Hi friends, Ummid karta hu aapko search engine se acha traffic mil raha hoga. Agar nahi to aapke blog par dofollow backlinks kam honge. Agar aap apni site ki search performance increase karna chahate hai to aapko apni site ki pagerank increase karni hogi or pagerank increase karne ke liye aapko inbound links par focus karne ki jarurat hai.
Is time YouTube online video dekhne ki sabse jyada popular site hai. Jiski google pagerank 9 hai. But aap YouTube partner bane begair YouTube se backlinks receive nahi kar sakte. Mera matlab iske liye aapko YouTube par apni site verify karni hoti hai.
- Youtube Par Subscribers Kaise Badhaye Top 20 Tarike
- YouTube Se Paise Kaise Kamaye & Full Guide in Hindi
Agar aap blogging karte ho to shayad aapke pas YouTube account bhi hoga. But kya aap jante hai ki aap YouTube se bhi apni site ke liye dofollow quality backlinks receive kar sakte ho. In this post, Mai aapko iske bare me details se bta raha hu.
- Youtube Par Video Ko Monetize Kaise Kare or Adsense Se Kaise Jode
- Youtube Videos Me Subscribe Button Kaise Add Kare
Youtube par apni site ko verify karne se pahle aapki site google webmaster tool me already verify honi chahiye. Or agar aapne abhi tak apni site google search console me verify nahi ki hai to pahle Blog Ko Google Search Engine Se Submit Kaise Karte Hai post padh kar apni site ko GWT me verify kar le.
Youtube Se Dofollow Backlinks Kaise Receive Kare Blog Ke Liye
Ek bar apni site ko google webmaster tool me verify karne ke bad aapko site YouTube par verify karni hai. Youtube par site ko verify karne ke liye aap https://www.YouTube.com/verify link ko use kar sakte hai. Ya fir aap ye step follow kare.
Sabse pahle aap YouTube.com par ja kar apni gmail ID se log in kare. Uske bad Channel Settings >> Advanced par jaye. Ab Associated website me apni site ka link add karke verify kare.
- Channel par click kare.
- Advanced par click kare.
- Ab yaha par apni site ka link add kare.
- Add par click kare.
Jaise hi aap add option par click karoge. Aapko “success” ka message dikhayi dega.
Finally save par click kare. Bas ab aapki site YouTube par verify ho chuki hai. Ab aap ko 1-2 bad se YouTube se dofollow backlinks milne shuru ho jayenge. Googlebot aapki site ko index karne me 24 hours ka time lega. Uske bad aap alexa.com site par backlinks check kar sakte ho.
Agar aapko is article me helpful information mili ho to is post ko social media par apne friends ke sath share jarur kare.
Hari Narayan
Bhai mai bhi ribbon theme istemal karta hu isme article ko aur left side me aur sidebar ko aur right side me kaise le jau.Apke blog me hai waise hi.
Jumedeen Khan
Hari agar aapko WordPress ki php coding aati hai to aap apni site par kahi bhi kuch bhi change kar sakte ho.
Govind
Hi Jume Deen
Dost mujhe mere blog par google AdSense apply karna hai. Ye blog hindi mein hai par enflidsh alphabets mein post hoti hai jese aap karte hai.
Mujhe ye jan na hai ki google AdSense par submit karne ke liye kon si language select karu.Hindi select karu to google hindi font consider karega jo meri site par nyi h or english select karu to english garammer ki mistake hone ka doubt hai kyuki post mein sirf english alphabets hai english nhi.
Aap batao ki mujhe kya karna chahiye. Agar koi or jaruri information ho yo vo bhi btaye plz.
Jumedeen Khan
Govind darne ki koi bat nahi hai. aap hindi choose karo. google hinglish ko ache se samajhta hai.
Govind
Jume deen jesa aapne kaha mene vese hi adsemse ke liye apply kiya par 1 week ho gya account approve nhi hua…
Jumedeen Khan
Aapne kya process follow ki hai. Step btao.
Govind
google AdSense par application submit ki hai aur language hindi select ki hai. Form mein jo general information or site ka link pucha jata h vo dala h. Net day application approve ho gyi thi or mene ad code ko sidebar me paste kiya h. Tab se ad blank aa rhi h kyuki AdSense fully approve nhi hua. Abhi tak mere pass google ki koi mail nhi aayi.
Jumedeen Khan
thoda wait karo jald aapka AdSense aacount approved ho jayega.
Aman
Bro Mere Paas 28 Quality Posts hai jo mene khud likhe h, kya unhe aap buy kar sakte ho
Jumedeen Khan
Why not, mai aapki post pahle check karna chahunga.
Ashutosh singh
Dost mai aap logse kehna chahta hu ki aap log mere site ko ek bar check karke bataye ki mera likhne ka tarika kaisa hai plz maine blogspot.com par free me ek blog bnaya hai
arun yadav
laptop par screen record karte hai to voice clear record nahi hoti kYa karu jisase voice clear record ho help
Jumedeen Khan
camtasia studo software use karo.
surendra
bhai aap ne Facebook auto approval wali post ab tak publish nhi kari..
Jumedeen Khan
Surendra jaise hi mujhe iske bare me koi trick ka pata chalega to kar dunga.
Manish
Sid galti SE ads par click hogaya kya karu sir?
Jumedeen Khan
Kuch mat karo. Next time aysi galti mat karna.
Preet
bhai site ko search engine mein submit Kaise krte hain.
Jumedeen Khan
Ye post padho Blog Ko Google Search Engine Se Submit Kaise Karte Hai
Haidar khan
Aap kon si theme use karte ho?
kya ye theme free hai?
Jumedeen Khan
Ribbon ha free hai
Umesh Chavan
bahut acchi trick hai YouTube se quality backlinks pane ki
Aryan
Bhai ye to bhut intzar bata diya kuch jaldi ni kar sakte kya
Jumedeen Khan
Nahi usse pahle nahi kar sakta
Dilip
aryan agar apko jaldi domain buy karna h to market me jaha job k form online kiye jaate h baha se domain buy karba lo sirf 50 rupye extra lagenge bo dukandar ka charge hoga
Ravi Kumar
bhaiya aap hame ek bat batao, jaise man lo mere blog ka backup file kisi ke hath lag jaye to to, wo backup file se kya-Kya kar sakta hai, mujhe to kuchh nahi kar sakta , but mai janna chata hu wo apne liye kya kar skata hai
Jumedeen Khan
Kuch nahi bas aapke blog ke backup ko apne blog me upload kar sakta hai.
Mohd sharik
bro meri site ka name clickmeworld.blogspot.com he. pls aap merit site ko ek baar check karke ye bata de ki kya mera post likhne ka tarika achcha he. aur mujhe apne blog me aur kya kya karna he. kya mene apne blog ka name sahi rakha he. mujhe issue a age koi problem to nahi hogi. aur ek baat aur mere blog ke home me Jo meri post he no puri kyu aati he. surf uska tirle kyu nahi aata kaise apne me read more ka option aata he..
Jumedeen Khan
Blog acha hai aapka. Aap blog ki template change karo.
vijay panara
Bhai me Mobile se blogging kar raha hu to template ko xml file me kaise transfer kare
Jumedeen Khan
Google me search karo iska koi software hoga.
samak ajmi
RAR app download karo playstore se usi se hoga..! Vijay Panara
Dilip
vijay agAR aap mobile se blogging kr rhe ho aur zip file ko xml me badalna h to aap playstore se rar app install kr lo
sunil bhargav
jab aap apni post ko facebook par share karte hai to post ke niche support me india likha hua aata hai, and uske saamne aapka naam nahi aata hai. mujhe bhi esa hi karna hai ki jab main facebook par post share karu to mera naam waha se hat jaaye kewal website ka naam aaye. iske liye mujhe kya karna hoga
Jumedeen Khan
Simple hai post ko share burton se sgare karo
arun yadav
mare website ke ad par click hote ha to 0.01$ hi incame hoti hai help
Jumedeen Khan
Adsense ke rules ko ache se follow karo.
Mo uzair
Sir aj mene hostgator se hosting li hai or ab me c panal ke liye login kar rha hu to invalid password /usernam or your user account may be inactive or suspended bta rha hai jabki me sahi password dal rha hu username me email hi to barne hai sir help kro please
Jumedeen Khan
Hostgator customer care me call karo
sunil bhargav
back link kya hota hai sir, kya isse mere YouTube par traffic badhega. and jab main aapki koi post padh raha tha to niche comment me kisi ne puchha tha jisse main confuse ho gaya tha, isne ye puchha tha ki blog me post compose karne ke baad html me code kaha paste karte hai. aap meri confusion dur kare and mujhe ye bataye ki html section me AdSense ka code kaha paste kiya jaata hai, starting me, bich me ya last me. and kya code ko paste karne ke liye space dena padta hai
Jumedeen Khan
Youtube par nahi aapke blog par traffic badhega. Aapko ja ha bhi ads lagane hai waha ad code paste karo. Maine us comment ka reply bgi kiya hai wo padho.
Narayan Soni
sir ye ho kya raha he mera blog baar baar band ho raha h e har thodi der baad wo batata he service not availabe ya this domain was no longer available.
Jumedeen Khan
Aapne dbs record sahi add kiye hai. Confirm karo
Dilip
narayan aap apne blog ka template change krke fir se add kro sb sahi ho jayega mere sath bhi esa hua h
vikram
sir Alexa rank free service hai ya fir paid ….agar paid hai to permonth kitne rupaye dene padte hai
Jumedeen Khan
Free or paid dono hai. Aap alexa par plan cgeck karo.
vikram
sir wha par mujhe koi free plan nhi dikhai de rha hai …can u help me
Jumedeen Khan
Vikram maine aapko iske bare me jo post btayi hai. wo follow karo.
vikram
ha sir maine aapki post dhyan se padh liya lekin wha par mujhe koi free plan nazar nhi aa rha hai
Jumedeen Khan
Aapka plan se nahi site ko verify karne se matlab hai.