Website ki loading speed search engine me better rank pane ka most important factor hai. Apni site ko speed up karne ke liye hum bahut se tarike use karte hai. Blog loading stime kam karne me CDN Content Delivery Network ek high popular way hai. Jo ki aapki iste ki loading speed ko 100% kam karta hai. Har koi site speed kam karne me CDN suggest karta hai. MaxCDN or CloudFlare sabse better CDN provider hai. Yaha mai aapko CloudFlare free CDN ke bare me bta raha hu.
Agar aap CDN (Content Delivery Network) ke bare me puri details chahate hai to aap CDN Kya Hai or Website Blog Ke Liye Kyu Jaruri Hota Hai post padhiye. Isme maine CDN ke bare me details se btaya hai ki ye kya hai aapki site ke liye kyo important hai or ise kyu use karna chahiye.
- Website Blog Ka Loading Time Check Karne Ki 5 Free Tools
- Website Ki Page Speed Kaise Badhaye 10 Best Online Tools [Boost Speed]
In this Post, Is tutorial me mai aapko btaunga ki aap apne blog ke liye Free CloudFlare CDN Setup kaise kare. Aapka blog blogger, WordPress ya kisi bhi platform par ho aap is post me btaye step se kisi bhi blog me free cloudflare cdn set up kar sakte hai.
CloudFlare CDN Kya Hai?
CloudFlare CDN basically ek Web Application Firewall, Ek distributed proxy server or ek Contend Delivery Network hai. Yeh aapki site ko optimize, security by attackers, request reaches, speed up time, unwanted traffic, server and visitor ke bich data transfer service me help karta hai. CloudFLare ki sabse achi bat ye hai ki jab kabhi aapki share hosting offline ho jati hai to bhi cloudflare work karta hai.
CloudFlare small websites or blogs ke liye free vasic plan provide karta hai. Sath hi CloudFlare $20 per month ke hisab se paid plan bhi offer karta hai. Agar aapki site par traffic jyada hai to aap premium plan perchange kar sakte ho.
Blog Me CloudFlare Free CDN Kaise Setup Kare Hindi Jankari
Isse pahle ki aap apni website ki speed improve karne ke liye CloudFlare istemal kare aap apni web hosting or apni site ki speed check kar le ki is time aapki site ki speed kya hai. Taki CloudFlare use karne ke bad site ki loading speed kitni kam huyi ka andaza laga sake.
Mostly, Web hosting company blouehost, hostgator par aapko cpanel par CloudFlare ka option mil jayega. So agar aap WordPress user hai to apni hosting par cpanel me ja kar ek click se CloudFlare CDN install kar sakte hai. Iske liye aap apne hosting customer care me contact kare. Wo aapki site ke liye CloudFlare CDN install kar denge. Iske bare me hum dusri post me bat karenge.
Yaha hum manually setup ke bare me bat karenge jo mere hisab se automatically setup se jyada behtar hai.
Option 1: Add Website
- Sabse pahle aap CloudFlare par ja kar sign up kare or fir log in kare.
- Ab Add Site par click kare or apni site ka URL add karke Begin Scan par click kare.
- Ab kuch time me scaning complete ho jayegi. Uske bad Continue Setup par click kare.
Option 2: Add DNS Records
Yaha par aapko domain ke DNS records add karne hai. Agar aap WordPress user hai to aapko DNS record aapki hosting cpanel me milenge. Or agar aap blogger use hai to aapne jaha se domain liya hai. Aapko waha par domain DNS setting me DNS record milenge. Exampy aapne godaddy se doamin liya hai to aap godaddy site par ja kar dns record copy karke yaha add kare. Yaha aap A, CNAME record add karne hai. Uske bad Continue par click kare.
Option 3: Select Plan
Ab aapko plan choose karna hai. Yaha mai aapko free plan ke bare me bta raha hu so aap abhi Free Website select karke Continue par click kare.
Option 4: Update Nameservers
Ye nameserver aapko apne domain site par add akrne hai. Iske liye aap apni domain site par jaye or log in karke my domains par click kare. Uske bad domain select kar DNS setting me jaye or old server ki jagaye CloudFlare ke nameservers add kare. Uske bad Continue par click kare.
Finall, Sabhi setting karne k bad kuch hours wait kare. CloudFlare CDN ko active hone me 1-5 hours ka time lagta hai. Is beech aapki site ho sakta hai work na kare or DNS error show ho. Or agar aapko CludFlare free CDN set up ke bare me koi sawal puchna hai to aap comments me puch sakte hai.
- Website Ki SEO Ranking Banaye Rakhne Ke Top 5 New Tarike
- How To Speed Up Your WordPress Site – 100% Working Tips
Website better performance ke liye CDN use karna bahut important hai. Har wo user jisko iske fayde ke bare me pata hai CDN jarur use karta hai. Mai aapko suggest karunga ki aap bhi apne blog ke liye CDN jarur use kare.
I hope aapko is article me achi jankari milegi. So plz is post ko social media par apne firends ke sath share jarur kare.
Vikash Kumar
Bhai kya pane theme change kar liya hai. Cloudflare me jab adhik traffic hoti hai toh ye website ko offline kar deta ya phir website ko error 504 kar deta hai. Isye kaise bacha jata hai.
Jumedeen Khan
Vikash ha theme change ki hai and post ko carefully padho sab btaya hua hai.
shubham
Bhai mene new blog banaya hai aur usme 2 post likhi hai aur Google Adsense approval ho gaya hai bhai aap mujhe batayege ki me Google Adsense sing up karu ya nahi aur Bhai Google Adsense ke liye kitni post honi chaiye aur Bhai mere blog ke liye best template batana Bhai please
Jumedeen Khan
Iske liye aapke blog par daily 500 se jyada traffic hona jaruri hai.
Aakash Soni
Bhai mene pichle post me lootoffers.net16.net se related comment pdha tha kya aap bhi uski post krna chahte hai or agr karna chahte hai to kab karenge kya main kr sakta hu kya plz btaye mere koi blog bhi nahi hai
Jumedeen Khan
Nahi maine uski post publish nahi ki kyuki wo usne khud ke blog par bhi ki huyi hai. Yes aap kar sakte ho.
GAURAV TIWARI
sir mera blog wp me haii bt sir ek problem ye a rhii ki dashbord me jo post hotii haii uski image nhii aataii sir jab post ko open to image a jati haii plz help sir
Jumedeen Khan
Aap post edit option ya new post likhne ke option me ja kar right side sidebar me sabse niche feature image select kiya karo.
Ravi Parwani
bhai main kafi time se apke blog ka visitor hoon aur ek bat maine notice ki hai ki ap jo post ke liye image add karte ho wo kabhi dikhai deti hai aur kabhi sirf image name hi show karta hai ,aisa kyun hota hai ? aur bhai, mera blog check karke batao ki kya kya kami hai ? aur page view aur reader kaise badaye ?
Jumedeen Khan
Ye aapki browser problem hai. aapke blog me koi kami nahi hai aap SEO ko follow karke content likho.
Rupesh Govardhane
Great article i had used this on my website and speed of my website really increased Thank you once again
sandeep kumar
Bro pahle ke name server ko remove karna hai ya nahi .
Yani ki Jo pahle ka domain server hai unko Remove karke cloud flare ka name servers add karna hai kya please details me batana
Jumedeen Khan
Pahle ke name server ko remove karke cloudflare ka name server add karna hai.
sandeep kumar
Me janta hu ki aap hostgator use karte ho lekin ye batao ki hostgator.in ya hostgator.com use kar rahe ho
Jumedeen Khan
Hostgator.com
Ashu Jack
Bahut hi atcha jankari hai mai ab AdSense apply kar sakta hu mera traffic 1000 pageviewer ho gya hai per day
Jumedeen Khan
Ha kar sakte ho.
Kabir
Hosgator par CPanel mein Cloudflair CDN kaise set kare, Iske baare mein jankari ya tutorial jaroor likhe. Thanks….
Jumedeen Khan
Ok jarur likhunga.
shahadatsherani
Most and usefull info. But sir subah meine aap se jo puchha tha kiyeh post aisa kyun dikha raha hai aboutislam786.blogspot.com/2016/05/16-top-secret-divorce-talaaq-ke-all.html
Aapne bataya ki full mobile friendly nahi templet but yeh templet jo mere blog par hai letest 2016 ka hai kafi logun ke log par chal raha hai mere bhi achha chal raha tha bus ye last ki 2 post aise hai jiski wajah se kafi gilty mehsoos ho rahi hai sir aap iss qabil hai ki dusrun ki problums solve kar saken iss liye baar baar aap se puchhte hain mujhe yeh bhi pata hai ki aapka waqt kitna qimti hai iss liye kafi question ko pending mein rakha huaa hai plz help
Jumedeen Khan
Maine aapki kei post check ki hai. Sabhi me yahi problem hai. Ho sakta hai aapne template me coding ko cheda ho or aapse coding delete ho gayi hai. Aap ya to dusri template use karo ya fir isi template ko fir se upload karo.
rohaan
Bahut hi badhiya jankari hai jumme din bhai bounce rate ke bare me thodi jankari dijiye na…
Jumedeen Khan
Ye post padho Website Me Bounce Rate Kya Hai or Iska Kya Matlab Hota Hai
zishan ali gulzar
sir mera ek questn hai,, jaise hm koi form ka format bna sakte hai jaise koi visitor usme input dale aur submit kare uske bad use output turant mil jaye automatic
Jumedeen Khan
gar aapko coding aati hai to bilkul kar sakte ho.
Tushar Chauhan
but mai bhi yehi template use krta hu pr sidebar jaisa nhi ata hai mtlb horizontal nhi ata apki tarah vertical aata hai?
Tushar Chauhan
bro kya aap ye bta sakte hai ki apne yeh privacy policy,about us,contact us,service,disclamer ye footer mai sidebar ki tarah kaise use kiya hai.
Jumedeen Khan
Tushar mai jo template use kar raha hu. Usme in sabka option already hai.
Tushar Chauhan
bro apne jawab nhi diya but mai bhi yehi template use krta hu pr sidebar jaisa nhi ata hai mtlb horizontal nhi ata apki tarah vertical aata hai?
Jumedeen Khan
Aap point theme use kar rahe ho. Usme sidebar aysa hi hota hai.
Tushar Chauhan
bro aap ye bta sakte ho ki aap konsa broadband use kar rahe ho aur jaipur mai konsa broadband best rahega?
Jumedeen Khan
Mai BSNL broadband use karta h. BSNL har jagah best hai.
Tushar Chauhan
bro mai itne sawaal puchta hu apko isse koi problem to nhi ho rhi na?
Jumedeen Khan
Agar aap useful question puchoge to koi problem nahi hai. Useless sawal mat pucha karo.
Tushar Chauhan
bro jo apne upar hi upar income,guest post, wp guide,blogging guide aur time aa rha h ye kaise use kiya hai?
Jumedeen Khan
Wo sab php coding se add kiya hai.
nilesh verma
sir maine bigrock hosting use karta hun and uske c panel me jo cloudflare hai use active kiya hun…..kya aap jo is post me bataye hai and jo mere c panel me diya hai wo alag hai ki dono same chij hai.
Jumedeen Khan
Dono same ab aap cloudflare namserver ko apne domain site par add kar do.
nilesh verma
sir mera domain nameserver to allredy cpanel me listed hai. and usme add karne ka option bhi nahi diya hai.
Jumedeen Khan
Cpanel me add nahi karne hai. Aapne jaha se domain register kiya hai. Us site par ja kar karne se domain setting me jao or dns setting me ja kar nameserver change karo.
Tushar Chauhan
bhai mere do sawal hai ek to yeh hai ki aap featured image bananer ke liye paint ka use karte hai kya?
aur dusra mai style.css mai gaya pr mujhe secondry menubar ka ption hi nhi mil rha hai ab kya karu kya aap iss par ek article likh sakte hai ya phir aap mujhe aise hi bta dijiye ki kya karna hai?
Aur ek aur sawaal ye hai ki apne apni site supportmeindia ke liye favicon kyo use nhi kiya hai?
Jumedeen Khan
Ha mai paint software se hi image banata hu. Aap style.css me jao or “secondary-navigation” search karo. Ye kei jagah par hoga. Isme aapko sabki width kam karni hai.
Abhinav Mishra
Again, A Nice Article Written By You, Bro, Mujhe Aapse Ek Help Chahiye, Maine Apne Blog Par Ribbon Theme Use Kiya Hai, Aur Usme Jo Maine Header Par Category Lagayi Hai, Wah Jyada Badi Hai, Aur list se bahar aa jati hai, to mai usko short kaise karu.
plz help, Thanks
Jumedeen Khan
Aap style.css me ja kar secondry menubar ki width kam karo.
Abhinav Mishra
Bro, secondary menubar ka option nhi Sikh RHA, style.css me to bahut se option aa the hai.
Jumedeen Khan
Abhinav aapko step bta chuka hu follow karna aapka kaam hai. Sabhi code par try kar sakte ho.
vicky
kya aap apni site ke liye CDN use kar rahe hai…….?
Jumedeen Khan
Yea, Bahut time pahle se use karta hu.
vicky
agar m CDN ka matlab sahi samjha hu toh…..CDN lene ke baad kisi aur server provider ki jarurat nahi padti na…..kyoki hamri website CDN server ke site se live rahti h……?
Jumedeen Khan
Nahi aap galat samajh rahe ho CDN sirf aapki site ke data ko fast send karne ka kaam karti hai na ki store karne ka. Means CDN only sirf aapke reader ko data send karti hai. Data store karne ke liye aapko hosting leni padegi.
vicky
oh….thank you….aap bata sakte hai ki aap kaun sa hosting provider use karte hai
Jumedeen Khan
Vick mai hostgator ka business plan use karta hu.
Amit kumar
vicky , CDN maine bhi use kiya hai but iska koi fayda nahi hota kyun ki ham log free plan use karte hain.free plan se bhaut adhik fayda nhi hai.aur cloudflare CDN specially Vps server hosting pe best [perform karta hai
Jumedeen Khan
Right bro. But kei bar jab humari site ko server down hota hai to hume cloudflare ke free cdn se bhi sahi speed mil jati hai. Ye maine confirm kiya hai.
Harpreet Kumar
bahut kaam ki jaankari batai hai apne bhai thanks