Free Theme Kyu Use Nahi Kare? Free Template Kyo Use Nahi Karni Chahiye? Free Theme Use Karne Ke Fayde or Nuksan (Pros and Cons) in Hindi. Ji ha dosto is post me main aapko blog me free theme / template istemal na karne ke bare me jankari dunga taki aapki aankhe sach ko dekh sake or aap jan sako ki free theme template use karne ke kya fayde or kya nuksan hai.
Ham Indian free sunate hi apne common sense ko chordkar use pane ke liye crazy jo jate hai. Jaise:- Abhi koi company 500 MB data free de to use pane ke liye turant apne personal information uske sath share karne ke liye ready ho jate hai. Isse hame keval economical loss hi nahi ho sakta hai, balki koi cyber criminal hamare name ko misuse bhi kar serious crime kar sakta hai.
Recently Jio Users ke Aadhar number sahit personal informations leak ho gaye the. Isse koi bhi misuse kar sakta tha. Aap achhi tarah se janate honge, reality men koi free product deta hai to uske badle vo kuch naa kuch (jaise – personal information, permition) jarur leta hai.
Iska sabse bada example hai Truecaller, jo chand paiso me aapke mobile ka behas personal contact list ko apne server par save kar leta hai aur puri duniya me public kar deta hai.
Abhi haal hi me maine ek client ke mobile number ko truecaller website par check kiya to main jan kar hairan rah gaya ki us Client ka Name, Full Address, Full Picture, Email show kar raha tha. Yeh comapanies sidhetaur par privacy policy ke sath khilwad kar rahi hai.
Yeh baat rahi hamare personal life ki jahan ham koi earning nahi karte hai tab bhi hamare personal information ko istarah ki companies pane ke liye khub jor lagati hai.
Free Theme Kyon Use Nahi Karna Chahiye
Lekin socho? Hamare blogging life me kya hota hoga ? jahan 90% hindi bloggers free themes or free templates use karte hai. Matalab sidhe taur par ham apne blog ka full control kisi dusre person ke hatho me de dete hai.
WordPress platform ho ya fir google blogspot blogger platform dono par log blogging karte hai or internet par lakho free theme or templates mil jayegi. I sure bahut se theme providers good themes provide nahi karte or users ke sath dhoka karte hai.
Because is tarah ki themes / template me malicious code hote hai, jo regularly blog se related information jaise subscriber email id, username, password etc send karta hai, jo theme developer ke sever par save ho jata hai.
Ha, sabhi free themes free templates me malicious code nahi hote, par vo SEO Friendly & Fast bhi nahi hote. Matalab is tarah ki free theme keval promotion ke liye develop kiye jate hai.
Isme SEO ka hard code Schema.org tag ko implement nahi kiya jata hai. Jiske karan SEO Optimized post hone ke bad bhi Search Engine Google blog par traffic send nahi karta hai.
Isliye Free Theme use nahi karana chahiye, aage main iske piche ke kai reasons ko points me bata raha hun.
Free Theme Use Karne Ke Fayde or Nuksan (Pros and Cons)
Free theme or template use karne ka fayda sirf itna hai ki aapko uske liye pay nahi karna padta. Free theme use karne ke nuksan is prakar hai. Main aya wordpress theme or blogspot blogger template dono ki bat kar raha hu.
1. SEO Enabled and Clean Code Na Hona
Free themes me ki gai coding clean nahi hoti hai, jisse theme loading ke samay kai unusefull HTTP requests create karta hai, jo blog ko slow kar deta hai. Jisse sabse big bad impact Mobile User Experience par padta hai.
Isko lekar Google ne kuch mahine pahle hi clear kar diya tha, jo Mobile Users ka khyal nahi rakhega, uske blog ki ranking ko down kar diya jayega.
Aur vahi SEO Code Skima.org ke tags free theme me nahi hone ke karan blog ke desktop version par bhi traffic behad kam milate hai.
2. Data Stealing
Bad intension vale developer, jise hacker kahte hai, ve keval theme isliye develop karte hai ki big money earn kar sake.
Iske liye ve theme me malicious code ko hide tarike se implement karte hai, jo anonymously blog se related data ko send karta hai, jo hacker ke server par save ho jata hai.
Hacker un data ko marketing companies ko sell kar big money earn karta hai. Yahi karan hota hai ki hamare mobile inbox ya mail inbox me aise message mil jate hai, jiska hamane kabhi subscription liya hi nahi.
Kya aap jante hai is tarah ke khel me hamare email id ko kitane bar sell kiya jata hai, ye naa to aap bata sakte hai aur naa hi main. Tab to jahir si baat hai hamara email id kiske-kiske pas maujud hai, vo bhi nahi jaan sakte hai.
Is tarah ki theme ko nulled aur cracked theme kaha jata hai, ye aisa isliye kaha jata hai ki hackers sabse popular theme jaise Newspaper theme ki original copy me apne spying code install kar dete hai aur use free me offer karte hai.
Aur koi bhi new blogger bina kuch jaane khushi-khushi install kar leta hai aur anjane me hacker ko daily free data dene vala agent ban jata hai.
3. Unsafe Future
Theme me malicious code hone ke karan blog ka pura control (blog ka future) hackers ke hatho chala jata hai. jise vo kabhi hack kar sakta hai. lekin vo tab tak nahi karta hai, jabtak blog popular ho na jaye.
4. Redirecting
Is tarah ke malicious code aggressive hacker implement karte hai, jo theme install hone ke pahle din se hi blog ki traffic ko apne partner website par redirect kar dete hai.
Is tarah ki coding bade intelligent tarike se ready kiya jata hai, jo har samay infected blog ki traffic ko redirect nahi karta hai, balki jab traffic jyada hota hai. yani is problem ko asani se pakda bhi nahi jaa sakta hai.
Isi tarah vo kai infected blogs se traffic ko redirect kar apne partner websites par send karta hai. Jiske vo money earn karte hai.
Iske alava vo apne hacking website par send kar sakta hai, jahan greedy offers dekar aapke blog ke users ko apne jaal me fansane ki koshish kar sakte hai.
5. Waste of Money and Time
In last, infected free theme ke karan blog par achhi traffic nahi milata hai, jisse money earn karne ke bajaya hosting aur domain ke liye spent money aur time waste ho jate hai.
6. No Regular SEO Updates
Free Theme keval promotion ya specific object ko pura karane ke liye banaya jata hai. Isliye Regular SEO updates milane ka chance hi nahi banata hai. Jabki Google every 6 months SEO changes karta hai.
Jiske anusar jo Blog ke changes kar leta hai, uski traffic stable bani rahti hai, jabki free theme vale blog ki traffic down ho jati hai.
In Last Words,
Big Mango Tree pane ki chah rakhne se pahle good quality ki seed, nutrition products use karana padta hai. Isi tarah successful blog banane ke liye good quality ki theme ki jarurat hoti hai. Uske bad hi aap pakke mango ki dher ki tarah rupees ke dher kama sakte hai.
Without money invest kiye aap blogging me jo 10 year me kar paoge wo money invest karke 2 year me kar sakte ho. Agar aapko nahi pata ki blog ke liye money invest kaise karte hai to aap humari ye post read kare, Website Ko Behtar Banane Ke Liye Money Invest Kaise Kare.
Ummid karta hun aap is post ko like kiye honge or aap free template or theme use na karne ke bare me achhi jankari mili hogi.
Agar aapko mera ye article achha laga ho to aap mera pahla Guest post padh sakte hai, jisse aap apne blog ki speed increase kar sakte hai Blog Ko Sahi Se Speed Up Karne Ke Bare Me 7 Jaruri Tips.
I hope aapko ye post achi lagi hogi agar aapko lagta hai ki ye sahi hai to is post ko social media par share karke humari thodi help kare.
radhe gour
सर किसी चीज को सर्च करने पर गूगल के सर्च रिजल्ट में किसी वेबसाइट की एक या डेढ़ लाइन आती है जबकि किसी वेबसाइट के सर्च रिजल्ट में 3-4 लाइन आती है ऐसा क्यों होता है. में yoast seo यूज़ कर रहा हूँ मेरी वेबसाइट की सर्च रिजल्ट में एक या डेढ़ लाइन आ रही है, क्या में इसे बढ़ा सकता हूँ
Jumedeen Khan
Mujhe nahi pata aap kya kahna chah raho ho kyuki maine “डेढ़ लाइन” word aapke muh se hi suna hai.
Ankit Anand
Sir,
1.kya AdSense ke liye apply karte waqt koi code add karna parta hai template me?
Maine AdSense ke liye 15 din pehle apply kiya tha avi take koi response nhi mila hai!!
2. Maine WordPress basics sikhne le liye awardspace par free hosting lekar site create kiya hai..mai is hosting ko kitne din rakh skta hu??
Jumedeen Khan
Yes adsense ad code blog me template ya widget me add karna hota hai. Check hosting limit on your hosting account.
Aryan Raj
Mai Add Inserter Plugin use Karta Hu But Usme Post Ke Bich Me add Dikhane Ka Option Nahi Aap Kon Sa Method Use Karte Hai Kyuki Aap Add Har Ek Post Me Alag-Alag Place Par Rahta Hai So Please Details Me Reply Kare
Jumedeen Khan
Aap ad injection plugin use kare. Ye random ads hai.
Rekha kumari
nice article
deepesh kumar
Sir paid theme lene ke liye credit card ke alawa koi or options bataye
Jumedeen Khan
Paypal.
Abhay Dixit
Sir mera blog blogger par h. Mujhe kon se template use karni chahiye or kis site se purchase karni chahiye..
Or jo blogger par pehle se theme hoti h vo bhi malicious hoti hain
Jumedeen Khan
Seriously blogging karni hai to wordpress choose karo. I think aap wordpress par wo sab kar sakoge jo aap chahate ho. Konsi theme best hai ke liye dusri comment check karo main bta chuka hu.
Abhay dixit
Thanx future men mera word press par shift hone ka hi irada h par abhi blogging k basic sikhne k lie blogger use kr rha hun.
JITENDRA SINGH
Sir Maine Morning Me Comment KI Thi BUt usko publish nhi kiya aapne .
Jumedeen Khan
Sorry jitendra unrelated or unimportant comment ko main publish nahi kar sakta.
JITENDRA SINGH
Jumedin Sir Mere Ek MInimum Prise Me Theme Kharidani Hai .KOnsi Kharidu . Kaha Se KHaridu . Or Jinse MUjhe KUch Benifit HO. Kal MaIne Aapki Post PadhaKar Domain Name Kharida . Mere BLog Me 38 Post Hai .Mere 7-8 Bar Adsense Apply Kiya But Approv Nhi Ho Raha . AIk Bar Aap Hamara BLog DEkh LIjIye.
ThanK YoU SiR
Jumedeen Khan
Minimum price ki theme, I think isse better aap free theme use karo or jab budget ban jaye to top and btter theme buy kar lena. I suggest you genesis framework. Aapki site open nahi ho rahi so kuch bhi btana mushkil hai.
Sumit Mishra
Hello Bhaiya…. Kya Aap Mujhe Ek Template Buy Karke De Sakte Hai?
Rohit Mewada Ji Ne Mana Hi Kar Diya Aur Kai Logo Ne Mana Kar Diya Isiliye Ab Apke Paas Aaya Hu.
Jumedeen Khan
Iske liye koi bih ha nahi karega because koi bhi apni personal information share nahi karna chahega. Aapko iske liye apne family member ya friend se bat karni chahiye.
Sumit Mishra
To Kya Aap Nahi Help kar Sakte Sir….Information Aap Meri Share Kariyega….. Sir Plz Bahut Hi Important Hai…. Apke Upar Bharosha Hai….. Maine Bahuto Blogger Se help Mangi Kisi Ne Nahi Kiya…. Jinhe Me Sabse Jyada Manta Tha Blogging Label Me Unhono Ne Bhi Mana Kar Diya…Tab Samajh Me Aaya Ki Aajkal Help Log Kisi Aur Cheej Ke Liye Karte Hai Meri Age 16 Hai Mere Paas Kuchh Nahi h…… Data Ke Liye Badi Hi Mehnat Se Paise Milte Hai……. Aapke Upar 100% Yakeen Hai…. Mere Pas RS 1 Bhi Nahi Hai…. Help Kar De To Bahut Meharbaani Hogi…
Jumedeen Khan
Main ye sab karke 1 year pahle already dhoka kha chuka hu. Isiliye main aapko kah raha hu aap apni family member ka credit card use karke theme buy karo.
Hemant Rajput
bhai maine apne blog par ssl lagaya tha using cloudflare,almost 3 month thik chala,but kal se kuch problem kar raha h.
site https ke sath toh open ho rahi h but jo green padlock h wo show nahi ho rahi h,jiske karan site acche desgin view me open nahi ho rahi h.
filhal maine ssl ko hata diya h,toh bhai m iska solution kaise karu,kyoki jab m cloudflare account delete kar deta hu,aur without https ke sath site open karta hu toh site acche se open ho rahi h.
bhai iska solution kaise karu,maine lagbhag har techniqe try kar liya,..
Jumedeen Khan
Bad idea aapko https disalbe nahi karna hai. Wo mixed content issue hai yani aapke blog page me kahi aapki site ka link http:// ke sath add hai uski jagah bas https:// karna hai.
JITENDRA SINGH
JUmedin Sir Mere Ek MInimum Prise Me Theme Kharidani Hai .KOnsi Kharidu . Kaha Se KHaridu . Or Jinse MUjhe KUch Benifit HO. Kal MaIne Aapki Post PadhaKar Domain Name Kharida . Mere BLog Me 38 Post Hai .Mere 7-8 Bar Adsense Apply Kiya But Approv Nhi Ho Raha . AIk Bar Aap Hamara BLog DEkh LIjIye.
ThanK YoU SiR
Jumedeen Khan
Very nice, I suggest you Genesis because ye pahli theme maine aesi dekhi hai jisme SEO error 0 hai. Warna har theme me error aata hai.
Lakshya
Hello,
Jaise apke blog Mr subscribe ka button laga hai ye ham apne blog me bhi lagana chalhte hai yo kaise lagaye.
Jumedeen Khan
Use search box main iske bare me kai post kar chuka hu.
Deepak sahu
1- mai abhi apne blog par beginner theme use kar raha hu jise maine kisi se liya hai to kya isme koi dikkat hai?
2- meri website par sirf mobile se traffic aa raha hai aisa kyu? desktop se bilkul bhi traffic nahi hai. mobile traffic aane se nuksan hai ya fayda?
desktop se traffic lane ke liye mujhe kya karna hoga?
3- google search console se sitemap bar bar apne aap remove ho jata hai aisa kyu? mujhe bar bar submit karna padta hai.
Jumedeen Khan
1. Main kuch nahi kah sakta. Because mujhe nahi pata ki theme safe hai ya nahi.
2. No problem, mobiel users jyada hai desktop ki tulna me.
3. Aap sahi sitemap submit karo.
Ravi Kumar
Thanks Jume Deen Bro to publish my guest post on your blog.
Jumedeen Khan
Welcome always.
Arvind
Free theme se unnecessary links hatane ka tarika btao bhai.
News and magazine type ke blog ke liye kaun si paid theme sahi hai ?
Jumedeen Khan
Simple hai theme coding optimize karo or links ko remove karo.
Look here http://www.wpbeginner.com/showcase/best-wordpress-magazine-themes/
Shahadat Khan
Very very usefull information dear yeh baat kafi dinun se soch raha tha mein ki free mein to log dhakka bhi nahi dete hain fir Themas aur templat kaise de rahr hain kuchh hazam nahi huaa
Bahut kaam ki baate batai hai really jinko follow karna hi better hai 1 baat bataiye bro. Mein apne blog ko wordpress par shift kar raha hun or hosting bhi le rakhi hai bas kuchh kam baki hai so wordpress ke liye better and paid templet kahan se aur kaise purchage kare
Kua word press par bhi free templates use nahi karna chahiye i mean ki woh to waise bhi kafi protect hai ?
Thank you so much for sharing about paid themas and benefits
Jumedeen Khan
Genesis ya Divi use karo.
shailesh chaudhary
Maine WordPress Nulled Theme use karne ke bare me soch rha tha. Dhanyawad apne iske bare me acche se samjhaya
Jumedeen Khan
No, never iske bare me bilkul mat sochna warna apne blog data se hath dhona padega.
neeraj sharma
very good information brother. but mujhe ye samjh nahi a raha agar main theme buy karu to konse theme best rahegi.. theme ka koi naam suggest kare.
Jumedeen Khan
Genesis framework sabse better hai.
Ravi Kumar
Genesis Framework ke sath Magazine Pro theme sabse better hai.
Anand Kumar
Bahut hi achchhi aur lagbhag nayi jankari hai Ravi ji. Main khud free blogger theme use kar raha hoon. So, kya aap (Ravi ji or Khan bhai) bata sakte hain ki Template ke sequre hone ki checking kaise ki jaye?
Doosra sawal ye hai ki maan lete hain ki koi free ka template galat codes se bhra hua ho sakta hai, lekin is baat ki kya guarranty hai ki hum jo paid template khridenge wo bilkul safe hi hoga? (Ye sawal maine utsukta vash puchha hai)
Tisra sawal, is blog par bhi khan bhai ne 1 post publish kiya tha jismein unhone free templates wale 10 (shayad) website ke baare mein bataya tha. To fir main janna chahta hoon ki kya un websites par galat codding ke tempate nahin hote hain? Yadi haan to fir Khan bhai ne us website ke baare mein kyon bata diya?
Aur yadi un websites par galat codding ke template nahin hote hain to fir ye baat to bilkul hi galat hai ki hamein free blogger template use nahin karna chahiye. Because, jab free mein sequre template provide karne wale website hain hi to fir bhala free template use karne mein kya dikkat hai?
Jumedeen Khan
1. Iske liye aapko template coding ki basic information honi chahiye.
2. Paid theme me bhi ye problem hoti hai but kuch top and best template me nahi hoti. Proof millions log unhe use karte hai. So paid theme lene se pahle ye check kar le ki aap se pahle use kitne log use karte hai.
3. yes hote hai, Dear yaha free theme use nahi karni chahiye ke bare me btaya ja raha hai koi ye nahi kah raha ki aap use kar hi nahi sakte. Example, jiske pas budget nahi hai wo free theme use karega because kuch bhi na hone se achha hai kuch to ho. Problem tab hai jab aap budget hone ke bad bhi paid theme use nahi karte.
4. Same 2 question, Sabhi free theme sahi nahi hoti, but kuch free theme bhi better hoti hai.
Main aapki problem samajh sakta hu aap free theme template use karo but jab aapke pas budget ho to paid theme use karo taki aapko jyada benefit mil sake.
Ravi Kumar
Bhai main is post ka nichod jaan le-
Kyo free theme use karana chahiye ?
1.Most of Free theme keval promotion ke liye banaye jate hai, jo seo friendly nahi hote hai
2.Kuch free theme data stealing aur selling business ke liye banaye jate hai.
isliye net par do tarah ki free themes availabe hai. matalb sabhi free theme unsecure nahi hai. par helpful bhi nahi hai.
ab aap par depend karta hai ki free theme use karna chahte hai ya premium theme.
2.Kya premium theme unsecure nahi hoti hai? aap jaan duniya me koi bhi chij perfect nahi hota hai. haan jaha professionlism hota hai. vaha perfectness ki quanity 99% percent ho sakti hai.
Premium theme ko professional developer team dvara develop kiya jata hai, jinki jimmedari hoti hai theme bug free, malware free, seo friendly aur fast ho. iske liye unhen paise milate hai aur unki company business karta hai. tabhi to ve regular seo update send karte hai.
yani premium theme ke developrs regulary theme ki safety, SEO, speed improvment par work karte rahte hai.
aise me premium theme ki unsecure hone ke sawal hi nahi uthata hai.
baki savalon ke answer Jume Deen Bro ne de diye hai.
RISHIKESH MISHRA
Nice Article sir mujhe hello baar se Related post ka link de sir
Jumedeen Khan
Look here HelloBar WordPress Plugin to Add Notification Bar
vishal
badhiya jankari jumedin bhai, thanks for share