Free Theme Kyu Use Nahi Kare? Free Template Kyo Use Nahi Karni Chahiye? Free Theme Use Karne Ke Fayde or Nuksan (Pros and Cons) in Hindi. Ji ha dosto is post me main aapko blog me free theme / template istemal na karne ke bare me jankari dunga taki aapki aankhe sach ko dekh sake or aap jan sako ki free theme template use karne ke kya fayde or kya nuksan hai.
Ham Indian free sunate hi apne common sense ko chordkar use pane ke liye crazy jo jate hai. Jaise:- Abhi koi company 500 MB data free de to use pane ke liye turant apne personal information uske sath share karne ke liye ready ho jate hai. Isse hame keval economical loss hi nahi ho sakta hai, balki koi cyber criminal hamare name ko misuse bhi kar serious crime kar sakta hai.
Recently Jio Users ke Aadhar number sahit personal informations leak ho gaye the. Isse koi bhi misuse kar sakta tha. Aap achhi tarah se janate honge, reality men koi free product deta hai to uske badle vo kuch naa kuch (jaise – personal information, permition) jarur leta hai.
Iska sabse bada example hai Truecaller, jo chand paiso me aapke mobile ka behas personal contact list ko apne server par save kar leta hai aur puri duniya me public kar deta hai.
Abhi haal hi me maine ek client ke mobile number ko truecaller website par check kiya to main jan kar hairan rah gaya ki us Client ka Name, Full Address, Full Picture, Email show kar raha tha. Yeh comapanies sidhetaur par privacy policy ke sath khilwad kar rahi hai.
Yeh baat rahi hamare personal life ki jahan ham koi earning nahi karte hai tab bhi hamare personal information ko istarah ki companies pane ke liye khub jor lagati hai.
Free Theme Kyon Use Nahi Karna Chahiye
Lekin socho? Hamare blogging life me kya hota hoga ? jahan 90% hindi bloggers free themes or free templates use karte hai. Matalab sidhe taur par ham apne blog ka full control kisi dusre person ke hatho me de dete hai.
WordPress platform ho ya fir google blogspot blogger platform dono par log blogging karte hai or internet par lakho free theme or templates mil jayegi. I sure bahut se theme providers good themes provide nahi karte or users ke sath dhoka karte hai.
Because is tarah ki themes / template me malicious code hote hai, jo regularly blog se related information jaise subscriber email id, username, password etc send karta hai, jo theme developer ke sever par save ho jata hai.
Ha, sabhi free themes free templates me malicious code nahi hote, par vo SEO Friendly & Fast bhi nahi hote. Matalab is tarah ki free theme keval promotion ke liye develop kiye jate hai.
Isme SEO ka hard code Schema.org tag ko implement nahi kiya jata hai. Jiske karan SEO Optimized post hone ke bad bhi Search Engine Google blog par traffic send nahi karta hai.
Isliye Free Theme use nahi karana chahiye, aage main iske piche ke kai reasons ko points me bata raha hun.
Free Theme Use Karne Ke Fayde or Nuksan (Pros and Cons)
Free theme or template use karne ka fayda sirf itna hai ki aapko uske liye pay nahi karna padta. Free theme use karne ke nuksan is prakar hai. Main aya wordpress theme or blogspot blogger template dono ki bat kar raha hu.
1. SEO Enabled and Clean Code Na Hona
Free themes me ki gai coding clean nahi hoti hai, jisse theme loading ke samay kai unusefull HTTP requests create karta hai, jo blog ko slow kar deta hai. Jisse sabse big bad impact Mobile User Experience par padta hai.
Isko lekar Google ne kuch mahine pahle hi clear kar diya tha, jo Mobile Users ka khyal nahi rakhega, uske blog ki ranking ko down kar diya jayega.
Aur vahi SEO Code Skima.org ke tags free theme me nahi hone ke karan blog ke desktop version par bhi traffic behad kam milate hai.
2. Data Stealing
Bad intension vale developer, jise hacker kahte hai, ve keval theme isliye develop karte hai ki big money earn kar sake.
Iske liye ve theme me malicious code ko hide tarike se implement karte hai, jo anonymously blog se related data ko send karta hai, jo hacker ke server par save ho jata hai.
Hacker un data ko marketing companies ko sell kar big money earn karta hai. Yahi karan hota hai ki hamare mobile inbox ya mail inbox me aise message mil jate hai, jiska hamane kabhi subscription liya hi nahi.
Kya aap jante hai is tarah ke khel me hamare email id ko kitane bar sell kiya jata hai, ye naa to aap bata sakte hai aur naa hi main. Tab to jahir si baat hai hamara email id kiske-kiske pas maujud hai, vo bhi nahi jaan sakte hai.
Is tarah ki theme ko nulled aur cracked theme kaha jata hai, ye aisa isliye kaha jata hai ki hackers sabse popular theme jaise Newspaper theme ki original copy me apne spying code install kar dete hai aur use free me offer karte hai.
Aur koi bhi new blogger bina kuch jaane khushi-khushi install kar leta hai aur anjane me hacker ko daily free data dene vala agent ban jata hai.
3. Unsafe Future
Theme me malicious code hone ke karan blog ka pura control (blog ka future) hackers ke hatho chala jata hai. jise vo kabhi hack kar sakta hai. lekin vo tab tak nahi karta hai, jabtak blog popular ho na jaye.
4. Redirecting
Is tarah ke malicious code aggressive hacker implement karte hai, jo theme install hone ke pahle din se hi blog ki traffic ko apne partner website par redirect kar dete hai.
Is tarah ki coding bade intelligent tarike se ready kiya jata hai, jo har samay infected blog ki traffic ko redirect nahi karta hai, balki jab traffic jyada hota hai. yani is problem ko asani se pakda bhi nahi jaa sakta hai.
Isi tarah vo kai infected blogs se traffic ko redirect kar apne partner websites par send karta hai. Jiske vo money earn karte hai.
Iske alava vo apne hacking website par send kar sakta hai, jahan greedy offers dekar aapke blog ke users ko apne jaal me fansane ki koshish kar sakte hai.
5. Waste of Money and Time
In last, infected free theme ke karan blog par achhi traffic nahi milata hai, jisse money earn karne ke bajaya hosting aur domain ke liye spent money aur time waste ho jate hai.
6. No Regular SEO Updates
Free Theme keval promotion ya specific object ko pura karane ke liye banaya jata hai. Isliye Regular SEO updates milane ka chance hi nahi banata hai. Jabki Google every 6 months SEO changes karta hai.
Jiske anusar jo Blog ke changes kar leta hai, uski traffic stable bani rahti hai, jabki free theme vale blog ki traffic down ho jati hai.
In Last Words,
Big Mango Tree pane ki chah rakhne se pahle good quality ki seed, nutrition products use karana padta hai. Isi tarah successful blog banane ke liye good quality ki theme ki jarurat hoti hai. Uske bad hi aap pakke mango ki dher ki tarah rupees ke dher kama sakte hai.
Without money invest kiye aap blogging me jo 10 year me kar paoge wo money invest karke 2 year me kar sakte ho. Agar aapko nahi pata ki blog ke liye money invest kaise karte hai to aap humari ye post read kare, Website Ko Behtar Banane Ke Liye Money Invest Kaise Kare.
Ummid karta hun aap is post ko like kiye honge or aap free template or theme use na karne ke bare me achhi jankari mili hogi.
Agar aapko mera ye article achha laga ho to aap mera pahla Guest post padh sakte hai, jisse aap apne blog ki speed increase kar sakte hai Blog Ko Sahi Se Speed Up Karne Ke Bare Me 7 Jaruri Tips.
I hope aapko ye post achi lagi hogi agar aapko lagta hai ki ye sahi hai to is post ko social media par share karke humari thodi help kare.
Vicky
Jummedin bhai kaise ho aap??
meri website open nahi ho rahi hai jab dashboard se open kar raha hu to ye likha aaraha hai.
The theme directory “pub/minileven” does not exist.
Kya karna chahiye…
Thanks in advance…
Jumedeen Khan
Aap blog me jo theme use kar rahe ho wo deactivate hai ya fir delete ho gayi hai. dashboard par log in karke theme activate karo.
Vikas narvariya
Activate hi hai theme wese to fir bhi kaha jakar active kar sakte hu ??
Jumedeen Khan
Dashboard se ja kar, Activate ho to theme change karna or dashboard par log in nahi kar pa rahe ho to apni hosting care me bat karna.
Vikas narvariya
Mene hosting me fon kiya to waha par to open ho rahi hai or me open kar raha hu to open nahi ho rahi hai lekin mene jab https me se “s” remove kiya to open ho gayi lekin har vyakti s remove krke to visit nahi karega to uske liye kya karna chahiye.
(Dashboard par to login kar pa raha hun.)
Jumedeen Khan
https to http redirection. Ya fir site me https use karo.
Rekha kumari
bahut achhi jankari hai thank u sir
Jumedeen Khan
ye cdoing post hogi but I will try.
Amrita
Great post keep up the good work. Thank for share
Akshay Dhiman
Hello sir..Mai Blogger per Bloggertheme9 ki themes use kar rahan hun, Jb Feedburner se koi subscribe karta hai to Bloggertheme9 Name email me jata hai. Kahin esa to nhi mere readers Bloggertheme9 ko subscribe kr rahe….give any solution.
Jumedeen Khan
yes ho sakta hai. Aap ek bar apni second email ID se apne blog ko subscribe karo or fir mail delivery check karo.
Manish
sir agar free template ka use na karke hum nulled ya crack theme use karte hai to issme problem ho sakti hai kya ? nulled theme ko use karne me kitna risk hai..
Jumedeen Khan
nulled theme free theme se bhi bekar hai. 99.99% risk hai.
Dharmendra Yadav
Hi sir नमस्कार आप मेरे कुछ comment पब्लिश नही करते है sir हम सब आप से जानकारी प्राप्त करने के लिए कमेंट करते है , जो की और कुछ ट्रैफिक से related problems होते है , इसलिए हम सोचते है की हमारा कमेन्ट आप पब्लिश करेंगे .यदि आपको कमेंट पब्लिश करने में किसी प्रकार का problems होता है तो sir मै आप से यह कमेंट करने लिए क्षमा चाहता हु .
Jumedeen Khan
No yadav maine aapki comment delete nahi ki. Aap comment karne ke bad page refresh kiya karo. Because comment karne ke bad page ka cache versiob yani old version hi open hota hai. You can ask again please.
Dharmendra Yadav
आपका बहुत बहुत धन्यबाद sir आपको ईद मुबारक हो
Hamza
Bhai Advice har koi deta he paise koi nahi deta …advice deni ho to fr paise v dia karo
Jumedeen Khan
Very good, I will try.
Yogesh Kumar
Bhot Badiya Brother……
Bhai meri website ke google search console me niche paste kari hui warning aa rhi hai
Warning No. 1:
” When we tested a sample of the URLs from your Sitemap, we found that some URLs were not accessible to Googlebot due to an HTTP status error. All accessible URLs will still be submitted.”
Isme jo post index hua hai wo https:// ke saath me hai. Lekin meri post ke url me http:// hi hai. isko kaise fix karu?
Warning No. 2:
“Some URLs listed in this Sitemap have a high response time. This may indicate a problem with your server or with the content of the page.”
Isko bhi kaise fix karu?
Jumedeen Khan
1. Site page url me https ki jagah http set karo.
2. Blog ko speed karo load hone me jyada time le raha hai.
Yogesh Kumar
Site Page URL change kha se karu?????
New Question Youtube Adsense se related:
Adsense me Performance report me Product me jaane ke baad Hosted Adsense for content check karne ke baad apply karta hun to Overview open hota hai. Overview me Total earning Dikhata hai wo 53$ dikha rha hai. But Click wala option choose karta hun(Jha se CTR Check karte hai) to Total Earning 40$ Dikha rha hai. Kon si earning correct hai jo hume milege????????
Que No.2: Desktop par Jab click and CTR check karte hai to kam dikhata hai. Utna nhi dikhata jitna Mobile me dikha rha hota hai (Adsense Android App me) Kaafi baar same time par check kiya hai. Desktop version me kam dikhata hai. Android app me jyada dikhata hai.
Que No.3: Adsense me 10$ se jyada hogaye hai. Kaafi din ho chuke hai. 20 DAYS se jyada hogya hai. Abhi tak pin generate nhi hua hai kaya karu????????
Jumedeen Khan
1. Adsense payment option wali earning real hai.
2. Desktop report is right.
3. Jab pay albe earning $10 hogi to pin send hoga. Aap payment option par ja kar earning check karo.
Abhinav Jha
Hello Sir,
Mujhe aapki ek help chahiye
Mai youtubing krta hu aur mera channel grow nhi ho rha hai.
Please aap ek baar mere channel pe visit kare aur mujhe btaye ki mai apne channel ko kaise improve kru.
Jumedeen Khan
Dear abhinav aap wohi sab kar rahe ho jo dusre log karte hai wo karo jo dusre nahi karte ya nahi kar sakte. Mera matlab kuch new topic wali videos banao. Oldtopics videos ko koi dekhna pasand nahi karta. Do something new and special duniya aapko support karegi.
radhe gour
सर मेरा पहला प्रश्न आप समझ नहीं पाए कोई बात नहीं,, सर मैं एक और चीज जानना चाहता हूँ कि मेरी वेबसाइट की होस्टिंग अभी godaddy में है जिसे अगले महीने renew करना है क्या में इसे hostgator india में शिफ्ट कर सकता हूँ मेरा हिंदी ब्लॉग है क्या ये मेरे लिए सही रहेगा
Jumedeen Khan
Bad Idea hostgator india or godaddy ki service same hi hai. Koi achhi hosting buy karo.
Sanjeev
sir kya search console me apne site ka url fetch kara dene par baad me koi problem hoti hai kya.
Jumedeen Khan
No provlem.
Arpit
Bahut acchi jankari di becoz mein to free theme he use kar raha hu. ab koi theme purchase karni padegi.
Deepak sahu
wordpress me setting>> media me image size kya kya rakhna hai plz iske bare me bataye..
thumbnail size ki kitna rakhu?
medium size kitna rakhu?
larze size kitna rakhu?
Jumedeen Khan
Sabme 0 set karo or theme functions.php folder me ye code add kar iamges size set karo.
//* Add new image sizes
add_image_size( 'large-image', 1024, 620, true );
add_image_size( 'middle-image', 750, 420, true );
add_image_size( 'thumbnails', 300, 200, true );
Deepak sahu
hosting cpanel me jakar is code ko paste karna hai?
Jumedeen Khan
WordPress dashboard se bhi kar sakte ho.
Deepak sahu
dashboard me samajh nahi aa raha ki kaha paste karu.. i mean ki kis jagah.. kyu ki kahi bhi paste kar du to coding error show hoga.. so plz bataye ki kis code ke neeche upar paste karna hai
Jumedeen Khan
Already bta chuka hu ki functions.php me add karna hai. Sabse last me add karo.
Deepak sahu
khud ka page view count hone se kaise roke? google analytics par check karta hu to preview page bhi show hote hai aur jo page mai open karta hu wo bhi count hote rahte hai.
Jumedeen Khan
Look here Google Analytics Me Own Pageviews Tracking Stop Kaise Kare
Gagan Shrivastav
Sir….. Really Bahut hi Great aur Informative Article….. Sir main apni website par bhi Free Theme use kar raha hu kyoki mujhe abhi koi Premium Theme ke bare me nahi pata….. Kya aap mujhe koi Cheap aur acchi si Premium Theme ke bare me bata sakte hain? Plz
Jumedeen Khan
Please read other comments, main already bta chuka hu.
sneha
sir Framework kya hai
Jumedeen Khan
Very simple jis tarah apa apne photo me frame laga kar use or bhi beautiful bana sakte ho same wese hi hum website blog me framework ke istemal se uke design and features ko or jyada awesome bana sakte ha. ye hume design and bahut sare features provide karta hai.
sneha
Agar hum Genesis Framework use karenge toh kya uske saath aur koi dusra theme bhi use karna padega
Jumedeen Khan
Yes uske sath aap child theme use kar sakte ho.
Abhishek Kumar
Nice article bhai, mera blog, blogger ki new template par h to Kya ise use Karna thik h
Ram Zala
Thanks,
very nice article,
aaj is article ko padhne ke bad mane theme change kar di. Jisse structured data me aayi hui sabhi 33 error nikal gayi jo error fix karne ke liye me ek hapte se laga tha.
Theme change karne ke bad page ki speed me bhi badlav huaa hai.
Thank’s again.
Rahul
bhai please help me mere blog par traffic bilkul bhi nahi aa raha hai aur jaise mai supportmeindia google me search karta hoo to meta tag ke niche 4 menu aati hai jaise blog,income report,adsense ye menu kaise add hoti hai blog search result me
Jumedeen Khan
1. Make site design like professional website
2. Write awesome articles don’t repeat another people’s content.
3. Make site fast loading.
4. Do something new and special.
5. Learn about SEO and make site content SEO friendly.