GDPR Kya Hai? GDPR Ki Puri Jankari Hindi Me

General Data Protection Regulation (GDPR) ke bare me aapne suna hi hoga. Is post me isi ki jankari milegi. Yaha aap jan sakte ho ki GDPR Kya Hai aur Iski compliant, terms, policy, rules kya kya hai. GDPR lagu hone ke bad kya karna jaruri hai aur isse hone wale fayde aur nuksan kya kya hai.

GDPR

Aapne internet par ya news me GDPR word suna hoga, ye abhi ka hot topic hai aur aap iske bare me janne ke liye excited honge. Kai logo ko to ye samajh hi nahi aa raha hai. Wo soch rahe hai ki,

  • GDPR Kya Hai?
  • GDPR Ka Matlab Kya Hai?
  • GDPR Se Kya Fark Padega?
  • GDPR Compliance Ke Liye Kya Karna Padega?

Aese bahut se sawal hai GDPR ke bare me jiske bare me log janna chahate hai. Don’t worry, Is post ko padhne ke bad aapko GDPR ke bare me sabkuch clearly samajh aa jayega.

GDPR Kya Hai?

GDPR ka matlab hota hai General Data Protection Regulation. Ye ek European privacy law hai jise European commission ke dwara all EU citizen (28 members states) aur unke personal data ko protect karne ke liye 24 April 2024 ko banaya gaya tha.

ye ab 1995 ke EC Directive on Data Protection ki jagah lega. Ye 25 May 2024 se lagu ho jayega aur iski time limit 2 years set ki gayi hai.

Ye rule Emerging digital economy me citizens aur consumers ko power deta hai ki wo yeh determine kar sake ki company unke personal data ko kaise aur kaha istemal karti hai.

GDPR Se Website/Blog Par Kya Effect Padega?

Data protection law EU and European union me business karne wale sabhi businessman and companies par apply hoga, bhale hi unka business Europe me nahi ho. European union states ke under European citizen ke bare me persona information store karne wali all companies GDPR ka anupalan (compliance) karegi.

GDPR web par anivarya roop se sabhi ko impact karta hai. Agar aapki site Eurpean citizen ka data store kar rahi hai to aapko GDPR ka palan karna hoga.

GDPR kin kin website aur lbog ke liye lagu hota hai? Main yaha iske kuch example bta deta hu.

  • Ek WordPress community site jo user profile ke personal data ko collect karti hai.
  • Ek wordpress theme shop jis par customer ko theme, plugin buy karne ke liye sign up karna padta hai.
  • Ek WordPress blog jis par newsletter subscription widget hai aur commenting enable hai.
  • Ek Ecommerce Woocommerce store jo products ko online sell karta hai.
  • Ek WordPress site jo analytics software ka use karti hai.

Agar aap soch rahe hai ki kya aapki site ya company palhe se GDPR friendly hai to aap GDPR quiz aur GDPR Checklist check kare.

EU GDPR Ka Indian Companies Par Kya Affect Padega?

GDPR European union ke andar aur bahar un companies (Including suppliers, vendors, and outsourced organizations) ko theattical forum se affect karega jo customers, employees ya other people ke control karte hai.

India me IT companies jisne EU me business ke kisi part ko host kiya hua hai aur jin services ko dene ke liye unhe EU citizens ko process karna hota hai, un sabhi IP companies ko GDPR ka palan karna hoga.

GDPR Ke Rules Follow Na Karne Par Kya Hoga?

Agar aapka business ya company GDPR ka plan nahi karta hai to per year worldwide turnover ke 4% sanctioned ho sakte hai aur aap par per infringement €20 million fines lag sakta hai. Example, ek company ko apne record na rakhne ke liye 2% fines lag sakta hai.

Agar aap ek small ecommerce shop aur wordpress developer hai to aapke lyie ye fines devastating ho sakta hai.

GDPR Se Hone Wale Fayde (GDPR Benefits)

GDPR ke kai sare fayde bhi hai, aayiye main unke bare me bhi bta deta hu.

  1. Your Cyber Security Increase : Isse aapki cyber security increase hogi aur personal data protect hoga.
  2. Your Data Management Improve: GDPR ko compliance karne ke liye aapko aapke pas available all data ko audit karna hoga. Ye aapke stored data ko kam karne aur storage ko better banane me madad karega.
  3. ROI Investment Increase: GDPR ke according business ko ek opt-in policy lagu karni hogi citizens ko apni personal data ko processed agreement dena padega.
  4. Establishing a new business culture: GDPR ka palan karke aap apne customers ke data ko value denge aur apni responsibility ko follow karenge.
  5. Audience loyalty and trust will be promoted: GDPR aapko apne customers ke sath adhik trustworthy relationship banane me madad karta hai. Unke data ka upyog karne ke bare me aapko privacy page me clearly btana hoga ki aap unke data ko kaha aur kaise share karte hai.

GDPR Compliance Ke Liye Kya Kya Karna Padega?

  1. Awareness: Aapko ye decide karna chahiye ki aapke business leader GDPR new law ke bare me jante hai aur samajhte hai.
  2. Audit your Information: Information audit kare ki aapke pas kaunsa personal data hai, ye kaha se aaya hai aur aap ise kiske sath share karne wale hai.
  3. Right of Persons: Apni all procedures ki inspection kare ki kahi bhi kisi tarah se logo ke adhikaro ka hanan na ho.
  4. Analysis Privacy: Apni privacy policy ka analysis kare uar usme GDPR ke lagu hone se pahle jaruri badlav kare.
  5. Unrecognized Access Request: Agar aapka organization bahut jyada access request ko handle karta hai to request se jaldi deal karne ke liye new system lane ke bare me vichar kare.
  6. Consent: Aapko analysis karna chahiye ki aap logo se consent kaise lete hai, kaise record aur maange karte hai aur kya aapko koi changes karne ki jarurat hai.
  7. Children: Aapko users ki age pata karne ke liye system lagu karna hoga. Agar aapke subscribers me children bhi hai to aapko unke parents ki consent se data process karna hoga.
  8. Data Violation: Aapko ye pata kar lena chahiye ki aapke pas personal data dissolution hone par correct procedures hai jo ise fix kar sake.
  9. International: Agar aapka organization ek se adhik EU member states me work karta hai (yani aap sima paar data processing karte hai) to aapko apna lead data protection supervisory authority laid down karna hoga.
  10. Adhik jankari ke liye aap GDPR site par ja sakte hai.

GDPR Audit

Don’t worry, jyada dimag na lagaye warna GDPR aapke dimag ko laptne ke liye bahut kuch ho sakta hai. Aap ise aur uske rules ko sahi se samajhe, ek bar aapko ye samajh aa jayega to sabkuch aasan lagega.

Agar aap khud ki wordpress site ke bare me worried hai to aap kisi specialist se iske bare me discuss kare. Aapki sari problems solve ho jayegi.

Important: This post is for informational purposes only, and should not be considered legal advice.

Post Summary

I think ab tak aapne GDPR ko kafi had tak samajh liya hoga. GDPR real me ek bahut badi deal hai. Ye internet par majud lagbhag har website ko impact karne ja raha hai. Ye 25 may 2024 se lagu ho jayega. Hum sabhi ke pas iske bare me janne, samajhne, apply karne ke liye time hai lekin time teji se nikal raha hai.

To aap is post ko padhne ke bad bhi GDPR ko sahi se nahi samajh pa rahe hai to iske bare me janne ki koshish kare warna aapko fines bharna pad sakta hai.

Ye post website owner and bloggers sabhi ke liye important hai. Aapse request hai ki is post ko sabhi logo ke sath share kare taki sablog GDPR ke bare me jan sake.

Avatar for Jumedeen Khan

About Jumedeen Khan

I'm the founder of this site and we regularly share useful and helpful information here for beginners. ❤️

Reader Interactions

Comments (37)

  1. Avatar for PankajPankaj

    Ek Blogger blog par kewal blogging ki jankari dete hai. to isme Privacy policy me koi jankari deni hogi kya. blogger blog me to user ka koi data leni wali chige nahi . Sirf comment box ke alawa. To isme kuch change karna hoga to bataye.

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      Yes aap blog par jo service use karte ho unke bare me btao.

  2. Avatar for RahulRahul

    Ab iss policy ko follow nhi kiya gaya to bahut bhari nuksan ho skta hai.

  3. Avatar for Rajendra Kumar DashRajendra Kumar Dash

    GDPR is much needed in today world when we are not actually aware about the theft of our personal data.

    Bahut ache se likhe ho GDPR k upar avi v bahut logo ko iske bare me nhi pata

  4. Avatar for BS.GUSAINBS.GUSAIN

    Hello Sir,

    Ati sunder post, aapne ko 90% doubt clear kar diya.

    but 10% janna baki hai sir,

    __ health blogger ko kya kya setting karni hogi ?

    Aur kon kon se options choose karni hogi?

    Ye options sabhi adsence account me aa rehi hain , in me se kon kon se choose aur select karne hai ?

    A. Personalized ads

    B. Non-personalized ads

    C. Commonly used set of ad technology providers

    D. Custom set of ad technology providers

    kon kon se options select karni hai, aur blog me kya kya changes karna hai ?

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      Aap kuch mat karo bas jo jo service use karte ho unke bare me privacy page me mention karo.

  5. Avatar for Jitender SinghJitender Singh

    Jumedin Bhai Apki har Post Ek Apne Aap Mein Best hoti Jo Jankari Kahai Nhi Toh Sab Milegi Yahi

    Thanks #JDK Bhai

  6. Avatar for Sameer AliSameer Ali

    Sir Aapne Bahut Achche Tarike se gdpr ke baare main samjhaya hai ki shayad hi koi aur samjha pata sir mujhe aapka blog bahut achcha lagta hai chahe phir vo designing me ho ya phir helpful article me per ye ek best no 1 hindi blog hai. Smi jaisa blog maine abhi tak nahi dekha aur sir maine blogging ki starting kuch dino pahle hi ki thi but abhi mai apne article se jyada apne blog ke design par focus kar raha phir uske baad content per karunga
    Sir mere aapse kuch question hai please reply jaroor karna

    Sir aap Genesis 2.6.1 framework use karte hai magar child theme self designed use karte hai.

    Yeh aapne apni ek post me bataya tha lekin

    Kya aapne koi child theme pahle select karke usko full customize kiya hai ya phir aapne puri child theme with coding apne aap banai hai.

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      It’s my pleasure, Genesis framework ke sath sample theme free milta hai maine usi ko customize karke child theme banayi hai.

  7. Avatar for sanju dangarsanju dangar

    thank you sir, bahut hi achi jankari share ki hai, me kahi deeno se iske baare me search kar raha tha, finally aapka article mil gaya, sir muje aaj adsense account me ak notification mila, To support publishers in complying with Google’s updated EU User Consent Policy, EU user consent settings are now available. ab ise apply kare ya dismiss. mera blog blogger platform par hai,

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      Default setting use karo.

  8. Avatar for AMAN KUMAR SINGHAMAN KUMAR SINGH

    Hindi me gdpr ke liye acchi imformation di hai.

  9. Avatar for Vishvajit RaoVishvajit Rao

    sir hamare pass nya blog hai to humko kya karna padega please tell me

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      Sirf apni privacy policy change karo, kya karna hai wo main dusri comments par bra chuka hu.

  10. Avatar for raghav kumarraghav kumar

    1. sir mene website ke through privacy page banaya hai to koi dikkat to nhi hogi ya usame bhi kuchh changes karni hogi
    2. or sir wordpress site me gdpr ko enable kare ya disable hi rahne de sakte hai

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      1. Yes aapko privacy page mechanges karne hai.
      2. Enable karna hai.

  11. Avatar for ranjot singhranjot singh

    sir privacy policy me kya changes karne honge

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      Read post carefully.

  12. Avatar for JITENDRA SINGHJITENDRA SINGH

    nice information share sir

  13. Avatar for mohammad zakariamohammad zakaria

    jumdeen bhai, aapne disclaimer page ko kyun delete kiya hai. kya ye zaroori nahi hai. please answere do. kya esse adsense par fark nahi pad sakta.

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      Nahi, ye jaruri nahi hai lekin bana lo to achha hai.

  14. Avatar for UmeshUmesh

    Bhai new privacy update ke baad kya ham adsense kisi aur ke naam se bana sakte hai kya?

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      Google apne hi name se adsense allow karta hai. Apne hi name se adsense account banao.

  15. Avatar for AnkitAnkit

    Hi sir Kafi acha post likha aapne aap kya please meri website ka privacy policy check kar skte hain please

  16. Avatar for Yadav Pravin KumarYadav Pravin Kumar

    Hamara bhi wordpress site hai to hamko bhi GDPR lagu hoga sir……..

  17. Avatar for अनूप भट्टअनूप भट्ट

    Bhut badiya sir
    sir aaj mere blogger account karte samy ek isi trah ka ek notification aaya tha to kya yah uski ke bare me

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      Yes.

  18. Avatar for Radhe GourRadhe Gour

    मेरे हिंदी ब्लॉग में पहले privacy सेट नहीं थी लेकिन में जल्द ही इसे भी अपडेट कर लूंगा GDPR के बारे में जानकारी देने के लिए धन्यवाद

  19. Avatar for Deepak sahuDeepak sahu

    Thanx sir aapne kaafi acche se gdpr ke bare me samjhaya hai.

  20. Avatar for ravi kumarravi kumar

    Iss Post Ke Bad Aap Ek Aur Post Karo..

  21. Avatar for Vishvajit RaoVishvajit Rao

    Sir aap bahut hi badhiya article share kiye hai.Yah post hamare liye bahut hi helpful hone wala hai.

  22. Avatar for JayJay

    Iss GDPR ko follow karne ke liye blog me kya change karna hoga ?

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      Privacy change karni hogi aur btana hoga ki aap user ka data kaise aur kaha use karte ho.

  23. Avatar for Haseeb AlamHaseeb Alam

    Hello Jumedeen Sir,

    Kya GDPR Compliance karne ke liye, blog ke Privacy Policy page me kuchh modifications bhi karni padegi ya nahi?

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      Yes, aap blog me kon konsi service use karte ho aur user data ko kaise aur kaha use karte ho ke bare me btana hoga.

  24. Avatar for RizwanRizwan

    Thanks Bhai,Bahut hi Behatarin tarike se Aapne Explain kiya….

    • Avatar for dharmesh rajputdharmesh rajput

      आपने बहुत हि जबरदस्त पोस्ट लिखी है। काफी कुछ समझ आ गया है। पर आपसे रिक्वेस्ट है। कि आप खुद इस पालिसी को कैसे लागू करेंगे। उसकी पुरी detail के साथ एक पोस्ट और लिखें। जो हम सभी bloggers को समझने में आसानी रहे। शेयर करने के लिए धन्यवाद।

Add a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

I need help with ...