Maine affiliate marketing program se paise kamane ke bare me pahle bhi StudioPress Affiliate Program Se Paise Kaise Kamaye article me btaya tha ki kaise hum WordPress theme sell karke money earn kar sakte hai. Aaj is post me aapko Flipkart Affiliate Program se paise kamane ke bare me bta raha hu.
“Hello sir flipkart affiliate se paise kamane ke bare me janna chahata hu. Kya aap iske bare me post likh sakte ho.” Ye message Arvind Sharma ne contact form me send kiya hai. So is tutorial me mai arvind ke sath aap sabhi ko details me flipkart affiliate marketing se paise kamane ke bare me bta raha hu.
- Top 7 Affiliate Marketing Program In India
- Blogging Kya hai? Blogging Se Related Question Answer in Hindi
Agar aap affiliate marketing program ke bare me puri jankari chahate hai to aap humari Affiliate Marketing Kya Hai or Isse Income Kaise Hoti Hai post padhiye. Isme aapko affiliate program se paise kamate hai ki full information milegi.
Flipkart Kya Hai?
Flipkart bharat ki ek E-commerce company hai jise Sachin Bansal and Binny Bansal ne 2007 me banaya tha. Flipkart ke founder pahle amazon.com ke liye work karte the but 2007 me inhone apni alag company banane ke bare me socha or flipkart ko launch kiya. Ye singapore me registered hai but iska headquarters Bangalore, Karnataka, India me hai.
Flipkart ko main books kharidne or bechne (Buy and Sell) ke liye banaya gaya tha. Magar ab customer is par Electronics, Books, Clothes, Accessories, Home furnishing and other product buy and sell kar sakte hai.
Flipkart par aap cash on delivery, credit or debit card transactions, net banking, e-gift voucher and card swipe on delivery method se payment kar sakte ho. Flipkart ne apne aapke product “Digiflip” ko launch kiya hai. Jiske under ye tablets, USBs, laptop bags and computer ka saman sell karta hai.
Flipkart Affiliate Program
Flipkart affiliate program ke ads apni site par laga kar aap achi earning kar sakte hai. Aapko sirf apni site par flipkart ke links and banner ads lagane hai. uske bad jab bhi koi aapki site par se flipkart ke ads par click ke koi product kharidega to us product ka kuch hissa yani commission aapko milega.
- Flipkart aapko product ke price ke hisab se aapko commission deta hai. ye commission 5% se 20% tak ho sakta hai. Agar aap janna chahate hai ki flipkart kis product par kitna commission deta hai to aap flipkart commissions form par visit kare.
- Flipkart affiliate program par aap 2 tarah se money earn kar sakte hai. ek me aapko flipkart par shoping karni hogi or dusre me aapko direct bank account me payment milega.
- Gift Voucher: Isme aap flipkart se jo bhi paise kamaoge wo aapko nahi milenge. Aap sirf un paiso se flipkart se shoping kar sakte ho. Yani flipkart aapko cash payment nahi karega. Aapko uske product buy karne honge. Isme aapki earning Rs250 hone par aap shoping kar sakte ho.
- EFT: EFT yani Electronic fund transfer, Is method me flipkart aapke bank account me direct payment send karta hai. Jab aapki earning Rs1000 ho jati hai to aap payment receive kar sakte ho.
- Flipkart ke link or banner ads ko aap apne hisab se customize kar sakte ho. Or kisi bhi product ko search karke uska affiliate link generate kar sakte ho.
Flipkart Affiliate Se Earning Kaise Hoti Hai?
Flipkart affiliate program ko join karne ke bad jab aap apne blog ya website par uske ads lagaoge or us ad par click karke koi visitor flipkart ke product buy akrega to aapko uska kuch persent commission milega.
Flipkart Affiliate Program Par Account Kaise Banaye?
Flipkart par register karne ke liye sabse pahle aap Flipkart Affiliate par jaye or JOIN NOW FOR FREE ya regidter par click kare.
Yaha par aapko apna email address or password choose karne hai. Apne password or email ID add karne ke bad “I agree to the Flipkart Affiliate Program Term and Conditions” ke samne tick kare. Uske bad REGISTER ME button par click kare.
Ab ye message show hoga “Successfully registered! Please check your email for a confirmation link to activate your account.”. So apne gmail inobox me jaye or usme diye link par click kare. Us link par click karke aapko account verify karna hai.
Ab aapke samne flipkart affiliate account information ka page khulega. Ab yaha par aapko apne account ki sahi information bharni hi.
- Account Information: Isme aapko apna name, email address, recoer email addpress, mobile number, address, country, state, city and pin code select karna hai.
- Affiliate Type: Yaha par aapko ye select karna hai ki aap apni company ke liye affiliate program join kar rahe ho ya sirf apne liye. Agar apne liye kar rahe ho to individual slect kare. Or agar aap company ke liye account bana rahe ho to Organisation select kare.
- Payment Information: Aapke pas two option hai. EFT or Gift Voucher. Inke bare me mai upar bta chuka hu. Dono me aapko PAN Card ki jarurat padegi.
- Webste URL, upload photo and account setting: Isi tarah aapko Webste, upload photo and account setting ki setting set karni hai.
Flipkart Affiliate Products Ka Promotion Kaise Kare?
Ab aapka flipkart par account bhi ban gaya hai. So ab aapko apni site par flipkart ke ads lagane hai. Iske liye aap ye step follow kare.
- Flipkart site par jaye or us product ko search kare jo aap apni site par bechna chahate hai.
- Ya fir aap flipkart affiliate form par ja kar bhi categary ke hisab se product pasand kar sakte hai.
- Ab aapke pas do option honge first aap apni site par links add laga sakte hai. Second aap flipkart ke banner use kar sakte hai.
- Mai aapko suggest karunga ki aap banner and links add use karne ke sath sath flipkart product ke bare me articles likhe or usme flipkart ke links add kare.
- Links example: https://dl.flipkart.com/dl//mesleep-abstract-69-821-vinyl-laptop-decal/p/itmebvhxb8skfhjz?pid=LSDEBVHXQZYHNVJD&affid=iamjumede
Finally, Ye thi flipkart affiliate program se paise kamane ki complete guide. Agar iske bad bhi aapko kuch puchna ho to aap niche comment me puch sakte hai. Or agar aapke pas flipkart ke bare me koi or jankari hai to aap comment section me apne thoughts share kar sakte hai.
Agar aapko ye tutorial pasand aaye or isme helpful information mile to ise social media par apne friens ke sath share jarur kare.
Anup Dixit
Hello Sir mujhe apki help chahiye
Mujhe bhi aap jess website banana hai .
Kya aap mera naya website bnane me help karnge .
Jumedeen Khan
Iske liye apa mujhe mail send karo.
Pappu Bhandari
Nice Bhai mere ye questions ka answer dena
1. Affiliate Marketing k liye traffic kitna chahiye.
2. Affiliate Marketing ham blogger blog m blog bnane ke kitne din bad kr skte h.
3. Ye payment kease krta hai.
4. Affiliate Marketing k liye blog m kitna post hona chahiye.
Jumedeen Khan
1. Traffic 10k or user support bhi hona chahiye.
2. jab aapke pas achha support ho tab kar sakte ho.
3. mostly direct bank account me pay karte hai or kuch paypal ke through.
4. Ye matter nahi hai aapke pas bas user trust hona chahiye.
Vivek kumar
Hello sir
Mere pass PAN ID nahi hai. Kya main a/c bana sakta hu
Jumedeen Khan
Affiliate marketing ke liye PAN card jaruri hai.
Gopi
Nice post
Uttam Gupta
Bhaut Acchi post hai Filpkart affiliate walo ke liye so they get More Informations.
Hellow jumedeen ji
Me affiliate Marketing krne ke liye soch rha tha
likin mene aaj he Amazon affiliate pe Account bnaya hai Aur A/c bhi ban gya . Av mujhe 2 second step me kya krna hai. mujhe blog pe banner laga na a gya bt unme jo product ki link h vo Code me milti h Like Adsense ka code hota vese. aur vo dirct browsr me open nahi hota. me usme short link bana na Cahata hu bt mujhe udhr kahi optn nahi mila. Get link pe click krne ke baad vo he code milta h jo bol pe lagane ke baad he open hota hai . Uski Link, Short link kaise bane gi jisse Blog ge add kiye bina Direct share kr shke Social sites pe. Mene search kia bt mujhe nahi mila. Aur sirf mujhe Filpkart affiliate marketing ki apki post mili hai.
i requested to you. please Aap Amazon affiliate ke bare me post likheye. Mujhe Amazon affliate ke acc. bana ne ke baad second step me kya krna hai.
please post jarur likhiye jumedeen ji .
I Hope You Understand.
Very Good Experience to you For all About that.
Jumedeen Khan
Ok main iske bare me post likhunga.
nitesh
Sir,kya ise google AdSense ke sath use kr sakte hai
Jumedeen Khan
Ha kar sakte ho.
MOHIT RA
hallo sir me flipkart affiliate pr account bana rha hu to mene saari informetion bhar di he pr us me cancled chaque ki copy mang rha he jo mere pass nhi he batao me kya kru please help me
Jumedeen Khan
Aap apna other documents upload kar sakte ho jaise identity card ya aadhar card
sonu
bro sab info ho gai but bank account no. to dala nhi payment ayee gi kese
,fb par lga skte hai affiliate add ya nhi or blog par kitnee visiter honee chaiyee
btayee
Jumedeen Khan
Is post me sabkuch btaya hua hai ache se padh lo.
Anas khan
Sir Affiliate Market ki Link Kaise dale Blog main
Or sir main yai link FB y Whatsapp PR share kr sakta hu eesa bhee muje commission milega y nhi ? Pls tell
Jumedeen Khan
Anas aap jaa chaho post me link copy kar paste kar sakte ho. Ha agar affiliate program ise allow karta hai to.
krishna
sir maine snapdel affilite par account banaya aur mer link se 700 rs ka product sale hua mujhe 75 rs comisson mila but 3 ya 4 din me 0 batane laga maine ignor kardiya fir wapis mere link se 600 rs ka product sale hua mujhe 52 rs mila fir woh gayab ho gaya ye ho kya raha hai sir meri help karo mai is me new ho
Jumedeen Khan
Aap snapdeal ko iske bare me feedback send karo wo aapko iska reason btayenge.
Bindu
Bhai ye btaiye ki flipkart ya amazon mai reg. Karnate same ya baad mai paise lagtey hai? Mujhe phir paypal ke baare mai puchna tha ki phone se account kholtey hue kya kya information bharni hoti hai? Thanx bhai blog likhne ke liye
Jumedeen Khan
Nahi flipkart par register karne ke paise nahi lagte hai. Paypal ke liye aapko pan card ki jarurat padegi. ye post padho Paypal Account Kya Hai or Paypal Account Kaise Banate Hai
Mohit ra
Hallo sir me Amazon affiliate use kar rhA hu agr koi mere link se jaker koi or product kharide to kya Amazon mujhe commison dega
Jumedeen Khan
Ha bilkul milega.
Nitesh
bahut badiya inforation sir ji
Farhan
Sir, Mere Relative Ne (Amazon.in par) Meri Affiliated Link Se Product Kharida Hai.
To Uska Comission Mujhe Kab Tak Milega.
Jumedeen Khan
Apne amazon affiliate profile me check karo.
Ravindra Kumar Yogi
सर मेरी ब्लॉग की स्पीड कम इसे कैसे बढ़ाये ? साथ ही कोई अच्छा टेम्पलेट बताइए जो SEO और स्पीड फ्रेंडली हो |
मेरी ब्लॉग को मैं कैसे पोपुलर करूँ ?
Jumedeen Khan
Aap google me fast loading template for blogger likh kar search karo or jo badiya lage wo use karo. Blogging me aapko popular hona hai to SEO ko follow karo.
Sonu Rajput
Sir Maine low CPC wale link bhi block kiye hai lakin phir bhi meri CPC $0.04 se $0.07 he rahti hai , Sir koi aisa option bataiye Jissey meri CPC kam se kam $0.30 Ho Jaye .Sir plz help me
Jumedeen Khan
Aap blog 1 page par 3 se jyada ads use kar rahe ho. wo bhi same size ke. Bro adsene ki policy todoge to cpc low hi nahi hogi. aapka AdSense account ban bhi ho sakta hai. ye post follow karo. Blog ke 1 Page Me Adsense Ke Kitne Ads Laga Sakte Hai
kiran pawar
Jumedeen Khan ji post title ko h1 heading kaise lagaye. meri post title ke heading h2 dikhati hai
Jumedeen Khan
Kiran aapko h1 tag use karne ki jarurat nahi hai. Hum jo title use karte hai w oh1 heading me hi hota hai.
vaibhav ugale
agar ham apme blog pe kisi mobile ka add lagate he aur visitor us add par click karke koi dusra product kharedi karta hain to uska commision milega ki nahi flipcart se
Jumedeen Khan
Ha milega. visitor koi bhi product kharide commission milega.
Shibam Kar
Kya Adsense sachmein hinglish support karta hai ?
Jumedeen Khan
ro aap confirm kar rahe ho ya fir mujhse majak kyuki aa palrady hinglish ke bahut se blog par AdSense ke ads dekh chuke ho.
rohit
mai aap iljam ni lga raha hu. Mai toh ye puch raha hu koi mistakes toh ni ho gyi mujse. Aur websmaster me ye aa raha hai ki 108 url submitted 66 indexed
Jumedeen Khan
Bro aapko jo step btaye hai wo follow karo. don’t worry mai aapko garantee deta hu sabhi url index ho jayenge.
chaitanya yadav
Sir ye btaye ki is link ko hM fb par bhi share kr sakte hai kya
Aur 1 baat aur jab mai apne blog ko kl khola to wha par mere post ke sath google aapke ek post ko index kiya ye kyu
Jumedeen Khan
Nahi aap sirf apni site par ads laga sakte ho. Social media ka alag se link gemerate kar sakte ho.