Free Theme Kyu Use Nahi Kare? Free Template Kyo Use Nahi Karni Chahiye? Free Theme Use Karne Ke Fayde or Nuksan (Pros and Cons) in Hindi. Ji ha dosto is post me main aapko blog me free theme / template istemal na karne ke bare me jankari dunga taki aapki aankhe sach ko dekh sake or aap jan sako ki free theme template use karne ke kya fayde or kya nuksan hai.
Ham Indian free sunate hi apne common sense ko chordkar use pane ke liye crazy jo jate hai. Jaise:- Abhi koi company 500 MB data free de to use pane ke liye turant apne personal information uske sath share karne ke liye ready ho jate hai. Isse hame keval economical loss hi nahi ho sakta hai, balki koi cyber criminal hamare name ko misuse bhi kar serious crime kar sakta hai.
Recently Jio Users ke Aadhar number sahit personal informations leak ho gaye the. Isse koi bhi misuse kar sakta tha. Aap achhi tarah se janate honge, reality men koi free product deta hai to uske badle vo kuch naa kuch (jaise – personal information, permition) jarur leta hai.
Iska sabse bada example hai Truecaller, jo chand paiso me aapke mobile ka behas personal contact list ko apne server par save kar leta hai aur puri duniya me public kar deta hai.
Abhi haal hi me maine ek client ke mobile number ko truecaller website par check kiya to main jan kar hairan rah gaya ki us Client ka Name, Full Address, Full Picture, Email show kar raha tha. Yeh comapanies sidhetaur par privacy policy ke sath khilwad kar rahi hai.
Yeh baat rahi hamare personal life ki jahan ham koi earning nahi karte hai tab bhi hamare personal information ko istarah ki companies pane ke liye khub jor lagati hai.
Free Theme Kyon Use Nahi Karna Chahiye
Lekin socho? Hamare blogging life me kya hota hoga ? jahan 90% hindi bloggers free themes or free templates use karte hai. Matalab sidhe taur par ham apne blog ka full control kisi dusre person ke hatho me de dete hai.
WordPress platform ho ya fir google blogspot blogger platform dono par log blogging karte hai or internet par lakho free theme or templates mil jayegi. I sure bahut se theme providers good themes provide nahi karte or users ke sath dhoka karte hai.
Because is tarah ki themes / template me malicious code hote hai, jo regularly blog se related information jaise subscriber email id, username, password etc send karta hai, jo theme developer ke sever par save ho jata hai.
Ha, sabhi free themes free templates me malicious code nahi hote, par vo SEO Friendly & Fast bhi nahi hote. Matalab is tarah ki free theme keval promotion ke liye develop kiye jate hai.
Isme SEO ka hard code Schema.org tag ko implement nahi kiya jata hai. Jiske karan SEO Optimized post hone ke bad bhi Search Engine Google blog par traffic send nahi karta hai.
Isliye Free Theme use nahi karana chahiye, aage main iske piche ke kai reasons ko points me bata raha hun.
Free Theme Use Karne Ke Fayde or Nuksan (Pros and Cons)
Free theme or template use karne ka fayda sirf itna hai ki aapko uske liye pay nahi karna padta. Free theme use karne ke nuksan is prakar hai. Main aya wordpress theme or blogspot blogger template dono ki bat kar raha hu.
1. SEO Enabled and Clean Code Na Hona
Free themes me ki gai coding clean nahi hoti hai, jisse theme loading ke samay kai unusefull HTTP requests create karta hai, jo blog ko slow kar deta hai. Jisse sabse big bad impact Mobile User Experience par padta hai.
Isko lekar Google ne kuch mahine pahle hi clear kar diya tha, jo Mobile Users ka khyal nahi rakhega, uske blog ki ranking ko down kar diya jayega.
Aur vahi SEO Code Skima.org ke tags free theme me nahi hone ke karan blog ke desktop version par bhi traffic behad kam milate hai.
2. Data Stealing
Bad intension vale developer, jise hacker kahte hai, ve keval theme isliye develop karte hai ki big money earn kar sake.
Iske liye ve theme me malicious code ko hide tarike se implement karte hai, jo anonymously blog se related data ko send karta hai, jo hacker ke server par save ho jata hai.
Hacker un data ko marketing companies ko sell kar big money earn karta hai. Yahi karan hota hai ki hamare mobile inbox ya mail inbox me aise message mil jate hai, jiska hamane kabhi subscription liya hi nahi.
Kya aap jante hai is tarah ke khel me hamare email id ko kitane bar sell kiya jata hai, ye naa to aap bata sakte hai aur naa hi main. Tab to jahir si baat hai hamara email id kiske-kiske pas maujud hai, vo bhi nahi jaan sakte hai.
Is tarah ki theme ko nulled aur cracked theme kaha jata hai, ye aisa isliye kaha jata hai ki hackers sabse popular theme jaise Newspaper theme ki original copy me apne spying code install kar dete hai aur use free me offer karte hai.
Aur koi bhi new blogger bina kuch jaane khushi-khushi install kar leta hai aur anjane me hacker ko daily free data dene vala agent ban jata hai.
3. Unsafe Future
Theme me malicious code hone ke karan blog ka pura control (blog ka future) hackers ke hatho chala jata hai. jise vo kabhi hack kar sakta hai. lekin vo tab tak nahi karta hai, jabtak blog popular ho na jaye.
4. Redirecting
Is tarah ke malicious code aggressive hacker implement karte hai, jo theme install hone ke pahle din se hi blog ki traffic ko apne partner website par redirect kar dete hai.
Is tarah ki coding bade intelligent tarike se ready kiya jata hai, jo har samay infected blog ki traffic ko redirect nahi karta hai, balki jab traffic jyada hota hai. yani is problem ko asani se pakda bhi nahi jaa sakta hai.
Isi tarah vo kai infected blogs se traffic ko redirect kar apne partner websites par send karta hai. Jiske vo money earn karte hai.
Iske alava vo apne hacking website par send kar sakta hai, jahan greedy offers dekar aapke blog ke users ko apne jaal me fansane ki koshish kar sakte hai.
5. Waste of Money and Time
In last, infected free theme ke karan blog par achhi traffic nahi milata hai, jisse money earn karne ke bajaya hosting aur domain ke liye spent money aur time waste ho jate hai.
6. No Regular SEO Updates
Free Theme keval promotion ya specific object ko pura karane ke liye banaya jata hai. Isliye Regular SEO updates milane ka chance hi nahi banata hai. Jabki Google every 6 months SEO changes karta hai.
Jiske anusar jo Blog ke changes kar leta hai, uski traffic stable bani rahti hai, jabki free theme vale blog ki traffic down ho jati hai.
In Last Words,
Big Mango Tree pane ki chah rakhne se pahle good quality ki seed, nutrition products use karana padta hai. Isi tarah successful blog banane ke liye good quality ki theme ki jarurat hoti hai. Uske bad hi aap pakke mango ki dher ki tarah rupees ke dher kama sakte hai.
Without money invest kiye aap blogging me jo 10 year me kar paoge wo money invest karke 2 year me kar sakte ho. Agar aapko nahi pata ki blog ke liye money invest kaise karte hai to aap humari ye post read kare, Website Ko Behtar Banane Ke Liye Money Invest Kaise Kare.
Ummid karta hun aap is post ko like kiye honge or aap free template or theme use na karne ke bare me achhi jankari mili hogi.
Agar aapko mera ye article achha laga ho to aap mera pahla Guest post padh sakte hai, jisse aap apne blog ki speed increase kar sakte hai Blog Ko Sahi Se Speed Up Karne Ke Bare Me 7 Jaruri Tips.
I hope aapko ye post achi lagi hogi agar aapko lagta hai ki ye sahi hai to is post ko social media par share karke humari thodi help kare.
NAFEES
Jume deen bhai blogspot ke liye premium theme kaha se buy karoon
Vikash gupta
Bahut bahut dhanyvad is post ke liye
Himanshu
Agar ham blog me aesi hi koi bad free theme pahle use kar chuke he, lekin baad me koi achhi paid theme apply kare he to kya us bad theme ka asar baad me bhi rahega, I mean kya us bad theme ki coding us theme ko hatane ke baad bhi blog me exist kar sakti he. Jese koi malicious code.
Jumedeen khan
ap blog database scan karke pata laga sakte ho ki old theme me koi malware code to nahi tha.
Chems tamang
sir template kaha se buy krne se acha hga…?
awr paid theme use krne ka bad toh kuch prblm nahi hogi na sir ??
Jumedeen khan
I think aap studiopress ya mythemeshop se template le, koi problem nahi hogi.
Puran Mal Meena
bahut badhiya jankari share ki hai aapne,aaj aapne meri aakhe khol di me abhi template buy karta hu
Naeem khan
sir by the way agar template me schema.org hoto chahe free ho phir bhi kam ho jayenga, sir mene nayee blogging shuru ki hai abhi me invest nhi kar sakta hu mera blog par google per day 400 traffic aa raha hai jo mere pass gyan hai wohi share kar raha hu agar aapke pass koi free sahi template ho to btaye aapse mujhe umeed hai.
Jumedeen khan
Aap apni pasand se koi achhi free template use kar le aur jab budget ho jaye to wordpress par move kar paid theme le lena, sorry dear main abhi wordpress use karta hu or abhi mere pas blogger themes nahi hai.
Simran Sethi
Thanks for sharing such a lovely information
Ruchika Chawla
Thanks for sharing this interesting article. Your post is amazing and informative.
S. Patel
1 ) Sir, me paise kamane ke liye blogger me sora templates ki free template use karu ya fir paise dekar use kharid lu ???
2 ) Sir, agar aapko koi achchi template lage to batao jise me blogger me upload kar saku aur kaam karke paisa kama saku ??
Jumedeen khan
Agar aap blogger par ho to theme buy karne me jo paise kharch kar rahe ho un paiso se hosting le kar wordpress par blog banao.
S. Patel
Lekin sir me blogger ke bare me janta hu.. WordPress ke bare me muje kuch nai pata… To isliye muje templates ke bare me batao plz sir..
Jumedeen khan
Blogger par aapko free theme bahut mil jayegi paid theme ki jarurat nahi hai.
Mira
Excellent post…
kirti sharma
sir apne to is post me free templates ko zero prove kar diya, but kuchh temp. pay ke sath usko free me use karne ke liye bhi recommend karti hain, aur kuchh me ek hi bar pay karna hota hai, jaise ek template maine buy ki usme ye e-mail aya- Pay Once and use it on unlimited domains with full features and get lifetime Premium Support for FREE. kya karna chahiye?
Jumedeen
aid theme use karo koi bhi free me achhi service nahi deta.
Nks sharma
nice post bro… bhai ji aap bata sakte hain koun se theme best rahegi buy karna wordpress blog k liye plz
Jumedeen Khan
genesis
Ashwani
Hi,
Can you please let me know how is this – IsleMag – Free Colorful Magazine WordPress Theme, can I use it for some time ??? if everything goes well I can opt for Purchased one.
Please suggest
Jumedeen Khan
Please some review, after that you can use it.
shivam shakya
bhai mera blog hindi shayari ka koi aisa tamplate ho jisse adsence aprove ho jaye
Jumedeen Khan
Adsense template se nahi aapki site ke content se approve hoga.
Rameshwar
Sir mujhe mere AdSense par invalid clicks activitie ke bare me pata nahi chalta hai please mera AdSense Aek bar suspend ho chuka hai me nahi chahta ki dubara Aesa ho to please mujhe bataye my CPC abhi 12% hai or mera YouTube channel hai jisme mene 3 Ad ko allowed kar rakha hai mujhe iski sahi process bataye taking mera AdSense suspend na ho please brother
Jumedeen Khan
Humari adsense wali posts read karo.
Raj
Sir mere WordPress website hai par AdSense nahi to me apply kese karu
Jumedeen Khan
Iski jankari yaha hai Adsense Account Kaise Banaye Step By Step Puri Jankari
Rakesh
1.Good morning brother mene meri all site ko only pages me banaya hai kya yah sahi hai kya me pages me post jese hi add laga sakta hun ya nahi agar laga saku to kese
2.please check my website or mujhe Jo bhi is me kami hai WO bataye
Jumedeen Khan
1. Very bad pages only jaruri jankari ke liye hote hai. Post use karo.
2. Site ka design sahi karo. Kuch bhi sahi se show nahi ho raha hai.
Sumit
Sir main apke blog me guest post karna chahta hu. Maine apse contact bhi kiya contact form se but mera message apko send nahi ho raha hai. Please contact me
Jumedeen Khan
Send again at admin@supportmeindia.com
Kavya
Hi sir Kya aap bta skty hai Ager mey apny blog key liye paid theme buy kro toh vo be set free theme key jese hee ki jati hai
Jumedeen Khan
Yes.
Ashutosh singh
Hi Jume deen,
Bahut badhiya article. kya aap mujhe LyraThemes (Vega Theme) ke theme dekhkar bata sakte hai ki wo use karne layak hai ya nahi?
Jumedeen Khan
Sorry dear maine ise kabhi use nahi kiya or sirf theme dekh kar main suggest nahi ka sakta.