi aapki site par se flipkart ke ads par click ke koi product kharidega to us product ka kuch hissa yani commission aapko milega.
- Flipkart aapko product ke price ke hisab se aapko commission deta hai. ye commission 5% se 20% tak ho sakta hai. Agar aap janna chahate hai ki flipkart kis product par kitna commission deta hai to aap flipkart commissions form par visit kare.
- Flipkart affiliate program par aap 2 tarah se money earn kar sakte hai. ek me aapko flipkart par shoping karni hogi or dusre me aapko direct bank account me payment milega.
- Gift Voucher: Isme aap flipkart se jo bhi paise kamaoge wo aapko nahi milenge. Aap sirf un paiso se flipkart se shoping kar sakte ho. Yani flipkart aapko cash payment nahi karega. Aapko uske product buy karne honge. Isme aapki earning Rs250 hone par aap shoping kar sakte ho.
- EFT: EFT yani Electronic fund transfer, Is method me flipkart aapke bank account me direct payment send karta hai. Jab aapki earning Rs1000 ho jati hai to aap payment receive kar sakte ho.
- Flipkart ke link or banner ads ko aap apne hisab se customize kar sakte ho. Or kisi bhi product ko search karke uska affiliate link generate kar sakte ho.
Flipkart Affiliate Se Earning Kaise Hoti Hai?
Flipkart affiliate program ko join karne ke bad jab aap apne blog ya website par uske ads lagaoge or us ad par click karke koi visitor flipkart ke product buy akrega to aapko uska kuch persent commission milega.
Flipkart Affiliate Program Par Account Kaise Banaye?
Flipkart par register karne ke liye sabse pahle aap Flipkart Affiliate par jaye or JOIN NOW FOR FREE ya regidter par click kare.
Yaha par aapko apna email address or password choose karne hai. Apne password or email ID add karne ke bad “I agree to the Flipkart Affiliate Program Term and Conditions” ke samne tick kare. Uske bad REGISTER ME button par click kare.
Ab ye message show hoga “Successfully registered! Please check your email for a confirmation link to activate your account.”. So apne gmail inobox me jaye or usme diye link par click kare. Us link par click karke aapko account verify karna hai.
Ab aapke samne flipkart affiliate account information ka page khulega. Ab yaha par aapko apne account ki sahi information bharni hi.
- Account Information: Isme aapko apna name, email address, recoer email addpress, mobile number, address, country, state, city and pin code select karna hai.
- Affiliate Type: Yaha par aapko ye select karna hai ki aap apni company ke liye affiliate program join kar rahe ho ya sirf apne liye. Agar apne liye kar rahe ho to individual slect kare. Or agar aap company ke liye account bana rahe ho to Organisation select kare.
- Payment Information: Aapke pas two option hai. EFT or Gift Voucher. Inke bare me mai upar bta chuka hu. Dono me aapko PAN Card ki jarurat padegi.
- Webste URL, upload photo and account setting: Isi tarah aapko Webste, upload photo and account setting ki setting set karni hai.
Flipkart Affiliate Products Ka Promotion Kaise Kare?
Ab aapka flipkart par account bhi ban gaya hai. So ab aapko apni site par flipkart ke ads lagane hai. Iske liye aap ye step follow kare.
- Flipkart site par jaye or us product ko search kare jo aap apni site par bechna chahate hai.
- Ya fir aap flipkart affiliate form par ja kar bhi categary ke hisab se product pasand kar sakte hai.
- Ab aapke pas do option honge first aap apni site par links add laga sakte hai. Second aap flipkart ke banner use kar sakte hai.
- Mai aapko suggest karunga ki aap banner and links add use karne ke sath sath flipkart product ke bare me articles likhe or usme flipkart ke links add kare.
- Links example: https://dl.flipkart.com/dl//mesleep-abstract-69-821-vinyl-laptop-decal/p/itmebvhxb8skfhjz?pid=LSDEBVHXQZYHNVJD&affid=iamjumede
Finally, Ye thi flipkart affiliate program se paise kamane ki complete guide. Agar iske bad bhi aapko kuch puchna ho to aap niche comment me puch sakte hai. Or agar aapke pas flipkart ke bare me koi or jankari hai to aap comment section me apne thoughts share kar sakte hai.
Agar aapko ye tutorial pasand aaye or isme helpful information mile to ise social media par apne friens ke sath share jarur kare.
arun yadav
koi esha software or mobile app batao jis se ham animation video bna kar unhe monatize kar sake
Jumedeen Khan
aap YouTube par bhi animation video bana sakte ho.
RUTVIK Modi
क्या हंम कोई भी कस्टम डोमेन खरीदें वेबसाइट बनाने के लिए तो हमें hosting की जरूरत पड़ती है
Jumedeen Khan
Nahi aap blogger par free website bana sakte ho.
RUTVIK Modi
यह मुझे पता है लेकिन मुझे उसमें कोई कस्टम डोमेन सेट करना हो तो होस्टिंग की जरूरत पड़ेगी
Jumedeen Khan
nahi bina hosting ke add kar sakte ho.
rohit
aapki ek post padhi thi usme high advance seo seting btai thi. Jab se wo ki hai tab se posts index ni ho rahi hai. Aur meta tag decription bi ni dikhai deta h
Jumedeen Khan
Rohit wo post aapke alawa khud mai or mere bahut se friends follow karte hai. Isliye aap mujh par iljam mat lagao or dusro ki post ko copy karna band karo. Aapke blog ki kuch post ke title to same meri post ke title se match hote hai. Or usme di gayi jankari bhi. Bro aap bhale hi post khud likh rahe ho but aapka or mera same topic hone par problem to hogi hi or aap jyadatar dusro se related hi post karte ho kabhi sabse lag post bhi likho. Post index ho jayegi ye step follow karo.
1. crawl error ko time time par fix karte raho.
2. url parameters ko fix karo.
3. blog ki template bar bar change mat karo.
4. Original content likho. Google ne seo rules chagne kiye hai. so sirf apni post likho.
Haidar khan
Mere blog me Post Image show nahi ho raha hai home page pe batao kya problem hai.
jaise apke blog me post title ke niche show hota hai
help me please blog ye hadyshack.com
Jumedeen Khan
ap post edit option me ja kar feature thumbnail choose karo.
Haidar khan
sir detail me bata dijiye please
Jumedeen Khan
Ok follow this step.
1. WordPress dashboard >> posts par jao.
2. ab jis post me feature thumbnail set karna hai uske niche edit par click karo.
3. ab right side sidebar me sabse niche add feature image par click karke post image choose karo.
finally setting save karo.
Haidar khan
Thanks sir for help lakin Photo side me a raha front me nahi a raha hai jaise Apke blog me hai.?
Jumedeen Khan
Aap dusri theme use karte ho. Wese aapka blog must dikh raha hai.
malik
bhai godaddy affiliate programe ke baare me bhi ek post publish kare . mene kosish ki thi godaddy se affliate programe join karne ki . but nahi ho paya . ab me bluehost join kar chuka hu .
piyush
mene aapke blog par bhut saari comment ki but mujhe aapke blog ki backlink nhi mili to plz iske liye kya process hai batana jarur
Jumedeen Khan
Yes aap post ke bare me comment kiya karo ye post padho Blog Ke Liye Comments Kyu Jaruri Hote Hai
Sunil Bhargav
aap mujhe kuchh esa bataye jisse main apna khud ka add de saku astrology ke baare. kya esi koi site hai ya phir main ye dusre blog par bhi kar sakta hu jaise hum newpaper main add dete hai wese.
Jumedeen Khan
ha dusre blog or newspaper me ads de sakte ho. sabse acha aap google adwords par ads do.
abdul khan
assalamu alaikum bhai great information diyaa aapne…aapne mujhe ad injection ke baare me bataya tha me title ke baad ad show karna chaaheta hun har post men,, ad injection se kaise show karun plz aap batayen sir mene try kiya har jagah pe show horaha hai, lekin title ke baad nahi show horaha hai.
Jumedeen Khan
w/a aap ad injection me top ads par ad code paste karo or top ad setting me first paragraph choose karo.
Rashid ansari
hello sir kya mein paypal mein apna bank account number ya phir atm number use kar sakta hun kyunki mere paas debit card nahin hai
Jumedeen Khan
Aapko dono ki jarurat padegi bank account or atm card.
Kabir
Great Post. Jinke visitor Computer se aate hain, Unke liye Affiliates se earning karne ka yeh best tarika hain, Thanks Jume Deen bro. Lekin Mere blog par sirf Mobile ke user hain, lag-bhag 93% User Mobile ke jariye mere blog par aate hain. Kya mai bhi isse kuch earn kar sakta hoon?
Jumedeen Khan
ha kar sakte ho. But aapke pas original traffic hona chahaiye. jo aapke visitors product buy kar sake.
Aryan
Bro mere pas pancard ni hai kya mai pancard ko jagah Adhar card use kar sakta hu ya koi aur tarika hai bina pan card ke flipkart ko join karna
Jumedeen Khan
Nahi flipkart par aapko pancard ki jarurat padegi.
ravi kumar
aryan aap naye ho iske liye aap https://www.supportmeindia.com ke affiliated market se releted post padhe, kyuki isme trafic ki jarurat aur avi aapke pass bahut kam trafic hai,
jitender singh
sir ad injection se add apne apni jagha badalte rahete hai yaa koi coding karni hogi
Jumedeen Khan
ap anywhere select karo. location apne aap change hoti rahegi.
Sahil kumar
Bhai mai Amazon Aur Flipcart ko Affilliate ke liye pahle kafi use karta hai, click to bahut milte the par sale nahi hoti thi, sayad iska karan ye hai ke log seedhe click karke item nahi khareddte, pahle man banate hai aur phit ek do din baad site par jaker hi buy kar lete hai.
Jumedeen Khan
Nahi sahil india ke log online shoping me kam interest lete hai. Mai bhi affiliate porgram use karta hu. Bahut kam sell hoti hai.
zishan ali gulzar
sir mera WordPress blog me koi v image nhi show ho rha hai,,jitna v feature image lgaya hun, 2 din pahle tk show ho rhe the but ab nhi ho rha hai,,, kya kre,,??
Jumedeen Khan
Zishan aap theme ko ek bar remove karke fir se upload karo or features images sahi se use karo.
dilip
kya flipkart ko subdomain me bhi use kar sakte h
Jumedeen Khan
Ha kar sakte ho.
rimisha ali
hi…app thumble image kaise upload katre ho
Jumedeen Khan
WordPress blog me iskaoption hota hai. Usse karta hu.
surendra
jume deen bhai maine ek baar comment kara tha ki meri site par kabhi Adsense ke ads show ho rahe or kabhi nhi aisa kyo or kabhi kabhi to half ads. show hote he or half blank ads..
aapka jawaab tha ki iska kaaran slow internet he. to bhai me puchna chahta hu ki maine Ek tab me aapki site open kari or ek tab me meri site too aapki site par ads dikh rahe the or meri site par blank ad. or me aapko bata du ki mera AdSense fully approved he or ads lagaye 3month ho gye or 15$income bhi karli par fir bhi ye problem solve nhi ho rahi ki “kabhi ads show hote he or kabhi kabhi nhi”.
Jumedeen Khan
Aapki site ka link btao mai chck karke dekhta hu.
abid khan
muje aap s ye janna he hm filipcart or amazon se paise nikal kb skte he
Jumedeen Khan
INki payment processing check karo usme sabkuch btaya hua hai.
ravi kumar
bhaiya mere message ko ignor na kare please, aapne bataya AdSense cheq karne ke liye aap Apna I’d aur pasword bhejo, bheje kai din ho gaye, anytechinfo ke name se hai, gaya hoga please aap mere liye thoda time de,
Jumedeen Khan
Ravi aap mujhe abhi meri facebook id par message karo mai aapko 5 minutes se pahle reply karunga. Ok fast
Vishwajeet Singh
Hello sir
Muje blogger pr table bnana hai
I mean mera blog study blog hai and muje usme aisa post tyar rkna hai jisme book ki trh content table ho
And 1 thing more blogger pr category kaise bnate hai
Jumedeen Khan
Aap yahi comment pahle bhi kar chuke hai. Waha par maine reply kiya hai wo padho.
Sandeep Jinagal
Mr. Jumedeen Bro Flipkart se aap sirf product affiliate se hi nahi balki, app installation se bhi paise kama sakte ho.
jab aap kisi ko product ke liye refer karte ho toh agar vo user mobile user hai toh flipkart use pahle aap install karne ke liye kahti hai or agar vo user aap install karta hai toh flipkart aapko 60 rupaay per install ke deti hai.
aap per aap install ke 60 rupay kama sakte ho ho.
bro kuch post ke barre mein janna tha.
mein WordPress par yoast seo plugin use kar rha hu.
1. jab mein pahle use kiya hua focus keyword use karta hu toh yoast muje warn karta hai ki koi or keyword use karo. toh kya mein 1 se jyada posts mein same focus keyword use kar sakta hu. koi dikat toh nahi hogi.
matlab agar mera focus keyword ‘whatsapp’ hai
or mein 3 whatsapp par related quality post likh rha hu toh kya mein focus keyword whatsapp use kar sakta hu tino posts ke liye ya aalag alag use karu.
2. kyi bar jab mein external kink dalta hu toh vo focus keyword se match hota hai yoast fir se warn karta hai ki please change it.
matlab agar mein whatsapp par post likh rha hu toh agar mein link dalta hu ‘whatsapp download link’ or mera focus keyword hai ‘whatsapp’ toh kya iss se seo mein farak pdega.
3. mein jyadatar 2 ya 3 tag hi use karta hu posts se related. kya itne hi use kru ya jyda tags use kru.
Jumedeen Khan
Thanks sandeep aapne achi tips btayi hai. thanks again
1. ha kar sakte ho but 2-3 isse jyada nahi.
2. aapa seo icon green hona chahiye. sare step bhi follow nahi kar sakte. 1-2 rah hi jate hai.
3. aap maximym 5 tags use kar sakte ho.